Jara Itna Bata De Kanha Tera Rang Kala Kyu Lyrics In English Jara Itna Bata De Kanha Tera Rang Kala Kyu Tu Kala Hokar Bhi Jag Se Nirala Kyu Maine Kali Raat Me Janam Liya Aur Kali Gai Ka Dhoodh Piya Meri Kamli Bhi Kali Hai Isliye Mai Kala hu Jara Itna Bata De… Sakhi roj hi ghar mein bulati hai Aur makhan bahot khilati hai Sakhiyo ka dil kala Isliye Kala Hu Jara Itna Bata De… maine kali nag par nach kia, or kali nag ko nath lia, Naago Ka Rang Kala Isliye Kala Hu Naago Ka Rang Kala Isliye Kala Hu Jara Itna Bata De… Sawan mai bijli chamakti hai, badal bhi bahut baraste hai, badal ka rang kala, isliye kala hu Jara Itna Bata De… Sakhi Naino Me Kajra Lagati Hai Aur naino mein mujh ko bithathi hai Kajare Ka Rang Kala Isliye Kala Hu Jara Itna Bata De…