Infra-Surkh Shayars (What is Life?)
Artists - Melina Dina (Melibee) :: Dr. Inayat Khan Qazi :: Mohit Sharma (Trendster) Editor – Kamlesh Sharma Š Freelance Talents (2013), all rights reserved.
Similar to Infrared (IR), an invisible radiant energy with longer wavelengths than those of visible light, Infra-Srukh Shayars is a group of indy poets with high abstract frequencies than those of societal norms. In this volume (Theme – Creativity without borders), three Infra Surkh Shayars unite and take life head on (.....textually). :)
Poet: Melina Dina (Melibee), USA What is life? Is life everything outside of mind, out of the being, everything that you can see, or a flower at sunset? Is life a capsule, of pain, anguish, sadness, health, friends, family, or the love that doesn't cease? May it be determined, lived for the bread that arrives, or doesn't arrive at the table? Is life an experience? With sweets, music, culture, a painting of the essence... a journey of the senses, and miracles of your presence? Being, or not to be, is life a moment of patience? So many questions in mind,
of everything the people see; BUT it is felt, no? It feels, who says the truth or lies, that it is necessary to live in the present.
[Original Spanish / Espa単ol Latino] Que es la vida? Es la vida todo fuera de la mente, fuera de un ser, todo lo que puedes ver, o una flor al atardecer? Es la vida una capsula, de dolor, angustia, tristesa, salud, amigos, familia, o el amor que no cesa? A de ser determinada, vivida por el pan que llega, o no llega a la mesa? Es la vida una experiencia? Con dulces, musica, cultura, una pintura de la essencia...
un viaje de los sentidos, y milagros de tu presencia? Ser, o no ser, es la vida un momento de paciencia? Tantas preguntas en la mente, de todo lo que ve la gente; PERO se siente, no? Se siente, el que dice la verdad o miente, que es necessario vivir en el presente.
*) - Little Heart Lives in a Melody This little heart lives in a melody, in a sad little place but reluctant, if ever, it was found, it was found with benevolence, igniting grace in a time when it didn't believe in "forever", always singing, always making sound Yet, something sparked along awkward voices and lingering words, flying day and night on wings no one ever saw! Oh, this heart rejoices, on blossoming wishes, hoping to be met by
sight Does it fall in love with the echo of the soul, seen by the eyes, or does it fall in love with new notes, sewn by the heart, sent by the mind? Little heart living in a melody, forever seeking dreams and sunrise, did you know you paint my days in starlight, quite bright and blind? *) - Brightening Up Somewhere in the morning embers the night seethes a starling delight like flowers from ashes, your eyes a darling sight agonies are embracing the limbs together there It's been a tough renewing, the pain still living inside the marrow, and it's been quiet, so very endearing, the whispers from the outdoors It's a day of reveling, you breathe it in, you feel awake, and shake about.
Leaves strike your brow in leaves like feathers, silence now Lips are sealed while things do happen busy days and ultraviolet rays, Somehow you're not really there. Yet, there is a day's music in the air, Passersby are on their way to life itself, and you linger by a sidewalk, thinking, always thinking. Lips perusing silent words, and as the sky is brilliant blue, searing orange, rosy pink, and startling purple... midnight indigo, your skin is bold, your heart is gold, your bones shiver. And still alone, ever so alone, Despite the nightly rain and drizzle; You are lovely, brilliant, bright, in this starlit after-evening light.
Poet: Inayat Khan Qazi (IKQZ), Pakistan *) - Rukh Rukh Pe Phehli Hain Zulfain Sanwaroh Ke Chand Badli Me Jhachta Nahih He Tum Yuh Aahe Ho Aa K Jaane Lage Ho Ye Bhi Kya Dil Lagi,Dil Lagi He Tum Khuda K Liye Yuh Na Jaho Ke Me Ne Ji Bhar K Dekha Nahih He Tum Aa K Mehfil Ko Meri Sajao Dil Aur Kisi K liye Aise Machalta Nahih He Hum Ne Chaha Tha K Tum Maan Jaho Kisi se Haar jana Hum Ne Seekha Nahih He Uss Ko Apni Aankhoh Me Qazi Basaho Bin Uss K Yahah Kohi Aur Sajhta Nahih He
Hum Hain Ishq K Qahil,Muhabbat Hum Nahih Karthe Jo kuch Bi Karthe he Phir Wo Kam Nahih Karthe Jise Chaha He Tho Usse Be Loas Hi Chaha He Ye Wo Jazbe Hain Jinki Tijarat Hum Nahih Karthe Khaloos e Insan K Saamne Bhich,Bhich Jhate Hain
Har Kisi Ko Apni Zaat me Hum Zam Nahih Karthe Diloh Ki Hurmatoh Ki Tehreem Karethe Hain Kisi Ki Be Rukhi O Be wafai Ka Gham Nahih Karthe Zabt e Gham Ne Khud se Be Ghana Kar Diya Qazi Kisi Bi Baat Pe Apni Aankheh Nam Nahih Kartheh HUM TAKLEEF KO TAKALUF SAMAJH BHETTE THE ZAKHAM KHANE KO BOHAT DOST BANA BHETTE THE AASTENOH ME SANP PAALNA HUME LEH DHOOBA QAZI GAO KHA K DEKHA K KAMEENGAH ME YAAR BHETTE THE Har Qadam Par Dukhoh Ko Barrh Kar Gale Lagaya He Doob Kar Beher e Karb ME Hum Aur Nikhar Jaate Hain Naqsh Unn K Jab Bhi Ubharte Hain Yadoh Ki Dhund Me Qazi
Ban K Raakh Udaas Khwaboh Ki Wo Naqsh Bikhar Jaate Hain DUNYA HE RAWAH MAST APNI DAGAR PAR AUR HUM HAIN KISI KI YAAD ME KHOYE ARMAAN YE HE K BAAD E MARG QAZI AISA THO KOI JO HUME BHI ROEYE GHAM KI SHIDAT SE RAAT GAYE TAK JAAGTHE RAYE QAZI DARD KO SEENEY ME CHUPA KAR AKHIR E SHAB SOA PARRE MEHFIL K KHUSK RAKHNE KO MERE QEHQAHE LAGHTE RAHE JAA CHUKE JAB SAB THO MERE QEHQAHE BHI ROA PARRE Kami,Baishi,Ghaltiah Insaan Ki Fitrat Me He Shamil Jo Ye Raaz e Zindagi Paa Lain,Ho jaatain Hain Kamil Ishq Ka Safar Teh Karne Wale Sache Loag Qazi Bhipri Moujoh Se Larr Ke Paa Lehte Hain Sahil *) - Yaad
KISI K YADOH K SAHARE JEENE ME WAQT KATT JAATHA HE KISI K WAHDOH K SAHARE JEENE SE DIN KATT HI JAATA HE RAAT JO AATHI HE THO AA K TEHER SI JAATHI HE QAZI KISI K CHAHAT K SAHARE SE JEEWAN KATT HI JAATA HE
CHUPAYA LAAKH MAGAR GHAM THA US SE BICHARRNE KA USSE HABOOR THA MEIRE CHEHRE SE HAAL PARRHNE KA BOHAT KEHNA CHAHA THA,KUCH BHI NA KEH SAKE QAZI LEH DHOOBA ZOHAM HUME ANJAN RAHOH PE CHARRNE KA
Ajeeb Sa Shakhs Jo Apna Habib Lagtha He Door Ho Ke Bhi Wo Dil K Qareeb Laghta He
Bas Gaya He Istarah Wo Apni Zaat Me Qazi Usse Alag Se Jo Sochoon Ajeeb Laghta He
Urri Hey Neend Meiri,Tho Jaagtha Wo Bhi Hoga Wasal Ka Lamha Tho He,Rawah Raig Ki Manand Sametne Se Pehle Wo Haath Se Nikal Chuka Hoga Mein Us K Haath Ki Lakeeroh Pe Sabt Tha Kabhi Bicharr Ke Mujh Se Pachtaatha Tho Wo Bhi Hoga Apni Zaat Mein Jistarah Tanha Reh Gaya Hoon Mein Faseel e Jism K Andar Akaila Wo Bhi Hogaya Hoga Mohabbateh Yuh Baigangi Mein Badal Jathin Hain Ye Baat Meiri Tarah Wo Bhi Har Pal Soachta
Hoga Kisse Khabar Thi K Aik saath Rehne Waloh Ko Meire KHUDA Ye Zamana Bhi Dekhna Hoga Liye Phirte Hain Nagar Nagar Judai Ka Saleeb Qazi Na Paya Uss ko Tou Ab Khud Ko Doondna Hoga
*) - Hawon ki Zubani AISI HAWA CHALI K GHAROH SEY NIKAL PARREY WO MUSSAFIR BAN K GHAROH SEY NIKAL PARREY NAYA,NAYA UNNEY URRNEY KA SHOAQ LEH DOOBA ZAMEEN KI GIRD BAN K WO ASHIAH SEY NIKAL PARREY TIMTAMATHEY HUWE CHAND RAAT K TAROH KI TARAH
APNEY HI KEHKASHAH SEY WO BAHIR NIKAL PARREY NA KARO TALAASH UNN KO DUNYA K MAILEY MEIN GANWAO NA WAQT K WO DASTAN SEY NIKAL PARREY JUDAA HAIN UNN K RAASTEY,JUDAA HEY UNN KI SOACH WO HUMQADAM TEREY AB KARWAN SEY NIKAL PARREY NA MANZILOH KA NISHAN HEY NA WAAPSI MUMKIN QAZI WO TEREY CHAHNE WAALEY TERI DUNYA SEY NIKAL PARREY PHIR YE HUWA K RAASTEY APNEY JUDAA HUWEY ANNAPARASTI NEY KAAM KA REHNE NAHIH DIYA SAATH,SAATH CHALTEY RAHEY PATRIOH KI
TARAH SANG ZAAT K GIRD BANEY HISAAR NEY MILNEY NAHIH DIYA YE BHI HUWA K TOOTTHE,BIKHARTHEY RAHEY HUM INN HASRATHOH NEY KHUL K KHILNEY NAHIH DIYA CHAHAT,KHWAHISH AUR MOHABBAT BHI BARRI THI BADNASIBIOH NE CHAAK-E-DIL SILNEY NAHIH DIYA DONOH NE PEHEL KARNEY ME ZEEST BITAA DI QAZI NA KHUD WO KEH SAKA,NA MUJHE YE KEHNEY DIYA
APNI ZAAT KE DAIROH MEY MUQIYAD HO CHUKA THA BAHIR NIKAL K JHANKNEY KI FURSAT HI NAHIH MILI HUM KHO CHUKEY THEY ISS TARAH APNEY HI
RAASTEY HUMEY TOU LOAT AANEY KI RUKHSAT HI NAHIH MILI SUNNA THA MOHABBAT KARO GEY MOHABBAT MILEY GI MUJH KO ISS KE BADLEY MEY CHAHAT HI NAHIH MILI DUNYA NEY APNEY BEECH DEEWAREH KHARRI TOU KIH NA HUM HI MAR SAKEY USEY SHOARAT HI NAHIH MILI INN FAASLOH NEY CHAIN SEY REHNEY NAHIH DIYA KISI BHI TAOR SAKOON KI DAULAT HI NAHIH MILI WEHM O GUMAH SEY US NEY BADAL DAALEY RAASTEY HUM KO KUCH BHI KEHNEY KI MAULAT HI NAHIH MILI SAYA PALAANG KAR USEY MANA SAKTA THA MAGAR
ANNA SEY APNI HUM KO ISS KI IJAZAT HI NAHIH MILI QAZI RAH MEY HUMEY KAI CHARA SAAZ MILEY ZAROOR YE AUR BAAT HEY KISI SEY APNI TABIAT HI NAHI MILI HAR YAAD KI APNI HI KHUSHBOO HOTI HEY JIN KEY NAQSH DIL PEY GEHREY HOTEY HAIN SAB DILKASH RANG THEY TERI HI RAFAQAT K WO MANZAR AANKHOH MEY TEHREY HOTEY HAIN SAB WEHM O GUMAN THEY,TERI HI MOHABBAT K ZEHN O DIL PAR TEREY JIS K PEHREY HOTEY HAIN MEY TAKHAIYUL MEY JO BHI KHAKEY BUNTHA HOON WO SAB KHAKEY TEREY HI CHEHREY HOTEY HAIN
QAZI MERI AANKHON PEY CHAI HAIN AANKEN US KI YADOH NEY JAISEY LAGAYEY DAIREY HOTEY HAIN
AHSAAS NA HOH PAAS THO MUFLIS HEY WO SHAKHS DAULAT SEY HOTHA NAHIH KOI TAWANGAR USEY KEHNA USS K JAZBAAT KO KABHI TAIS THO POANCHI HOGI HOTHA NAHIH KHUSHI SEY KOI MUSAFAR USSEY KEHNA ISHQ ME USS NEY BHI KOHI CHOTT THO KHAI HOGI YUN BANTHA NAHIH KOHI SUKHANWAR USSEY KEHNA KHWAHISH BHI WAHIH AUR MANZIL BHI WAHIH
HEY RASTOH MEY BADAL JAATHEY HAIN MANZAR USSEY KEHNA APNOH KI MUHABBATOH SEY JO SERAAB NA HOH WO LOAG BARAAN K TARSEY HUWE HO JAATHE BANJAR USSEY KEHNA HAR ZAKHAM KI NOHIYAT AUR GEHRAI ALAG HOTI HEY QAZI APNEY HI BADAL LEHTEY HAIN KHANJAR USSEY KEHNA
JO KAM GO HEY USEY MAGHROOR NA JANO HAR DASTAN KO KISI KA HAAL E DIL NA SAMJHO KUCH LOAG DILOH MEY BHAIR RAKHTEY HAIN ADOO KO KISI BHI HAAL MEY GHAFIL NA SAMJHO YE SAB LOAG WO NAHIH JO NAZAR AATHE HAIN
HAR BEHROPIYE KO MARD E KAMIL NA SAMJHO BIPHRI MOUJO SEY LARRNA ASAN NAHIH HOTA THAK KAR JAHAH UTHRO USEY SAHIL NA SAMJHO NAZAR RAKHO APNI AASMAN KI WUSAATOH PAR SAFAR K PAIRRAO KO KABHI MANZIL NA SAMJHO QAZI KO TAHALUQ BANANEY MEY DAIR LAGHTI HEY WO MUKHLIS DOONDTHA HEY USEY KAHIL NA SAMJHO
DAYAAR E GHAIR SEY HUM PALATT AATAY TUM GAR DIL SEY HUMAY SADAA DEHTAY AGAR TUM NAY ROAK LIYA HOTA MAN SEY DOOR HO K KHUD KO NA GANWA DEHTAY AAS HOTI AGAR KISI KI CHAHAT KI QAZI HUM SAB KUCH USS PAR LUTTA DEHTAY
GUZRAY HALAAT KA KISI SEY HISAAB KYA LEHTAY HIJAR KI SAHATON KA KISI SEY JAWAB KYA LEHTAY HUM BATHA NA SAKEN,NA WO SAMAJH PAYEN QAZI BE HUNARON SEY HUM BAWAFA KA KHITAAB KYA LEHTAY HAWA MIZAAJ SAHIH SEENAY MEIN AAG RAKTAY HAIN PAS E MISHGAAN BOHAT SEY KHWAAB RAKHTAY HAIN INAA PARAST THAY YUN GHUTT K FANA HOGAYE QAZI KHULI KITAAB MEIN CHAND KUFIA BAAB RAKHTAY HAIN GARDASHEN JIN SEY TAKALUF NAHIH KIYA KARTHEEN UNN KI HALAT BHI MERI AANKHON HI JAISI HOGI KYUN POOCHTAY HAIN LOAG MUJH SEY RONAY KA SABAB QAZI RO PARRA HOON TOU KOI BAAT HI AISI HOGI
*) - Zikr ZIKR JAB BHI CHALA AAYA SAR E MEHFIL UNN KA APNAY GHAM KO HANSI MEY CHUPA DEHTAY HAIN SHAB E GHAM KI TANHAI MEY BE IKHTIYAR QAZI ASHK ANKHON K APNA QARZ CHUKA DEHTAY HAIN
Raith Pey Likhey Huwe Naam Mitt Jaatay Hain Dil Pey Likhey Huwe Naam Par Mitthay Nahih Aas Qaim Ho Tou Saansen Chalti Rehti Hain Jism K Mar Jaanay Sey Insaan Martay Nahih Qazi Unn Loagon Ko Bhool Jaana Behtar Hai Jo Loag Jo Kuch Kehta Hain Wo Kartay Nahih SULAGHTAY LAMHON KO MUTTHI MEY DABA RAKHA HAI KHUDI KO HADF E SITAM HUM NEY BANA RAKHA HAI
USS KO FURSAT HI KAHAN JO MERAY AANSOO POONCHAY WO JIS KI PARCHAIYON KO SEENAY SEY LAGA RAKHA HAI WO MERI AANKH K DARYA MEY UTTAR KAR DEKHAY KITNAY TOOFANON KO AANKHON MEY CHUPA RAKHA HAI BE EHTENAI KI SHIKAYAT WO KAR RAHA HAI QAZI JIS KO AANSOO KI TARAH CHASHM E TAR MEY RAKHA HAI Aisa Nahih K Unn Sey Mohabbat Nahih Rahi Be Chain,Be Taab Rehnay Ki Aadat Nahih Rahi Aik Roz Ka Rona Ho Tou Ro Kar Guzaar Len Har Roz Jeenay,Marnay Ki Sakat Nahih Rahi Basti Jo Apni Duur Basa Kar chalay Gayen Ab Yaad e Raftagaan Ki Himmat Nahih Rahi
Khwahish Tou Hai Zaroor K Wo Loat K Aaye Shayed Usay Hi Milney Ki Chahat Nahih Rahi Har Shakhs Yahan Zar Ka Talabgaar Nazar aaya Khaloos Ki Dunya Mey Wo Qeemat Nahih Rahi Jis Ko Meri Rafaqat Pey Barra Maan Tha Qazi Ab Uski Talab Mey Bhi Wo Shidat Nahih Rahi
Pyaar Mein Do dil Mil Kar Qareeb Hotay Hain Sachay Ashiq Aik Doosray K Habib Hotay Hain Meray Dost Mohabbat Kartay/Bhantthay Rehna Pyaar Karnay Walay Khushnaseeb Hotay Hain Kyun Hum Ghalat Andaaz Mein Sochtay Hain Qazi Jazbon Walay Tou Masiya Aur Tabeeb Hotay Hain
Mohabbat K Hathon Se Wo Shakhs Yun Maara Gaya
Raqeebon Ki Nafraton K Jo Saaray Waar Sey Gaya Sunna Hai Wo Sachay Khaloos Ka Talabgar Tha Qazi Shayed Isi Liye Wo Dunya Mey Tanha Ho K Reh Gaya Dard Ki Tarah Wo Merey Dil Mey Teher Gaya Hai Aisa Laghta Hai K Ab Dil Bhi Mera Mar Gaya Hai Uss Ko Sochoon Ya Usay Bhool Hi Jahoon Qazi Aik Shakhs Jo Jeena Mera Dushwar Kar Gaya Hai *) - Ahsaas AHSAAS NA HOH PAAS THO MUFLIS HEY WO SHAKHS ZAR SEY NAHIH HOTHA KOI TAWANGAR USEY KEHNA (Zar means wealth & Tawangar means Rich) KISI KI CHAHAT NEY USAY MAJBOOR KAR DIYA HOGA
KHUSHI SEY NAHI HOTHA KOI MUSAFAR USSEY KEHNA USS K DIL PAR BHI KOI ISHQ MEY TOU GUZRI HOGI BANTHA NAHIH YUNHI KOI SUKHANWAR USSEY KEHNA KHWAHISH BHI WAHIH THI AUR MANZIL BHI WAHIH HEY RASTOH MEY BADAL JAATHEY HAIN MANZAR USSEY KEHNA CHAHNA,TAWAJO AUR MOHABBAT HI SAR SABZ RAKHTI HAI PYAR K TARSEY HUWE HO JAATHE BANJAR USSEY KEHNA ZAKHMON KI NOHIYAT AUR GEHRAI ALAG HOTI HEY QAZI APNEY HI BADAL LEHTEY HAIN KHANJAR USSEY KEHNA
Wo Is Tarah Sey Mujhey Hairaan Kar dehta Hai Kabhi Sairaab Tou Kabhi Veeran Kar dehta Hai Meray Yaar Ki Har Adaa Hai Uss ki Tarah ajeeb Hijr O Wasl Donon Mey Pareshaan Kar Dehta Hai Duur Hoon Tou Wo Milnay Ka Gilla Karta Hai Qurbat Mey Wo Faaslay Darmiyan Kar Dehta Hai Khata Uski Ko Bhi Mey Jurm Ki Tarah Bhugtun Qazi Zindagi Meray Liye Aksar Imtehan Kar Dehta Hai Daali Pairr Sey Gir Kar Sookh K Mar jaati Hai Mey Banjar Ho Raha hoon Tum Shadaab Kar Do Kab Tak Teri Ye Mohabbat Dhaan Maangey Gi Barbaadi Sey Bacha Kar Mujhe Abaad Kar Do Hijr Ka Gham Doorian Muqadar Kar Gaya Hai Yaden Cheen Kar Apni Mujhe Tum Shaad Kar Do
Teri Qaid Mey Bohat Roz Raha Mera Wajood Meri Rehahai Ka Ab Hukm Tum Saad Kar Do Mohabbat Meray Liye Ab Bohj Ban Gai Hai Qazi Mujhey Apni Mohabbat sey Tum Azaad Kar Do
*) - Masroof-Mehroof
ABHI MASROOF HOGAY TUM APNI NAI URRAN MEY SHAYED KABHI FURSAT MEY SOCHO TOU TUMHEY WO YAAD AAYE GA NAHIH MAR JAYEGA TANHA MAGAR TOOT JAYEGA WO QAZI JISEY TUM CHORR GAYE TANHA TUMHEY WO YAAD AAYE GA WO MUJH MEY BAS K DIL MEY SAMAA KAR CHALA GAYA
KHWABEEDA KHWAHISHON KO JAGA KAR CHALA GAYA BICHRRA WO ISS TARAN SEY K PATAH BHI NAHIH DIYA QAZI WO HUM KO HUM SEY CHURRA KAR CHALA GAYA QAZI DIL MEY YADON NEY DERAY SEY LAGA RAKHAY HAIN ISS LIYE SHAAM SEY HI DIYE HUM NEY BHUJA RAKHAY HAIN Jis Sey Mil K Bhi Hum Bicharr Gaye Hijr Mey Toott K Hum Bikhar Gaye Wo Jis Sey Mujh Ko Ishq Tha Qazi Usi K Pyar Mey Hum Nikhar Gaye Dhoop Nikli Hai Barf Iss Liye Pigli Hai Dil Sulga Hai Tou AA Iss Liye Nikli Hai Wo Jo Meri Zaat Mey Shamil Hai Qazi Uss K Janay Sey Jan Iss Liye Nikli Hai
Ehl E Wafa Hi Is Tarah Sey Girtay Hain Ishq Mey Girto Ko Thaam Kar Khud Bikhartay Hain Ishq
Mey Mohabbat Mey Khud Ki Nafi Karna Sharth Hai Qazi Dil Walay Fana Ho Kar Hi Nikhartay Hain Ishq Mey
Khoon IsliyeAankhon Mey Nazar Aaya hoga Dard Dil Ka Aankhon Mey Uttar Aaya Hoga Uktaya Ulja Sa Bechain Nazar Aata Hai Qazi Koi Aks Uski Aankhon Mey Ubhar Aaya Hoga
DIL K BEHLANAY KO SOACHTA HOON K TU MERA NAHIH CHEEKH AATI HAI ANDAR SEY,AISA TOU HARGIZ NAHIH QAZI KAB NIKALTA HAI KOI DIL MEY BAS JANAY K BAAD ISS GALI KI DOOSRI TARAF SEY AUR KOI RASTA NAHI
Poet: Mohit Sharma (Trendster), India
*) - Aaj phir us dar se lautna hua…. Ek Raah mujrim tang thi, Do musafiron ka saath chalna hua, Ek pyaar betarteeb yun… Kitne shikven aur ek muflis shukriya, Aaj phir us dar se Lautna hua ! Koshish rahegi umr bhar, Ek naam par nikle dua… Jin kamro mey Tanhaai thi, Wahin yaadon se milna hua.. Aaj phir us dar se lautna hua ! Jo vaayda aankhon mey hua, Veeranon mein Armaano ka majma laga Parda naa hone ka malaal unhe, Jab shafaaq-O-shabhnam thi darmiyaa, Aaj phir us dar se lautna hua ! Khudgarz kab patjhad laga, Saawan kasam dene laga… Ek khwaab dil ke kareeb tha, Khwaishon mein jo shaheed hua… Tab himmat se haara karte the… Ab kismet se haare jua… Aaj phir us dar se lautna hua !
Jiske shafugta hone par jashn tha, Jaane kahan wo gum hua, Jinse rooh wabasta thi, Kis mod wo Tanha hua, Aaj phir us dar se lautna hua‌. *) - "Amara Last Wish Poora ho Gaya!" (November 2007) *Poem written in Hindi-Parsi accent.* Linda Kursiwala Goa mey rehti thi jinke pati kai saal pehle mar chuke thay unka sahara tha unka beta Victor Kursiwala. Par 6 mahine pehle hi Victor bhi achanak gayab ho gaya......koi kehta tha ki wo bhi mar gaya, koi kehta tha ki pagal ho gaya, koi kehta tha ki wo kisi aur jagah reh raha hai.....logo ki baatein khatm nahi hoti thi.....par Linda Kursiwala jinhe sab Linda Aunty kay naam se jaante hai jis kisi se bhi milti thi usko bas yahi kahani sunati thi. Aye hai uska Photo,
Amara Victor jidhar ko bhi chalta, Girls pagalo ki maafik usko dekhne ko nikalta. Handsome, joshila ni dimaag se thoda sa sick, Ditto uske pappa ki maafik. Childhood se hi tha O sayana, Pappa ki death kay baad se, Har zimmedari ko usne khud hi sambhala. Amara chhota bakery ko saara din deta, Bacha hua time mey colony mey Tutions leta. Amare ko karta itna pyaar, Roz itna saara kiss leta aur kehta, "Utar raha hun aapke diye pyaar ka udhaar." Peechla Christmas mayne usse itna rooka par, Tab ko bhi bada restaurant mey amara saath kiya O Dinner.
May poocha -> "Tere ko girlfriend nahi hai kya ? ya tere ke dimaag mey bhar gaya hai gobar." O Bola -> "Jab sabse beautiful aurat humare saath hai, tab Goa ki saari ladkiyaan gayi hai mere liye mar." Dheekra, Naa jaane kab thakta, Itna saara saal Late night tak kuch naa kuch likhta. Usme koi jaadu tha, uska prose aur poetry par to saara locals fida tha. 1 baar usne apne saare notes aur work ko 1 publisher ko diya, Unko padhkar publisher uss sab ko print kar Victor ko bahut paisa dene ka promise kiya. Victor O day khushi se bola,
"Ab saari mushkilein door ho jaayengi, Aapko har wo cheez milegi jo aap chahengi." Usko tease karne kay vaaste may bola, "Amara wish list bahut lamba hai tum nahi jaanta, Abhi kay liye amko Gao mey bada sa mansion maangta." O bola, "Bas, jaan bhi de deta agar aap wo bhi.....'maangta'." 1 din O bahut upset hokar ghar aaya, Apna saath bahut books laaya. About dozen books amko thama diya, Rotay huey bola...uske saalo kay work par kisi aur nay fame aur profit kama liya. Apna head pakadkar O idhar-udhar bhaga, Itna helpless maine kabhi nahi dekha apna Baba.
Printing Mistake hoega bolke usse console kiya, Phir publisher se baat karne kay vaaste chala gaya. Tabi se six month honay ko aaya, Abi tak O waapas nahi aaya. O faaltu ka pain liya, Am to jaanta hai saara mehnat usne kiya. O dheekra itna bhi nahi jaanta, USKA MAMA KO KOI WISH NAHI BAS APNA VICTOR WAAPAS MAANGTA!! Mayra last wish mere ko do dila, Amare son se amko do mila. Bete ki waapsi ki raah dekhti Linda Kursiwala ki maansik haalat bigadti gayi aur aakhirkar unhe sarkari maansik aspatal mey bharti karvaya gaya. Unhe Ward Number 14 mey jagah di gayi aur sanyog se unki 'last wish' poori ho gayi kyoki Ward Number 13 unka beta Victor bharti tha. Ye dono wards
lohay ki jaali se vibhajit thay. Aaj bhi Maa Bete jaali se chipak kar har waqt Ek doosre se baat karte rehte hai......aur jo koi bhi inn wards kay paas unn dono ki baatein sunkar thodi dair thithak jaata hai wo apne aansu rook nahi paata hai.
*) - "...Aur Humney Usko Patharon se Maara!" (September 2007) "Hello, Agra Fire Service Station." "Hello....Yahan....Shahganj elake mey Transit building mey aag lag gayi hai, jaldi Fire Van bhejiye." Siren bajati aage badh rahi thi Fire Van, Har guzarte pal kay saath lutt raha tha usme baithe Vikal ka chainn. Transit Building waalo par jaise grahan lag tha gaya,
Unki umeed ka akmatr sahara traffic jam mey tha fasa. Vyakul Vikal sadak par utar aaya, Chillakar usne raasta banana chaha, Par badkismati kisi ko raasta nahi deti, Itni si baat wo bechara samajh nahi paaya. Aakhir Van ko raasta mila, Apni manzil par pahunchne par Vikal aur uske saathiyo ko mila unki kosisho ka sila. Par ye santosh kay pal tham gaye thay, Fire Van par aakroshit bheed kay pathar pad rahe thay. Vikal nay yeh khoon ka ghoont bhi piya, 'Madadgaaro' ko hi niyati ka pathar aisa laga, Bahar kay zakhmo ki chinta kise thi, Dard to andar lagi chot nay diya.
Aakhirkar, Transit Building ki cheekho nay, Bheed kay patharo ko rook liya. Doosro kay liye bhool gaye ye Vardiwaale apne zakhmo se hui pareshaani, Transit Building par ab baras raha tha paani, Kuch dair ko aisa laga jaise iss paani se jald dhul jayege saare gam, Par bereham takdeer nay phir dhaaya sitam, Fire Van ka paani ho gaya khatm. Aur Madad aane mey abhi samay lagta, Par logo ko jalta hua Vikal kaise dekhta, Building ki aur badhte huey Vikal par Pathar, gaaliya aur taane baras rahe thay, Vikal kay haath andaar fhasey logo ko bachane ko taras rahe thay. Vikal kay sahaas nay saathiyo mey josh bhar diya,
Kuch hi dair mey inn jabaazo nay lagbhag sabhi logo ko bacha liya.
Aag phir se bheeshan ho rahi thi, Tabhi bheed mey se aawaz aayi -> "Meri bachchi yahan hai nahi, kahin wo andar to nahi reh gayi." Wahan maujood itney logo mey jaise ye vakya sirf Vikal kay kaano mey pada, Badhavaas sa wo phir building ki taraf daud pada. Uff.....Pad gaya manhoosiyet ka saaya, Phir Transit building se koi bahar nahi aaya. Kisi nay bhi ummeed chhodi nahi, Intezaar mey sabki aankhein pathar ban gayi. Aur tab to sabki zubaan jaise sil hi gayi,
Jis bachchi kay liye Vikal andaar gaya tha wo bheed mey hi mil gayi. Thodi dair baad -> "Hello.....Sir, Aag par kabu paa liya gaya hai.Iss ghatna mey koi nagrik nahi maara gaya hai." "Nagrik......so, you mean kya koi Fire Constable maara gaya hai?" "Nahi sir....aapne galat kaha....... EK FIRE CONSTABLE SHAHEED HO GAYA HAI!!!!"