Hayat e goraizaan

Page 1


Hayaat e Goraizaan Maqsood Hasni Abuzar barqi Kutabkhana 2016 Hum'jinsi Insaniat ki khoof'nak Dushman Our Eak Jinsi Khalona

Hum'jinsi Insaniat ki khoof'nak Dushman Aankh say sonnay,


kan say bolnay aur monh say daikhnay ki koshesh ya khaesh yaqinun fitrat kay sath gustakhi ho gi. Gurday dharak nahain saktay, dil say pishaab karnay kay azo ka kaam laina hamaqat aur na'dani say ziyada kuch nahain. Yah na'siraf fitrat kay khalaf zulm, ziyadti aur sazish ho gi balkah in aza ko bhi mout kay ghaat otarna ho ga. Baz log fitrat kay dushmun afaal ko siraf aur siraf chand lamhoon ki lazat aur lutaf ko rawa rakhtay hain. Is lutaf lazzat ya illati majbori ki pusht par un'haad noqsanaat ki ghatri mojood hoti hai. Waqt gozar janay kay baad her qisam ka dawa daru bai'asar bai'maeni aur la'yaeni teharta hai. Aaj kay taraqi pasand aur mafadi ehad main bohat kuch ghalt ho raha hai aur shakas apna hi noqsan kiay ja raha hai to is say barh kar koee hairat ki baat nahain ho sakti. Aaj chahar soo jamhoriat ka charcha aur bool bala


daikhnay sonnay main aa raha hai aur jamhoriat ko her dukh dard aur aazadi ka madawa samjh liya giya hai jabkah is say bhar'kar koee na'maqool aur gher fitri cheez nahain. Eak misal say apnay moaqaf ki wazahat karna chahoon ga: Mudat hoee hai yaar ko mehmaan kiay howay Josh-e-qadah say bazm charaghaan kiay howay Yah shaiar Ustad Ghalib ka hai. Agar sari donyaan issay Mir Sahib ka shaiar keh day to bhi yah shaiar Mir Sahib ka nahain ho sakta. Jamhoriat ka kamal hai kah wo issay Mir Sahib say mansoob kar sakti hai. Jamhoriat das main say 6 kay kahay ko darust qarar daiti. Is main baat ko nahain, ginti ko darust mana aur samjha jata hai. Jamhoriat yah nahain daikhti kah ghalt ko darust qarar dainay ka parinaam kiya ho ga aur anjaam ka bhogtaan kaisay ho sakay ga. Kisi ghalt ka chop kar hona bhi ghalt hai laikin os kaam ka barsar-e-aam aur qanoni ya samaji ya


aazad honay ki haisiat say honay ki noeat qatee mukhtalif hai. Os ghalt kay hawala say ghalt'kar hi motasar nahain hotay balkah oon ki ghalt'kari society ko bhi lay dobti hai. Hum'jinsi ko koee bhi haisiat dainay walay shaed nahain jantay kah is ka shakas aur society par kiya asar ho ga aur yah choot ki haisiat ikhtayar kar gaee to pori insani baradri ka kiya ho ga. Chand mobtala ashkas ki shakasi aazadi ko lay kar ya ossay vote power samjh kar pori society ka baira gharaq nahain hona chahiay. Is ghalt'kari kay noqsanaat kay zimun main chand morozaat paish karta hoon: Eak shakhasi discharage say eak karoor aur sola lakh kay qareeb saparm ka akhraj hota hai. Her saparm main insan bannay ki salahiat mojood hoti hai. Goya mobtala eak karoor sola lakh insanoon ki shakti jo os main mojood hoti hai say la'yaeni mehroom ho giya.Ourat par dischrage honay say eak ya eak say ziyada insan janum laitay aur kaenaat kay hosn main azafay ka sabab bantay


hain. Fitri amal say kuch to output samnay aata hai jabkah hum'jinsi say jinsi khail koee output samnay nahain lata. Ourat say malaap fitri amal hai jabkah humjins say malaap gher fitri. Gher fitri amal mosbat nataej say hum'kinar nahain karta. Is kay manfi nataej baramad hotay hain. Jo shakhasi aur samaji hawala say khoof'naak sabat ho saktay hain. Hum'jinsi say fael kay saparm kamzoor partay hain phir eak waqt aisa bhi aata hai kah wo mar jatay hain. Fael kay aala-e-tanasol main jhakao aur taiar'pun aa jata hai. Fael kay aala-e-tanasal ki balao-zarein varidain kamzoor par jati hain. Pinas ki jild phat jati hai jis kay zariay kaee bimarioon kay jaraseem dakhal ho saktay hain. Sozak aisi na'morad bimari lahaq ho sakti hai. Zarorat parnay par sinaf-e-mokhlif say malaap ki surat main pachidigiaan rah pa jati hain. Mada manviya bai'tara ki kharabioon ka shakar ho jata hai.


Fariqain aala-e-tanasol ko chosnay ka kaam bhi kartay hain. Yah surat sehhat kay liay intahaee khatar'nak hoti hai. Jaryan aur surat-e-anzal ka lahaq hona yaqini ho jata hai. Surat-e-anzal kay liay adviyaat istamal main laee jati hai. In adviyaat say: 1-Qovat-e-bardasht khatam ho jati hai. 2- Janoni halat ho jati hai. 3- Gorday matasar hotay hain. 4- Dil ki bimariyaan janum lay laiti hain. 5- Fariqain apni hi nazroon say gir jatay hain aur os kay baad baihisi ki surat paida ho jati hai. 6-Yaad'dasht ko noqsan ponchta hai. 7- Nafasyati bimariyaan rah pati hain. 8-Chirchara'pun paida ho jata hai. 9- Anis ghalazat ki jaga hai. Aala-e-tanasol ghalazat


say aaluda hota hai. Fozlay say is nazok ozo ka touch hona, khir ki khabar nahain la sakta. Fitri amal ki surat main utaras zarorat kay motabaq saparm lay laiti hai baqi nikal bahar karti hai. Hamal na teharnay ki surat main bhi saparm andam-nihani main rok nahain patay. Androni nazam onhain andar roknay nahain daita. Is kay bar'akas pith main saparm dakhal ho jaein to bahar nahain nikal patay kayoon'kah Qudrat nay is ka koee intazam hi nahain kiya. Her saparm main insan bannay ki salahiat mojood hoti hai. Jab wo andar hi mar jatay hain to oon ki haisiat mordar ki si hoti hai. Morda jism main kiray paida ho jatay hain aur yah kiray apna thikana bana laitay hain. In ki khorak saparm (admi) banti hai. Is hawala say onhain adam'khoor kehna ziyada monasab ho ga. Agar onhain khorak mayassar nahain aati to wo mobtala ko hi khana shoro kar daitay hain jis kay sabab ossay sakht parishni la'haq hoti hai. Yah parishni os main wehshat paida kar daiti hai. Phir


woh shakar kay liay nikal parta hai. Woh her surat aur her qimat par shakar hasal karta hai. Baz jo adi nahain hotay lalach main aa kar nishana ban jatay hain. Is tara woh bhi moashray kay liay gher mofeed ho jatay hain. Fael hi nahain mafool bhi bachoon ko nishana banata hai. Oon ki nafasyati aur illati majbori kay hawala say takhreeb'kari ko moqa mil jata hai. Oon ka zaihan takhreeb ka ghonsla ban jata hai. Mafool ki izzat-e-nafas is adat kay baes bai'mout mar jati hai. Shakar honay waloon main khoof aur intaqami jazba parwan charta hai jo aagay chal kar na'siraf onhain balkah samaj aur moashray ka satyanas mar kar rakh daita hai. Yah illat-e-baad aati nasal ko bhi montaqil ho jati hai. Donyan ka koee mazhab ya akhlaqi nazam is fael-e-baad ko ijazat nahain daita ta'hum jamhoriat is ki toseeq karnay par zaroor qodrat rakhti hai aur hum'jins shadioon ko ijazat day sakti hai.


Agar mard, mard kay sath masroof raha to ouratoon ka (jin ki din ba'din tadaad barh rahi hai) kiya ho ga?! Moalja: Bakray ki bareek nali, jis main taza goda mojood ho panch sat baar anis main rakhi ja'ay. Her bar naee nali li ja'ay. Kuch waqt rakhnay kay baad jab yah nali nikalain gay to kiroon say por ho gi. His Eminency Hazrat Sufi Sheik Shah Dr. Mohammad Nur ul Alam Sahib nay Amriki Sadar aur os ki intazamiya ko motnabay kiya hai: " Homosexuality should not be encouraged at all. It is against God the Almighty's order in the holy bible, the glorious holy Quran, the holy Torah, and other holy religious books of Hinduism and Buddhism. So that Obama should carefully handle the matter of the natural power of Almighty and


constitutional power of himself. If you try to match each other in the name of freedom and democracy, you have to pay for that. Like Nimrod, the powerful king of the planet after the biblical flood at the time of Prophey Noah (AS) and Lout (AS)." Ulma karam aur Rohaniat say motalaq logoon ko bhi is janib tovajo daini chahiay. Is tara insaniat ko is fael-e-baad kay manfi asraat say mafooz rakha ja sakta hai. http://www.forumpakistan.com/humjinsi-insaniat-ki-khoofnak-dushmant28427.html#ixzz44v82AoSX

Our Eak Jinsi Khalona Hum jo daikh rahay hotay hain, zarori nahain apni haqiqat main ossi tara say ho jis tara say hum daikh son ya mehsus kar rahay hotay hain. Shakhas aur os kay baz kamoon ko samjhna itna aasan nahain hota. Shakhas to kaenaat ka eak makhfi raaz hai jissay daryaft karna abhi baqi hai. Hamara


raad'amal daikhay, sonay ya mehsus kiay kay motabaq hota hai. kisi baat ya moamlay ki asal tak rasaee kay bagher raad'amal boray ya bar'aks nataej ka hamil ho sakta hai. kisi shakhas kay kahay ya kiay ki asal tak rasaee ka eak zariya body language ka janna bhi kar'aamad hatyar hai. Cehra insan kay batan ka aaena hota hai. Yah insan kay andar ka haal ahwal chopnay nahain daita. Dukh kay moqa par shadeed dukh ka izhaar batni bhi hai ya meaz dikhawa hai, chehra parnay kay baad kuch poshida nahain rehta. Qehqahay moskarahatain aur khushi asli hai ya naqli, insan ka cehra wazay kar daita hai. Inter-net par Jahan tamam aloom-o-fanoon kay motalaq chizain wafar mil jati hain wahan date sites bhi bai'shamar mojood hain. Mujhy in date sites ko qareeb say daikhnay ka itafaq howa hai. Yah sites Rosi khatein say motalaq hain. Mein nay bohat sari khatein kay cehroon aur oon kay messages ka bari bareek'bini say motala kiya hai. Mein apna motala


yahan bari eman'dari aur pori zima'dari say paish kar raha hoon: Ourat khof'nak haad tak tanhaee ka shakar hai. Bai'chargi baibasi aur baikasi aazadi kay naam par os kay hawalay kar di gaee hai. Dar, khoof, haras, khadsha, bai'yaqini, mausi, andaisha aur la'yaeniat ki qaid main moqayad ho kar reh gaee hai. Adam'tahafaz ka bori tara shakar ho gaee hai. Ossay apna aata kal kho giya mehsus hota hai. Woh andhairoon ki qaid main hai. Os kay aagay pichay kuch bhi nahain. Jis kay natija main os ki jinib say teen tara kay rovaeay samnay aa'ay hain: 1- Os nay apni zaat say intaqam laina shoru kar diya hai. Khud aziyati say ossay sakoon milta hai. 2- Nashay main kho kar tamam talkhioon ko bhool


janay ki na'kaam saee main masroof hai. 3- Kaee rang roop ikhtayaar karkay apnay tashna-etakmeel khaboon ki tabeer hasil karnay ki koshesh main masroof hai. Rosi khatein kay hawala say mairi samjh main tein batain aee hain: a- Afghanisstan ki jang main marnay walay mardoon kay manfi asraat abhi khatam nahain howay. b- Mard zehni aur jismani toor par kamzoor par ga'ay hain. c- Ouratoon ki shara-e-padaesh main azafa howwa. Kuch logoon ka kehna hai kah yah ouratain adi ho gaee hain. na'ay mardoon say jinsi malaap ka chaska nashay ki si surat ikhtayar kar giya hai aur ab in ka koee alaj momkin hi nahain. Yah issi tara hi rahain gi. Chon'kah yah na'qabal-e-itamad hain aur yah eak mard par iktafa na kar sakain gi lihaza


inhain jiwan sathi banana hamaqat say ziyada nahain. Yahaan maira eak sawal hai kah yah ouratain mard kay bagher jinsi taskein hasil kar laiti hain?! Yaqenan nahain, Aisay main in ouratoon say jinsi milaap karnay walay mardoon ko kiya kahna chahiay?! Kiya woh bhi adi ho gay hain? Goya tali eak hath say nahain donoon hatoon say baj rahi hai. Is hawala say mein ba'toor mard, mardoon ki kisi qisam ki waqalat kay liay raza'mand nahain hoon. Maira is baat par israar hai kah mard ki khud'kharzi kay hawala say ourat tanha ho gae hai. Aaj donyaan ka her mard Dalar kamanay ki fikr main hai. Is kaam kay hawala say woh sab samaji-oakhlaqi taqazay bhool giya hai. Ourat os kay liay


shay say ziyada nahain rahi. Aisi shay jo istamal kay baad os kay liay na'kara ho jati hai. Ourat shay nahain, shakas hai. Shakas aur shay main zamein aur aasman ka faraq hai. Ourat ko tahafaz aur khush'kon mostaqbal ki zarorat hai. Ossay eak mostaqil sathi chahiay ta'kah: Ossay mostaqil toor par jinsi taskein ki saholat mayassar aa sakay. Os ki moashi zaroratain pori hoon. Os kay bachoon ka koee baap bhi ho aur bachoon kay mostaqbal kay liay fikar'mand ho. Koee aisa to ho jo os ka apna ho aur jis say woh apna dukh sukh bant sakay. Koee aisa bhi ho jis say woh tovaqaat wabasta kar sakay. Koee aisa bhi ho jis say woh piyar karay. Ghagra karay. Os kay naz nakhray othanay wala os ka apna ho jis


say apnay reshtay ka ta'araf kara sakay. Bai'chint ho kar oulaad ki parwaresh kar sakay. Yah bhi sonnay main aata hai kah yah to ourat ki aazadi hai. Ha'aein! yah kasi aazadi hai jis nay shakas (ourat) ko sex toy, aish aur aaraesh-o-namaesh ka zariya bana kar rakh diya hai. Bhok bhi bohat bari bala hai. Bhok shakas ko jaez na'jaez akhlaq gher'akhlaq asool aur gher'asool say kosoon door lay jati hai. Bhok kisi ki dost nahain. Is ka hal roti aur siraf roti hi hai. Ghalibun bhok bhi ourat ko is janib lay aae hai. Jis kay natija main woh darust aur na'darust ko bholnay par majboor ho gae hai. Jinsi lutaf'andozi kay liay to her mard midan main aa jata hai laikin jiwan sathi bananay kay liay koee taiyar nahain. Wahan wazay'dari aaray aa jati hai.


Inter-net par jism faroshi kay aday khol gay hain. Ourat ko kamaee ka zariya bana liya giya hai. Is karobar kay malik sharif izzat'dar aur mohtaram fard hain. Hamaray haan in kay liay lafz "dalla" oon kay kaam ko "dalla'giri" aur hasil honay wali kamaee ko "dalali" ka naam diya jata tha. Yah sosaeti kay ghaleez tarein aur ghatya qisam kay log samjhay jatay thay. Daikhna yah hai kah: yah ouratain aazad ho gaee hain ya ayash ho gaee hain ya jism faroshi ki adi? Yah sab kuch issi tara say chaltay rehna chahiay? Kiya ourat ko baibas, majboor aur tanha choor daina chahiay? Kiya ourat ka issi tara sex toy banay rehna thek hai? Sawal yah bhi othta hai: Is qisam ki ouratoon ki kokh say janam lainay wali oulaad jo baap kay bagher parwan charay gi, aatay kal ko os ki shaksiat adhori na reh ja'ay gi?


Aakhir en sawalaat par koe ghoor karnay ko kayoon taiyar nahain. Bai'waqar, ehtaram say mehroom kamae ka zariya, eak shay, aur sex toy say khir ki towaqo hamaqat nahain???????? 14 soo saal pehlay Islam nay 4 shadioon ki ijazat di. Is ijazat ka koee to maqsad aur jawaz ho ga. Allah ko ilm tha kah mard ourat ka ginti main tawazan bigar ja'ay ga. Is tara ouratoon ka ghar bas sakay ga aur onhain samaji moqam hasal ho sakay ga. Eak bazari aur chalti ourat ka moashray main bhala kiya moqam hai. Yah bji kah onhain tahafaz mayassar aa ssakay ga? Adyaan, khasusan Islam nay ourat ko izzat ehtaram aur tahafaz diya hai. Olma-e-adyaan ko eak say ziyada shadioon kay moamla main khul kar aur ossi tara say baat karni chahiay jis tara say baat karnay ka haq hai. Is tara fahashi kay darwazay band ho sakain gay.


Fahashi kharabioon aur boraeoon ki jar hai. Is kay sabab zindagi ka tawazan bigar raha hai. Ourat, orat kay liay dil bara karay ta'kah ourat ko sex toy honay say bachaya ja sakay aur woh por'itmad mata/maan sabat ho sakay. Yahhi nahain ourat ki shakhsi anna ko tahafaz faraham kiya ja sakay. ________________ Fri May 29, 2009 6:55 am Rana Naeem Thanks, good post urfi67 this is the hall mark of western culture which has made women just a commodity for the use of males,,,indians are also following it blindly and are projecting women in the most abnoxious manner


I K QAZI Moderator Location: Germany Dr.Maqsood Sahib! Aap ki Iss cheez se Mujhe Ikhtilaaf he K Aap Shaksiat parasti k Mojab ho rahen hain.Hume Islam Ki Taleemat ko Quran O Sunat ki taleemat thak hi Mehdood rakhni chahiye aur ye Rohani Paishawahoh waghaira k Chakroh se Bachna chahiye.Humara Quaid Iss Silsille me Sirf Rasool Kareem MOHAMMAD (SAW) ki Zaat e Girami he na k Alama Shah Soofi,Dr. Mohammad Noor Alam ya kohi aur Waghaira.Hum khud ko inni Deen K Khilaaf Rawishoh se khud aur Qaom Ko Taqseem Dar Taqseem kar Raheh hain.Aur iss k saath saath Firqa,Giroh parasti aur Shaksiat parasti ko Hawa deh raheh hain.Hume chahiye k Ba hesiat e Qaom Iss Mulk me Islami Nizaam ka (Islam k asli tasawar k Mutabiq yani Iss ki Rooh k mutabiq) nifaaz ka ehtemaam kareh.Me iss ko kissi bhi Giroh,Party,Shakhs ya Talibaan jaise loagoh ki bajay "Imarat"(State) k zariye Awaam ki Aksariat ke


Israar par iss k nifaaz ko drust samajhta hooh.Baray Karam Hume Kissi aur k parcham ki bajay QURAN O SUNNAH k Gird jamah hona chahiye. _________________ Dr Maqsood Hasni aap nay tovajo farmae, es meharbani k liay mamoon hoon. I K QAZI You are most welcome.Me Aap k Ache Akhlaq se bohat hi Mutasir hooh.Ho sakta he k humare khayalaat me ikhtilaf ho lehkin aap ki Kawishoh ko me zaroor parrh ka saraahta hooh. _________________ Dr Maqsood Hasni Allah Sahib aur Aaqa karim k siwa kuch bhi


aakhri nahain. mamoli motay moshahiday aur tajarbay ka shakas hoon. khaha ghalt ho sata hai ya os main kahein azafay ki gonjaesh ho sakti hai. ahbaab hi behtar ra'ay day saktay hain ya baat ko aagay barha saktay hain. tehreer kaghaz par aa gae hai ab yah ahbaab ki hai mein to kuch kehnay ki positin main hi nahain hoon. likin ekhtalaaf dushmani to nahain. yah to aap ki mohabat aur karam'farmae hai jo aap nay apni ra'ay ka izhar kiya. Allah Sahib aap ko kush rakhy. I K QAZI Dr.Maqsood Aap Samet.Me khud bhi Ahl e Zuban nahih hooh,Hah Iss Urdu Zaban se Muhabbat bohat he aur ye Mere liye Izhaar aur Raabthe ki behter zaban he.English ki aik misaal he k:"By Reading we enrich our


minds & By conversation we polish it".Tho mere liye Mukalme ka hona aik sehatmand Roajhaan he.Chunke Aap aam Rawish se Hatt karr Thorra Gehrahi me Jhankhte Hain tho Issi Liye Me Aap Ke Posts par na sirf Tawajo mabzool rakhta hooh balke Hat Al Wasa Izhaar bhi Kartha Hooh.Insha ALLAH Ye Bahimi Khuloos,Mukaalme aur Bahimi Ehteram Ka Silsila Jari rahe ga. Dr Maqsood Hasni yaqinan yah rabt hum donoon ko kush aa'ay ga. apna khayaal rakheay ga. http://www.forumpakistan.com/eak-jinsi-khalonat28122.html#ixzz44v6F1lwW



Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.