aryatheory
Search
JAN
11
Hamre filmi samaj sudharak dhurandhar
pk dekhi, iske producer ne bhi aadhi botal sharaab pk pk banayi hai, ye film waale ab hame lagta hai ki khud ko krantikaari samajhne lage hai, jo kam pahle social seculer samyawaadi industry ke chapraasi se lekar ceo tak ne pahle aapne hath main le rakha tha usme aub ye film waale jud gaye hain, shayad unke contacts se inko filmo ke liye investment aa raha hoga qki ye prakash jha, aaditya chopda, mahesh bhatt koi samaj sevi to hain nahi, ye dhande waale log hain dhanda karte hain munaafa kamane ke liye aur shayad inhe apne munaafe ke alava kisi se koi matlab nahi hai dekiye naa pahle aamir khan ka nanga poster jaari kiya fir is film ka naam controvarsi se jud gaya, chaliye maana controvarsi se naam hindu ugra sangathano ne joda lekin vo tranjister waala foto to inki pr agency ne hi zaari kiya tha kya vo badhiya chees thi, seculer industry ke logon ko chodkar koi ye nahi keh sakta ki ha vo badhiyaa chees thi jabki film main us seen main dhool uda di jaati hai aur fir door se ke chota sa shot liya jaata hai jo ki pahle bhi filmo main aa jata tha, khair aub agle kuch seens main aamir khan ki comedy hai aur ye dikhaya gaya hai ki wo mandir masjid girijagharon main bhagwaan ko dhoondh rahe hain, thiek yaha tak thiek wo doondh isliye rahe hain qki wo alian hai unka remot kho gaya hai aur bina uske wo ghar nahi jaa sakte, unhe logo ki baat sun kar laga ki bhagwaan unki madad kar sakte hain aur isi tarah wo ek din ek saadhu ke aashram pahuchte hainjaha wo saadhu unke remot ko shiv ji ke damru ka hissa bata kar uske liye ek bhavya mandir banane ke liye chanda ikattha karta rahta hai, jab aamir yaani pk aapna remot mangte hain to saadhu ke aadmi unko peet te hain, aur bahar nikaal dete hain yahan se amir ka safar shuru hota hai aamir ka safarshuru hota hai anuskha ke saath us saadhu se apna remote wapas lene ka aur isi ke saath vo ye bhi batate hain ki ishwar ki bhakti ka matlab kya hai, leki ek second ye kahaani kuch puraani lag rahi hai na, haa ye to oh my gob main pahle dikha diya gaya hai, accha ab samajh main aaya q ye log oh my god release nahi hone dena chahte the, lekin ek anter hai jaha omg main sandesh dene se pahle ek majboot kahani hai jo isme nahi hai saath hi usme alag alag
sampraday ke logon ko apne sampradaye ke tathakathit thekedaaron se sawaal poochte hue dikhaya gaya tha, yad rahe sabhi dharmon kelogon se, lekin pk is mamle main hatke hai, chalo koi vaanda nahi, ab sandesh per aate hain, jahan omg main anth main ek mazboot sandesh tha vahi pk main anth tak sandesh kya hai samajh main hi nahi aata, anth main ek dialoge hai jisse thoda bahut andaza lagta hai bus aur kuch nahi, to kul milakar agar sandesh is film ka samajhana ho to anth bade dhayan se dekhna hoga aur insaaniyat ke baare main bhi bataya gaya hai chalo wo baad main aaise daylaag to beech main aana faishon hai, AB kya ho raha hai is film ko lekar sochne par pata chalta hai ki is film se ek sawaal nikalta hai ki ek sandesh dene ke liye jo madhyam is film main dikhaya gaya kya uspe kuch prayog ho sakta hai, chaliye kar ke dekhte haimaana us hindu saadhu ki jagha koi bada muslim moulwi hota ya imam hota aur aamir khan usko galat saabit karte jaise unhone hindu saadhu ko kiya ya jaise omg main teeno dharmo ke sadhuo ke saath hua, jis tarah film main example hai ek-ek seen hindu chod kar bakiyoon ko bhi daal diya hai lekin bade pyaar se,vahi hinduon par ugra hokar, toh amir dikhate ki q suar khana haram hai, q burka pahanna zaroori hai,q halala ka niyam banaya gaya hai islam main etc, to kya hota? ans- arey yaar senser board pass hi na karta film ko, ya pass ho bhi jaati toh fatwah zaari ho jaata, amir ko gair muslim maan liya jaata jaisa ki salmaan khan ko kuch saal pahle tika lagane par kiya gaya tha, shayad isi liye film producer ne ek hindu saadhu ko pakda ye sochkar ki kya hoga zyada se zyada tod phod hi hogi aur kya usse apne ko kya lena, sarkaari sampatti toote to toote, to ab sawaal uthta hai ki hamesha jab koi religious personality negetive kirdaar main dikhai jaati hai tohsabse pahle hindu sadhu ko hi q dikhaya jaata hai, chahe pk ho yaa singham2 ho, hame 1914 se 2014 tak koi aaisi film koi bata de jisme kisi padri ya maulvi ko usi kirdaar main dikhaya gaya ho jisme hindu sadhuon dikhaya jaata hai, aur vo picture chali ho, hamne ek ladke ko kahte hue suna ki bhai hinduon ki toh le li amir khan ne, to hindu hi q? jawaab shayad ye ho sakta hai ki kai hindu saadhuon ne aaise neech kaam kiye hai jisse logon main ek mansikta baith gai hai ki ye chor hote hain aur film vaale iska saral fayda utha rahe hain, ya jaan boojh kar in cheeson ka durupyog ar rahe hain. lekin iska matlab ye nahi ki baaki sab doodh ke dhule hain agar internet par search karen to aaise kai cases mil jayenge jisme india main hi kai padri,maulvi aur doosre panthptyoon ne bhi kai bhishan crime kiye hain, lekin shayad hamare angrezi bolne waale eliet group, secular industrilists aur ekmusth voton ke lalach ne in cases ko utna nahi uksaaya jitna hinduon ke cases ko, rahi baat pk film ki to itna hai ki sandesh bura nahi hai lekin samjhane ka tarika bura hai, aur
amir khan ki acting aur poster release se shuru hui anthheen controversees ki vajah se film chal gai, saath hi aati hai baat insaaniyat ki, hamare krantikaari filmi samaj sudharako se jab ye poocha jaata hai ki aap dharamo pe q toot rahe ho to ye kehte hai hain hm insaniyaat ko maante hain, chaliye uska bhi ek nazaara le lijiye- jab baat insaaniyat ki aati hai to kya pk k producer is film ke munaafe ko kisi insaani nobal cause ke liye kharch karenge, Nahi Nah Kabhi Nahi, colorse ke bade show bigg boss se jab ek kavi kumar vishwaas ne apni fees main ek surplus ammount milakar sainiko ki vidhwaaon ko dene ko kaha to unhone saaf mana mana kar diya, q ye vahi angrezi bolne waale log hain na jo insaaniya-insaaniya ki maala japte rahte hain, to tab insaaniya kaha ghus gayi pet main ki kahi aur, aaise neech logon par yeda banke peda khane aur apna kaap banta bhaad main jaye janta wale muhavre sateek baithte hain, khair agar film dekhe to sirf aamir khan ki thodi si comedi ke liye, baaki agar dharam aur ishwar par koi film dekhni ho to oh my god aaj ke zamaane ki sabse acchi film hai sahi aur santulit sandesh ke saath. Posted 11th January by anant saxena
0
Add a comment