ONE DREAM FOREVER Part-1 This story is a part of series one dream forever. All the characters shown in the story are imaginary and not deals with people of realistic life. This book is copyright to its respective owner. Copying of book in any manner is punishable under law......
One dream forever ∙ Kehte hai zindagi me jo bhi dil se maango to sari kayanaat ushe tumse milane ki Koshish me lag jati hai. Kuch log kabhi kbhi to chize dil se cahate hai par ushe pura hone tak ka intazaar nhi kar pate hai, wo ye jane bina ki wo manzil ke kitne karib the wo apne sapne ko chor dete hai. Mere khyal se to jab sapna saacha hota hai to raato ki neend bhi kahi chali jati hai. Par zindagi ke sare sapne sach nhi ho pate hai jaise mera. Par mujhe ushse zyda mila.......
∙
Kal hi maine apni 21st birthday celebrate kiya. Ab mai 21 ka ho chuka hu. Par sachai ye hai ki mai kal jaha tha ab bhi wahi hu. Na mai badla, na waqt badli bas badla to umar...
∙ Sabka koi na koi sapna hota hai, kyu ki agar sapna na ho to wo zindagi, zindagi nhi ho sakti...
∙ Mera sapna singer banena ka tha. Meri aawas bahut zyda aachi thi to school me meri tarif hamesha hoti rehti thi. Mai ek middle class se belong karta tha . mere parents ka mai chhota beta tha. Mujhse bade ek mere bhai the. Wo bahut zyda intelligent the,jab bhi school me kabhi bhi kisi competition ki baat aati to sabse pehle unka hi naam aata tha. Aur ek mai tha padhai me mann nhi lagta, mere to exam me pass hona bhi kbhi
kbhi muskil ho jata tha. Mai pure din phone pe music sunta tha aur bas gungunata rehta.....
∙
Mere dad mujhse hamesha naraj hi rehte, mujhe hamesha daatate rehte ya bade bhaiya ki baat bolte rehte. India me middle-class families ke baacho ki sabse badi problem hoti hai ki unke paas bas ek hi option hota hai wo hai padhai. Padhai ke alawa unke paas koi option hi nhi hota. Baacho me talent kitni bhi aachi kyu na ho magar ushe apne andar hi rakhni padti hai kisi ke samne present nhi kar sakte. Mere singing par log
jhoom uthate the magar mere parents ko mujhme kuch dikhta hi nhi tha, dikhta tha to bas bade bhai ki padhai ki talent...
∙
Mai apni life singing ko banana cahata tha par na parents ka support mila na relatives ka na hi kisi aur ka. Mai apni school ki har ek chhoti se bhi chhoti function me participate karta tha ye
soach kar ki abhi nhi to kabhi to aage ka mauka milega. Meri soach thi Mai kisi bade manch par ek na ek din zaroor ja paunga...
∙
mai ranchi ki har ek chhote se chhote manch pe participate karne laga, jaha bhi sun leta singing ki function hai to mai chala hi jata. Is karan se mujhe log pechanane bhi lage the. Ye sab mere liye bahut muskil rehta tha, mere kisi bhi function me mere parents ne mujhe nhi pahuchaya aur na wo aaye. Wo to bas bade bhaiya ke peeche lage rehte. Sach bolu to mujhe is baat
ka bhi bahut bura lagta tha. Kabhi kabhi to khud ro bhi leta aur thodi deer baad chup ho jata... Mere dimag me bas ek hi baat chal rahi thi, " mujhe sabse aache singers me se ek banana hi hai. Chaye jo ho jaye." Mujhe kisi ki jaroorat nhi thi. Par mere kuch dost mere liye jaan bhi dene ko teyar the. Wo mujhe hamesha har tarah se help karte rehte...
∙
Dheere dheere waqt bitate gaye din nikalte rahe, aur mai pahuch gaya 10th me. Mai padhai me bilkul bhi aacha nhi tha par koshish kar raha tha. Dad ne to mera
ghar se nikalna bhi band kar diya tha. Us year bhaiya ka iit me selection ho gya. Dad pure mohalle me mithaiya batwa rahe the aur mai bas chhath par khada hokar dekh raha tha. Mai ye khushi papa ke chehere par apne liye bhi dekhna cahata hai. Dad ek cleark hai aur unka beta iit, ye ek bahut badi baat thi. pure mohalle me tarif ho rahi thi mere bhaiya ki, ye sab dekh kar mai bahut daar gya tha ki aage mera kya hoga.
∙ Maine singing chor di aur padhai karne lag gya ye soach kar ab 11th me karunga singing bas 10th padh
leta hu. Mehanat to kar raha tha mai par asar nhi dikh rahi thi mere padhai ki... Mai hamesha depressed rehta apni marks ko lekar aur relatives bhi sara din kehte rehte bhaiya to kar gye ab tumhari bari hai... Mai aur daar jata.
∙
Dekhte hi dekhte meri exam bhi aa gyi, maine sari
exam de di aur exam ke baad soacha tha guitar sikhunga par result ka daar laga rehta tha hamesha to maine classes join bhi nhi ki. Kuch din baad Result aaye 82% hi the... Mujhe bahut bura lag raha tha. Ab dad bhi mujhse baat nhi karte sahi se. Unhone mera admission karwa diya ranchi ke hi ek school me. Maine singing chor di. Padhai ki load bhi zyda badh gyi thi aur maine soach liya tha mujhe bhi bhaiya ki trah engineering karni hai. Mai bahut padhai karne lag gya. Log mujhe bulane aate singing ke liye to mai kehta maine chor di. Dad ye sab dekh kar ab khush
rehte, mujhse baat karne lag gaye bhaiya ki trah aur mai bhi bahut khush tha....
∙
Sab aacha
tha par mere saath undino kuch bahut ajib ho raha tha, sapne me mai apne aap ko ek stage par pata tha aur 1000 ki
number me log mera gana sunkar haath hilate dikhate the. Ye sab dekh kar meri neend khul jati thi. Meri halat bahut buri hoti ja rahi thi. Singing mere liye nasha bante ja rahi thi. Mai ushse door jitna jata wo mere utni karib aa jati...
∙
Ek din wahi hua jishka mujhe umeed na tha, 12th ki exam aane wale the. Par ushse pehle saraswati puja aayi. Ranchi me har saal ki trah saraswati puja ki awasar par ek function organise hoti hai. To mai har saal participate karta tha par 3 saal se nhi kar raha tha.
Dher sare vip persons aaye hue the. Maine dekha director uncle pareshan hai. Mai unke paas gya aur pucha kya hua to bole wo ki jo aaj ka opening singing karta uska accident ho gya hai ab kon arega wo. Mai 4 saal se wohi kar raha tha. pehle to uncle ne kha beta tum is saal bhi kar do. Unka tension wala face dekh keh diya thik hai.... Is saal ki function badi thi baki saal ke respect me. Maine thori practice ki phir chala gya gane. Mera gana sunkar puri crowd jhum uthi thi sare
once more- once more kar rahe the. Mera gana sunkar waha pe baithe ek aadmi ne mujhe bulaya aur bola delhi aa jao mai tumhare saath ek song record karna cahta hu. Sayad wo kisi music company se the. ∙
Mai ghar aakar soach par pad gya singing ko lekar phir dad aur mom ka face dekha aur soacha mai sahi kar raha hu singing chor ke.... Ab 12th ke exam ka time aa gya. meri exam bahut aachi gayi aur aieee bhi sahi gyi. Kuch dino ke baad result aayi meri aieee me ho chuki thi, mai bahut khush tha. Mujhe nit goa me chemical branch mil gyi. Pura family bahut khush the aur mai double....
∙
Ab mai college
me chala gya waha par mera mann nhi lag rha tha. Ragging se pareshan ho chuka tha. Na koi carrier aacha dikh raha tha. Bas computer walo ka placement sahi tha. Dekhte hi dekhte 1st year beetane wali thi. Year ki last aa gyi thi 1st cultural festival aa gye. Bahar se singers and dancers aaye the. Singing kamal ki kiya
unhone aur dancing to kisi dancer se bhi aacha. Har show ke baad anchor unse puch rahe the ki kitne saalo se singing/dancing kar rahe hai. To wo bolte mai 7 saal ya 9 saal se kar raha hu tab jakar aaj yaha mauka mila hai. Mai to shock reh gya 9 saal tak himmat nhi chora ushne aur maine 1 saal me chor di...... Mai apne sawal me ulajh gya tha. Ghar aane ke baad wo sapna mujhe phir aane lag gyi, 1000 ki bheed aur mai stage pe khada singing kar raha. Baar baar ye sapna aane lagi, har roz aane lagi.
∙ Mai soachne lag gya, mai ek singer hu aur yaha kya kar raha hu. Na yaha se mujhe kuch mila na milega. Mai collehe ke saath singing class join kar liya. Dheere dheere meri singing aachi hone lag gyi. Maine padhai chor di to mere 5 ke 5 subject me back lag gyi aur mujhe nit goa se nikal diya gya. Ab to zindagi aur bhi muskil hoti ja rahi thi. Mai delhi aa gya wha kuch singing competition me participate karne lag gya par har baar 3 se 4 level tak hi pahuch pata. Sapne tut rahe the mere aur mai akela pad raha tha. Mujhe koi badi manch cahiye thi apni talent dikhane ko........ Mai haara nhi abhi ye soachta ki ye to starting hai. Mere sapne ek din zaroor sach hoga..............
∙
By--shashank shekhar
Stay connected for the next part.....