NOTHING BUT EVERYTHING
Part -2 of half love story
This book is a part of series half love story. All the characters involved in this story is imaginary and not deals with any of people of realistic life... This book is copyright to its respective owner. Copying of this book in any way is punishable under law....
Nothing but Everything Nothing but Everything
Kisi ne sach hi kha hai pyaar chera aur umar nhi dekhta. Pyaar kiya nhi jata hai, ye bas ho jata hai. Pyaar wo feeling hoti hai jishme hum khud ko bhulane lag jate hai kisi aur ke liye. Aisa hi kuch mere saath bhi hua…………………...........
mai zaldi se apne school se aaya, sahi se khaya bhi nhi aur dosto ke saath khlene nikal pda. mai apne team ka opener tha, aur sayad sbse aacha player bhi. Mere rehte meri team ne 10 matches me se 8 jeet chuki thi. Sayad mai apne mohalle ka sbse aacha batsman tha, jaise hi ghar pahuchta tha to sare puchte kitne run bnaye aaj to
sayad hi kbhi 30 se kam bola hounga. mai middle class family se belong krta tha, middle kya bolu mera ghar pure mohalle ke sbse chhote gharo me gini jati thi. Bas kehne ko middle class keh sakte hai. Mere pitaji ka ek shop hai mobiles ka jaha wo pure din busy to rehte the par income kuch zyda na ho pati. aur mummy bas house wife. mai apne parents ka ek lauta santaan hu, to wo mujhpe jaan dete hai….
Baat meri 9th class ki hai, mai st. josephs school, kolkata me padhta tha aur kolkata hi mera birth place hai. Mera mann to padhai me kam hi lagta tha par papa ki daar ke karan padh leta tha. Mere nhi padhne ke wabjood mai 1st rank lata tha pure class me. Mere paas medals ki bharmaar lagi padi thi, kbhi football, kbhi cricket, kbhi racing , aur ha padhai me to milna hi tha…….. Mujhe sab kehte rehte beta tm bahut aage jaoge, to mujhe bhi lagta sach hi hai, mai bahut aage jaunga aur log bhi kahenge abhi khule nhi hai aage jao…. mera mann computer aur baki technology me lagti thi, aur waise bhi jo chize kisi ke paas na ho to ushse pyaar ho hi jati hai.. mere ghar pe
computer na tha is liye mai apni puri free time dost ke computer ke samne bitata tha aur saam to khelene me. Mujhe sahi se computer nhi aati thi to mai chalata nhi tha. Mera dost chalata aur mai dekhta rehta. Wo mostly games khelte aur videos dekhte to mai bhi bas dekhta hi rehta.
Hamaure padosh me dono tauraf bahut rich peoples rehte the, jinshe hamauri kuch zyda baat nhi hoti thi. Unki bade bade ghar the, aur unke ghar ke samne hamesha koi na koi lambi luxuary car lagi hi rehti thi. Waise bhi car ameero ki nishani hoti hai aur ameer log kuch zyda pasand bhi nhi aate the……
Baat December ki hai. Sunday ka din tha, aur subha ka time tha. mai zaldi se so kar uth gya tha aur bahar sarak pe jakr khara hokr aane jane wale vehicles ko dekhne lga… aasman puri tarah kohre ki safeed chhadar se dhaki padi thi. Kohre ke karan kuch zyda sahi se dikh bhi na rha tha, sab safeed-safeed dikhne me aa rhi thi. Yaha tak us subha moon bhi aisa lag rha tha ki jaise kisi ne ushe diwal pe taang rakha hai. Wo aisa lag rha tha maano kohre ke saamne jhuk
chukka hai puri trah se, ushse apni roashni aur takat doni kho di thi‌. Us subha maine dharti pe real pari ko dekha tha. Wo red colour ki jacket pehne kohre ko chirte huye aa rahai thi. Mai toh statue ki tarah khada usse dekhta raha jab tak woh guzar na gayi. Uska chehra meri aankhon se hat nahi paa raha tha, uske baal kohre ke kaaran thore thore safed dikh rahe the. Woh 10 second meri zindagi ki sabse haseen nazaaron me se ek tha, woh pal mai aaj bhi nahi bhool paya aur na kabhi bhool paaunga.
Us din maine poore waqt use dobaara dekhne ki koshish ki. Shaam ko bhi mai khelne nahi gaya. Kuch karne ka man bhi nahi kar raha tha, bas usko dobaara dekhna chaah raha tha. Shaayad mai pehli baar bhagwan se itni shiddat se kuch maang raha tha, sirf uski ek jhalak
paane ke liye. Lekin bhagwan ne bhi kamaal ka scene dikhaya. Shaam dhal chuki thi aur kohra chhane laga tha. Thand ki wajah se sedak pe hulchul kaafi kam ho chuki thi. mai apne kamre me padhai karne ki tayari kar hi raha tha ki achanak kisi luxury car ke exhaust ki awwz aayi, aur mai window ke paas dekhne chala gaya. Bahar maine dekha ki Mukesh uncle ke ghar ke saamne Ek Rolls Royce khadi thi aur woh pari Mukesh uncle ke saath bahar aa rahi thi. Unke saath koi aur aadmi bhi tha jo shayad uske papa the. Use dekhte hi mere poore din ki bechaini gayab ho chuki thi. Shayaad mai uska deewaana ho chukka tha. Par jaise hi wo car me baithi, meri sari deewangi gham me badal gayi. Bahut ajeeb lag rha tha. Aisa lag rha tha ki kuch chhoot raha hai zindagi mai. Mujhe sach me rona aarha tha, kisi ke intazaar ka ye anzaam.
Din bitate gye aur hamari final exam ho chuki thi. mai wapas se 1st aaya tha mujhe to 1st karne ki khushi bhi nhi hoti thi kyu ki itni baar 1st jo kar chuka tha. mai jis bhi ladki ko propose kar deta to sayad woh mana nhi karti par pta nhi kyu dil us pari par aa gya tha, aur koi pasand hi nhi aati thi.
Baat july ki hai mai 10th me aa chukka tha. Meri zindagi me phir se kuch aacha hua. Baat 10 july ki hai, us din bahut zyda barish ho rahi thi. Aasma puri badal se dhaki padi aur bijli chamak rhi thi. Sare baache road par naha rahe the, aur mai school se aate waqt bheeg chukka tha to soacha naha hi lu ab. mai bahar jakr gate ke samne khada ho gya. Maine dekha phir se whi Rolls Royce khadi thi. Jishme woh pari wapas gayi thi. Wohi car hone ke karan mai pechan gya. Andar se woh pari nikli, mai ushe dekhte rehna chahta tha par meri dress ajeeb si thi, isliye mai aandar chala
aaya. Sayad woh is duniya ki sbse sundar ladki thi. Ushe dekh kar meri khushi ka thikana na rha. Ya yun keh lo ki mai pagal ho chukka tha, sayad mere ek tarfa pyaar me……
Agli din bhi ushi ke khayalo me khoya hua tha ki aachanak mere ghar ki door bell baji. Jaise hi maine darwaaja khola to mai apni aakho pe wishwass nhi kar pa rha tha. Wahi pari meri aakho ke saamne khadi thi. mai ushe dekh kar hairaan reh gya. mai ushe dekhte-dekhte ushme kho chukka tha. Uski pyaari aawaz sunke mai khayalo ki duniya se wapas aaya. Usne bola ki hamare ghar par puja rakhi gayi hai, tm sb aana….. Itna kehkr wo chali gyi. mai darwaaze pe khada ushe jaate dekhta raha. Wo pal meri zindagi ke sbse haseen palo me ek hai. mai us lamhe ko kbhi bhul nhi paunga.
mai puja me jane ko lekr bahut zyda excited tha. Mummy ke taiyar hone ke baad hum log unke ghar chale gaye. 8 saalo me sayad mai 3rd baar unke ghar ja rha tha, unka ghar bahut sundar aur bada bhi.
Andar se puja hone ki aawaze aa rhi thi, mai aandar gaya, ek bda hall tha, royal type ke carpet beeche hue the. Waha pari bhi thi. Usne handi cam ko laptop par connect ki hui thi. Meri mummy aunty ke saath andar chali gayi aur mai wahi sofa par baith gaya. woh mere saamne baith sayad videos copy kar rahi thi. Jo mujhe baad me pta chala. Waha par hum dono ke alawe hamare age ke aur koi nhi the, toh ushe bhi nhi hi lag rha hoga. Aachank se mukesh uncle ne arjun (mera naam) pukaara. Pari bhi dekhne lagi. Uncle ne bola –‘suna hai tum apne class me 1st karte ho. aur wo meri badai karne lage to sayad wo bhi ye sunkar impress ho gyi. Wo mujhe hi dekh rahi thi. Uncle ke jane ke baad woh meri tarf aane lag gyi. aur mere samne aa kar ruk gyi, aur mujhse boli “kya baat hai 1st karte ho” sayad woh impress ho chuki thi puri trah se mujhse. woh mujhse baat kar rahi thi par mai bahut zyda nervous tha, fluently bol bhi nhi pa rha tha bas “ha” ya “na” bol rha tha. Heart beat itni ho gyi hogi ki mujhe bhi pta nhi, ya bolu ki heart fail hi hone wali thi… Wo mere bagal me baith gyi, mai
thoda side ho gya tha. Wo dekh kar boli sarmaa rahe ho kya? To mai bas ha.. na… ha… krta reh reh gya. woh hasne lag gyi. Phir boli tum kis class me ho? Maine kha “Abhi to 10th me hu.” woh boli mai 11th me hu. woh phir mujhse puchi “kis chizo me interest hai tmhe?” Maine kha interest to mujhe computer me hai par mujhe sahi se chalane nahi aati hai.. Phir woh thoda soachne ke baad boli dekho mai 8 days ke liye yaha par hu aur mai tumhe laptop chalana sikhaungi… aur boli “tm roz saam ko class ke baad mere ghar aa jana.” Maine thik hai keh diya…..
Raat bhar mai so bhi nhi paya, kal ke bare me soachta rha. Waise bhi neend kaise aati jab hakiqat sapno se zyda khoobsurat ho chukka tha. Agli din mai saam ko puri tarah se ready hokar chala gya uske ghar ke samne, par phir soacha andar kaise jau mai,
mai whi khada hi reh gya. mai bas uske ghar ke aage peeche karne lag gya, is khayal me ki woh kab bahar aaegi… Saam beet gyi par wo nhi aayi, mai bahut dukhi ho chukka tha, par kya karta…. Dushre din bhi aisa hi kuch hua, phir se mai uske gate ke samne khada rha aur woh nhi aayi…… Mujhe ab lagne lga tha ki woh sayad bahar nhi aaegi.
3rd day wo mere ghar ke samne hi khadi thi. mai to ushe dekh kar hairaan reh gya. mai jaise hi bahar nikla to ushne mera haath pakad liya. Wo bahut zyda khoobsurat lag rahi thi hamesha ki tarah. mai uski sirf aakhe hi dekh rha tha. Mera haath pakde hue usne pucha tum aaye nhi? Maine kha “ mai gate ke bahar aapka intazaar kar rha tha, aap bahar hi nhi nikli.”
Wo boli “pagal! mai tmhara 2 din se intazaar kar rahi thi, tm andar aa jate na, mai baithe-baithe akele booar ho gyi in 2 din me.” Maine kha “SORRY” woh boli kyu? To maine kha “mere karan aap booar hue is liye.” woh hasne lag gyi aur boli “ itni chinta thi to aaye kyu nhi tum….”
mai roz uske ghar jata aur woh mujhe computer sikhati, hum dono bahut maje karte the, kabhi mai apni kahanni sonata to kbhi woh apni kahanni sunati, sayad hum dono me pyaar bahut zyda badh chuki thi… mai ushse haad se bhi zyda pyaar karne lag gya tha. woh meri zindagi ban chuki thi. Uske bina ab mai jeena nahi caah rha tha. Dekhte hi dekhte 5 din beet gye. mai last day ushse milne gya, woh princess ki dress me thi. Bahut
zyda khoobsurat lag rahi thi. Uska naam sakshi tha. Sayad is duniya ka sbse pyaara naam. woh mujhe batane lagi “ mere grandfather doosre place par shift ho rahe hai to mai tumse kabhi nhi mil paungi.” mai to statue ban kr khada reh gya.” Mera chera rone ki trah ho gya tha.” woh mujhe dekh kar boli tum ro rahe ho kya. Soacha ki bol du par kaise bolta…. Maine soacha ki bta du ushe ki mai kitna pyaar krta hu ushse, par nahi bol sakta tha. Wo khadi ho gyi ar mera haath pakad li ar boli tum bahut zyda aache ho, aise hi rehna hamesha. Mujhe ushse sach me bahut zyda pyaar ho gya tha , mai ushe jane nhi dena cahta tha. Meri zindagi uske bina adhuri lagne lag gyi thi. Sayad wo asli pari thi jo zindagi badal kar jane ki baat kar rahi thi. Mujhe apni zindagi me itna maja kabhi nhi aaya tha jitna in 5 dino me aaya tha.
Usne mujhe apna phone number de diya. Uske uncle ushe bulane lag gye to boli mai ja rahi hu. Wo jane lagi to mai uska haath pakad liya to woh meri taraf dekhne lagi aur mai uske taraf. Phir woh mere paas aayi aur mujhe kiss kar li. Main bhi apne aap ko rok nhi paya. Uske baad wo boli sorry ar jane lagi, aur jate jate boli yaha jo hua ushe please bhul jana‌..
woh to keh kar chali gyi magar ab tak mai uski yaad ko bhula nhi paya hu. ab bhi uska number mere paas hai, par ab tak maine ushe call nhi kiya, sayad phir kabhi krunga. Mujhe uska pyaar mil kar bhi na mil ska. Par sahi time aane pe mai ushe call jaroor
krunga.... Wo mohabbat bhi teri thi Wo nafrat bhi teri thi Wo apnapan aur thukrane ki ada bhi teri thi Hum apni wafa ka Insaaf maangte kishse Wo sahar bhi teri thi aur adalat bhi teri thi……………………. End of part 2
Written and edited by--1) shashank shekhar 2) saurav thakur A special thanks to Aman suman Anshuman aman
Also available in full english version
Half love story 1) unsaid feelings 2) Nothing but Everything 3) Need of spring