JAMAAT-UL-MUSLIMEEN HAQ AUR AHL-E-HADĪS MEŃ FARQ Part 1- 30 Jamaat-ul-Muslimeen Aūr Aih’l-e Hadīs Aik Na’hiń Ho Sakte. Aih’l-e Hadīs Khūd Ko Aik Firqa Taslīm Karta Hai Jab Ke Jamaat-ul-mūslimeen Ka Firqoń Say Ko’ī Tā’lūq Na’hiń. In Messages Meń Āpko In Dono Jamātoń Meń Vāze Farq Bataya Jā’eyga Jiske Ba’d Āp Per Ye Lāzim Hoga Ke Āp Firqa Bandi Chor Kar Vahid Haq Jamā’at Ki Taraf Ājayain. Bohat Se Aiterazāt Ke Javab Aūr Ijtāmiat Jo Min O Un Khālis Shari’at (Devine Law) Per Chalti Ho Paish Ki Jā’ey’gī Insha Al-lāh. Rasoolullah ﷺNe Farmāyā: Har Bach’cha Fitrat-e-Islām Par Paida Kia Jāta Hai Ba’d Meń Ūskay Vālidaiń Ūsay Yahoodi Yā Essaī Yā Majoo’sī (Fire Worshiper) Bana Le’tein Haiń [Sahīh Būkhari Tafsīr Sūrah Rome]. Vālidaiń Ke Zehan Meń Ye Chīz Pehlay Se Maujood Hoti Hai Ke Ūn’ke Ābā O Ajdād Hi Haq Par The Aūr Bāqi Sab Bātil. Voh Apnay Ābao O Ajdād Ke Khilāf Kūch Sūn’na Pasand Na’hiń Kar’tay HAQ Ko Thūkra De’te Haiń Lekin Ūs Chīz Ko Chorna Gavārāh Na’hiń Kar’te Jo Pehle Se Ūn’ke Zehan Meń Jagūzin Hoti Hai. Phir Voh Apne Bach’choń Ki Zehan Sāzi Bhi Ū’sī Ūsool Par Karte Haiń. Phir Voh Hi Bach’chā Jo Fitrat-eIslām Per Paida Hūva Tha Zehan Parasti Ki Vaj’h (reason) Se Yahoodi, Essaī Majoosī, Shia, Hindu, Barelvi, Aih’l-e Hadīs, Han’fi Etc. Ho Jāta Hai Lekin Mūslim Na’hiń Hota. Mayar-e-Haq To Sirf Mūslim Kehlvāna Tha Lekin Aqal Par Parda Parh Jāta Hai Aūr Dil Par Mūhar Lag Jāti Hai Ab Hidāyat Nasīb Ho To Kaise Ho? Aūr Zehan Badlay To Kis Tarah Badlay? Isī Zehan Parasti Se Chut’kāra Dilane Aūr Taslīm Haq Ke Jazbe Ko Az Sar e Nau Qāyam Karne Ke Li’ye Al-lāh Rabbulizzat Ne Mūkhtalif Zamāno Aūr Qaumoń Meń Anmbia (AS) Ko Maboos Farmāyā. Lekin Ye Zehan Ke Parastār Anmbia (AS) Ko Ye Hi Javāb Dayte Rahe. Al’lāh Ta’ālā Farmātā Hai: Ham Ne Apne Āba-o-Ajdād Ko Aik Khās Tariqe Par Pāya Hai Aūr Ham To Bas In’hiń Ke Qadam Ba Qadam Chalaińge [Sūrah Zūkhrūf 23]. Apne Ūsool Aūr Maslak Ke Difā (defence) Ke Li'ye Ai’se Ūsool Maratab Kar’te Haiń Jin’se Zehan Parasti Aūr Jamood Meń Izāfa Ho Aūr Ūnke Nām Ni’hād Haq Ko Jis Ko Voh Nādāni Se Haq Mān’ne Ka Tahiy’yah (determination) Kar Chūke Haiń Sahārā Mil Sake Maslan: Be-shak Har Is Hadīs Ko Jo Hamāre As’hāb Yāni Fi’qah - Ke Khilāf Ho Nas’kh Per Moh’mal (meaningless) Kia Jayega Ai’si Sakht Zehan Parasti Jinki Ki Jāye Voh Haq Ko Kai’se Taslīm Karainge? Mazīd Likh’te Haiń: Har Voh Āyat Jo Hamāre Fiqāh Ke Qaul Ke Khilāf Hogī Ūse Ya To Naskh Per Moh’mal Kia Jāyega Yā Terjīh Par [Ūsool-E-Kerkhi 28-29] Ya’ni Al’lāh Aūr Rasool ﷺKi Bāt Ko Mansookh Kia Jā’ye Magar Apne Fiqa Ke Ūsool Na’hiń. Agar Iske Bā’d Bhi Ye Gūmrāhi Na’hiń To Phir Imān Ka Dāva Bekār Hai.
Ūmoo’man (generally) Ahl-e-Hadīs Maslak Ke Pairokār Jamaat-ul-Muslimeen Se Savāl Karte Haiń Ke Jab In Do Jammatoń Meń Ko’i Farq Na’hiń Dono Ke Ūsool Aik Haiń to Phir Kya Vajah Hai Ke Ham Milkar Kām Na’hiń Karte? • Is Ka Mūkhtasar Javāb Ye Hai Ke Dono Ke Ūsool Aik Na’hiń. • Doosra Ye Ke Ahl-e-Hadīs Aik Khās Maslak Ke Pāband Haiń Jab ke Jamaat-ulmuslimeen Ka Ko’ī Maslak Na’hiń. • Ma’loom Na’hiń Ke Dīn Ki Jaga Maslak Ne Kab Lī Aūr Ye Lafz Kis Ki Iejād Hai? • Al-Jamaat Ke Nazdīk Asal Dīn Voh Hi Hai Jo Is Āyat Meń Bayan Kiya Gaya Hai. Al-lāh Farmātā Hai: Ūs Chīz Ki Pairvi Karo Jo Tūmhāre Rabb Ki Taraf Se Tūm Per Nāzil Ki Gaī Hai Aūr Iske Ilā’vah Valioń Ki Pairvi Na Karo [Surah Alaaraaf 3]. Munaz’zal Min-allāh Sirf Qur’ān O Hadīs Hai Lihāza Sirf Qur’ān O Hadīs Hi Asal Dīn Hai Kisi Shakhs Ka Ijtihād O Qayās Na Munaz’zal Min-allāh Hai Aūr Na Voh Asal Dīn Hai. Bar Khilāf Iske Ahl-e-Hadīs Firqe Ke Hān Asal Dīn Chār Haiń. • • • •
(1). Quran. (2) Ahadīs. (3) Ijmā-e-Sahāba O Tābe’in Aūr. (4) Qayās.
Iske Sūboot Ke Liye Markazi Jamiat Ahl-e-Hadīs Ke Ameer Janab Moinuddin Sahāb Lakhvi ke Khutbe Ke Iqtibāsat Jo Ūnho Ne Kul Pakistan Ahl-e-Hadīs Conference Lahore 12/13/14 April 1979 Meń Diye the. Capital Words Per Gaur Karaiń. MASLAK AHL-E-HADĪS Ki Būnyād Bhi Inhi Ūsooloń Per Hai Jinko Tamām ĀIMA Ne Islām Ki Būnyād Qarār Diya Hai Ya’ni Al-lāh Ki Kitāb Rasool ﷺKi Sūnnat Bā’d Iske IJMĀ-E-SAHABA O TĀBEIN Aūr Ūskay Bād ĀIMA MŪJ’TAHIDEEN Ke IJTEHĀDĀT Aūr FIQHI FŪYOOZ Jise Kūtūb-E-Usool Meń QAYĀS Ke Lafz Se Tābīr Kiya Gaya Hai. [Alaitasam lahore 20-27 April 1979] Is Iqtibās Se Zāhir Hai Ke Maslak Ahl-e-Hadīs Ke Nazdīk Mūj’tahideen Ka Ijtihād Aūr Qayās Bhi Islām Ki Būnyad Hai jise Mūstaqil Aūr Dāimi Qanoon Samjha Jāta Hai. Jab ke Jamaat-ul-muslimeen Ke Nazdīk Qanoon Sāz Sirf Al-lāh Ta’ālā Hai Al-lāh Ta’ālā Ka Dīn Kāmil Hai Ūsmaiń Izāfa Na Mūmkin Hai Mūj’tahideen Ka Ijtihād O Qayās Hūjjat Na’hiń. AITRĀF - Shāyad Log Ye Samajhte Haiń Ke Ham Ne Maslak Ka Nām Jor Diya Hai Firqa Ahl-e-Hadīs Ke Sāth Is Silsile Meń Moinuddin Lakhvi Sahāb Ke Isī Taqrīr Se Iqtibās Paish-E-Khidmat Haiń: MASLAK AHL-E-HADĪS Se Apne Ham Vatanoń Ko Roshanās Karāya Jāye Tāke Mūkhtalif Maktab-e-Fikr Ki Maslak Ke Mūtaliq Galat Fahmi Door Hojaye. Ya’ni Dīn-e-Islām Ke Bajaye Maslak Ahl-e-Hadīs Ki Tablīgh Hoti Āī Hai. Bar’aks Is Ke Al-jamaat Islām Ki Khālis Da’vat Paish Karti Hai Na Ke Maslak Ki Hamārā Dīn Yaqīnan Islām Hai. Jamaat-ul-
muslimeen Ke Har Ijtimā’t Ka Maqsad Sirf Tablīgh-e-Islām Hai. Amīr Jamiat Sahāb Farmate Haiń. Is Tariqe Se Firqa Varāna Tā’sūb Khatam Kiya Jasake Aūr Mūlk-O-Mil’lat Ki Khidmat Ke Liye Aik Sāth Mil Kar Kām Karne Ki Rāh Hamvār Hosake. Islām Meń Firqa Bandi Aik Lānat Hai. [Havala Mazkoor] In Dono Iqtibāsāt Se Sābit Hūva Ke Firqa Bandi Ko Lānat Mān’ne Ke Ba-vajood Maslak Ahl-e-Hadīs Ko Tamām Firqoń Ke Sāth Milkar Kām Karne Ki Khūvāish Hai Gaur Karaiń Ke Firqoń Ke Sāth Ye Mafā’mat Kis Hadh Tak Mūnāsib Hai? Lihāza Hadīs-eRasoolullah ﷺDekhte Haiń: In Tamām Firqoń Se Alāhida Rehna [Sahīh Būkhari Va Sahīh Mūslim]. Jamaat-ul-muslimeen Is Hūkm Ki Tāmīl Meń Tamām Firqoń Se Ala’hidah Hai Jamaat-Ul-Muslimeen Ke Nazdīk Firqoń Ke Sāth Mil Kar Kām Karne Ka Tasav’vur Bhi Kisi MŪSLIM Ke Zehan Meń Na’hiń Āa Sakta. Isī Liye Ham Kehte Haiń. FIRQOŃ Meń ISLĀM Na’hiń Aūr ISLĀM Meń FIRQAY Na’hiń. -FATVON KI ZAD MAIN KYOON-? Ulmāye Ahl-e-Hadīs Bāz Mau’qe Par Bilkūl Be-Dalīl Fat’ve Deytaiń Haiń Bāz Mau’qe Par Apne Fat’ve Ki Tāīd Meń Za’īf Hadīs Paish Karte Haiń Aūr Yeh Tak Na’hiń Batāte Ke Yeh Hadīs Zaīf Hai Aūr Bāz Mau’qe Par Apni Ta’īd Meń Kūtūb-e-Fiqah Ki Ibārataiń Paish Kartain Haiń Goya Inhaiń Hūj’jat Samajhte Haiń [Fatawa Ahl-e-Hadīs] Bar Khilāf Iske Jamaat-Ul-Muslimeen Meń Aisa Koī Na’hiń Karta. Ham Za’īf Hadīs Se Istidlāl (argument) Na’hiń Karte Na Hamārā Firqa Varāna Fiqah Se Ko’ī Ta’lūq Hai Balke Firqa Varāna Fiqa Hūj’jat Sha’ra Samajhna Hamāre Nazdīk Shirk Hai. Hamāra Kām Qur’an-O-Hadīs Ko Min O Un Pohchana Hai Na Kay Apne Ijtihād Ki Ishāt. Maslan Jamaat-UlMuslimeen Ke Nazdīk Tark-E-Sūnnat Gūnāh Aūr Maujib-E-Lānat Hai Jab Ke Maslak Ahl-e-Hadīs Ke Liye TARK- E-SŪNNAT Gūnāh Na’hiń. SUNNAT KI AHMIAT? Al-lāh Farmāta Hai: Jisne Rasool ﷺKi Itā’t Ki Ūsne Dar Haqīqat Al-lāh Hi Ki Itā’at Ki [Surah Nisa 80]. Ya’ni Farz Aūr Sunnat Meń Koī Farq Na’hiń. Dono Aik’sāń Taur par Lazim Haiń. Sūnnat Voh Kām Hai Jis Ko Nabi ﷺNe Hameińsha Kiya Ho Aūr Kabhi Na Chora Ho Ye Ham Par Karna Lāzim Hai Is Ko Tark Karne Vāla Gūnah Gār Hoga. SŪNNAT AŪR FARZ KE Nāmoń Ki Is Tafrīq Se Logoń Ka Ye Natīja Nikla Hai Ke Sūnnat Lāzmi Na’hiń Hoti Balke Ikhtiyāry Ya Nafil Hoti Hai Aūr Ye Bohat Galat Natīja Hai. Is Natije Ne Sūnnat Ki Ahmiy’yat Ko Khatm Kardiya Aūr Log Gūmrāhi Meń Mūbtala Hogaye. FIRQA AHL-E-HADĪS KĪ HAQĪQAT: Al-lāh Ta’āla Farmāta Hai: Kya Ūnho Ne -Al-lāh Ke- Sharīk Bana Rakhe Haiń Jo Ūnke Liye Dīn Meń Shariy’yat Sāzi Karte Haiń Hālanke Al-lāh Ne Iski Ijāzat Na’hiń Di [Surah Shoora 21]. Al-garz Al-lāh Ke Dīn Khālis Meń Kisi Qisam Ki Milāvat Yā Izāfa Aik Qism Ka Shirk Hai.
Jo Shakhs Dīn-e-Islām Ko Chor Kar Koī Aūr Dīn Maz’hab Ya Maslak Ikhtiyār Karta Hai To Voh Dīn Maz’hab Ya Maslak Al-lāh Rabbulizzat Ke Hań Maqbool Na’hiń Hoga. Al-lāh Farmāta Hai: Jo Shakhs Islām Ke Ilā’vah Kisi Aūr Dīn Ka Mūtalāshi Ho To Voh Dīn Us Se Hargiz Qūbool Na’hiń Kiya Jayega [Surah Aale Imran 85]. Dīn-e-Islām Kāmil Hai. Na Is Meń Koī Nūks Hai Na Koi Aib Hai. Al-lāh Farmata Hai: Āj Maine Tumhare Liye Tumhare Deen Ko Kāmil Kardiya Tum Par Apni Ne’mat Poori Kardi Aur Tumhare Liye Dīn Bas Islam Ko Pasand Farmaya [Surah Maaida 3]. Al-lāh Farmata Hai: Al-lāh Ne Tumhara Nām Mūslimeen Rakha Hai [Surah Hajj 78]. In Ayāt Se Sāf Sābit Horaha Hai Ke Dīn Meń Hukm Sirf Al-lāh Ka Chalta Hai Jab Dīn Mūkamal Hogaya To Ye Nām Ki Tabdīli Kis Haq Say Ki Gai? Aik Aitrāz. Kya Hogaya Jo Mūslim Nām Ke Sāth Khūd Ko Ahl-e-Hadees Kaihalvāte Haiń? MANA TO NA'HIŃ NA? JAVĀB: Islām Meń Jo Al-lāh Aūr Ūske Rasool ﷺKeh Daiń Voh Tamām Logoń Ke Liye Ākhri Aūr Yaqīni Hona Chahiye Na Ke Al-lāh Ki Ayat Ke Khilāf Jakar Tāvīl Paish karaiń Aūr Naye-Naye Nām Ki Iejād Ki Jaye. Agar Dalīl Sirf Is Bāt Ko Liya Jāye Ke Nām Rakhne Se Mana To Na’hiń Kiya. To Phir Hamaiń Namaz Meń Har Raka’at Meń 3 Saj’dah Karne Chahiye Kyoon Ke Do Ka Hūkm Diya Hai 3 Se Mana To Na’hiń Kiya? Hajj Per 7 Ki Jaga 9 Tavāf Karne Chahiye Kyooń Ke Mana To Na’hiń Kiya? Etc. Is Tarah To Dīn Khatm Hojayega In Usooloń Par. Chalaiń Yooń Samajhte Haiń: Meń Ahl-eHadīs Na’hiń To Kyā Meń Haq Par Na’hiń? Yaqeenań Aap Mūjhe Haq Per Samjhaińge Lekin Agar Meń Kahoon Ke Meń Mūslim Na’hiń To Aap Bagair Kisi Shak-o-Shūb’h Ke Mujhe Na-Haq Samjhaińge Aūr Yehi Farq Hai Firqa Varana Nām Aūr Al-lāh Ke Diye Hū’ey Nām Mūslim Meń. AQĀ’ID MEŃ FARQ: Dono Jamātoń Ke Aqā’id Meń Bohat Farq Hai Lekin Kūch Bātaiń Bayān Ki Jāsakti Hai. EID KI NAMĀZ - Ahl-e-Hadīs Eid Ki Namāz Ko Sūnnat Samajhti Hai [Albalaag ul Mubeen 396]. Ahl-e-Hadīs Ke Nazdīk Sūnnat Aūr Nafil Aik Chīz Hai. Sadiq Sialkoti Sahāb Likhtaiń Haiń: Vāzay Hokay Sūnnat Nafil Mūs’tahab (desirable). Yeh Tamām Alfāz Ham Māni Aūr Mūtarādif (synonymous) Haiń. Lihāza Maslak Ah-le-Hadīs Kay Nazdīk Namāz-e-Eid Nafil Hai. Jabkay Jamaatul-muslimeen Ise Farz Samajhti Hai kyoon Ke Jis Kām Ka Hūkm Darbar-eRisālat Se Mil Jā’ye Voh Mūslimeen Ke Liye Vājib-Ūl-Ita’at Hoti Hai. Rasoolullah ﷺNe Farmāya: Eid-ul-Fitr/Azha Ki Namāz Do Rak’at Hai [Ibn Khuzaima Sahīh]. Eid Ke Liye Nikalne Ka Hukm Hai Lihāza Eid Ki Namāz Farz Hūvi. Is Bāt Par Sabka It’tefāq Hai Ke Rasoolullah ﷺNe Eid Ki Namāz Hamesha Parhi Kabhi Na’hiń Chori Lihāza Ye Aik Vāzay Farq Hai Dono Ke Aqā’id Meń.
TAH’T-UL-MASJID: Maslak Ahl-e-Hadīs Ke Nazdīk Tah’t-ul-Masjid Nafil Hai [Albalaag Ul Mubeen Page 136]. Jabkay Jamaat-ul-mūslimeen ke Nazdīk Ye Namāz Itnī Zarūri Hai ke Khūbay Ke Daurān Bhi Usay Ada Karne Ka Hukm Hai. Kya Ye Ahl-e-Hadīs Maslak Islām Ki Terjūmani Kar Rahi Hai? Maulim-e-Kitab Rasoolullah ﷺKa Farman Hai: Hazrat Abu Qatada (RZ) Masjid Meń Dakhil Hūye. Ūnho Ne Rasoolullah ﷺKo Sahāba Ke Dar-mayān Baithe Hūye Paya Voh Bhi Inke Pass Baith Gaye. ĀP Ne Farmāya: Tūmhaiń Do Rakat Namāz Parhne Se Kya Chīz Manā Hūvi? Abū Qatada (RZ) Ne Arz Kiya: Maine ĀP Ko Aūr Logoń Ko Baithe Hū’ai Daikha. Main Bhi Baith Gaya. ĀP Ne Farmāya: Jab Tūm Meń Se Koī Shakhs Masjid Meń Dākhil Ho To Baithe Na’hiń Jabtak Do Rakataiń Na Perh Le [Saheeh Muslim]. Kitna Farq Hai Dono Jamaatoń Meń Phir Bhi Kehna Ke Dono Hi Thīk Hai? Bāt Kūch Banti Na’hiń. Mazīd Dalail. Aik Shakhs Jūm’ah Ke Roz -Masjid Meń- Dakhil Hūwa. Nabi ﷺKhūtba De Rahe The. ĀP Ne Farmāya: Kya Tūm Ne Namāz Perh Li? Us Shakhs Ne Kaha: NA’HIŃ. ĀP Ne Farmāya: To Phir Do Rak’ataiń Perho [Saheeh Bukhari]. In Ahadīs Se Ye Bāt Tou Vā’zeh (evident) Hoti Hai Ke Ye Hūkm-e-Rasool Hai Lekin Afsos Firqa Ahl-e-Hadīs I’se Nafil Keh Kar Hūkm Ki Nā-farmāni Kartaiń Haiń. KHAVATĪN KA EID-GĀH JĀNA. Ūme Attya (RZ) Farmāti Haiń: Hamaiń Eid Gāh Jāne Ka Hūkm Diya Jāta Tha Hat’tā Ke Hamaiń Hūkm Diya Jāta Tha Kay Hūm Kūńvāri Lerki Ko Bhi Iske Khidr - Perday Say Nikal Kar Eid Gāh Lay Jayaiń [Bukhari]. Ye To Voh Farz Hai Jis Par Jamaat-ul-muslimeen Amalan (practically) Saboot Paish Karti Āi Hai Bar’aks Iske Ahl-e-Hadees Is Hūkm-e-Rasool ﷺKo Bhi Nafil Keh Kar Gūnāh Ke Mūtaraqib Hotay Ārahay Haiń. Bas Jūmloń Ka Farq Hi To Hai Ahnāf I’se Makrooh Keh’te Haiń Aūr Ahl-e-Hadīs Nafil. Amal To (hence) Dono Ka Na’hiń. JŪM’ĀH KE DIN GŪSSAL KARNA: Firqa Aih’l-e Hadīs ke Yān Jūm’ah Ke Roz Gūssal Karna Nihāy’yat Hi Achchā Hai. Baroyay Sharai Mūs’tahab (desirable) Tākīdi Aūr Pasańdī’dah (choice) Hai Lekin Na Ai’sa Lāzim Ke Tārik Is’ka Gunāh Gār Ho [Salaat-e-Rasool Page 117] Ya’ni Ke Gūssal ka Karna Zaroori Na’hiń. Jab Ke Hadīs-e Rasoolullah ﷺHai: Jūm’ah Ke Din Gūssal Karna Her Bāligh Par Vājib Hai [Saheeh Bukhari] Ya’ni Jab Tum Meń Se Koī Shakhs Jūm’ah Ki Namāz Ke Li’ye Ā’ye To Gūssal Karaiń [Saheeh Bukhari]. Har Mūslim Par Sāt 7th Din Meń Aik Din Gussal Karna Zaroori Hai Aūr Voh Jūm’ah Ka Din Hai [Nisai Kitab Ul Jumma Saheeh]. Farq To Har Bāt Par Hai Magar Phir Mūslimīn Ko Firqa Aih’l-e Hadīs ke Sāth Aik Hi Jamā’at Tasav’vur Karna Kya Ye Ziyā’datī Na’hiń? Jamaat-ul-Muslimeen Ilm Aūr Amal Ke Maidan Meń khālis Tauhīd Par Yeksań Hoker Is Ūm’mat Ko Aik Karne Ki Da’vat De’ti Hai- Mazīd Daikh’te Haiń: Maslak Aih’l-e Hadīs Aik Hadīs Ka Ziker Hamesha Karti Ā’i Hai Jis Se Voh Mūslimeen Se Savāl Talab karti Hai. Rasoolullah ﷺFarmate Haiń: Ye Dīn I’sī Tarah Qāyam Rahega Is Dīn Ke Li’ye Mūlimīn Ki Aik Jamā’at Jūng Karti
Ra’he’gī [Saheeh Muslim]. Merī Ūm’mat Ki Aik Jamā’at Hamesha Al-lāh Ke Amar Ke Li’ye Jung Karti Ra’he’gī Voh Apne Dūshman Par Qādir Hońge [Saheeh Muslim]. Is Hadīs Se Voh Yeh Saval Ūthate haiń ke Jamā’at-ul –Muslimeen ko Agar Haq Mān Bhi Li’ya Jaye Kyoon Ke Hadīs Meń Mūslimīn Ki Jamā’at Ka Zikar Aya Hai To Batāyein Ke Al-Jamā’at Kahań Jung kar Rahī Hai Aūr Kab Se? JAVAB - Gūzishta Daur Meń Voh Końsi Jamā’at Aihl-e Hadīs Thi Jo In Sifāt Par Poori Ūtrī Ho Aūr Voh Har Zamāne Meń Mūsalsal Rahī ho? Maslak Aih’l-e Hadīs Kūch Arsa Qabal Hindūstān Meń Bani Is Se Pehle Voh Kahań Thī? Is Hadīs Ka Ye Mafoom (meaning) Lena Kitna Dūrūst Hai Mazīd Jānte Haiń. Hamesha Rehna Aūr Mūnqata Na Hone Par Istidlāl Karna Sahīh Na’hiń. Al-lāh Ta’ālā Farmata Hai: ĀP Bani Israil Ki Taraf Se Hamesha Kisi Na Kisi Khayānat Ki Khabar Sūnte Rahaińge [Sūrah Māida 13]. Rasoolullah ﷺNe Farmāya: Jib’rā’il (AS) Mūjhay Hamesha Parosi Ke Mūtaliq Vasiyyat Karte Rahe Yahań Tak Ke Mūjhe Ye Khayāl Hūva Ke Voh Ūs’ko Vāris Qarār Daińge [Sahīh Būkhāri]. Pehli Āyat ke Hisab Se Ye Tāsūr Li’ya Jāsaktā Hai Ke Rasoolullah ﷺKe Pass Har Vaqt O Har Ān Mūsal’sal (consecutive) Khayānat Ki Khabraiń Āti Thīń Par Kya Ye Mūmkin Tha? Lihāza Is -LĀ TAZĀL- Ka Mafoom Galat Li’ya Ga’ya Hai Tāke Apne Maslak Ka Difa Kiyā Ja Sa’ke Jab’ke Di Ga’ī Dūsrī Hadīs Ka Māmla Bhi Kūch Ai’sa Hi Hai۔ Zaahir Hai Jibrael hamesha Perosi Kay Mutaliq Vasiyat Na’hiń Kertay Thay Balkay Vaqfoń Ke Sāth Ye Kām Jārī Tha. Āj Bhi Agar Ūlema Khālis Islām Ka Difa Karaiń To Ye Tavīl Kar’ne Ki Zaroorat Na Pare. KYA FIRQA AIH’L-E HADĪS MEŃ BAIT KA TASAV’VUR HAI? Bait Ke Mā’ne A’hd O Paimān Hai. Jab Ādmi Amīr Yān Khalifā Ki Bait Karta Hai To Voh Khūd ko Baich Deta Hai Go’yā Voh Ūs Bāt Ka A’had Ka r le’ta Hai Ke Voh Amīr Ki Maroof Bātoń Meń Hamesha Itā’at Kartā Rahe’ga Kabhi Na-Farmanī Na’hiń Kare’ga. Hazrat Ūbāda (RZ) Kehte Haiń: Ham Ne Rasoolullah ﷺSe Sū’ne Aūr Itā’at Karne Par Bait Ki Khūshi Aūr Na-Khūshi Meń Aūr Ye Ke Jab Rasoolullah ﷺ Hamāre Pass Yasrib Ya’ni Madina Mūnavvara Tashrīf Layaiń Ge To Ham ĀP Ki Madad Karaiń Ge [Ravah Hākim Va Sahīh]. Jis Shaks Ne -Amīr ki- Itā’at Se Hāth Khaińcha To Voh Qayāmat Ke Din Al-lāh Se Ai’si Hālat Meń Mūlaqāt Kare’a Ga Ke Is’ke Pass Koī Hūjjat Na Hogī Aūr Jo Shakhs Is Hālat Meń Marr Gayā Ke Ūske Gardan Meń -Amīr Ki- Bait Na’hiń To Voh Jahiliat Ki Maut Mare Ga [Sahīh Mūslim]. Kya Bait Sirf Rasool ﷺKi Farz Hai? Agar Bait Sirf Rasoolońﷺ ﷺKe Li’ye Khās Hoti To phir Sahāba (RZ) Ne Abū Bakar Siddique Ūmer Bin Khatab Ūsman-e Farooq Aūr Hazrat Ali (RZ) Ki Bait Kyooń Ki? Zāhir Hai ĀP ﷺHamaiń Dīn Aūr Dūnya Meń Chalne Aūr Zindagi Gūzārne Ka Tariqa Samjha kar Ga’ye Haiń Alhamdulillah. Ager Aitrāz Ye Kiyā Jāye Ke Bait Sirf Khalifā Ki Hosakti Hai Kyooń Ke Voh Iqtedār Meń Hota Hai Aūr Saza Nāfis Kar Sak’ta Hai To Mūkhtasar Ye Ke Al-lāh Rabbūlizzat Farmāta Hai: Kisi Shakhs Ko Taklīf Na’hiń Di Jāti Magar Ūs’ki Tāqat Ke Mūtābiq [Surah Baqarah 286] Tīsri Class K Student Se (B.A.) Ke Exam Ka Mūtā’laba (demand) Karna Jaiz Hai? Yaqīnoń Na’hiń. Iqtidār Meń Āna Al-lāh Ki Madad Se Hi Mūmkin Hai- Ai’sa Amīr Mūntakhab
ki’yā Jāye Jo Apne Mā-taiht Logoń Ko Shariyyat Par Chale. Aūr Ye Kām Vahid Jamaat-ul-Muslimeen Kar Rahi Hai. KYA JAB MAKKAH Me RASOOL ﷺKE BAIT HU’E TO ĀP TĀQATVAR THE? Hargiz Na’hiń. Yeh Ummat 73 Hison main Taqseem Hogee-72 Jahanam main Jayainge Aur Aik Jannat Main Aur Voh AL-JAMĀ’AT Ho’gī [Abu Daud Saheeh] FAISLA: Agar dono Jamataiń Haq Haiń To Phir Is Hadīs Ka Inkar Lāzim Hai. Lihāza Ya To Āp Jan’nati Haiń Ya Ham? Hamārā kām HAQ Pohnchāna Hai Gavah Hojayeiń Ke HAM To MŪSLIM Hai. Dono Jamā’toń Meń Farq Vazeh Hai- Aik Jamā’at Ka Sūboot Qur’an o Hadīs Meń Dūsrī Ka KOĪ SŪBOOT NA’HIŃ. Aik Ka Dīn Islām Dūsri Ka MASLAK. Aik K Nazdīk Tark-e-Sūnnat Gūnāh Dūsri K Nazdīk Sūnnat Nafil Sab Yaksań. Aik K Nazdīk Amīr Aūr Ūs’ki Bait LAZIM Dūsrī K Pās Na Amīr Na Bait. Aik Hai Jamaat-ul-Muslimeen Jis’ka inkar KŪFR Aūr Doosra Hai FIRQA Aih’l-e Hadīs Jis’ka INKAR KUFR NA’HIŃ. Āj TAHQĪQ Karke Jawab De Aūr AMAL Karein KYOOŃ KE KAL Roz-e-Mahshar I’sī Javab Par JAN’NAT YA JAHAN’NAM Ka Faisla Hoga. Anqarīb LOG KHĀHISH KAREINGE Kāsh Ke Voh MŪSLIM Hote. LIHĀZA ĀJ HI MŪSLIM BANJAYE: AMBIA Ke Mūslimīn Hone Ka Sūboot. QUR’ĀN KA MŪTĀLA VAZEH KARTA HAI KE AL-LĀH NE HAME AIK DĪNI NĀM DIYA AŪR VOH NĀM MŪSLIM HAI. Al-lāh Ta’ālā Ne Nūzool-e-Qur’ān Se Pehle Aūr is Qur’ān Meń Bhi Tūmhārā Nām MŪSLIM Rakha Hai (SŪRAH HAJJ 78). HAZRAT NOOH AS :-Ai Rasool ﷺIn’ko NOOH Ka Hāl Sūnāyein Jab Un’ho Ne Apni Qoum Se Kahā, Ai Meri Qoum Agar Mera Mansab Aūr AL-LĀH Ki Āyat Ke Zariye Meri Nasihat Tum Par Giran Gūzarti Hai To Meń Al-lāh Par Tavakkaul Karta Hooń Tūm Apne Tamām Shūrka Ko Jamā Karo Phir Jo Kūch Karna Chaho Sab Mil Kar Is’ka Faisla Kero Tūmhārī Tadbīr Ka koī Gosha Tum Se Makhfi Na Reh Jā’e Phir Mere Khilāf Jo Chaho Kar Gūzro Aūr Mūjhe Mūhlat Na Do. Phir Agar Tum Mooń Moro To Meń Tum Se Koī Ūjrat Na’hiń Māngta Meri Ūjrat Al-lāh Ke Zimme Hai. Mūjhe To Ye Hūkm Diya Gaya Hai Ke Meń MŪSLIMĪN Meń Se Hooń (SŪRAH YOUNUS 71-72). IBRAHIM Al:: IBRAHIM na Yahoodi The Na Essaī The Balke Voh To Aik Allāh Ke Mānne Vāle MŪSLIM The. Voh Mūshrikīn Meń Se Bhi Na’hiń The (ĀLE IMRĀN 67). Ya’ni Voh Sirf Mūslim The Yahood O Nasara Ke Firqo Se Uka Koī Vāsta Na Tha Firqa Bandi Shirk Hai Lihāza VOH MŪSHRIKĪN MEŃ SE BHI NA’HIŃ THE. YAQOOB KI KI VASIAT: Tūmhaiń Maut Na Ā’ai Magar Is Hāl Meń Ke Tūm MŪSLIM Hoń (SURAH BAQARAH 132). LOT : Hamaiń is Basti main koi MUSLIM Gher Na Mila Sivaye Aik Ghar Ke. (SURAH ZAARIYAAT:36).
ISMAIL aur IBRAHIM Alaihimas Salaam Ki DŪĀ: Aye Hamare RAB Hame Apna MŪSLIM Banaye Rekh Aūr Hamari Aūlād Meń Se Bhi Aik Jamā’at Ko Apna MŪSLIM Bana (SURAH BAQARAH:128). YAQOOB KI VAFĀT KE VAQT ŪNKE BETE: Ham Sab Sirf Al-lāh Ke MŪSLIM Haiń. (SURAH BAQARAH: 133). PARHTE JAYE.. MŪSLIM NĀM KE QADĪM SŪNEHRI TARĪKH ĀPKE SĀMNE HAI. YOUSUF : Aye RAB Mūjhe Is Hālat Meń Maut De Ke Meń MŪSLIM Hoon Aūr Mūjhe Salehīn Ka Sāth Atā Farma. (SURAH YOUSUF:101). MOOSA : Moosa Ne Kaha Ai Meri Qoum Agar Tum Al-lāh Par Imān Le Ā’e Ho Aūr MŪSLIM Ban Gaye Hoto Al-lāh Hi Par Bharosa Kero. SURAH YOUNUS:84). FIRAUN KE JĀDŪGAR IMĀN LANE KE BĀD: Aye Hamare RAB Hamaiń Sabr Atā Farmā Aūr Hameiń Is Hālat Meń Maut Day Kay Ham MŪSLIM Hon. (SURAH AARAAF:126). SŪLAIMĀN : Mere Sāth Sarkashi Na Karo Aūr MŪSLIM Ban Kar Mere Pāss Ājāo. (SURAH NAML:31). MALAIKA E SABA: Meń SŪLAIMĀN Ke Sāth Al-lāh Rabul Ā’lamīn Ki MŪSLIM Hogaī (SURAH NAML:44). ĪSSA : Jab ESSA Ne Apni Qoum Meń Kūfr Ko Mahsoos (perceived) Kiya To Kaha Kon Al-lāh Ke Rāste Meń Mera Madadgār Hai Havā'rioń Ne Kaha Ham Al-lāh Ke Madadgār Haiń Ham Al-lāh Par Imān Lā’e Āp Gavah Rahaiń Ke Ham MŪSLIM Haiń. (SURAH ĀLAE IMRAN:52). MUHUMMED UR Rasoolullah ﷺ: Keh Dijiye - MŪJHE YE HŪKŪM MILĀ HAI KE MEŃ SAB SE PEHLA MŪSLIM BANŪ. (SURAH ZUMAR:12). ĀP Keh Dijiye Ke Meri Namāz Meri Qur’bāni Meri Zindagi Aūr Meri Maut Al-lāh RabulA’lamīn Ke Li’ye Hai Is’ka Koī Sharīk Na’hiń Mūjhe I’sī’ Bāt Ka Hūkm Diya Gaya Hai Aūr Meń Sab Se Pehla MŪSLIM Hooń. (SURAH ANAAM:162-163). Ham To Sirf Al-lāh Ke MŪSLIM Haiń. (SURAH ĀLE IMRAN:84). JAMAAT-UL-MUSLIMEEN KO ALLĀH KI TARAF SE KHŪSH KHABRI: QAYĀMAT Ke Din Maiń Kahūńnga. Ae Mere Bandoń Āj Tumko Na Koī Khauf Hoga Aūr Na Tūm Gamghīn Hońge Jo Hamāri Āyatoń Par Imān L’ye The Aūr MŪSLIM The. (SURAH ZUKHRUF:68-69). JINNĀT: Ham Meń Se Bāz MŪSLIM Haiń Aūr Bāz Zālim Haiń To Jin Logoń Ne Islām Qabool Kiya Ūnho Ne Bhalaī Ka Irāda Kiya. (SURAH JINN:14). Kia Ham MŪSLIMĪN Ko MŪJRIMĪN Ke Mānińd Karde? (SURAH QALAM:35). FAISLA KIJIYE KYA ĀP MŪSLIM HAI YA MŪJRIM? -AMBIA (AS) Ke Mūslimīn Hone Ka SūbootQUR’ĀN KA MŪTĀLA VAZEH KARTA HAI KE AL-LĀH NE HAME AIK DĪNĪ NĀM DIYA AŪR VOH NĀM MŪSLIM HAI.
Al-lāh Ta’ālā Ne Nūzool-e-Qur’ān Se Pehle Āūr Is Qur’ān Meń Bhi Tūmhāra Nām MŪSLIM Rakha Hai (SURAH HAJJ : 78). HAZRAT NOOH : (Ai Rasool ) ﷺIn’ko NOOH Ka Hāl Sūnāye Jab Ūnho Ne Apni Qoum Se Kaha -Ai Meri Qoum Agar Mera Mansab Aūr AL-LĀH Ki Āyat Ke Zarye Meri Nasihat Tūm Par Giran Gūzarti Hai To Main Al-lāh Par Tavakkal Kata Hooń Tūm Apne Tamām Shūrka Ko Jamā Karo Phir Jo Kūch Karna Chaho Sab Mil Kar Is’ka Faisla Karo Tūmhāri Tadbīr Ka Koī Gosha Tum Se Makhfi Na Reh Jāye Phir Mere Khilāf (Jo Chaho) Kar Gūzro Aūr Mūjhe Mūh’lat Na Do. Phir Agar Tum Mooń Moro To Maiń Tum Se koī Ūjrat Na’hiń Māngta Meri Ūjrat Al-lāh Ke Zimme Hai. Mūjhe To Ye Hukm Diya Gaya Hai Ke Maiń MŪSLIMĪN maiń Se Hooń. (SURAH YOUNUS:71-72). IBRAHIM : IBRAHIM Na Yahoodi The Na Essai The Balke Voh To Ek Al-lāh Ke Mānne Vāle MŪSLIM The. Voh Mūshrikīn Meń Se Bhi Na’hiń The (ĀAL-E-IMRAN: 67). Ya’ni Voh Sirf Mūslim The Yahood o Nasara Ke Firqo Se Unka Koī Vāsta Na Tha Firqa Bandi Shirk Hai Lihāza VOH MŪSHRIKĪN MEŃ SE BHI NA’HIŃ THE. YAQOOB KI VASIAT: Tūmhaiń Maut Na Ā’ye Magar Is Hāl Meń Ke Tūm MŪSLIM Ho (SURAH BAQARAH:132). LŪT : Hameiń Is Basti Meń Koī MŪSLIM Ghar Na Mila Sivaye Ek Ghar Ke (SURAHZĀRIYĀT:36). ISMAIL Aur IBRAHIM Ki DUA: Ai Hamaray RAB Hame Apna MŪSLIM Banaye Rakh Aur Hamari Aūlād Meń Se Bhi Ek Jamā’at Ko Apna MŪSLIM Bana (SURAH BAQARAH:128). YAQOOB KI VAFĀT KE VAQT ŪNKE BETE: Ham Sab Sirf Al-lāh Ke MŪSLIM Haiń. (SURAH BAQARAH:133) PARHTE JAYE.. MŪSLIM NĀM KE QADĪM SŪNEHRI TARĪKH ĀPKE SAMNE HAI. YOUSUF A : Ai RAB Mūjhe Is Hālat Meń Maut De Ke Maiń MŪSLIM Hooń Aūr Mūjhe Sāleahīn Ka Sāth Atā Farma (SURAH YOUSUF:101). MOOSA : Moosa Ne Kaha Ai Meri Qoum Agar Tum Al-lāh Par Imān Le Āye Ho Aūr MŪSLIM Ban Gae Hoto Al-lāh Hi Par Bharosa Karo - (SURAHYOUNUS:84). FIRAUN KE JĀDŪGAR IMĀN LANE KE BĀD: Ai Hamāre RAB Hamaiń Sabr Atā Farma Aūr Hamaiń Is Hālat Meń Maut De Ke Ham MŪSLIM Hoń (SURAH AARAAF:126).
SŪLAIMĀN : Mere Sāth Sarkashi Na Karo Aūr MŪSLIM Ban Kar Mere Pāss Ājao (SURAH NAML:31). MALKA E SABA: Main SŪLAIMĀN Ke Sāth Al-lāh Rabūl Ālamīn Ki MŪSLIM Hogai (SURAH NAML:44). ESSA : Jab ESSA Ne Apni Qoum Meń Kūfr Ko Mehsoos Kiya To Kaha Koń Allāh Ke Rāste meń Mera Madadgār Hai Hawarioń Ne Kaha Ham Al-lāh Ke Madadgār Haiń Ham Al-lāh Par Imān Lāe Āp Gavāh Rahaiń k Ham MŪSLIM Hai (SURAH ALAE IMRAN:52). MŪHAMMED UR Rasoolullah ﷺ: Keh Dijye - MŪJHE YEH HŪKM MILA HAI KE MEŃ SAB SE PEHLA MŪSLIM BANŪ. (SURAH ZUMAR:12). ĀP Keh Dijiye Ke Meri Namaz Meri Qur’bāni Meri Zindagi Aūr Meri Maut Al-lāh RabulĀlamīn Ke Liye Hai Iska Koī Sharīk Na’hiń Mūjhe Isī Bāt Ka Hūkm Diya Gaya Hai Aūr Maiń Sab Se Pehla MŪSLIM Hoon. (SURAH ANAAM:162-163). Ham To Sirf Al-lāh Ke MŪSLIM Haiń (SURAH AALE IMRAN:84). JAMAAT UL MUSLIMEEN KO AL-LĀH KI TARAF SE KHŪSH KHABRI: (QAYĀMAT Ke Din Maiń Kahoonga) Ai Mere Bandoń Āj Tumko Na Ko’ī Khauf Hoga Aūr Na Tum Ghamgīn Hoge Jo Hamāri Āyatoń Par Imān La’ey The Aūr MŪSLIM The (SURAH ZUKHRUF:68-69) JINNĀT: Ham Meń Se Bāz MŪSLIM Haiń Aūr Bāz Zālim Haiń To Jin Logoń Ne Islam Qūbool Kiya Ūnho Ne Bhalai Ka Irada Kiya (SURAH JINN:14). Kya Ham MŪSLIMĪN Ko MŪJRIMĪN Ke Mānind Kar De? (SURAH QALAM:35). FAISLA KIJYE KIA ĀP MŪSLIM HAI YA MŪJRIM? GHAR KI GAVAHI - Ah’l-e Hadīs Ālim Abdul Gaffar Khairi sāhab kehte haiń: -Janab Khūvaja Ata ur Rehman Sb Ameer jamaat Ah’l-e Hadīs / Amīr Jamiat Ah’l-e Hadīs/ Amīr Jamā’at Gūrba Ah’l-e Hadīs ... Āpki Tīno IMARATAIN Tīnoń JAMĀTAIŇ Gair sharai Gair Islami Iftirāq aūr Intishār ki Būnyadoń per Khari haiMūsalmano ki Jamā’at ka agr ko’ī Nām hosakta hai to voh Jamaat-Ul-Muslimeen hai Tīno Jamātoń ko KHATAM ker dia jāye. Aik Jamā’at ya’ni Jamaat-ul-Muslimeen qaim ki jae. BAIT ka silsila shūru kia jāye. Agr āp is khakay aūr Mansoobay ko apni maujuda Hālat yā kisi aūr sochay samajhay Mansūbay k Mūqablay maiń Galat ya kamter Samajtay hain to phir Aiye Maut ki taman’na kijiye Maiń bhi Boria Bister lay ker Āta hoń Āp Aiye. Aik Khūlay Maidān maiń Tā Maut bethai. SHARAIT - Khūla Maidān hoga. MAKĀN aūr CHAT ko’ī na’hiń hogi VŪZŪ yā GŪSAL key liye pāni hoga. Khāna Pīna Būnd Hoga. Kalām kisi sey na’hiń karna hoga. Allah Tāla ki Ibadat yān Nīnd kerna hogi. Chāron ko vahīn Marna hoga. Ager 3 Marjayaiń to 4th vahan sey ūthnay ka Haqdār na hoga. Jabtak Jamaat-Ul-
Muslimeen aūr is per Amīr Mūqarar na hojayay. Yān to Maidān maiń Āker Maut ki Taman’na kijiye aūr Apnay Āpko Sachchā Sābit kijiye ya is khakay aūr Mansūbay ko Qabool Kijiye. FATMANNAVŪL MAUTA IN KUNTUM SĀDIQUEEN- (AGAR SACHCHEY HOTO MAUT KI TAMMANA KERO) (Ishtihaar 23 Ramazan 1387 Lahore). DEKHYE ĀPKE APNE ĀLIM KHŪD JAMAAT-UL-MUSLIMEEN KO ZINDA KARNE AŪR BAIT E AMEER KEY SILSILAY KO SHŪRŪ KARNE KE DA’VAT DE RAHE HAI... MASOOD AHMAD SĀHAB NE YE SILSILA SHŪRŪ KARDIA TO APKO BURA LAG GAYA? KYU IS LIYE K AAP IS SAADAT SE MAHROOM HOGAE? Mazīd dekhye: NASIRUDDIN ALBANI SAHAB (JINKO FIRQA AHLE HADEES OWN KARTA HAI) likhte hai: AL-JAMAAT say muraad Jamaat ul Muslimeen hai Jamaat kay Aam logon say bhi juray reho (Sharah MISHKAAT 1/65). Khalid Gher Jākhi Sahab (Ahl e Hadīs) likhte Hai: - Abu Moosa Ashri RZ Ne Kufa Puhnch Ker Jumay K Roz Khutba Daytay Huway Jamaatul Muslimeen Say Iftiraaq Durr Kernay Aur Ameer Ul Momineen Ki Itaat Kernay Ki Talqeen Ki- [Seerat Syed Shuhda Hazrat Usman 82). Syed Abul Hasan Nadwi likhte hai: - Woh Shakhs Jamaatul Muslimeen Mai Say Nahi Jo Kisi Asbiat Ki Dawat Day - Woh Shakhs Jamaatul Muslimeen Main Say Nahi Jo Kisi Asbiat Ki Bunyad Per Jung KarayWoh Shakhs Jamaatul Muslimeen Main Say Nahi Hai jiski Maut Asbiat Per Ho.[Lisani Wa Tehzeebi Jahiliat Ka Almia Aur Us Say Sabaq P 11). Saheefa Ahle Hadees ke GAWAHI: -Aaj Musalman Dunya Main Jis Maqam Per Hain Woh Aisay Hi Dimagi Afkar Per Deen Ki Bunyad Rekhnay Walon Ki Badolat Hi tou Hain Jinho Nay Aam Feham Hidayat unaas -Quran O Hadees- Ki Jaga Zamanay Say Mutasir Apnay Afkar Ko Islam Kay Naam Per Manwa Ker Firqa Bandion Ki Bunyad Qayam Ki. Saheefa Ahle Hadees ke ibarat ka baqya hissa... -Aur Jamaatul Muslimeen Ki wehdat Ko Firqon Ki Kasrat Main Tabdeel Kerkay Muslim Quwwat Ko Muntashir Kerdia.-Shumaara 15 Rabiulawal 1377 P7-. -Kyu Kay Ameer e Jamaatul Muslimeen Unko Quran O Hadees Per Lay Ker Chalayga.-Saheefa e Ahle Hadees Karachi 16 Jamadi us Sani 1389 P19-. Quran e Majīd Ahadīs Tarīkh Aimma o Muhaqqiqīn yaha tak k FIRQA E AHLE HADEES K APNE ULAMA AUR JARAAID se bhi SIRF JAMAAT UL MUSLIMEEN ka suboot mil raha hai na k kisi FIRQA AHLE HADEES KA... Kia Itni Shahadato Kay Baad Bhi Aap Mehaz Feham aur Gumaan Ki Pairwi karaingay??
-JAMHOORIATJAMAAT-UL-MUSLIMEEN is nizam e jamhooriat ko gair Islami balkay kūfr o shirk samajhti hai jab k Ahl-e Hadīs ke zailee firqo meń se kūch aise hai jo Jamhooriat ke LĀT O MANĀT ko is qadr taqviat dete haiń k ELECTIONS meń bāqaida apne nūmainday kharay karte hain. Yahań tak ke JAMĀ’AT ŪD DAVAH jo is se qabl Jamhooriat ko Magribi Gair Islami nizam qarār deker is se ijtinab karte the unke Peshawar spokesman ne Angraizi akhbār DAWN ENGLISH ko 29.4.13 ke din interview meń bataya ke - AGARCHAY JAMHOORIAT AIK KAMIL NIZAM NAHIN LEKIN YE ELECTION BOHT AHAM HAI AŪR HŪM APNE KARKŪNĀN KO KEHTE HAIN KE VOH VOTE DĀL KAR APNA HAQ E RAEY DAHĪ ISTIMĀL KARAY. ALHAMDULILLAH JAMAAT-UL-MUSLIMEEN aise POLICY Ū TURN se bezār hai. KYA ĀP AISE DOHRAY MAYAR RAKHNE VALON KO ISLAM KA ALAM BARDĀR SAMAJHTE HAI? Ye to āj ELECTION DAY ke mūnasibat se kuch FIRQA E AHL-E HADĪS ke haqīqat hai. Ab is SMS series ka ikhtitām par hamari gūzārish hai ke JAMAAT-UL-MUSLIMEEN HAQ AŪR FIRQA E AHL-E HADĪS MEŇ FARQ apkay samnay hai. Hamari koshish hai ke āp tak KHALIS ISLAM AŪR ŪMMAT-E-VAHIDA KA AMALI TASAVVŪR PAISH KIYA JĀ’EY. Āgay apka apna faisla hai. Akhir meń chand savalāt. SAVĀLAT: 1. Kya Nabi ﷺJAMAAT-UL-MUSLIMEEN ke IMĀM the ya FIRQA AHL-E HADĪS ke? 2. ISLAM jab mūkammal hūwa kya FIRQA AHL-E HADĪS ka vūjood ūs vaqt tha? 3. Agar nahiń tha to phir is nām se FIRQA banalena kya ISLAM meń izafa hūva ya nahiń? 4. Kya āp Firqavarana Mūrakkab nām AHL-E HADĪS ka sūboot QŪRAN O HADĪS se de sakte haiń? 5. Agar āp ye Sūboot hamay na desakay to kal ALLAH ke darbār meń de sakenge? 6. Kia voh shakhs jo kahay ke main AHL-E HADĪS nahiń hooń balkay MŪSLIM hooń kya āp ūko GŪMRAH samajhte hai? 7. Agar aisa shakhs Haq par hai to phir Haq Aik hi ho sakta hai lihāza MŪSLIM hona hi Haq hūva na ke AHL-E HADĪS.
8. Agar ko’ī ye kahay ke main MŪSLIM nahiń kia voh Haq par hosakta hai? 9. Jab EISA Alaih Salaam tashrīf layeinge to voh MŪSLIM hońge ya AHL-E HADEES? 10. Paidāishi bachcha MŪSLIM hota hai ya AHL-E HADĪS?
JAWAB DIJYE ISHHADU BI ANNA MUSLIMOON Series End - Regards khurram shaban - shahid Ali sahab jamaat ul muslimeen