Stories Timeline: Year [2006-2009] Artists – Manas Thaware, Inder Jeet Bhanoo, Saket, Kuldeep Babbar, Anubhav Rakesh.
1. गुराभ-ए-हहॊद : Parmanu Origins (Preview) (2008) --------------------------X-----------------------------X--------------------------X------------------
तप ू ानों की यॊ जजश से वतन फेनयू हो जामे,
हय भौसभ भे ससपफ ऩतझड़ ही रौट कय आमे . फपय बी चैन से सो रो ए भेये दे श के फॊदो, अबी जजॊदा जो है हहॊद के चॊद सयभामे .
"इॊस्ऩेक्टय ववनम, रयकार्डफस के अनस ु ाय सभीय खान एक दद ु ाांत आतॊकवादी है जजसका सॊफॊध ऩहरे कई आऩयाधधक व आतॊकी धगयोहों से यह चक ु ा है. महाॉ तक की खासरस्तानी आतॊफकमों का मे
प्रभुख साझेदाय था. इसको कुख्मात काराऩानी जेर भे अऩने आतॊकी धगयोह को ऩकडवाने के सरए सयकायी गवाह फनामा गमा था जजसकी एवज़ भे इसको ससपफ 22 सार कैद सभरी. ऩय सुयऺा
एजेंससमों ने मे आशॊका जताई है की मे आतॊकवादी अऩने सीने भे कई औय याज़ दपनामे ही है औय मे अऩनी आतॊकी जड़ो तक ज़रूय वाऩस रौटे गा. तुम्हे इस ऩय ननगयानी यखनी है औय हय
हफ्ते इसकी गनतववधधमों की रयऩोटफ दे नी है . अगय सभीय खान की कोई सॊहदग्ध गनतववधध हद से ज्मादा फढ़ जाती है जजस से रोगो की जान ऩय फन आमे तफ तुभ इसको जस्थनत अनुसाय योक मा भाय सकते हो."
ऩयभाणु - प्रोफोट...काराऩानी जेर से छूटने के फाद माससय खान सीधा हदल्री के सीभावती इराके
भे आमा है तो अफ ननगयानी का काभ इॊस्ऩेक्टय ववनम से ज्मादा तम् ु हाये कैभयों औय ऩयभाणु को कयना होगा.
प्रोफोट - सभीय खान भेये कैभयों की यें ज भे आ गमा है औय उसकी सरऩ यीडडॊग से भुझे ऩता चरा है की वो रोगो से भीना चौक का ऩता ऩूछ यहा है. भीना चौक भे ऐसी क्मा खास फात है?
ऩयभाणु - भीना चौक भे फहुत फड़ा भें टर हॉजस्ऩटर है जहाॉ भै अक्सय भानससक रूऩ से ववक्षऺप्त अऩयाधधमों को बती कयवाता हूॉ. ऩयभाणु एक सीसभत दयू ी से माससय खान का ऩीछा कयता है जो भीना चौक के भानससक
धचफकत्सारम भे जाता है. कुछ ही सभनटों फाद उस जगह फहुत फड़ा फभ ब्रास्ट होता है. उस भानससक धचफकत्सारम की जगह अफ एक सर ु गता हुआ भरफे का ढे य था औय हय तयप राशें ,
खन ू औय भाॊस के रोथड़े थे. माससय खान का कहीॊ कोई नाभोननशान नहीॊ था...शामद वो बी भय
गमा था मा शामद मे ब्रास्ट उसी ने कयामा था. ऩय उन राशों भे एक फढ ू ी औयत भाभर ू ी चोटों के साथ चभत्कारयक रूऩ से अधफफेहोशी की हारत भे थी.
ऩयभाणु ने उसे उठामा की तबी उस औयत भे जान आ गमी उसने ऩयभाणु के ससय ऩय भातत्ृ व स्नेह वारा हाथ पेया औय फेटा कहकय उस से धचऩट गमी....ऩयभाणु के सरए मे नमी अनब ु नू त
थी. भाॉ होने की कल्ऩना से ही उसके जजस्भ भे ससयहन दौड़ गमी....वो सफ कुछ बूर कय उस
भभता बये स्ऩशफ भे डूफ गमा औय उस औयत को एकटक दे खता यहा. वो भहहरा फपय फेहोश हो
गमी. रोगो ने ऩयभाणु को फतामा की वो एक ऩागर भहहरा है. ववनम फनकय ऩयभाणु उस वद्ध ृ
भहहरा को अऩने घय रे गमा जहाॉ उसने जस्थनत ठीक होने तक उसकी दे खबार के सरए भभता ऩाठक को बी फुरा सरमा. ववनम अऩनी इस छदभ ही सही ऩय भाॉ को अऩने साथ ही यखना
चाहता था. वो वद्ध ृ ा ववनम को अऩना फेटा भानती थी औय उसके सभरने की खुशी भे वो गीतासाय गन ु गन ु ाती यहती थी.
"मुद्धऺेत्र भे जफ अजुन फ ने तजा धनुष औय फाॊड....... कहा कृष्ण ने शस्त्र उठाओ मोद्धा फनो भहान....."
--------------------------X-----------------------------X--------------------------X------------------
ववनम - तुम्हे तो फहुत गोसरमाॊ रगी है सभीय खान....फताओ तुम्हाया भकसद क्मा है ? कौन तुम्हे भायना चाहता है....तुम्हाया शयीय झुरस गमा है...भयते वक़्त तो ईभान का काभ कयते जाओ... सभीय खान - ववनम भेये फच्चे...माससय...भै...तेया वासरद...तेया वऩता...माससय खान हूॉ....
"दोनों औय खड़ी थी सेना अजुन फ घफयामे....
दे ख के अऩने कुर सॊफॊधी कभर नैन बय रामे......" --------------------------X-----------------------------X--------------------------X------------------
स्थान - उत्तय प्रदे श के साॊसद केशवनाथ का आवास, फये री. "नेता जी...केशवनाथ जी....एक इॊस्ऩेक्टय अऩनी जीऩ रेकय आऩके फॊगरे भे घस ु आमा है औय आऩके सुयऺाकसभफमों को भायता हुआ आऩकी तयप फढ़ यहा है."
केशवनाथ - अये !!! सैकड़ो ऩारतू फकस हदन के सरए ऩार यखे है फकसी न फकसी की गोरी से आॉगन भे आने से ऩहरे भय जाएगा.
ववनम - भयते तेये जैसे कीड़े है , जो कुचरे जाने तक वतनऩयस्तो के जूतों का नाऩ नहीॊ जानते. केशवनाथ - कीड़ा तो अबी बी तू है...भेये आॉगन भे ही 2 दजफन फॊदक ू धायी है...कुचर सके तो कुचर दे भुझे..... ववनम - ठीक है. केशवनाथ के 2 दजफन फॊदक ू धायी 2 सेकॊर्डस भे ऩयभाणु ब्रास््स से भाये गए.
केशवनाथ - तू...तू..तो ऩयभाणु है. ऩयभाणु - अफ मे फात मभयाज को फताना. इॊस्ऩेक्टय ववनम को हदवॊगत भॊत्री जी के आवास ऩय घुसते कैभयों ने रयकॉडफ फकमा है फपय वो फाहय नहीॊ आमा..फये री की सायी सीभाएॊ सीर कय दी जामे औय ववनम को तुयॊत नीरभसबत कयके धगयफ्ताय फकमा जामे.
"अऩने हाथों से अऩनों के कैसे हय रॉ ू प्राण......
कहा कृष्ण ने शस्त्र उठाओ मोद्धा फनो भहान..." --------------------------X-----------------------------X--------------------------X------------------
पैजाफाद रेफय अर्डडा ववनम - क्मा भुझे महाॉ काभ सभरेगा? भज़दयू - तुम्हे तो सफसे ऩहरे काभ सभरेगा, फाफू! गठीरे फदन के हो, हय ठे केदाय को ऐसे भजदयू चाहहए.....रगता है खूफ घी-दध ू वऩमा है अऩने गाॉव भे.
"ससपफ अभय है अजय आत्भा फस शयीय भय जामे .... जैसे वस्त्र ऩयु ाने तज कोई नए वस्त्र अऩनामे......"
भजदयू ी का काभ कयते ववनम को हय दभ उसकी "भाॉ" ननहाया कयती....वो उनसे धूऩ भे ना आने
को कहता ऩय वो फस उसको ननहाया कयती जैसे ना जाने फकतने फयसो की कसय ननकार यही हो. तबी एक हदन.
"हभ आऩ तक ऩहुॉच ही गए, पानतभा खारा!" पावड़ा सरए गुस्से से पुपकायता ववनम उनके फीच भे आमा. "दयू हटो इनसे..." "रो अफ मे पावड़े से फॊदक ू ो का साभना कये गा....रगता है ऩगरी पानतभा का असय आ गमा है तुझ ऩय...हा हा हा हा हा....."
"है साया सॊसाय है भुझभे ऩथ् ृ वी, गगन, शजक्त..... साये जीव सभामे भुझभे भेये अॊश सबी......"
--------------------------X-----------------------------X--------------------------X------------------
सायी फातें फेभानी रगती है जफ अऩने वजूद ही न ऩता हो....औय अऩनी ऩहचान के सरए सॊघषफ कयना ऩड़े....
औय कबी-कबी अऩनी ऩहचान ऩाने के सरए खुद को खोना ऩड़ता है......
"दे ख ववयाट रूऩ बगवन का अजुन फ काॊऩ गए....
उठा सरमा तफ धनष ु हाथ भे साध सरए सफ फाॊड... कहा कृष्ण ने शस्त्र उठाओ...मोद्धा फनो भहान... फोरे...मोद्धा फनो भहान..."
--------------------------X-----------------------------X--------------------------X------------------
"शहीद सभीय खान औय हदल्री ऩुसरस ननयीऺक सॊख्मा 19009 शहीद ववनम वभाफ उर्फफ माससय खान को सराभी दें गे...............
.........इॊतज़ाय कीजजमे दे श की जड़ो भे गुभ ऩयभाणु के वजूद को तराशती इस नभ कहानी का!
2. यखवारा (2009)
ददल्री भे 2010 भे होने वारे याष्ट्रभॊडर खेरो (Commonwealth Games) की शरु ु आत को कुछ ही ददन फचे है. खखराडडमों, खेर अधधकायीमों औय सहामक दरों के रुकने औय तैमायी के लरए खेर गाॉव भे कैम्ऩस रगे है.
ऩहरे ही ददन कैम्ऩस भे गड़फड़ औय अऩयाध होने रगते है जैसे एक कैं ऩ से कुछ ही दे य भे पटने वारा ववस्पोटक औय R.D.X. लभरना, कुछ दे शो के खखराडडमों का अऩहयण हो जाना. ऩयभाणु
तुॊयत हयकत भे आता है औय अऩह्रत खखराडडमों को छुडाता है औय ववस्पोटक को ननष्क्ष्ट्िम कयता है. ऩयभाणु, ववनम के रूऩ भे खेर गाॉव भे बायतीम दर के सुयऺा अधधकायी के रूऩ भे वहाॊ यह कय इस भाभरे की छान-फीन शरू ु कय दे ता है.
बायत ऩय अॊतय-याष्क्ष्ट्रम दफाव फढ़ने रगता है औय कुछ दे श अऩने खखराडी वाऩस फुराने की
धभकी दे ते है. ऩयभाणु भीडडमा के साभने याष्ट्रभॊडर खेरो भे आमे सबी रोगो की सुयऺा की
ष्क्िम्भेदायी रेता है. उसी ददन खेर गाॉव भे लसपफ उन दे शो के कैम्ऩस ऩय नकाफऩोशों द्वाया हभरे होते है ष्क्जन्होंने याष्ट्रभॊडर खेरो के फदहष्ट्काय की धभकी दी थी....ऩयभाणु फनकय ववनम उन सबी कैम्ऩस भे भौजूद रोगो को फचा रेता है ऩय इस हभरे के फीच भे एक चैष्क्म्ऩमन बायतीम भेयाथन एथरीट भाया जाता है.
खेरो की से ऩहरे ऩयभाणु याि खोरता है की कुछ दे शो (ष्क्जनके नाभ आऩ रोग खुद जानते है)
के एथरीटस औय सऩोदटिं ग स्टाप ही असर भे आतॊकवादी है ...इन्होने ही अन्दय यहकय मे अऩयाध ककमे क्मोकक अफ तक ऩयभाणु औय क्रोज सककफट केभयाि ने ककसी फाहयी व्मष्क्क्त को खेर गाॉव
के अन्दय जाते नहीॊ ऩकडा था. खेर गाॉव आने के एक ददन फाद इन्होने अऩने इॊतजाभ ऩूये कयके बायत को फदनाभ कयने के लरए मे अऩयाध ककमे. इन खेरो भे शालभर होने के लरए मे कई
सारो से तैमायी कय यहे थे औय इनकी सयकायों के हस्तऺेऩ से अच्छे खखराडडमों की जगह उनके दे शो के खेर सॊचारन कयने वारे सॊस्थानों ने इन्हें खेरो के लरए चुना.....क्मोकक याष्ट्रभॊडर खेरो का स्तय ओरॊवऩक खेरो जैसा नहीॊ है जहाॉ हय खेर भे बाग रेने के लरए भुष्क्ककर औय फड़े
क्वारीपाई स्तय होते है औय महाॉ ज्मादा "वाइल्ड काडफ" धायक खखराडी बी शालभर हो सकते है . याज खोरने भे ऩयभाणु की भदद खेर गाॉव भे बेस फदर कय यह यहे वि ने की थी. ऩय इन आतॊककमों का असरी भकसद बायत को फदनाभ कयना नहीॊ फष्क्ल्क खेर गाॉव को अऩने कब्जे भे रेकय अऩनी असॊवेधाननक भाॊगें भनवाना था.....धगनती कयने ऩय ऩता चरा की ऩयभाणु उन आतॊकी दरों के सबी रोगो को नहीॊ ऩकड़ ऩामा था औय उनके फचे हुए खखराडडमों, आदद ने खेर गाॉव ऩय कब्िा कय लरमा था. ऩयभाणु उन आतॊककमों से रड़कय सबी फॊधको को सयु क्षऺत फचा रेता है ष्क्जसभे उसकी भदद कयता है बायतीम खेभे भे शालभर Allrounder वि. याष्ट्रभॊडर
खेर अऩने सभम से शरू ु होते है.....औय खुद ववनम उस भये हुए भेयाथन यनय की जगह दौड़ कय बायत के लरए स्वणफ ऩदक जीतता है.
The End.
3. Enviro Returns (2007)
Bhartiye Sarkaar Delhi kay paas kay elako mey kai S.E.Z., (Special Economic Zones) banane ki apni yojna par amal kar rahi thi aur iss kaaran unn sthano kay jungleo ka safaya kiya jaa raha tha. Iss pariyojna ka har jagah bahut virodh ho raha tha par sarkaar nay vikas ki duhaai dekar iss pariyojna ko jaari rakha.Waise iss pariyojna ko Mantriyo nay paise kay laalach mey bhi jaari rakha tha.Iss pariyojna kay pehle charan mey jungleo ki safaai ka kaam tha jiski shuruat Delta Forest se ki gayi. Par agle din waha gaye nirikshako ko paido ko kaatne kay kaam par lage sabhi logo ki laashe mili. Baaki jagaho par jungleo ki katai par gaye karmchariyo ka bhi yahianjaam hua.Inn ghatnao ki wajah se uss pariyojna,(Project SEZ), kobeech mey hi rook diya gaya.Par ye to bas shuruat thi....tabahi nayphir apna khel khela aur ab Delhi kay andar chal rahe badekarkhane,Industries, par ajeeb paid paudho nay hamla kar diya. Kuchpaido ki jadde aur tehniya badhkar unn karkhano ki imarato ko gira rahithi jisme dabkar kai begunaah majdoor maare gaye aur jo bach karbhaagne mey safal huey unko vishele paudho nay apne shikanje meyjakadkar kaal ka graas bana diya. Parmanu ye sab dekhkar samajhchuka tha ki ye sab khud ko paryavaran ka hitashi kehne waala ProfessorEnviro kar raha hai jiska naam wo Inspector Vinay kay roop mey Policedatabase mey dekh chuka tha. Par Parmanu ko uss se itne bade paimaanepar tabahi machane ki ummeed nahi thi. Jo karkhaane Delhi aur uskeaas-paas insaan kay rehne kay elako se door bane thay unpar bijliyabaras rahi thi aur aise kai karkhano par bijliya barasna sanyoog nahikaha jaa sakta tha. Parmanu ko pata chal gaya ki Professor Enviropaid-paudho se ghatak kaam karvane kay alawa apne aas-paas kayvatavaran ko bhi kaabu mey kar sakta tha. Par iss baar wo bina kisi kaysaamne aaye ye sab kar raha tha. Parmanu rahat karya mey juttjaata hai aur shehar mey Karkhano ko dwast kar rahe paid paudho koParmanu chhallo se jalane ki kosish karta hai par kuch hi seconds meyaise aur paid-paudhe phir se ugg jaate thay aur vinash machna jaariraha. Parmanu nay sabhi karkhano kay har taraf apne Parmanu Blasts kigarmi se zameen ka lagbhag saara paani (moisture) kheench liya aurvinaash machate paid-paudhe sukh gaye aur naye paid uggna bhi bandh hogaye,jo naye paid paudhe ugge bhi wo itne mazboot nahi thay ki koitabahi macha sakein. Shehar mey kai karkhano aur unme kaam karne waalemajdooro ko bachakar Parmanu Probot ka message paa kar aabaadi se doorkay shetro mey lage bache huey karkhano ko bachane nikal pada. Parmanunay unn karkhano par pahunch kar apni 'Parmanu Rassiyon' ko kaarkhanose upar tak sataa diya aur aaskashiye bijliyo ko apni taraf kheenchnekay liye ek "Taditgiri" bana diya aur saath hi savdhaani kay taur parunn karkhano ko Parmanu Rassi kay jaal se dhakk diya. Uss waqtEnviro wahan nahi tha par apni iss haar se tilmilaaye Professor Environay Delhi kay beecho-beech bane Nuclear Energy Plant mey chal rahereactions ko apne paido ki madad se aniyantrit kar diya aur aas-paasParmanu Vikiran fhailne laga. Suraksha alarm se sabhi ko pata chal gayaki Parmanu vikiran fhaill raha hai.Parmanu ko jald hi ye khabar Probotnay di to Parmanu nay uss jagah se logo ko surakshit sthaan par parpahunchaya aur phir Vikiran ko sambhalne dobara ussi jagah par pahuncha. Parmanu - Probot, Kya mai iss area mey fhaile vikiran ko apni Belt mey samait sakta hun ?
Probot-Samait to sakte ho par uss radiation ko tum apni belt mey kuch hiseconds tak rakh paaoge....iske liye ek bhaari container jaisi cheez kizaroorat hogi lagbhag 80 Kgs ka jabki tumhari belt to kuch grams ki hai. Parmanu- Waise, mera wajan kitna hai ? Probot-Aakhri baar tumhara wajan bahut pehle toola tha, wahi database mey feedhai jo hai 85.5 Kgs......mujhe lagta hai ki ab tum pehle se mote hogaye ho. Parmanu- Thankyou, Probot, Mujhe bas yahi poochna tha......jab mera message mile to mujhe lab mey Transmit kar lena. ParmanuTransmit hua aur uske shareer kay wajan kay barabar sangathit kanno(Atoms) nay waha faile Parmanu Vikiran ko khud mey (85.5+ kgs kayatomic roop mey), samait liya aur phir Probot nay Parmanu ko Lab meyTransmit kar liya. Apni Lab mey uss Vikiran ko parishkrit karna Probotkay liye bahut mamuli kaam tha. Ab Professor Enviro samajh chukatha ki Parmanu ko maare bina uska dharti ko hara-bhara banane ka sapnaadhura hi rahega aur ab uska lakshya tha Parmanu ki Maut. Parmanuko khabar mili ki shehar kay bahari hisse mey bhaari baarish ho rahihai aur wahan baadh aane ka khatra hai. Parmanu nay tezi dikhate hueyapni Parmanu rassi se bane vishal jaalo mey jald hi wahan kay lagbhagsabhi logo ko bachakar surakshit sthaano par pahuncha diya. Parmanuunn logo ko bacha kar ghatnasthal par phir lauta to wahan baarish nahiho rahi thi aur baaki bache huey log ab surakshit thay. Parmanu yedekhkar achambhit tha ki tabhi uspar aakash se bijliya girne lagi.Shuruat mey to Parmanu Transmit hokar bach gaya par ab inn hamlo kiraftaar badhti jaa rahi thi. Parmanu neeche pahuncha to wahanusko jakadne kay liye paid-paudho ki jamaat pehle se tayyar mili.Parmanu ko phir transmit hona pada. Parmanu ki iss haalat par ProfessorEnviro thahaka lagata hua uske saamne aaya. Professor Enviro - HaHa Ha.......Parmanu kahan jaayega ab........isse kehte hai dhobi kakutta naa ghar ka naa ghaat ka. Aur sun.....yahan se bhaagne ki kosishmat karna......varna mai bache huey logo ko maar daalunga. Parmanuko har baar (transmit honay par circuit poora honay kay baad) reformhonay par vishele paudhe halki kharoonche de rahe thay aur bijliyo kadarr bhi tha. Parmanu inn sab se bachne kay liye transmit ho raha thajo baat Professor Enviro ko nagavaar guzar rahi thi. Usne turant hi aas-paas kay mausam ko badalkar usse behadd garam kar diya. Transmithue Parmanu kay kanno se bhi moisture jaane laga jis kaaran Parmanu koreform hona pada. Parmanu par phir paido kay vishele vaar honay lage.Ek paid nay usse jakad liya aur usspar to jaise vishele paid-paudho kayvaaro ki barsaat ho gayi. Parmanu par behoshi chhaa rahi thi. Mausam kophir se badalkar Professor Enviro nay Parmanu ki iss haalat ka faaydautthana chaha.
Ek Bijli paid par giri jiska thoda jhhatka Parmanu kobhi laga. Iss baar to uski dress nay usse bacha liya tha par aise 2-3jhhatko kay baad uski maut nishchit thi. Parmanu ka shareer shithil padraha tha aur usne Parmanu chhallo ka ek halka vaar Professor Enviro parkiya par uss vaar ko raaste mey hi ak paid ki daal nay badhkar rookliya. Ab Parmanu ki maut ya to bijli kay kisi jhhatke se hoti yazehrile paid-paudho kay vaaro se. Parmanu ka shareer zakhmo ka godaambana nazar aa raha tha aur Professor Enviro har darshya ko apnepasandida T.V. Serial ki tarah dekh raha tha. Probot jaanta thaki Parmanu ko lab mey transmit karne par Professor Enviro wahan maujood'bandhak' aabadi ko khatm kar sakta tha aur Parmanu nay aisi sthitiyonmey Probot ko aisa karne se mana kiya tha. Parmanu ko jo karnatha wo ab khud hi karna tha. Har jagah Professor Enviro ka jaal tha koibhi jagah surakshit nahi thi.........ya thi.....Parmanu nay apni bachihui poori takkat jutaai. Wo transmit hokar Professor Enviro kay paaspahuncha aur reform hokar apni poori gati se uske charo aur uddne laga.Professor Enviro dwara aas-paas kay elake mey aakashiye bijliya giranebanaye gaye toofani vatavaran ka faayda utthate huey Parmanu nay uskechharo taraf ak vishal bavandar bana diya. Jab tak Professor ussvatavaran ko badalta tab tak Parmanu Professor Enviro ko lekar prithviki upari sateh tak pahunch chuka tha, jaha ka vatavaran sthai tha aurusse kaabu mey nahi kiya jaa sakta tha. Parmanu uddta raha aurProfessor Enviro kay saath antriksh mey pahunch gaya. Parmanu,Professor Enviro ko lekar bharat kay Antriksh Station mey utra. Ab takProfessor Enviro itne jhhatko se aur antriksh mey kuch seconds saansnaa mil paane kay kaaran adhmara ho chuka tha aur Parmanu ka ek zordaarghunsa usse Behosh kar hi chuka tha ki Parmanu nay usse jhanjhorkarsamjhaya..... Parmanu- Suno.......yahan tumhare liye jeene bharki hawa aur khaana peena hai....isse kaabu mey karke bhi tum dharti taknahi pahunch sakte, kuch mahino mey yaha ki maintainace kay liye ISRO(Indian Space Research Organisation) Astronauts bhejti hai, ab wahitumhe zinda rakhenge.Tumhare vyavhar par har pal nazar rakhijaayegi.....aur agar tumhare andar vaakai sudhar aaya to tumhe wapasdharti par laane kay baare mey socha jaayega. Probot-Parmanu...ab wapas aa jao tumhare badhte motapey ko Professor Environay itne zakhm dekar kuch hi dair mey control kar diya hai. Probot ki ye baat sunkar Parmanu apna asehniye dard bhool gaya aur uske chehre par muskaan khel gayi. Parmanu(Profesoor Enviro se) - Pata nahi maine tumhe kyu zinda rakha....itnelogo ki jaan lene waale ko zinda nahi hona chahiye......kabhi kabhimeri kasam mujhe bahut kachot ti hai. Ruk...ruko...Parmanu rukjaao....Mujhe yahan chhodkar tum achcha nahi kar rahe ho.....wo logBharat ko aur phir saari Duniya ko barbaad kar denge. Parmanu- Ooh, aur Professor sahab aap ab tak kis prakaar ki samaj seva kar rahe thay ye shayad aapko bhi pata hai aur mujhe bhi.
ProfessorEnviro- Meri baat suno Parmanu, ab sirf tum hi kuch kar sakte ho.Project SEZ (Special Economic Zones), kay liye jungleo ka saaf hona,Karkhano ka ambaar lagna....aur bhi bahut kuch, ye sab gairkanooni roopse bade naitao nay paise kay laalach mey kiya hai. Bharat aur Duniya kobacha lo Parmanu....maine itne saalo ki mehnat se kai Vakalpiye Urjasansadhono (Alternative Energy Resources) ko viksit kar aur behtartareke se isteymaal karne par gehan research ki hai aur inn baato parmere bahut se notes meri Lab mai maujood hai.....tum unn Brasht Naitaoko pakadvar unke mansoobo aur Project SEZ ko rook do. Mere wo notes bhiPoore Bharat ko urja kay kai saadhan de sakti hai. Inn sansaadhano kosambhalne kay liye kai rozgaar kay avsar bhi utpaan honge. Parmanu- Wah,Professor wah....kaash tum ye baat ahinsak dhang se desh kay saamne rakhte. ProfessorEnviro- Gandhi ji kay saath hi aise "dhang" bhi swargiye ho gaye hai,maine apni baat sarkar tak pahunchane ki kai baar kosishein ki parpaise kay laalach mey unhone Project SEZ ko hi approve kiya ? Parmanu- Hmmmmm....Tumhari baat mey dum hai aur inn Special Economic Zones kamai bhi niji roop se viroodhi hun.Tumse vada karta hu ki Bharat ko innlaalchi logo kay haatho bikherne nahi dunga. Jald hi tumhe iss baat kikhabar mil jaayegi. Vinay jaanta tha ki Project SEZ kay gopniyedastavezo ko wo ek sadharan insaan ya Inspector kay roop mey nahi praptkar sakta tha. Desh kay virruddh ek bade shadiyantra ko vifal karne kayliye Vinay ko gairkanooni roop se unn dastavezo ki pratiya (Copies)leni thi. Vinay Parmanu kay roop mey chhupkar Rashtiye Abhilekhagaar(National Archives) mey pravesh kar wahan se uss project ki deal kaypapers ki pratiya prapt kar li. Unn dastavezo kay adhyan se saaf patachal gaya ki Project SEZ mey swikrat kai baatein gair kanooni aurnirdharit suraksha maanako kay anuroop nahi thi. Inn dastavezo ki ekpartilipiyan Parmanu nay kai News agencies tak bhi pahuncha di aur Agledin Inspector Vinay nay sabhi doshi Mantriyo kay ghar chhapa maarkarunko giraftaar kar liya. Bharat kay itihaas mey ek saath itne mantriyoki giraftaari pehli baar hui thi. 'Project SEZ' to bandh ho gayapar Vinay ka kaam abhi khatm nahi hua tha, Parmanu kay roop mey usneProfessor Enviro urf Sundar kay bataye patey se uske banaye saare notesbaramad kar liye thay aur ab Vinay Probot kay saath milkar unka adhyannkar raha tha. Unn beshkimti notes ki badaulat Vinay aur Probot naysaare Bharat ko Urja dene waale ek naye Project ki rooprekha tayyar kijisko unhone naam diya.....Project AER, (Alternative Energy Resources),Probot nay iss Project ko ek vaijyanik kay taur par Bhartiye Sarkar kaysaamne rakha jisko jald hi swikrat kar liya gaya aur iske liye Probotki adhyakshta waali vaijyaniko aur karamchariyo ki ek samiti banayigayi jiska hissa Vinay aur Professor Enviro bhi thay. Parmanu,Professor Enviro ko dharti par le aaya aur usse (uski powers ko dhyaanmey rakhte huey) special cell mey nazarbandh rakha gaya jahan se woProject AER kay sanchalan mey madad kar raha tha. Lekin usne chaitaavnidi thi ki agar bhavishya mey paryavaran par manav dwara koi sankat aayato wo phir se apradh ka galat raasta chun lega. Sab khatm ho gayatha par Vinay aur Probot kay vyastta to khatm honay ka naam hi nahi lerahi thi....kabhi Dakshin Bharat mey Sourya Urja ka nirikshan karna tokabhi Bhumigat Urga
sansadhano ki khoj mey Poorvi Rajyo ki sair. Par eknaya, sundar aur sudradh Bharat banane ka janoon unki thakaan door karraha tha. The End.
4. Adharm (2007)
Delhi mey asamajik tatvo ka jamavda badhta jaa raha tha aur aaye din Police kay haath kai aise log aa rahe thay jinka maksad hinsa failana tha. Vinay Inspector aur Parmanu dono roopo mey poori satarkta kay saath shehar ki chauksi mey laga hua tha. Ek aise hi vyast din Inspector Vinay apni duty par laga hua tha aur usse khabar mili ki uske thana shetra Karol Bagh aur poori Central Delhi mey Danga bhadak gaya hai.Inspector Vinay turant hi mauke par pahuncha aur apne saathiyo kay saath sthiti ko kaabu karne mey lag gaya.Har taraf afra-tafri aur shor gul kay saath kai log thay aur aise samay mey Vinay, Parmanu nahi ban sakta tha. Ak poori basti ko charo taraf se gher kar dangaaiyo nay usse aag laga di thi.Inspector Vinay nay apne sipahiyo kay saath kai dangaaiyo ko ghayal kar bebas kiya aur kaiyo ko giraftaar kar liya.Fire Brigade ki Vans bhi aag bhujane kay kaam mey lag gayi par aag bhayankar roop le rahi thi aur aas-paas ki bastiyo ko bhi apni chapait mey lene kay liye aage badhti jaa rahi thi.Kuch dair baad sabhi Fire Vans ka pani khatm ho gaya.Inspector Vinay apne sabhi saathiyo kay saath paas hi beh rahe naalo mey pipe aur pump lagakar uss jalti basti tak lagatar paani pahunchane ka prabandh karne laga, paani ki aapoorti dobara shuru ho gayi par itni badi basti ko bachane kay liye sansadhan bahut kum thay.Vinay kuch sipahiyo kay saath dobara ghatna sthal par pahuncha aur usne sabhi paani chhod rahe pipes ko ek disha mey mod diya aur ab tak gharo se bahar nikal
aaye zyadatar logo kay liye paani galiyo mey tez gati se ghuskar ak chauda raasta banata chala gaya.Wo sabhi log surakshit bahar nikal aaye par ab bhi kuch log andar kay elako mey fhase huey thay. Ab afra-tafri kum ho gayi thi aur Vinay baaki bachche logo ko bachane kay liye aur aag ko turant rookne kay liye Parmanu banne kay liye sthaan dhoondne laga. Tab tak Dangaaiyo ki sankhya bhi badh chuki thi jinhone roosh mey unhone Inspector Vinay, baaki Police aur Fire Brigade waalo ko gher liya.Vinay khud ko bebas mehsoos kar raha tha.Uss chhote se bachaav dal ko maut saamne nazar aa rahi thi. Par tabhi Police waalo ko ghere dangaaiyo ko basti ki bhaari bheed nay gher liya ab dangaai dono taraf se phaas chuke thay aur unn par andar se Police aur Fire Brigade waalo kay prahaar barasne lage aur bahar se basti waalo kay aur iss tarah sanyukt prayaas mey Asamajik tatvo kay ek bade dal ko kaabu mey kar liya gaya. Mauka dekh kar Vinay Parmanu ban gaya aur usne vishaalkaaye tankers se paani ka chidkaav kar turant hi poori aag par kaabu paa liya aur chhoti-chhoti Aago, dhooein, mey fhanse baaki bache logo ko bhi bacha liya.Parmanu phir se Vinay ban kar ghatnasthal par pahuncha par iss se pehle ki wo uss bade dangaai dal ko giraftaar kar paata ya unse kuch pooch paata wo sabhi nidhal hokar zameen par gir gaye.Vinay ko laga ye atamghati dal tha par shuruati jaanch mey hi pata chal gaya ki ye sabhi Robots thay.Probot nay inki vistrit jaanch kar bataya ki inn Robots mey inke mission kay alawa kuch aur zaroori jaankariya bhi bhari thi par apne mission ya maksad ko naa poora kar paane kay kaaran inke nirmata nay door se hi inke saare andruni circuits aur jaankari jalakar nasht kar di isliye ye sab nishkriya ho gaye. Ye khabar aur jaanch Delhi aur Parmanu kay liye khatre ki ghanti bajane lagi. Par samasya badi thi kyoki peechle kai dino se jo giraftaariya ho rahi thi wo Insaano ki ho rahi thi Robots ki nahi.Iska matlab ye tha ki shehar par dohra prahaar ho raha tha.Manav adhikaro ko dhyaan mey rakhte huey kisi bhi upadravi ko maarne ka aadesh bhi nahi diya jaa sakta tha.Phir bhi Probot nay shehar bhar mey lage apne atyadhunik camero se scan karke manavo aur robots mey antar kar Vinay ya Parmanu takk seedhi baat pahunchane ka prabandh kiya tha aur Vinay sthiti anusaar kaam kar raha tha par aise Robots aur upadravi manao ki taadad din par din badhti hi jaa rahi thi. Jo asamajik Manav upadravi pakde bhi jaate unke mastiksh mey bas zinda rehne aur danga failane kay vibheen tareko ki baat mukhya roop se basi thi yaani unhe bachpan se bas yahi sab cheeze sikhayi gayi thi aur ab unka poori tarah se Brain Wash ho chuka tha aur ab unke dimaag mey koi nayi baat daalna namumkin tha. Phir 1 din aisa bhi aaya. Probot - Parmanu kya tum mujhe sun paa rahe ho ? Parmanu- Haan, Probot, kahiye. Probot- Parmanu, West Delhi ki taraf se upadravi Robots aur East Delhi ki tarah se Brain wash kiye huey manavo kay 2 bahut bade dal badh rahe hai.Jaldi kuch karna hoga kyoki ye dono dal
manav aadbadi waale elako tak pahunchne hi waale hai. Parmanu- Inn dono dalo ka yu aksaath hamla yahi saabit karta hai ki iss bade shadiyantra kay peeche 1 hi shadiyantrakari dimaag hai.Mai saari Police Force ko satark kar jagah-jagah baricades lagvata hun. Probot- Nahi,Parmanu,mere camero kay scanners bata rahe hai ki inn dono dalo mey kuch aatmaghati robots aur manav chhupe hai jo Police aur janta ko bhaari nuksaan pahuncha sakte hai.Ab to tumhe hi kuch karna hoga. Delhi kay paas hi kahin sunsaan jagah par. "Trendster Boss,humare camp kay saare manav roopi Robots aur Manav aapne aksaath bheje to zaroor hai.....par...." Trendster- Tum yahi kehna chahte ho naa ki iss baar bhi Parmanu unhe rook lega....nahi...iss baar maine isliye hi sabhi Robots aur Brain Wash kiye huey manavo ko bhej kar dohra hamla kiya hai kyoki Parmanu pehle kabhi aksaath itni bhaari tadad mey meri manav roopi Robo Force aur Insaano se nahi lada wo bhi do taraf se.......ab Delhi ki tabahi pakki hai, Ha ha ha ha. Jabki Parmanu ko Probot lagataar East aur West Delhi ki khabar de raha tha.Dono hi taraf se upadravi manavo aur Robots ka hamla aksaath aur achanak hua tha. Parmanu- Kya aapke paas koi bada Jammer hai jiss se inn sabhi manav roopi Robots ko jamm kiya jaa sake. Probot-Jammer to hai par wo itne saare Robots par asar nahi karega aur agar karega bhi to wo bhi kuch dair kay liye kyoki ye apne aap jammer kay hisaab se dhall sakte hai.Par aisa koi saadhan nahi jo uski rays ko itne saare Robots par aksaath daal sake. Parmanu ka dimaag tezi se chal raha tha aur phir kuch hi shhano mey Parmanu Sthaniye Akashvaani Radio Kendra kay studio mey baitha tha. Parmanu- Probot,Mujhe wo Jammer Transmit karke pahunchaiye. Parmanu nay jammer se nikle signals ko Akashvaani Radio Kendra kay transmeter se West Delhi kay uss sthan par aur uske aas paas kay shetro mey kendrit kiya jaha se Robots, Delhi ki taraf badh rahe thay aur wo sabhi robots Akashvaani kay shaktishaali transmeter dwara apni shamta se kai guna zyada badhaye gaye jammer kay signals se nishkriye ho gaye. Probot- Shabash,Parmanu......par tumhe jaldi hi inn manav roopi Robots aur unn Manavo ka koi sthaai hall khojna hoga kyoki jammer ka asar kuch hi minutes mey khatm ho jaayega. Parmanu turant hi udd chala West Delhi mey nishkriye pade insaan jaise Robots kay dher kay paas.Abhi Robots Delhi ki seema mey pravesh kar bahut aage nahi badh paaye thay.Parmanu nay sabhi Robots ko apni Parmanu rassi kay vishal jaal mey sameta aur tezi se udd chala East Delhi
ki taraf. Parmanu- Probot,ab East Delhi ki kya sthiti hai ? Probot- Parmanu,Ab tak unn brain wash huey asli manavo ki fauj Delhi ki bahari seema kay khet-khaliyaano se hoti hui aage badh rahi hai aur unhe kheto se nikalne mey zyada samay nahi lagega. Parmanu-Chinta mat karo,mujhe bhi waha pahunchne mey zyada waqt nahi lagega. Parmanu jald hi kheto ko pagalo ki tarah tezi se paar kar rahe kai manavo tak Parmanu Rassi kay vishalkaaye jaal mey nishkriye pade Robots kay saath pahunch gaya.Parmanu nay aksah se uddte huey hi kheto mey daudte unn manavo kay charo taraf Parmanu Rassi ki deewar bana di aur jaal mey kaid Robots kay hosh mey aane ka intezaar karne laga.Jald hi Robots ko hosh aa gaya jinhe Parmanu nay turant hi upar se uss unnchi mazboot Parmanu rassi ki deewar kay andar chhod diya jisme pehle se hi Brain Wash kiye manav deewar se bahar nikalne kay liye chhatpata rahe thay aur kosish kar rahe thay. Dono dal pehle to sthiti samajh nahi paaye aur phir unme daali gayi tabahi failane aur maarkat machane ki pravarti kay anusaar ek-doosre par hamla karne lage.Jald hi manavo ka dal mara gaya par manav dal mey kuch atamghati manavo kay honay kay kaaran kuch hi Robots bach paaye thay jinhe khatm karna Parmanu kay liye koi mushkil kaam nahi tha. Probot- Badhaai ho Parmanu,itni badi tadad par do taraf se badh rahi Tabahi ko tumne rook liya. Parmanu- Apne aas-pass doosre dal ko dekh maansik roop se vikshipt ye dono dal inki sammilit shakti kay saamne kamzoor Parmanu Rassi ki deewar se bahar nikalne ki kosish karne kay bajaye ak-doosre ko maarne mey lag gaye.Khush to mai bhi hun par itni badi chaal kaun chal sakta hai.....kahi wo aage bhi aisi kosish naa kare. Delhi kay paas sunsaan jagah par. Trendster- Oooffff, Meri saalo ki mehnat barbaad ho gayi.Wo Robots aur Insaano kay dal meri santaano jaise thay.Par Trendster nay itni jaldi haar maanni nahi seekhi.....Bahut dimaag lagaya tune Parmanu......Parmanu tujhe maarkar tera dimaag mai mere liye kaam karne waale scientists ki research teams ko gift karunga. Parmanu iss gehre shadiyantra ko rachne waale tak pahunchne kay liye bahut betaab tha aur shayad usne uss tak pahunhne ka hal bhi dhoond liya tha. Parmanu - Probot, West Delhi ki seema aur uske aas-paas lage Communication Towers aur Signal Towers ka uss samay kay aas-paas ka data (byora) dhoondhna padega jab Manav roopi Robotic Jhund ka hamla hua tha. Probot - Dhoondhne ki zaroorat nahi padegi kyoki mai apne Computers se kahi ka bhi byora nikal sakta hun,par tumhe uski kya zaroorat hai ?
Parmanu - Itna bada sangathit Robotic Dal jaha se bhi guzerega waha ya aas paas se signals preshit kar rahi machineo kay signals par gehra asar padega.Bas jis jagah kay towers mey ye fark dikhega uska vishleshan karke hum log uss sthaan kay paas pahunch sakte hai jaha se inn Robots ko bheja gaya tha. Vinay nay West Delhi kay kuch chinhit sthaano par gasht kiye jaha se signals preshit kar rahe towers kay signals mey gadbadi aayi thi.Par wo ek sunsaan elaka tha jaha door door tak koi nahi tha.Gehan chhaan been mey bas ek banjaaro ki basti mili jisse shak kay aadhar par giraftaar kar liya gaya. Jabki iss chhape mey bah gaya Trendster iss daav se tilmila gaya aur unn banjaaro ko chhudvane kay liye usne apni sabhi bache aadmi bhej diye. "Boss,aapne saare bache log bhi unn aap unn banjaaro ko chhudane bhej diye,aap unke liye itne pareshaan kyu ho ?" Trendster - Kyoki wo mere apne hai. Aur phir Trendster yaadon mey doob gaya aur apna ateet bayan karta chala gaya. Trendster - Ye Banjare nahi hai ye Satpura jungleo kay mashoor Daksh Kabile kay bache huey sadasya hai jo ab Banjaro ki tarah rehne par majboor hai.Iss kabile ka mai sardaar hun.Humari sangathit aur suniyogit pranali se hum logo nay chhote se sthaan par kai saadhan juta liye thay aur humari ek samradh vyavastha aur vijyaan tha.Duniya ki nazar abhi hum par nahi padi thi par dheere-dheere vikaas kay saath log humare kabile tak pahunche.Sarkar nay humari zameen ka adigrahan karke hume muavza dene ka vaayda kiya par kai laalchi logo kay kaaran wo muavza hum logo ko kabhi nahi mila aur hum log dar badar bhatakne ko majboor ho gaye.Bina sansadhano kay humare kabile kay kai log maare gaye aur bache wo bajare ban gaye.Tab tak hum sabke dilo mey iss desh kay liye nafrat ka sailaab vikraal roop le chuka tha.Hum sabne mey desh kay kai hisso ko asthir karne ka parnn liya aur iss kaam mey humare paas tha humara pracheen unnat vigyaan aur bada banjaaro ka dal.Unhi ki madad se maine Manav roopi Robots, Brain Wash kiye huey manav tayyar kiye. Mera naam Mohit hai par Police record mey mera naam Trendster likha hai jo apradh ko sabse alag tareke se karta hai aur phir gayab ho jaata hai.Mujhe mere apno ko chhudana hi hai har haal mey.
Vinay Banjaro ki uss poori tooli ko Police thane laa chuka tha jinki zyada tadad honay kay kaaran jail bhar gaya. Hawaldar Baand - Danush Sir ji, dekhiye Vinay sir ji itne saare banjaro ko pakadkar laayein hai....aisa karne se shayad inke promotion mey faayda hoga. Inspector Danush - Arre nahi...nahi....Inspector Vinay ko shayad banjaro ka naach gaana dekhne
ka shauk chadha hoga. Vinay inn baaton ko nazarandaaz kar unn banjaro se pooch taach karne mey jutt gaya par ye poochtach zyada dair tak nahi chal paayi kyoki ek hawaldaar khabar lekar aaya. "Sir....Kai logo nay thane ka gheraav kar liya hai aur unki maang hai ki inn sabhi banjaro ko turant chhoda jaaye." Inspector Dhanush - Inspector Vinay, Mai to pehle hi keh raha tha.....dekho tumhari wagah se kitna jhameela khada ho raha hai. Vinay ki samajh mey nahi aa raha tha ki banjaro ki rihaai kay liye itni jaldi aur itne saare log kaise aa gaye. Vinay nay opchariktaaon ka bahana banakar sthiti ko dheema kiya. Iss Dairi se bheed aakroshit ho gayi aur unhone Police quaters ko gher liya jaha police waalo kay parivaar thay aur ab tak ek sadharan se lag rahe jansamooh kay haatho mey ghatak hathiyaar nazar aane lage. Thane ki upari manzil se Inspector Vinay unhe samjhane ki kosish kar raha tha par bheed kuch bhi sunne ko tayyar nahi thi. Itna sab aur bheed kay haatho mey hathiyaar dekhkar sabhi ko pata chal chuka tha ki ye banjare kisi hinsak girooh kay sadsya hain jinko inke saathi chhudane aayein hai aur shayad shehar mey ho rahi arajakta kay peeche inhi logo ka haath hai. Aakhirkaar, Vinay Police waalo kay parivaaro ko bachane kay liye Inspector Vinay nay sabhi Banjaro ko riha kar diya. Halaki, kisi nay iss nirnay ka viroodh nahi kiya par sabhi police waale itne saare apradhiyon ko khula chhodne se niraash thay. Iss beech Vinay apni police ki vardi kay neeche maujood parmanu belt ka ek button daba chuka tha. Sabhi banjare chhote chhote gutto mey bantkar Delhi kay alag-alag elako mey mil gaye taaki unke baare mey kisi ko pata naa chale aur wo sabhi bach jaaye. Kuch hi dair baad Vinay, Parmanu bankar tezi se aakash mey parvaaz kar raha tha. Probot - Parmanu tumne unn banjaro ko riha karte waqt kya kiya.....mai samajh nahi paaya....tumne pehle kabhi aisa nahi kiya. Parmanu - Maine apni Parmanu urga ke sukhshma parmanu kan (atoms) ki barsaat se unn sabhi banjaro aur unke saathiyon ko nehla diya jisko wo aankhon se nahi dekh sakte. Yaha door-door tak koi commercial atomic plant ya atomic power station nahi hai. Ab jahan jahan meri belt aise sukhshma kano kay bhandaar ko trace karegi unn logo ko mai pakad lunga. Probot - Lagta hai ab to mai bas tumhari belt charge aur manoranjan karne waala Robot bankar reh jaaunga. Parmanu - Aisa kabhi mat sochiye, ab aap hi to mere apne bache hai iss duniya mey. Jald hi Parmanu nay sabhi Banjaro hi nahi balki unhe chhundane aaye unke saathiyon ko Delhi kay kai elako se giraftaar kar liya. Trendster apni iss haar se tilmila gaya aur ab usne akele hi Delhi ko tabah karne aur apne saathiyon ko chhudane ka prann liya.
Parmanu dwara banjaro kay saath pakde gaye unko chhudane aaye saathiyon se bhaari maatra mey ghatak hathiyaar mile thay jinka isteymaal peechle dino shehar mey huey Dango aur arajakta mey hua tha. Sabko laga ki shehar ab surakshit hai aur sabhi sangathit arajak tatva pakde jaa chukein hai. Delhi mey ab aisi ghatnayein bhi khatm ho gayi jiss se sabko vishvaas ho gaya ki inn banjaro ki toli nay hi shehar ko asthir kiya tha. Idhar Delhi aur aas paas kay elako mey Hindu Dharm kay mukhya do gutt ban rahe thay. Ek taraf Bhagwan Brahma kay samarthak thay aur ek taraf Bhagwan Shiv kay. Inn dono hi gutto kay pracharak aur samarthak jagah jagah ghum rahe thay. Iss zabardast prachaar kay liye har saadhan ka prayog kiya ja raha tha. Dheere dheere Delhi aur aas paas kay kai elako mey Hindu dharm mey inn do Mahadevo kay naam par daraar aane lagi aur Hindu dharm ko maan ne waale vibhajit ho gaye. Kai jagaho par sthiti vikat honay lagi aur inn dono devtao kay samarthako mey hinsak jhadapo ki khabarein aane lagi. Police, Prashashan aur yahan tak ki Parmanu ko bhi abhi tak kisi shadiyantra ki bhanak nahi lagi. Jabki yaha Trendster apne shadiyantra ki shuruati safalta par phoola nahi sama raha tha. Trendster inn kuch mahino mey apne padosi kabilo mey jaakar waha kay logo ko behla fuslakar aur khushhaal jeevan ka laalach dekar phir se apna bahut bada girooh tayyar kar chuka tha aur ye hi wo log thay jo jagah jagah Bhagwan Brahma aur Bhagwan Shiv ka bhadkaau prachaar kar rahe thay. Yaha tak ki Trendster nay dono gutto kay pracharako ko aise tathyo ka bhandaar aur bhadkaau samagri di jisme unke devta ko achcha bataya gaya aur doosre dev ko unse kamtar bataya gaya, saath hi unke samarthako ko galat jaankariyo se gumraah kiya jaane laga. Khaaskar Grameen aur peechde elako ki badi aabadi to aasani se aise pracharako ka nishana ban rahi thi aur inke dwara isteymaal ki jaa rahi thi. Trendster apne pracharako kay saamne har tathya ko samjha raha tha. Trendster - Saathiyon, mai Daksh kabile ka sadasya tha aur aaj uss kabile kay zyadatar sadasya Satpura mey maare jaa chukein hai aur bache hue sadasyo ko yaha bandi bana liya gaya hai. Hume iss desh ki sarkaar aur iske logo se badla lena hai kyoki aaj nahi to kal issi tarah sabhi kabile aur khatm ho jaayenge. Iss desh ko badalna hai to yaha kay prashashan ko hi badalna hoga saath hi yaha ki janta ko hum logo ki ahmiyat bhi batani hogi. Bharat kay 85% log Hindu hai isliye pehle iss dharm ko todna zaroori hai jiski shuruat aap log Delhi aur aas paas kay shetro mey kar chukein hai. Issi tarah dheere dheere Bharat ko todna hoga. Kai logo nay ek shanka utthayi. "Par Hindu dharm ko to unke kai (33 Crores) devtao kay anusaar baanta jaa sakta hai to phir unhe baantne mey Bhagwan Shiv aur Bhagwan Brahma ka hi sahara kyu liya gaya. " Trendster - Itne bade Dharm kay 2 se zyada gutto mey baantne se logo mey brahm ki sthiti paida ho jaayegi jiss se sthiti pehle jaisi hi rahegi, aur phir aisa bhi ho sakta hai ki 2 ya zyada gutt kuch kamzoor gutto kay khilaaf khade hokar unhe turant hi daba de. Itne saare pracharako ki fauj khadi karne mey bhi bahut lamba samay lagega. 2 gutto ki seedhi takkar mey hi iss desh ki buniyaad Sanatan Dharm (Hinduism) ko sabse zyada nuksaan pahunchega..........aur dheere
dheere bina hathiyaaro kay iss desh ki shashan satta badal denge. Ab Hindu Dharm mey padi ye daraar desh kay kai shetro mey faill rahi thi. Desh hinsa se ghir raha tha aur Delhi mey phir se hinsa ka daur dekhkar, apradhiyon ki karyapranali aur unke sambhavit maksad kay baare mey sochkar Vinay ko iss gehre shadiyantra ki bhanak lag gayi thi. Kyoki pehle ki tarah ab bhi iss sab ki shuruat Delhi se hui thi isliye usne Banjaro se sakhti se pooch tachh ki jiske baad usse bas Trendster ka naam, uske mansubo aur wo ye sab kyu kar raha hai, pata chal paaya....iss se zyada kisi ko kuch nahi pata tha. Trendster Bharat ki aabadi kay ek bade hisse kay dilo dimaag mey apne prachaar se ye baat bhar chuka tha ki Bhagwan Brahma jo sabhi jeevo ki utpatti kartein hai aur Bhagwan Shiv jo sabhi ka sanhaar karte hai Hindu dharm kay 2 stambh hai aur inhi kay anusaar Hindu Dharm ka vibhajan hona chahiye. Yaha tak ki wo ek achook Computer Program bhi bana chuka tha jo inn devtao kay gun, shaktiyon kay anusaar inhe sabse upar dikha rahe thay. Sabhi mey ye baat faill gayi ki aadhunik takniki vishleshan bhi inn dono ko hi Hindu Dharm ka paryay maanta hai. Baaki kaam Trendster kay bina kiye ho gaya kyoki ab log apne chune mahadev kay anusaar apna alag dharm bana rahe thay. Hindu Dharm ab "Brahma Dharm" aur "Shiv Dharm" mey banntne laga tha. Parmanu jaanta tha ki ye sab kaam Trendster ka hai. Par desh kay itne bade hisse tak badh chuki iss brhanti nay usse zyada pareshaan kiya hua tha. Apne hi bhatke huey desh vaasiyo par wo sakhti nahi kar sakta tha aur upar se uss Computer program nay iss brhanti par aadhunik vigyaan ki mohar laga di thi.....issi wagah se hi yuvao ka samarthan bhi milne laga tha ek bade dharm kay vibhajan ko. Trendster nay challenge diya tha ki uska ye program achook hai aur koi isse galat saabit nahi kar sakta. Parmanu asahay tha kyoki pehli baar naa to usse saamne koi dushman nazar aa raha tha aur ye samasya ab desh kay kai hisso mey faill chuki thi. Parmanu baithakar sochne kay alawa kuch nahi kar sakta tha kyoki itni saari jagaho par eksaath hona namumkin tha. Uska shehar......uska desh jal raha tha....aaj se pehle Parmanu kabhi itna nahi tadpa tha.....uski chhatpatahat se Probot bhi anjaan nahi tha....par shayad ab wo bhi kuch nahi kar sakta tha. Parmanu gehan chhan been aur adhyann mey jutt gaya. Parmanu iss umeed mey tha Trendster kay banaye uss program mey kahin koi chuk hui ho. Usse maloom tha ki wo jitni dair karega uske desh ko utna hi zyada nuksaan hoga. Iss kaam ki sahi aur poori jaankari jutane kay liye wo Probot ki lab kay Super Computers aur unke database ki madad le raha tha. Parmanu kay chehre par dradhta bata rahi thi ki usne iss Program ki kami dhoond li hai aur wo uss disha mey tezi se kaam kar raha tha. Aakhirkar ghanto ki mehnat kay baad Parmanu ka kaam khatm hua. Probot - Kya tumne uss Program ki kami dhoondkar uska todd nikal liya hai Parmanu ? Parmanu - Haan, ab jald hi kum se kum iss andhvishvaas kay khatm honay ki shuruat hogi. Probot - Ye to bahut khushi ki baat hai tumne uss naa dikhne waale dushman ki kami kaise khoj nikali ? Parmanu - Ye ek anokha program hai. Ye Hindu mythology par aadharit ek 'Logic Bomb' hai
jisme tathyo ko adhure aur galat tareke se dikhaya gaya hai taaki log iss galat dhaarna par aasani se vishvaas kar sake. 'Logic Bomb' ek aisa program hota hai jo aadhe adhure, galat, tathyo kay saath banana waale ki manchahi baaton ko sahi batata hai. Probot - To tumne iss 'Logic Bomb' ki kami kaise dhoondi ? Parmanu - Aap lab mey Super Computers kay saamne baithey hai, khud verify kar lijiye. Probot kay Computers mey Trendster ka banaya Logic Bomb Program maujood tha aur ab usne Parmanu kay banaye huey Counter Logic Bomb ka vishleshan shuru kiya. Trendster ka Program galat saabit hua aur aakhir mey screen par Parmanu kay program ki safalta ka saar bhi nazar aa raha tha jo Probot kay saare sawalo ka jawab deta chala gaya. Trendster dwara banaye gaye program kay anusaar Bhagwan Shiv aur Bhagwan Brahma hi Hindu Devtao mey sarvopari hai kyoki Bhagwan Brahma sabhi jeevo ki uttpatti karte hai aur Bhagwan Shiv sabhi kay sanhaar ya mrityu kay devta hai. Inhi do kaarano se sabhi jeevo ka jeevan charka chal raha hai. Parmanu kay anusaar agar Trendster Bhagwan Shiv aur Bhagwan Brahma ko unke karyo aur sabhi Hindu devtao se sarvopari aur aapas mey barabar bataya hai to wo ek bahut badi galti kar gaya hai. Agar uske program kay anusaar Bhagwan Brahma aur Bhagwan Shiv barabar hai to manav jeevan mey Bhagwan Vishnu inn dono devtao se lagbhag 2050000000 guna zyada mahaan hai kyoki janm dene aur mrityu mey 1 second ka samay lagta hai jinki dekh rekh Bhagwan Shiv aur Bhagwan Brahma karte hai. Par sadharantah iss beech jo 65 se 70 saal ka jeevan manav jeeta hai unn 2050000000 seconds mey manav ka paalanposhan aur dekhbhaal Bhagwan Vishnu hi karte hai. Har jeev kay dwara jiye gaye jeevan kay anusaar Bhagwan Vishnu ka mahatva badalta rehta hai. Ye to shastro mey bhi varnit hai ki paalne waala jeevan dene aur maarne waale se bada hota hai. Saath hi dharti par paapo kay naash kay liye samay samay par Bhagwan Vishnu avatar lete rehte hai. To kya Bhagwan Vishnu sarvopari devta hai. Nahi, ye teeno param dev (Brahma, Vishnu, Mahesh) ek doosre ko aardhya maante hai.Suradshan charka Bhagwan Vishnu nay Bhole Shankar ki aardhna kar hi parpt kiya tha aisi aur bhi bahut si prachlit kathayein hai. Isliye ye ek doosre dwara diye gaye vardaano ko kabhi nahi kaat te hain. Isliye ye teeno dev barabar hai aur hume sabhi devi devtao ko pujya maan na chahiye. Isht Dev maan na grantho mey dharmsangat hai par kisi devta kay naam par alag dharm nahi. Probot - Waah, Tumne to kamaal kar diya Parmanu. Ab Bharat ki dikkat kaafi hadd tak theek ho jaayegi. Parmanu - Kaam abhi baaki hai, kyoki iss program kay alawa bhi Trendster nay lambe samay se galat prachaar karvaya hai. kai aise bhi log hai jo Trendster dwara faillayi gayi galat dhaarna ko pehle hi samajh chuke thay ab aise hi logo ko saath lekar Trendster ki tarah hi prachaar karna hoga aur logo kay dilo dimaag mey basi inn dharm aur desh viroodhi bhaavnaao ko nikaalna hoga. Abhi ye kaam tumhe karna hoga kyoki abhi mujhe Inspector Vinay banker Trendster kay sabhi pracharako ko giraaftaar karna hai. Probot- Wo sab to theek hai, Par Trendster ek baar phir se aisi kosishein kar sakta hai.
Parmanu - Ab nahi....ab wo kuch nahi kar paayega. Inspector Vinay nay electronic servilance kay zariye bahut pehle se hi Trendster ki khoj shuru kar di thi par jab tak wo Trendster kay thhikano ko trace kar unn tak pahunchta tha tab tak Trendster apna thhikana badal chuka hota tha. Isliye iss baar Inspector Vinay kay roop mey wo Trendster ki galat baaton ka prachaar kar rahe sabhi pracharako ko giraftaar kar leta hai. Inn sabhi bandi banjaro aur Trendster kay pracharako ko kadi nigraani mey rakhne ka nirdesh dekar Inspector Vinay waha se chala jaata hai. Trendster kay program kay galat honay ki pushti Bharat bhar mey faill chuki thi, saath hi uske sabhi saathi phir pakde jaa chuke thay. Halaki, Trendster kay mansube poori tarah safal nahi hue thay par ab tak wo Bharat ka kaafi nuksaan kar chuka tha. Iss baat se utsahit hokar bina samay gavaye Trendster Satpura kay jungleo mey phir pahuncha jaha usne phir se waha kay kabile se logo ko apne liye kaam karne kay liye ekkhata karna shuru kiya par uske iss kaam ko beech mey hi Parmanu nay roka. Trendster - Parmanu, tum yaha......par tumhe kaise pata chala ? Parmanu - Batata hun Mohit urf Trendster, Jab tumhare sabhi Banjare saathi pakde gaye tab phir se tumne apne liye kaam karne waale bahut se pracharako ko tayyar kar liya. Unke baare mey chhann been karne par pata chala ki wo Delhi kay nahi thay. Tumhare banjare saathiyo se ye to pata chal hi gaya tha ki tum Satpura kay Daksh Kabile kay sadsya ho. Dobara tumhare sabhi pracharako ko pakadne ka matlab tha ek baar phir se apna girooh banane kay liye tumhara Satpura kay kabilo ki khaak chhann na. Tumhari aur tumhare sabhi saathiyo ki saza arajakta aur shanti bhang karne kay liye lambi hogi. Ab jail mey apne saathiyo ko ye kisse-kahaniya sunana. Tumhe batate hue khushi ho rahi hai ki tum Bharat kay pehle vyakti ho jisko nayi bani Cyber Crime ki dharao kay tehat 'Data Diddling' , 'Data Manipulation' , 'Hacking' ,'Cracking' , aur shayad Cyber Crime ki bachi hui saari dharaye eksaath lagengi jinke naam mai tumhe Police Station mey confirm karva dunga. Parmanu kay ek hi vaar mey Trendster ko behoshi ki duniya mey pahuncha diya. Parmanu - Mai itni tayyariyon kay saath aaya tha aur ye itni aasani se pit gaya....tabhi ye har baar apna girooh banane ki jaldi mey rehta tha....yaani Principal aur Grand Master Robo bhi....ha ha Parmanu nay Trendster ko jail pahunchaya. Samay kay saath dheere dheere zimmedaar nagriko, swayam sevi sansthao, sanchaar madhyamo aur Probot, Parmanu, ki mehnat se Trendster kay prachaar se faili galat dhaarnaaye aur baaton ko aam janta kay mann se nikal diya gaya. The End
5. Transmit (2007)
Ak sanki scientist apne hi do bachcho (Neeraj aur Sunil) par bahut atyachaar karta tha aur usne unn dono par experiment karke unke Atomic Structure ko viksit kar diya jiss se uske dono bachcho ko kuch dair tak gayab ho sakne ki shakti prapt ho gayi. Thoda bada honay par unn dono ko apni iss shakti ki ahmiyat pata chali.Apne pita kay atyachaaro ka jawab ak din unn dono nay unhe jaan se mar diya.Apne khatarnak mansoobo kay saath unhone Delhi shehar ko lootna shuru kiya. Loot aur chori ki baad ka ye silsila badhta gaya.Inspector Vinay nay unhe pakad hi liya tha ki wo gayab ho gaye.Itne dino mey pehli baar koi Police waala unhe pakadne mey safal hua tha par aise pakadne aur naa pakadne mey koi antar nahi tha.Aisa kai baar hua ki Parmanu ko dekhte hi wo dono lutere gayab ho gaye aur Parmanu haath malta reh gaya. Parmanu ab satark tha aur Probot se usse jald hi khabar mili ki ak johri ki dukaan par shaanti to thi par waha ka secret alarm jo police station aur Probot ki lab se judda tha baj raha tha.Parmanu waha pahuncha to usse 2 sadharan se vyakti dukaan kay andar sabhi ko aadesh dete huey se lage. Parmanu kay andar aane par wo dono gayab ho gaye Parmanu bhi uss dukaan kay akmatr darwaze par Transmit ho gaya.Transmit ho chuke Parmanu ko apne shareer kay kano(Atoms) kay paas do sanghathit adrashya kano ki aakritiya dikhi.Parmanu nay apne bracelet kay atoms ko unme se ak aakriti(Neeraj) kay bahari hisse kay atoms mey mila diya aur jab wo aakriti kuch dair baad reform hui (apne asli roop mey aayi) to Parmanu ka bracelet uske kandhe me dhasa hua tha aur wo dard se tadap raha tha.Parmanu ko bharpoor vaar karne ka mauka mil gaya aur pehle se hi apne gehre zakhm se tadap raha Neeraj behosh ho gaya. Iss beech Sunil bhaagne mey safal ho gaya tha.Sunil ka gussa saatve aasmaan par tha. Wo apne bhai ko chhudana chahta tha par pehle wo Parmanu se badla lena chahta tha.Kuch dino baad apni niyamit ratri gasht par nikle Parmanu ko peeche se zor ka aaghat laga aur wo ladkhadata hua neeche gir pada.Parmanu nay charo oor dekha par usse kahi kuch nahi dikha aur wo samajh gaya ki adrashya Sunil hi ye kaam kar sakta hai.Parmanu nay bhi Transmit honay mey ak pal bhi nahi gavaya aur usse phir Sunil kay atoms ki sangathit aakriti dikhne lagi.Par iss baar Sunil satark tha aur Parmanu kay Transmit ho chuke roop kay peeche se vaar kar raha tha.Adrashya roop kay iss yuddh mey Parmanu ko haani pahunch rahi thi kyoki Sunil to bachpan se iss roop mey lambe samay tak rehne ka aadi tha par Parmanu apne iss roop mey apni koi shakti isteymaal nahi kar paa raha tha. Parmanu agar reform hota to wo apne zakhmo ki ginti naa kar paata.Wo soch raha tha ki Transmit hokar usne apna bhala kiya hai ya bura.Parmanu dheere-dheere maut ki taraf badh raha tha aur Probot bhi Parmanu ki madad nahi kar paa raha tha.Tabhi Parmanu nay kuch aisa kiya ki jab agli baar Sunil nay Parmanu par chhupkar vaar kiya to usse chhute hi kuch palo baad
Parmanu aur Sunil aksaath reform huey.Halaki,Parmanu bhi buri tarah zakhmi tha par Sunil kay shareer par kai jagah infection ho gaya tha aur uske mooh se jhaag nikal rahe thay.Parmanu nay usse gambhir haalat mey hospital mey bharti kiya. Probot jaan na chahta tha ki Parmanu nay Sunil ko kaise bebas kiya.To Parmanu nay usse bataya ki usne apni belt aur dress ki lagbhag saari nuclear energy uske chhute hi apne uss sthan par sthanatrit kar di aur nuclear atoms Sunil shareer kay atoms se mil gaye.Parmanu kay paas to apne shareer ki raksha kay liye nuclear energy ko control karne kay liye ak yantra tha par Sunil ka sadharan shareer inn khatarnaak atoms ko jhel nahi paaya aur Parmanu ko chhute hi uski ye haalat hui. The End.
6. Lethal Lazers (2007) Bharat pehle se hi videsho ki missiles aur bade hathiyaaro kay daayre mey tha aur ab Dushman desho nay atyadhunik "Satellite Guided Lazer" jo antriksh se dharti kay kisi bhi hisse par ghatak Lazers ka hamla kar sakne me sakhsham hoti thi ka viksit roop ijaad kar liya tha jo antriksh se hi Bharat kay kai hisso mey ak saath tabahi macha sakta tha. Inn baato ko dhyaan mey rakhkar Bharat kay vaigyaniko kay ak dall nay din raat ak karke poore Bharat ko har samay lazer rays kay jaal sey surakshit rakhne kay project par kaam karna shuru kar diya jiska naam rakha gaya "Lazer Net". Iss lazer Net ko energy dene kay liye Solar Energy ka isteymaal kiya jaa raha tha aur raat kay samay kay liye bhi solar energy kay upyukt bhandaran ki vyavastha bhi ki gayi thi.Inn sab baato se videshi bhi bekhabar nahi thay aur jald hi iss project par kaam kar rahe sabhi vaigyaniko ko ak bomb dhamake mey maar diya gaya.Halaki,Bharat ko lazer kirno se dhakne ka project kaafi hadd tak poora ho chuka tha par lazer kirno ka wo jaal bahut kamzoor tha. Probot nay iss project ki dekh raikh ka zimma utthaya par wo bhi lazer rays kay jaal ko mazboot nahi kar paa raha tha kyoki iss project ka saara gyaan iss se judde vaigyaniko kay marne kay saath hi khatm ho chuka tha kyoki ye ak atyant gupt project tha aur iss kaaran vaigyaniko nay
saari baatien khud kay dimaago tak hi simit rakhi thi aur unka kahi bhi ullaikh nahi kiya tha. Project se judde sabhi logo ko maarkar dushman desho kay hoonsle bulandi par pahunch gaye aur unhone jung ki shuruat karte huey Bharat ki rajdhani Delhi par ak saath kai missiles ka hamla kiya.Kamzoor Lazer Net ak bhi missile ko nahi rook paaya.Lekin Parmanu aur Bhartiye Sena nay sabhi hamlo ko naakaam kar diya.Par khatra abhi tala nahi tha,Raksha Agencies ko pata chala ki ab bharat par ak saath missiles aur Satellite Guided Lazer ka hamla hoga taaki Parmanu bhi aksaath huey inn hamlo ko naa rook paaye. Probot ka vishvaas ab "Lazer Net" se utth chuka tha, Sarkaar nay bhi deshvaasiyo ko aapaatkaalin sthiti kay liye tayaar honay ka sandesh diya. Sabhi log darre huey thay aur Vinay Probot ki lab mey uss se vichaar vimarsh kar raha tha.Bhartiye Sena bhi yuddh kay liye apni kamar kass chuki thi.Parmanu nay antriksh mey jaakar unn satellites ko bekar karne ki kosish ki par unke charo taraf bhi pehle se hi solar net laga hua tha jiske paar Parmanu ki koi shakti nahi jaa paa rahi thi.Isliye Satellites ko nishkirya karne ki yeh yogna vifal ho gayi. Jabki idhar hamla ho bhi chuka tha.Dushman desho ki missiles aur Satellite Guided Lazers ka hamla ho chuka tha par Parmanu pehle ki tarah sirf missiles kay hamle ko rook raha tha.Guided Lazers par usne dhyaan nahi diya tha.Hamla asafal ho gaya........jabki Parmanu nay sirf Missiles ka hamla hi vifal kiya tha.
Sabhi kay liye ye ak aashcharya tha ki Satellite Guided Lazers ka hamla safal kyu nahi hua.Ye hamla kaise vifal hua Probot isko sarvaganik nahi honay dena chahta tha taaki dushmano ko Bharat kay iss bachaav abhiyaan ka pata naa chal paaye aur bhavishya mey wo isko dhyaan mey rakhkar koi doosri chaal naa chale.Probot nay raksha vibhaag ko bheji apni gupt report di jisme usne bataya ki hamle ki khabar sunkar wo niraash ho gaya aur phir Parmanu nay usse salah di jisme usne Probot ko samjhaya ki Poore Bharat mey faila Lazer Net kamzoor tha par radar par kai jagah ho rahe lazer hamle ki chaitavni kuch seconds pehle hi mil jaati hai aur inhi seconds mey wo Lazer Net ko poore bharat se hatakar sirf unn sthano aur unke aas paas ki jagaho par kaindrit kar deta tha jaha ki tarah antriksh sey Lazers aa rahi thi. Jis se uss Lazer Net ka ghanatva(Density) aur hamla sehne ki shakti pehle sey kai guna badh jaati thi aur wo Lazer hamlo ko aasani se rook leta tha.Lazer Net Super Computer chaalit tha jisse khud Probot operate kar raha tha isliye har nirnay miliseconds me liya aur laagu kiya jaa raha tha jis sey har lazer hamle se kuch seconds pehle hi uss sthaan aur uske aas paas kay shetro par lazer net lag jaata tha.Agar ak saath kai lazer kirno kay hamle bhi hotay thay tab bhi Lazer Net ki karya shamta par zyada asar nahi padta tha kyoki wo kuch sthaan jin par hamle aksaath hotay thay poore desh kay muqable bahut chhote thay. Baaki missiles kay hamle to Parmanu aur Bhartiye sena nay pehle ki tarah sambhal liye thay.
Ab tak Parmanu nay bhavishya mey inn hamlo ko taalne kay liye bhi ak hall nikal liya tha.Antriksh mey jaakar Parmanu nay unn sabhi satellites ko apne Parmanu chhallo kay aavran se dhakk diya aur phir unn sabhi Parmanu chhallo se dhakki satellites ko apni shakti se prithvi ki kasha kay bahar sudur antriksh mey bhej diya.
The End
7. Danger (2006)
DATE- 7 DECEMBER TIME- 12:30 A.M. BRAHMAND RAKSHAK ke head quater par TIRANGA AUR SHAKTI ke liye PARMANU ne ek message chodda tha. "Mai kuch dino tak dilli ki raksha nahi kar paunga isliye ab tiranga aur shakti ko hi dilli ki raksha ki poori jimmedari leni hogi, shayad mai laut kar na aa paun to hamesha ke liye yeh kaam unn dono ko karna hoga, VIDA DOSTO." 1 HOUR EARLIER - (11:30 A.M.) "ARRE, Inspector ab to peecha chhod ab hum delli ke border ko par kar chuke hai." "Tum, jab tak Bharat ke andar ho tab tak INS. VINAY ki seema ke andar ho,tumhari pehli galti yeh hai ki tumne mere area mey bank loota hai, aur doosri galti yeh hai ki tum log bike se bhaag rahe ho, mujhe sarkari barood fezzul kharch karne ki aadat nahi hai, DHOOM jaise movies ne tum jaise yuvao ka dimag kharab kar diya hai." INS. VINAY ne gooli chalai jo motorcycle ke pichle tyre par laagi , jiss se bike aniyantrit hokar
durghatnagrast ho gaayi. AB vinay ka kam khatam ho gaya tha aur AMBULANCE ka unn dono ghayal badmasho ko haspital le jaane ka kaam shuru ho gaya. Tabhi probot ki aawag transmeter se goonji, "PARMANU....PARMANU kya tum mujhe sun rahe ho." "Haan ,PROBOT, ab kise meri madad ki jarurat hai." "Mujhe parmanu, yaha, jaldi lab me aa jao....." "Probot.. Probot jawab do kya ho raha hai lab me,ooh lagta hai sampark tuut gaya hai." PARMANU badhawas sa lab me phahucha , poori lab tahas nahas ho chuki thi,probot nirgiv(bina harkat) apni seat par beetha hua tha, uski special battries kisi ne nikal li thi. Probot ki ungli ak aur isshara kar rahi thi, uss aur dekne par parmanu ko ak time bomb dikha giske fatne mai 9 seconds bache theey ,PARMANU PROBOT ko lekar ghar se bahar udd chala, AUR AK DHAMAKE KE SAATH PARMANU (VINAY) KA GHAR DWAST HO GAYA. PARMANU ka dimag saaye-saaye bol raha tha, niskirya Probot ko dekhkar wo bhavuk ho uttha,iss sab ke peeche kiska haath tha ye Parmanu ko jyada sochna nahi pada , ak hi naam parmanu ke jehan me aaya uske mama KK yani kamal keshav , jo ab apradh ki duniya me chala gaya tha. parmanu kya kare yeh usse sujh hi nahi raha tha. PARMANU ro rokar nirjeev pade PROBOT baate kar raha tha, "Aap theek ho jaoge, mai khud aapki battery banaunga, ab hum iss samasya ka sthai haal nikalne taak yaha se bahut dur chale jaenge. PARMANU PROBOT KO LEKAR KAHI "DOOR" UDD CHALA. USSI SAMAY DELHI MEY AK ANJAAN STHAAN PAR -> "KK , mere dost maine tumhara kaam kiya, ab tumhe mera kaam karna hoga." KK - Kya....woh marr gaya ? "Uss bomb ki shock waves ne poore bunglow ko saafa chat kar diya, waise yeh kaam to tum khud kar sakte thay, YEH KYA TU RO KYU RAHA HAI , apne bhateje se itna hi pyar tha to usse marvaya kyu ?" KK - BIRLA, aaj mujhe akela chhod do, kal aakar tum mujhe apna plan
samjhana mai wo kam zaroor karunga. BIRLA - Theek hai.....theek hai, mai kal aaunga, kal tak shayad tu sahi ho jaaye.
ROOP NAGAR -> DATE - 8 DECEMBER TIME- 10 AM ROOPNAGAR, jaha raat kay waqt log chainn ki neend soote hai, kyoki koi bhi apradh hone par ak murda (ANTHONY), apradhiyo ko saza dene aa jaata tha, par din ke samay kuch apradhiyo ke housale buland hote hai. VINAY PROBOT KO LEKAR ROOP NAGAR AAYA THA. "Jo bhi darwaje par ho usse bahar se hi tarka de, varna tere bacche ki gardan uski body se alag kar dega, apun" Yeh awaze bahar khade Vinay ne sun li thi "Kaun hai bahar , bolti kaai ko nahi." "K....koi nahi , koi nahi hai." "Jhoot bolti hai sa***, ab tera beta to gaya" Iss se pehle ki uss badmash ke haath koi harkat karte dono badmasho ke haatho aur pairro par do-do goliya lag chuki thi, yeh goliya khidki me se Vinay ney chalai thi. Thodi dair me DCP ITIHAS bhi khabar pakar aa chuka tha. Yeh ANTHONY ka ghar tha. VINAY ney KING aur MARIA ki jaan bachai thi. Jaate - jaate ak badmash ney kaha, "Abe maa ka doodh piya tha to saamne aakar goli chalata, kayaro ki tarah goli kyu chalai ?" VINAY- "Jo khud bachche ko bandhak bana kar ghar loote, usse dusaro ko bahaduri ka paath nahi padhana chahiye."
ITIHAS- " Naujawan, tumne iss bachche ko bachakar mujh par hi nahi poore Roopnagar par bahut bada ehsaan kiya hai, tum iss shehar mey naye lagte ho , batao hum tumhara ehsaan kaise chuka sakte hai. Yeh kya koi ROBOT hai."
VINAY apni asliyat chupana chata tha to usne apna parichay kuch iss tarah diya"Mai modeling karta hu, Roopnagar, MUMBAI ke paas hai to mai yahan kaam ki talash mai aa gaya, yeh robot mere mama ji ne banaya hai jo ab iss duniya mai nahi hai, bandook bhi mai unke issi avishkaar ko bachane ke liye saath rakhta hu. Mujhe rehne ke liye jagah ki zarurat hai." MARIA- Aapne ek saath hum par itne ehsaan kiye hai, aaj se aap barso se khali paade mere PAPA kay room mey rahenge. PRINCE AUR KING BHI ISS NAYA MEHMAAN KE AAGMAN SE KAAFI UTSAHIT THAY. KING ne PRINCE kay saath milkar ek hi din me Vinay ko pura Roopnagar dikha diya. VINAY ko bhi ANTHONY ki zindagi ke baare mey kaafi kuch pata chala. DATE -8 DECEMBER PLACE- SOMEWHERE IN DELHI KK, ab samanya ho chuka tha, BIRLA, usse apna kaam samjha raha tha. BIRLA-"Dekh bhai, KK , Tu khud ek scientist hai tujhe kya samjhana, tu bas yeh samajh le ki mai ek bahut bade "NUCLEAR PROJECT", par kaam kar raha hu, jiske liye mujhe chahiye "URANIUM" bhari matra mey, bharat me ROOPNAGAR namak sthan par vaigyaniko ko URANIUM aur dusare RADIOACTIVE MATERIALS, ki bhari matra ka pata chala hai. Tumhe ROOPNAGAR ko mere liye khali karvana hai, mere khayal se ROOPNAGAR jaise chhote shehar ko khali karvana tere liye chutkiyo ka kaam hai. Ab to Parmanu ki tension bhi khatm ho gayi tere dimaag se. KK - TU, KHUD bhi to Roopnagar ko khali karva sakta hai. Tere paas bhi to kai khatarnak aadmi aur "MASS DESTRUCTION" ke hathiyar hai. BIRLA- LAGTA hai ki bhateje ki maut se tu hil gaya hai, agar mai "MASS DESTRUCTION" ke hathiyar isteymaal karunga to sabki nazar me aa jaaunga, abhi mera project bhi aadhura hai. KK- Agar yeh kaam sab se chhup kar hi karna hai to Roopnagar ya aas paas ke sabse takatwar insaan ko iss kaam me lagana chahiye aur wo dhundne ka kaam tum mujh par chodd do, naya saal roopnagar waale sadko aur galiyo par bitaynge.....ya shayad...... Phir wo sthaan KK aur BIRLA ke thahako se goonj uttha.
DATE- 9 DECEMBER
PLACE- ROOPNAGAR TIME 11:30 AM VINAY PROBOT ko Roopnagar aane ke karan baata raha tha, halaki PROBOT abhi bhi nirgiv pada tha, VINAY- "PROBOT, aap to jaante hi hai ki aapki madad se hi mai apradh ko rokta tha, waise bhi agar meri PARMANU BELT ki SPECIAL BATTERY charge naa ho to mai kuch dino tak hi PARMANU ke roop me crime fighting kar pata. AB jab tak PROBOT zinda nahi hoga tab tak PARMANU bhi zinda nahi hoga, yaha ke log mujhe nahi pahchante, kuch dino kay andar mai iss samasya ka hall nikal lunga aur phir sab pehle jaisa ho jaayega." VINAY ko Anthony key kamre se ek purani cassette mili. wo usse chalane hi wala tha ki tabhi, KING- Isse wapas rakh dijeye vinay uncle, mummy aur naany kehti hai ki ye "CROW MUSIC" manhus hai. Baad mey DCP ITIHAS nay VINAY ko crow music ke baare mey bataya, ki ANTHONY ne CROW MUSIC ki rachna ki par kuch logo ne uss music se laabh utthane ke liye ANTHONY ki hatya kar di, phir jaha bhi CROW MUSIC baja Anthony nay waha aakar vinash machaya aur sabhi gunahgaro ko maar diya. Isliye iss music ko logo ne manhus karar de diya aur phir iss music ke saare record khatm kar diye gaaye. Par MARIA nay ek cassette sambhal ke rakhi thi aur ANTHONY ne uss se vaayda kiya tha ki jab bhi wo crow music bajayegi tab wo uss se milne zaroor aayega.
ANTHONY KA GHAR , shayad uska nahi tha, MARIA ko 15 din me ghar khali karne ka LEGAL NOTICE mila, notice bhejne wala ANTHONY kay uss DOST ka beta tha jisne Anthony ko yeh bunglow becha tha. Notice me likha tha ki makaan ki uss samay ki aadhi kimat di gaayi thi , aadhi kimat deni abhi baaki thi jo sud (interest) mila kar ab 30 lakhs ho gayi thi. Ab ya to JULIE jiske naam par ANTHONY nay ye makan kharida tha wo makan khali kare ya 30 lakh rupaye makan ke waaris ko de. JULIE nay bataya ki "ANTHONY uss waqt CROW MUSIC bana kar bahut utsahit thay aur makaan ka aadha paisa shayad wo CROW MUSIC ki royalty se dete, unhone ye baat kabhi mujhe nahi batayi. Par ab to wo........ JULIE roone laagi, saara parivar chintit tha. Itni jaldi itna paisa laana sambhav nahi tha. ITIHAS AUR MARIA ke pati DR. JOHN ne madad karni chahi to JULIE ne mana kar diya, usne kaha ki YE vaayda ANTHONY nay kiya tha ab wo hi usse poora karenge.
VINAY kisi ko nazar nahi aa raha tha , PROBOT to room mey waisa hi nirjeev pada tha par VINAY shayad ghar chodd kar kahi chala gaya tha.To kya VINAY musibat mey sabko akela chodd kar chala gaya tha? DATE - 24 DECEMBER JULIE apne nirnay par atal thi, usse vishwas tha ki ANTHONY aakar apna vaayda nibhayga. ITIHAS, MARIA, kosish kar kar kay thak chuke thay par budhi JULIE ki zidd ke aage unn dono ko jhhukna hi pada. VINAY ko gaye 15 din ho chuke thay aur uski koi khabar nahi thi. Prince karkasha raha tha, har koi udaas tha, King ke andaar Anthony ki aatma tadap rahi thi. In 15 dino mey ANTHONY nay kamane ki kosish to ki par wo bahut kum kama paaya, jo kaafi nahi thay. MAKAAN khaali karwane kay liye log aa chuke thay, iss se pehle wo andar ghuste VINAY ne unhe rooka aur makaan ke waaris ko uske 30 lakh rupaye diye. JULIE- Nahi, VINAY, mere ANTHONY dusaro ka ehsaan nahi lete thay. Tum apne paise wapas le lo. VINAY- Ye unhi kay haq ki kamai hai, maine aap sab ko bina bataye CROW MUSIC ki cassette aur ANTHONY kay musical notes le jakar CROW MUSIC ki rights ek company ko bech di, uss company nay mujhe CROW MUSIC aur unke notes ke 50 LAKH RUPAYE diye, ab CROW MUSIC ke rachyeta ka naam "LATE ANTHONY GUNZALVEZ" likha jayga aur unke notes par bhi ab EK "MUSICAL SERIES" banayi jaayegi. Aap log iss chori ki jo chache saza mujhe de sakte hai. Ooh samay kya hua hai...... subah ke 11....jaldi radio on karo King beta. RADIO par announce hua -> "THE CROW MUSIC, composed by LATE ANTHONY GUNZALVEZ" Radio par CROW MUSIC bajne laaga, waha khada har shakhs ro raha tha, JULIE nay kuch nahi kaha , wo bas VINAY ko ek takk dekh rahi thi, wo zameen par baith gayi aur uski aankho se aansu girne laage. MARIA chila chila kar keh rahi thi ki, "MAA, MAI JAANTI THI MERE PAPA KA MUSIC MANHUS NAHI HO SAKTA, ITIHAS UNCLE ... AAPNE SUNA MERE PAPA KI MEHNAT RANG LAAYI. DEKHO NAA MAA, PAPA NAY APNA VAAYDA POORA KAR DIYA. JEEVAN DENE WALA MUSIC KABHI MANHUS NAHI HO SAKTA, GOD BLESS YOU VINAY, GOD BLESS YOU" King ke andar Anthony ki aatma to jaise bahar nikal kar VINAY ko gale lagana chahti thi, apne parivar ko itna khush Anthony nay pehli baar dekha tha. Ab PRINCE ki karkash aawaze kisi ko buri nahi lag rahi thi. AAJ VINAY KO LAGA KI VINAY KAY ROOP MEY YEH EK KAAM PARMANU KAY
HAZARO KAAMO KAY BARABAR HAI. VINAY AB ANTHONY KAY PARIVAR KA AUR BHI KAREEBI BAN GAYA THA. VINAY PARMANU KO BHULTA JAA RAHA THA KYOKI USKA "NAYA PARIVAR" USSE YEH SAB SOCHNE KA MOUKA JO NAHI DE RAHA THA. KK ko BHANJA ROOPNAGAR ka sabse khatarnak villain laga, BIRLA ne BHANJA ko 25 crores ka lalach diya aur BAHNJA nikal pada ROOPNAGAR vaasiyo ko khatam karne aur ROOPNAGAR khaali karvane. 25 DECEMBER -> Aaj CHRISMAS tha, ANTHONY KA PARIVAR , VINAY, ITIHAS ke saath CHURCH gaye, sabhi khush thay par KING udaas tha, wo subaah sey hi kisi ka intezaar kar raha tha. VINAY ney MARIA se KING ki udaasi ka kaa ran puccha, toh MARIA ne bataya ki KING har christmas par SANTA CLAUS ka raat tak intezaar karta hai par har baar wo niraash hokar soo jaata hai. VINAY ne to jaise ANTHONY key parivar ko khush karne ki kasam khaa li thi. AB VINAY KING ka dil behla raha tha SANTA CLAUS ke roop me, KING ke dost bhi SANTA CLAUS se gift lene aa gaye.....par iss chakkar mein VINAY ka purse khali ho gaaya. BHANJA ROOPNAGAR aa chuka tha aur wo apna kaam apne purane dushman ANTHONY ke ghar se shuru karne wala tha, apni GRUTVAKARSHAN (GRAVITY) shakti se ussne ghar ki boundry wall gira di, ITIHAS usse rokne aaya to ITIHAS ko usne "GRAVITY ZONE" me daal diya jo usne professor KK ki madad se tayyar kiya tha. ITIHAS - T...Tumhari dushmani ANTHONY se hai , uske parivar se nahi. Jaane do inhe. BHANJA - ANTHONY se bachne ke liye hi mai din ke samay aaya hu, mujhe pura ROOPNAGAR saaf karna hai aur iss kaam shuruat mai ANTHONY kay ghar se karunga. Halaki din ke waqt meri shaktiyan bahut kam hoti hai par ANTHONY se bachne kay liye mai itna risk to le hi sakta hun. PROF. KK ney mujhe din key anusaar dhaal diya hai. BHANJA ki special dress bata rahi thi ki prof. kk ne usse puri tayyari kay saath bheja tha, pehli baar BHANJA din me bina rok- tok apradh kar raha tha. SANTA CLAUS ke roop me VINAY aur KING ke aandar ANTHONY ki aatma BHANJA se parivar ko bachana chahte thay. ISS hulchul ka faayda uttha kar KING kay aandar moujoud ANTHONY KI AATMA usse door lay gayi VINAY bhi kahin gayab ho gaya.
Tab jo hua uss par kisi ko vishvas hi nahi hua. PARMANU ROOPNAGAR KE AASMAN MEY UDD RAHA THA, PARMANU KO DEKHKAR KING KE ANDAR ANTHONY KI AATMA APNE PARIVAR KI SURAKSHA KE PRATI NISHINT HO GAYI THI. BHANJA ko PARMANU kay aane ki umeed nahi thi , ek PARMANU BLAST ne hi BHANJA ka dhyaan bhaang kar diya, par shayad PARMANU bhi BHANJA se pehli baar ladd raha tha, uski ek hi "gravity beam" nay PARMANU ko zameen se chipka diya, PRINCE aaj PARMANU ki jaan bachane ke liye BHANJA ka dhyaan bata raha tha par prince bhi BHANJA ko kuch hi seconds kay liye rok paya, BHANJA PARMANU ke paas aaya aur usse ITIHAS ki tarah "GRAVITY ZONE" mey kaidd kar diya. PARMANU apne "naye parivar" ke liye "gravity zone" se nikalne ki jee jaan se kosish kar raha tha, usne apne "Parmanu Chaallo" se zameen me itni jagah bana li ki wo transmit hokar usme se nikal gaaya , ab kaidd hone ki baari BHANJA ki thi. Ek Pamanu blast se Parmanu ne PROF KK dwara BHANJA ko diya gaya special suit faad dala, aur dusare parmanu blast ney BHANJA ko buri tarah jhulsa diya, aaj pehli baar PARMANU itne gusse mai tha behosh pade BHANJA par bhi vaar karne waala tha ki KING ne PARMANU ko insaani jaan na lene ki kasam yaad kara kar BHANJA par vaar karne se rooka. PARMANU ney BHANJA ko "parmanu rassi" ke khol mey kaidd kar diya. ROOP NAGAR KO NAYA SUPERHERO MIL GAYA THA, PARMANU JAISE AAYA THA WAISE HI SABKI NAZRO SE OOJHAL HO GAYA. PARMANU kay ROOPNAGAR mey dikhne ki khabar KK aur BIRLA tak pahunch gayi thi . LEKIN, BIRLA NEY BAHUT KUCH AUR BHI SOCH RAKHA THA. DATE - 25 DECEMBER. TIME- 9:30 PM PLACE- SOMEWHERE IN DELHI. BIRLA - KK, tumne kis joker ko ROOPNAGAR bheja tha ? KK - Usse ANTHONY ko dhyaan me rakhkar bheja gaya tha, yeh PARMANU ROOPNAGAR mey kaha se aa gaya ? Tumne to usse maar dala tha ? Waise tumhe baata du ki wo "joker" BHANJA jisse maine bheja tha wo police custody se bhaag chuka hai. Ab wo ek baar phir apni kosish ko anjaam dega. BIRLA - Wo bach gaya iss baat par to mujhe bhi aascharya ho raha hai, par tab nahi to ab sahi wo marega zaroor. Ab ROOPNAGAR ek jhatke mey sunsaan ho jayega, hum apne iss adde sey roopnagar ki taraf ab tak tayyar hui 15 missiles chhodenge wo bhi ek
saath , tab to ROOPNAGAR bhi saaf aur PARMANU bhi marega. Missiles launch karne se pehle hi hum apna yeh adda chhod chuke honge. Ab yeh BHANJA ki kismat hai ki wo ROOPNAGAR Missiles choddne se pehle khaali kaara de warna wo bhi Missiles ke humle me maara jayega. KK - Tumne ab tak mujhe apne "NUCLEAR PROJECT", ke baare mai nahi bataya. Ab ROOPNAGAR ko tabah hone sey koi nahi rook sakta.....ab itminaan sey mujhe iss project kay baare mey batao. BIRLA- WAISE to mai yeh baat tumhe baad mey batana chahta tha , par tum itne utaavle huey jaa rahe ho to tumhe bata hi deta hu. Mera NUCLEAR PROJECT "CONTROLLED NUCLEAR FUSION and FISSON" techniques par aadharit hai. Waise duniya mey ab tak "CONTROLLED NUCLEAR FISSION", technique hi prachalit hai, nuclear fission me ek ya jyada aanu(atom) kay vightan sey do(2) aanu (atoms) bante hai jis se urja nikalti hai , par "CONTROLLED NUCLEAR FUSION" tecnique mey doo (two) atoms ko milakar ek atom banaya jaata hai jis se FISSION se kai guna jyada urja nikalti hai. Mai NUCLEAR PROJECT ki madad se duniya kay sabse khatarnak hathiyar banaunga ussi ke liye mujhe uranium ki jarurat hai. SARKAR ki nazaro se bachne ke liye yeh project "KANHA NATIONAL PARK ", mey chal raha hai. Waha kay RANGERS ko bhari rakam deni padti hai par uss project sey mujhe uss keemat ka kai guna zyada faayda hoga kyuki iss project ko padosi desh ki khufia agencies finance kar rahi hai. Humari kismat bhi achchi hai, yeh "KANHA NATIONAL PARK", ROOPNAGAR se zyada door nahi hai. DATE - 27 DECEMBER PLACE - ROOPNAGAR KING - Kya, VINAY uncle , 3 dino se aap ko guitar bajana sikha raha hu aap to kuch seekh hi nahi paaye, aap to bahut buddhu ho. VINAY - KING beta, 3 dino se mai tumhara home work karne ke chakkar me MUSIC par dhyaan hi nahi de paa raha hu. KING - Isliye hi to mai aapko buddhu keh raha hu, aapne ab tak saare questions galat kiye hai, meri teacher ney mujhe bahut daanta. VINAY - Kya.....ooh lagta hai padhai chodde huey kaafi time ho gaya hai. Beta mai baaki sab kaam to theek karta hu na. KING - Kuch theek nahi karte aap...... Christmas par SANTA CLAUS ban kar jab aap aaye to maine aur mere dosto ne aap ko pehchan liya tha. VINAY - Kaise pehchan liya, beta?
KING - Aapne daadhi mooch aur coat to pehan liya tha par aap pant pehan na bhool gaye thay. Maine kitna sharmate aapse huey gift liya hai ye mai hi jaanta hun. Yeh sun kar MARIA AUR JULIE hasne laagi aur VINAY kuch naa bol saka. DATE- 28 DECEMBER PLACE- ROOPNAGAR TIME- 11 PM ANTHONY key ghar me sab soo chukey thay, VINAY apne kamre mey soo raha tha tabhi ek aahat se uski aankhe khuli , "PARMANU uttho." VINAY- kaun hai wahan.... ? "Ghabrao mat Parmanu, main ANTHONY hun." VINAY- Ooh ANTHONY, tum itni raat ko, aur tum mujhe parmanu kyu keh rahe ho, lagta hai tumhe kuch galat fehmi hui hai. ANTHONY- Iss murde ki nazar har waqt iss ghar par rehti hai, aur tum bhool gaye ki PRINCE bhi iss ghar par nazar rakhta hai usne tumhe PARMANU bante huey dekh liya tha, ab bhole mat bano aur yaha iss tarah aane ka karan batao ? chinta mat karo, tumhara raaz iss murda jism se bahar nahi jayega, itney raaz dafn hai isme ek raaz aur sahi, ab tum mujhe Delhi se yaha aaney ka kaaran batao. VINAY - Ab tum sab jaan hi gaye ho to suno. Vinay ne Anthony ko Delhi se roopnagar aane ki kahani batai. Jisse sunney key baad. ANTHONY - Ooh , samasya toh sachmuch bahut gambhir hai, mai PROBOT ko active karne ki poori kosish karunga. VINAY- Dhanyavaad, ANTHONY , PARMANU ka raaz surakshit hi rahega, mujhe tum par poora bharosa hai. ANTHONY laut gaya aur VINAY, PROBOT ko jeevit karney key tareke sochne laga. DATE- 29 DECEMBER TIME- 8:45 PM Aaj BHANJA laut aaya tha aur usne pehley ki tarah hi ANTHONY ke ghar ko apna nishana
banana chahaa par.....raat key samay mey ANTHONY ko apradh sthal par aane mey kuch hi pal lagte hai. ANTHONY , BHANJA sey ladne laga , yuddh bhishan tha, jisse dekh VINAY ney PARMANU bankar Anthony ki madad karney ka faisla liya par television par flash ho rahi ek khabar sey woh sab kuch bhool gaya. Woh khabar thi. -> " Bhartiya sena ke RADARS ne ROOPNAGAR ki taraf DELHI se aati 15 MISSILES ko trace kiya hai, par itni jaldi MISSILES ko ROOPNAGAR se takrane se bachana namumkin hai. Delhi key jis sthan sey yeh missiles chhodi gayi thi wahan par police dwara maari gayi chhape (RAID) mey koi nahi mil paya hai, ab ROOPNAGAR ko tabah hone mey lagbhag 4 minutes ka samay lagega, sarkar ka Rajya mey red alert."
Jaate - jaate VINAY ne PRINCE ko ek kagaz diya , shayad pheechli raat VINAY ney PROBOT mey 'jaan daalne' ka tareka soch liya tha, jo VINAY ney uss kagaz mey ANTHONY key liye chhoda tha. AB PARMANU missiles sey ROOPNAGAR ko bachaney key liye udd gaya, idhar ANTHONY ROOPNAGAR ko BHANJA se bachane key liye usse ladd raha tha. PARMANU AUR ANTHONY MEY SEY EK KI BHI NAKAMI ROOPNAGAR KO SHAMSHAN MEY BADAL SAKTI THI. ANTHONY , BHANJA ko ek sunsaan elake mey ley jaane mey safal ho gaya tha, par unki ladai mey BHANJA ka palda hi bhaari nazar aa raha tha, PRINCE anthony ki madad karne aaya to ANTHONY nay usse rok diya kyoki ANTHONY jaanta tha ki BHANJA kay liye PRINCE ko khatam karna chutkiyo ka kaam hai. ANTHONY nay hamesha ki tarah "thadi aag" ka vaar kiya par BHANJA ney uss vaar ko hawa me hi rook liya, ab BHANJA apni gravity beam sey ANTHONY par vaar karney laga, ANTHONY ka shareer dheere - dhreere shat vikshat honey laga, BHANJA ab apni gravity beam sey ANTHONY ko uchchaal raha tha, BHANJA ko iss khel mai mazaa aa raha tha aur jaisejaise yeh khel apne charam par pahunch raha tha ANTHONY ka shareer bejaan ho raha tha. Ab shayad ANTHONY aur ROOPNAGAR ko koi nahi bacha sakta tha.
ROOPNAGAR SEY KUCH DOORIE PARPARMANU aakash mey parvaaz kar raha tha aur ussey dikh rahi thi ROOPNAGAR sey takrane key liye badhti 15 missiles, PARMANU agar ek ek missile ko nasht karta to uski saari power khatm hone ka khatra tha, PARMANU bhi duvidha mey tha. Par shayad usse iss samasya ka samadhan sujh gaya tha.
Ek kay peechey ak missiles ko ek saath aakash me hi khatam karne kay liye PARMANU apne parmanu chhallo aur parmanu rassi sey 4-5 missiles ka direction dusari missiles ki taraf moda aur sabhi missiles aapas mey takrakar aakash mey hi khatam ho gayi. 2-3 missiles jo bachhi unhe samahla PARMANU kay liye aasan kaam tha. Ab PARMANU, Anthony ki madad kay liye udd chala. PARMANU nay BHANJA par asavdhan halat mey vaar kiya, ab Anthony aur Parmanu apne sanyukt vaar karney lagey, par BHANJA par jyada fark nahi pada. aur wo ab bhi dono par bhaari pad raha tha. BHANJA kay vaar bhadte jaa rahey thay. Sthiti vikat hoti jaa rahi thi. Tabhi ANTHONY ko ek hull sujha, par ismey usse Parmanu ki madad ki zaroorat thi, ANTHONY nay jaldi sey Parmanu ko samjhaya. Turant hi Dono nay apni poori shakti sey vaar kiye aur BHANJA kuch seconds key liye ladkhada gaya, ANTHONY aur PARMANU , BHANJA ko aakash ki gehraiyo me udda ley gaye. BHANJA ko antariksh mey chood kar ANTHONY , PARMANU, neeche aa gaye . Waapas aatey hue PARMANU nay ANTHONY sey poocha"BHANJA ko to tum akele bhi antariksh mey ley jaa saktey thay." ANTHONY- Haan, agar koi aur hota to ley jaata, par BHANJA ko nahi. PARMANU -KYA MATLAB? ANTHONY- BHANJA , kay paas gravity ki shakti hai, uss sey par paane kay liye hum dono ki saamilit shakti ki zaroorat thi. ROOPNAGAR SEY AB DONO KHATREY TAL GAYE THAY. AACHANAK PARMANU AAKASH MEY PARKATEY PAKSHI KI TARAH GIRNE LAGA, JIS CHEEZ KA USSEY DARR THA WO HO CHUKI THI, USKI BELT KI SPECIAL BATTERY KHATAM HO CHUKI THI. PARMANU KA SHAREER ANIYANTRIT HOKAR GIR RAHA THA, JIS KARAN WO BEHOOSH HO GAYA THA, PAR USKA GIRNA JAARI THA. AB TAK ACHABHIT SA DEKH RAHA ANTHONY HARKAT MAI AAYA AUR USNE PARMANU KAY GIRTE SHAREER KO PAKAD LIYA. PARMANU KI HALAT BIGADTI JAA RAHI THI. ANTHONY NAY PARMANU KO VINAY KAY ROOP MEY HOSPITAL MEY BHARTI KARAYA AUR WAHA KAY KARAMCHARIYO KO SHEHAR MEY HUE BLASTS KO VINAY KAY GHAYAL HONAY KA KAARAN BATAYA. ANTHONY KA PARIVAAR VINAY KI SEVA MEY LAG CHUKA THA, WO ANTHONY
KI TARAH APNE PARIVAAR KAY DUSARE "SADASYA", VINAY KO NAHI KHONA CHAHTA THAY. PRINCE nay ANTHONY ko VINAY dwara diya gaya kagaz diya jismey Probot ko theek karney ka tareeka likha tha. ANTHONY nay PROBOT ko ek hi raat mey Vinay kay likhe notes kay anusaar theek kar diya. PRINCE nay apni bhasha mai ANTHONY sey PROBOT ko itni jaldi theek karne ka kaaran jaan na chaha. PRINCE- ANTHONY tumne kaise...............? ANTHONY- Mai jaanta hu ki tu yahi puchna chahta hai na ki uss kagaz mai aisa kya likha tha jo PROBOT itni jaldi theek ho gaya. PROBOT ki "special batteries" nasht ho chuki thi, usse ek "alternative energy" yaani vaikalpik urja ki zaroorat thi, VINAY nay mujhe sujhav diya tha ki mai aatma key roop mai PROBOT kay andar jaaun aur usse apni shakti se chalakar uske circuits mey maujood jaankari sey Probot ki special batteries dobara banane ka tareka jaan ne kay saath saath Parmanu ki belt ki batteries charge karne ka tareka bhi jaan lun. Probot ki body mey ghuskar maine inn jaankariyo ko haasil kiya aur usse phir se Parmanu ki madad kay liye tayyar kar diya. AB PROBOT dobara kaam karne laga hai, aur unn missiles kay aane ka sthaan trace kar raha hai, missiles kay baare mey jaankari bhi jood raha hai taaki ROOPNAGAR bach sake. Ab bas VINAY kay hoosh mey aaney ka intezaar hai. Agar VINAY hoosh mai nahi aaya to mai hi jakar wo sthaan nasht karunga jaha se yeh vinaash mach raha hai. VINAY dheere - dheere theek ho raha tha aur ab Parmanu belt bhi charge ho chuki thi, uske "parivaar", ki mehnat rang laa rahi thi. Wo din bhi aaya jab Vinay hospital se discharge ho gaya. Ab tak PROBOT missiles key aane ka route bhi trace kar chuka tha. Ghar pahuchne key din probot ney Parmanu Dress Vinay ko di. VINAY PROBOT KO HARKAT MEY DEKHKAR KHUSHI SEY USKE GALEY LAG GAYA, PROBOT BHI VINAY KI MANO STHITI SAMAJHKAR USEY GALEY MILA AUR PHIR USNE VINAY KO MISSILES KA UDGAM STHAL BATAYA. "KANHA NATIONAL PARK". PROBOT - VINAY, "Kanha National Park" to bahut bada hai, tum unhe kaise dhoondoge ? VINAY - Raat honey hi wali hai mai PRINCE key saath ANTHONY ki kabr par jaata hu, wahi sey hum dono ek saath "Kanha national park" ki oor jaayenge. PROBOT - Ruko vinay,jin missiles ka maine vishleyshan kiya hai unse mujhe aur bhi kuch pata chala hai ?
VINAY- kya ? PROBOT - In missiles mai paramparagat "ATOMIC FISSION" technique kay saath "ATOMIC FUSION" ka bhi isteymaal hua hai, isliye tum apne saath meri banayi machines bhi lete jao jo parmanu vikiran (radiation) ko sookh lengi. Tum inhe Kanha national park mai jagah jagah laga dena. VINAY- OK, Probot, mai bhi nahi chahta ki kanha national park jaisi humari prakartik darohar ko nuksaan pahunchey. UNN CHHOTI PAR KARGAR MACHINES KO LEKAR, PRINCE KEY SAATH PARMANU UDD CHALA ANTHONY KI KABR KI OOR. PRINCE KI EK KARKASHAHAT HI KAAFI THI ANTHONY KAY KABR SEY BAHAR AANE KEY LIYE. PARMANU KEY ROOP MEY VINAY NEY JALDI SE ANTHONY KO SAARI STHITI BATAI. ANTHONY, PARMANU AUR PRINCE AB KANHA NATIONAL PARK KI TARAF JAA RAHEY THAY. KANHA NATIONAL PARK KI SEEMA MEY PRAVESH KARTEY HI UNHE K.K. AUR BIRLA DWARA LAGAYE GAYE CLOSE CIRCUIT CAMERAS NEY PAKAD LIYA. K.K. ney apney atmaghti "SEMI ROBOTS", ko Anthony aur Parmanu ko rokney key liye bheja jo aadhe machini thay aur unka aadha jism marre insaano key avshesho se bana tha. Unka lakshya thay PARMANU AUR ANTHONY, jinsey takrakar unhey blast ho jaana tha. Sainkdo ki sankhya mey "SEMI ROBOTS", Parmanu aur Anthony ki taraf badh rahe thay. APNI ISS NAYI MAUT SEY ANJAAN PARMANU AUR ANTHONY "KANHA NATIONAL PARK", KI KHAAK CHHAN RAHE THAY. SEMI ROBOTS ab Anthony aur Parmanu kay paas pahunch chuke thay, jinhe dekhte hi Parmanu aur Anthony ko samajh mai aa gaya ki unka raasta utna aasaan nahi hai jitna wo samajh rahe thay. Parmanu apne blasts sey Semi Robots ko khatam karney laga aur Anthony nay bhi unpar apni thandi aag chhodna shuru kar diya.
ANTHONY - Parmanu, tum jaldi se kisi aur raaste se aagey badho, mai inn 'musibato' ko apni thandi aag se sambhal lunga. PARMANU - Theek hai anthony, mai aagey badhkar musibat ki jad ka safaya karta hu.
ANTHONY NEY PARMANU KO AAGEY BADHNEY KO TO KEH DIYA PAR SEMI
ROBOTS KI SANKHYA KAAFI ZYADA THI JO ANTHONY KI THANDI AAG SE RUK TO RAHE THAY PAR UNKA ROBOTIC HISSA UNHEY DHEERE DHEERE AAGEY BADHA RAHA THA. ANTHONY KO UNSE JALD CHUTKARA PAANE KA KOI HALL NAHI SOOJH RAHA THA. PARMANU AAGEY TO BADHA PAR K.K. NEY USKE LIYE BHI EK NAYI MUSIBAT TAYYAR KAR RAKHI THI, "ROBOTIC PARMANU", KAY ROOP MEY. JO ACHANAK HI AAGE BADHTE PARMANU KAY SAAMNE AA GAYA. PARMANU KA HAR VAAR KA ROBOTIC PARMANU VAISA HI JAWAB DE RAHA THA AUR PARMANU KA AAGEY JAANEY KA RAASTA BHI RUK CHUKA THA. PARMANU APNEY ROBOTIC PRATIROOP KO DEKHKAR DANNG THA, USNEY KABHI AISI KALPANA BHI NAHI KI THI. K.K. NEY SHAYAD ROBOTIC PARMANU KO ISLIYE BHEJA THA KYOKI SHAKTIYO MAI TO PARMANU ROBOTIC PARMANU KAY BARABAR THA PAR EK INSSANI KAMI HAI JO ROBOTS MEY NAHI HOOTI "THAKAAN", ROBOTS NAHI THAKTEY PAR INSAAN THAK JAATEY HAI. AB DEKHNA YEH THA KI PARMANU KAB APNI ICHCHA SHAKTI KAY BAL PAR TAK TIK PAATA HAI ROBOTIC PARMANU KAY SAAMNEY.
PARMANU AB VAAR KAR KAR THAK CHUKA THA, "ROBOTIC PARMANU" HAR VAAR KA JAWAAB DE RAHA THA PAR BINA LAGATAR....BINA THAKEY. AB PARMANU APNEY BACHAAV KAY ALAWA KUCH NAHI KAR YA SOCH PAA RAHA THA.
PARMANU SOCH RAHA THA KI JISS ROBOT MEY USKEY BARABAR SHAKTIYA HAI USS SE WO KAISE JEET PAYEGA. AB VAAR KARNEY KI BAARI ROBOTIC PARMANU KI THI AB PARMANU TRANSMIT HUA TO ROBOTIC PARMANU BHI KANNO (ATOMS) MEY BADLA AUR PARMANU KO PATA CHAL GAYA KI TRANSMIT HOKAR BHI WO NAHI BACH SAKTA. PAR SHAYAD PARMANU KO EK AASHA KI KIRAN DIKHI THI. PARMANU NEY APNEY HAATH KA PARMANU BRACELET APNI UNGLIYO KAY KINAREY PAR PHASAYA AUR EK BAAR PHIR SEY TRANSMIT HUA. ISS BAAR JAB ROBOTIC PARMANU PARMANU KAY SAATH TRANSMIT HUA TO PARMANU NEY APNE BRACELET WAALEY KANNO(ATOMS) KO ROBO KAY SHAREER KAY KANNO (ATOMS) MEY MILA DIYA. ISS HALCHAL SE DONO 'PARMANUO' KI DRESS AUR BELT KAY CIRCUIT MEY KHALBALI MACH GAYI AUR ISS GADBADI SE DONO KA CIRCUIT POORA HUA TO UNN DONO KO REFORM HONA PADA AUR PARMANU KA BRACELET ROBOTIC PARMANU KEY SHAREER
MEY PHASA HUA THA. ISS GHATNA SE ROBOTIC PARMANU KAY BAHUT SE ANDRUNI NAZUK CIRCUIT JAL GAYE PAR AB BHI USME JAAN BAKI THI. AB PARMANU NEY BINA MAUKA GAVAYE ROBOTIC PARMANU MEY PHASE APNE BRACELET SEY BLAST KIYA AUR ROBOTIC PARMANU KAY KUCH SOOCH PAANEY SEY PEHLEY HI PARKHACHEY UDD CHUKEY THAY. K.K. AUR BIRLA AVAAK REH GAYE AUR PARMANU AAGEY BADH CHALA. PARMANU TO APNI "ROBOTIC PARMANU" NAMAK MUSIBAT SEY PAAR PAA CHUKA THA PAR "SEMI ROBOTS" KAY ROOP MAI MUSIBAT ABHI BHI ANTHONY KEY SAR PAR MANDRA RAHI THI. ANTHONY TELEPORT HO KAR MUSIBAT SEY DOOR JAA TO SAKTA THA PAR AISI MUSIBAT KO WO ROOPNAGAR SEY DOOR HI RAKHNA CHAHTA THA. ANTHONY BAREEKI SEY UNN SEMI ROBOTS KAY SHAREER KA VISHLESHAN KARNEY LAGA AUR USSEY PATA CHALA KI INN ROBOTS KA AADHA SHARIR MURDO KEY HISSO SEY BANA HAI. AUR ITNA VISHLEYSHAN HI KAAFI THA ANTHONY KI SAFALTA KAY LIYE.
SHAYAD ANTHONY KO BHI ISS MUSIBAT SEY PAAR PAANEY KA RAASTA SOOJH GAYA THA.
ANTHONY KHUD SEMI ROBOTS KEY SHARIR SEY TAKRA RAHA THA, AUR PHIR USKEY SHAREER KAY HISSEY JUD RAHEY THAY AUR ANTHONY LAGATAAR SEMI ROBOTA SEY TAKRATA JAA RAHA THA. JALD HI SEMI ROBOTS KI FAUJ BHI KHATAM HO GAYI.
JAB PRINCE NAY ANTHONY SEY SEMI ROBOTS KO ITNI AASANI SEY KHATAM KARNEY KA KAARAN POOCHA TO ANTHONY NEY BATAYA KI, "Maine unn semi robots par dhyaan diya to pata chala ki wo aadhey robots aur aadhey murdo kay hisso sey baney thay aur tu to jaanta hi hai prince ki mujhey vaardaan mila hai ki mera shareer agar dushman sey ladai mey shat - vikshat ho jaaye to wo dushman kay shareer kay hisso sey hi mera shareer banta hai, bas mai unn ATAMGHATI SEMI ROBOTS sey takrata gaya aur mera shareer unhi key murda hisso sey banta gaya." AB ANTHONY BHI BADH CHALA THA ISS "MUSIBAT" KI JADD KO UKHAAD FAIKNEY. PARMANU PROBOT DWARA DI GAYI VIKIRAN SOKHNEY KI CHHOTI MACHINES KO KANHA NATIONAL PARK MEY JAGAH JAGAH STHAPIT KAR AAGE BADH RAHA THA. JABKI KANHA NATIONAL PARK MAI AAPNEY ADDEY PAR BIRLA KAY HOOSH
UDDEY HUEY THAY. BIRLA - KK, Wo dono to bach gaye, hum apna ye project kabhi bhi poora kar saktey hai, abhi to yaha se nikalne mai hi bhalai hai. KK - BIRLA, darr mat abhi baazi humare haath mey hi hai. Wo dono yaha se bachkar nahi jayengey. Ye project to ab unki maut kay saath parvaan chadega.
PARMANU AUR ANTHONY LAGBHAG SAATH HI USS STHAAN PAR PAHUNCHEY JAHA DHANTU (metal) ka kabaad, BUNKER, MISSILE LAUNCHING PAD, dekhkar wo dono samajh gaye ki yahi jagah saari musibato ka gadh hai. Iss se pehle wo kuch karte KK aur BIRLA apne aap unke saamne aa gaye. PARMANU - KK, mai to pehley hi jaanta tha ki tum hi iss saare shadiyantra kay sootradhaar ho.................. KK - Arrey - Arrey bhaanje gussa kyu karta hai itney dino mama se door raha thodi baatey to kar le. Le mere naye saathi se mil ye hai BIRLA ye poora project ye hi chala raha hai, mai to bas iski madad kar raha tha. Bahut accha insaan hai ye.........areey aashirwaad le hum dono se. Aur ye kaun hai tere saath ? Zaroor Roopnagar ka koi subhchintak hoga. ANTHONY - Mama ji, pranaam, mujhe Anthony kehte hai........kaafi suna hai aapkey baare mey. PARMANU - KK, ab tera project fail ho gaya samajh, ab tu bach nahi sakta. KK - Suna BIRLA..............mera bhaanja zara pagal hai, bachna to tumnhe hai mere pyare bhaanje........wo bhi apne dost sey. Birla zara inhe mera banaya intezaam to dikhao. ITNA SUNTE HI BIRLA NAY KAI CHHOTEY CHHOTEY YANTRA ANTHONY KI TARAF UCHCHAL FAINKEY KUCH YANTRO SEY TO ANTHONY BACH GAYA PAR KUCH USKEY SHAREER MAI DHANNS GAYE.AUR ANTHONY ACHANAK HI PARMANU PAR VAAR KARNEY LAGA. PARMANU ACHANAK HUEY HAMLEY SE AVAAK THA AUR BACH NAHI PAAYA. GHATAK THADI AAG MEY PARMANU PHAS CHUKA THA AUR TADAP RAHA THA, PRINCE NAY ANTHONY KAY SHAREER PAR CHOT KARKEY EK PAL KO USKA DHYAAN BATAYA AUR PARMANU KO BACHNEY KA MAUKA MIL GAYA. PAR ANTHONY NAY PRINCE PAR VAAR KARKEY USSEY BHI ACHET KAR DIYA. KK- Wah, badi adbhut shaktiya hai isme to... iss se pehle ki ye tumhe maar de mere bhaanje mai tumhe tumhari maut ka karan bata du. Iss Anthony kay shareer sey chipkey yantra issey control kar rahey hai aur iski scientific aur natural powers ko badhakar vaar bhi kar rahe hai. Ye sab mere issi project ki dain hai jo atomic fusion aur fission ka mail hai. Chal ab baatey bahut
ho gayi marney ki tayari kar............apni mami ko meri namastey kehna.Tu har baar bach jaata hai iss baar teri maut ka manzar dekh kar hi yaha se jaaunga ANTHONY KI AATMA APNEY SHARIR KO NIYANTRIT KARNEY KI NAKAAM KOSISHEIN KAR RAHI THI. KK KAY YANTRA USKI SHAKTIYO THADI AAG, TELEPORT KA ISTEYMAAL AUR BHI GHATAK ROOP SEY KAR RAHEY THAY AUR PARMANU THADI AAG SEY BACHNEY KI BHARPOOR KOSISH KAR RAHA THA KYOKI THADI AAG MAI DOOBARA PHASNEY KA MATLAB WO JAANTA THA......EK DARDNAAK MAUT. PARMANU APNE VAARO MEY KAMI NAHI KAR RAHA THA KYOKI WO JAANTA THA KI ISS WAQT ANTHONY KA APNEY SHARIR PAR KOI CONTROL NAHI THA. PARMANU NAY ANTHONY KO PARMANU RASSIYO MEY JHAKDA PAR ANTHONY AASANI SEY TELEPORT HOKAR RASSIYO SEY NIKAL GAYA. PARMANU KAY BLASTS AUR PARMANU CHHALO SEY BHI ANTHONY UDD KAR BACH RAHA THA. AGAR PARMANU KA KOI VAAR ANTHONY KO LAG BHI JAATA TO BHI USPAR KHAAS ASAR NAHI PAD RAHA THA. PARMANU KAAFI DAIR TAK LADNEY KAY BAAD THAK KAR CHOOR HO GAYA THA AUR ANTHONY NIRANTAR VAAR KAR RAHA THA. PARMANU KI HAALAT KO BEABS HOKAR DEKHNE KAY ALAWA ANTHONY KI AATMA KUCH NAHI KAR SAKTI THI. PROBOT BHI TRANSMETER PAR PARMANU KI CHEEKHEIN SUN KAR TADAP UTTHA AUR GHATNA STHAL KI AUR BADH CHALA PAR PROBOT KO WAHA PAHUNCHNEY MEY ABHI WAQT LAGNA THA, AUR PARMANU KAY PAAS KHUD KO BACHANE KAY LIYE WAQT KI SAKHT KAMI THI. PARMANU NEY APNI ZINDAGI BACHANE KAY LIYE AAKHRI DAAV KHELA, PARMANU NEY POOREY ANTHONY KAY SHAREER KO APNI PARMANU RASSIYO MAI JAKAD LIYA. AUR ANTHONY PAR PARMANU RASSI KI KAI PARAT CHADTI CHALI GAYI. AB PARMANU RASSI KAY MAZBOOT KHOL MEY LIPTA ANTHONY KA SHAREER NAA DEKH PAANEY KAY KAARAN TELEPORT NAHI HO SAKTA THA PAR ANTHONY KAY SHAREER NAY PARMANU KI RASSI KAY SOTRA (SOURCE) KI TARAF THANDI AAG CHHOD DI THI AUR PARMANU THADI AAG MAI JAKADA JAA CHUKA THA. AB PARMANU KO BLAST KARNEY KAY LIYE EK BUTTON AUR DABANA THA PAR THANDI AAG SEY TAPADTA PARMANU APNEY HOSH KHOO RAHA THA. PHIR BHI APNI DRAD ICHCHA SHAKTI KA PARICHAY DETE HUEY PARMANU NEY WO BUTTON DABAYA AUR PARMANU RASSI MAI LIPTA ANTHONY KA SHAREER PARMANU BLASTS SEY NAHA GAYA AUR USKA MAANS PHIGHALNEY LAGA AUR APNE SHAREER KA SAATH CHHODNEY LAGA. ISSI KAY SAATH USKEY MAANS MEY DHAANSEY KK DWARA BANAYE YANTRA BHI NIKAL GAYE. AB ANTHONY KA SHAREER HADDI KA DHANCHA BAN CHUKA THA. PARMANU YE LADAI BHI JEET CHUKA THA. ANTHONY NAY PHIR SEY APNEY KANKAAL ROOPI SHAREER PAR NIYANTRAN PAA LIYA.
ISS BAAR AVAAK HONAY KI BAARI KK AUR BIRLA KI THI, PARMANU KO HOSH SAMBHALNEY MEY THODA SAMAY LAGNA THA LEKIN ANTHONY KK AUR BIRLA KI JAAN BAKSHNEY KAY MOOD MAI NAHI THA ANTHONY- Mama ji, ab aapka khel khatam.......... HADDIYO KAY DHAANCHEY KO BAAT KARTEY DEKH KK AUR BIRLA KAY HOSH UDD GAYE. KK aur Birla agar darr se jadd bhi naa huey hotay to bhi wo Anthony kay krodh se bachne kay liye kuch naa kar paate. Kankaal mey badla Anthony unn dono par koi reham nahi kar raha tha. KK aur Birla ko sakshat maut dikhai de rahi thi. Anthony nay unhe apni thandi aag mey jakad liya. Tadapte huey apni jaan bachane ki ek kosish aur ki aur apne hosh sambhaal rahe Parmanu ki gardan ko apne haath mey fit yantra se jakad liya. KK - Ru...ruk jaa varna tera dost bhi maara jaayega. Anthony par KK kay shabdo ka jadoo sa asar hua aur wo shant ho gaya. Parmanu ko ab bhi KK nay apne machini shikanje se kaskar jakad rakha tha. KK - Jaa, Birla, reactor ka wo button daba de jiss se sirf fusion prakriya chalu ho jaaye aur dheere dheere aniyantrit fusion uss seema tak pahunch jaaye ki kum se kum poora Roopnagar khatm ho jaaye. Yaha se nikal kar hum apne maksad ki phir se ek nayi shuruat karenge. Birla nay reactor kay paas pahunchkar fusion prakriya ko shuru karne waala button daba diya. Tabhi KK ka machini shikanja Parmanu ki gardan se hatkat nishkriye hokar gir jaata hai. Ye kaarnama tha Probot ka jisne ye sab jammer ki madad se kiya tha aur Parmanu ki madad kay liye wo waha pahunch chuka tha. Parmanu bhi ab tak apne hosh sambhal chuka tha. Anthony, Parmanu aur Probot ka khatra dekh KK turant waha se transmit ho gaya aur ab tak reactor kay paas muskura raha Birla phir se darr se kaampney laga. Anthony ki thandi aag se wo jald hi behosh ho gaya. Lekin samasya pal pratipal vikral roop dhaaran kar rahi thi. Probot nay samasya ki gambheerta se Anthony aur Parmanu ko avgat karaya. Probot - Aniyantrit fusion nuclear blast aas paas kay bahut bade elake ko nigal sakta hai. Anthony - Probot ko lekar tum yaha se nikal jaao, Parmanu. Roopnagar aur aas paas kay elake kay jitne logo ko bacha paao bacha lo. Mai apni thandi aag se iss reactor ko dhakk leta hun. Probot - Aisa karne se iss dhamake par zyada asar nahi padne waala, Anthony. Anthony - Kuch to asar padega....ab Anthony ka wajood Roopnagar kay saath hi fanaa hoga. Parmanu, ho sake to mere parivaar ko bhi bacha lena.
Parmanu - Ye kaisi baatein kar rahe ho, dost, iss samasya ka koi naa koi to hall zaroor nikalega. Anthony - Aisa honay se pehle hi shayad sab khatm ho jaayega. Meri baat maano yaha se chale jaao, dost, Delhi ko bhi tumhari zaroorat hai. Parmanu - Dost bhi kehte ho aur saath chhodne ki bhi baat karte ho. Idhar Parmanu, Probot aur Anthony, iss samasya ka hall soch rahe thay aur udhar reactor mey fusion prakriya apne charam par pahunch rahi thi. Kuch dair baad Parmanu nay chuppi todi. Parmanu - Probot, fusion to bahut hi samvedansheel prakriya hoti hai naa ? Probot - Haan. Parmanu - Aur ye prakriya bahut hi niyantrit vatavaran mey hoti hai. Probot - Haan, bilkul. Parmanu - Yaani agar iss reactor kay niyantrit vatavaran mey zara sa badlaav kar diya jaaye to ye parkriya halke dhamake kay saath ruk jaayegi. Probot - Agar aisa hua to iss National park ka kuch hissa hi iss nuclear dhamake ki chapait mey aayega. Saath hi yaha lagi radiation (vikiran) sookhne ki machines se Roopnagar aur uske aas paas kay shetra dhamake aur vikiran se bach jaayenge. Par iss bade nuclear fusion reaction mey zara se badlaav kay liye liye kisi Parmanu urja kay srotra ki zaroorat hai. Par tum karna kya chahte ho ? Parmanu - Meri dress aur belt mey Parmanu urja ka bhandaar hai. Agar mai udta hua iss reactor kay Kendra se takra jaaun to fusion prakriya halke dhamake kay saath khatm ho jaayegi aur ek bada vinash honay se bach jaayega. Probot - Ruk jaao, Parmanu, iss tarah to tum bhi maare jaaoge. Bina kisi ki jaan jaaye iss samasya ka samadhan sochna hoga. Parmanu - Probot, samay nikalta jaa raha hai. Mujhe jald se jald nikalna hoga varna kya pata ki ye reaction uss seema tak pahunch jaye meri dress aur belt ki parmanu urja bhi iss nuclear fusion prakriya ko aniyantrit naa kar paaye aur agar kar bhi de to uss se honay waala nuclear blast apne saath bade shetra ko khatm kar sakta hai. Clip - [ANTHONY - Kya aur koi rasta nahi hai, parmanu ? PARMANU - Shayad yahi rasta bacha hai, anthony, ab tum hi probot ka khayal rakhna, agar meri maut se hi roop nagar bachega to mai khushi - khushi apni jaan dunga. ab to mai bhi tumhare parivar ka hissa hu.]
Kuch dair baad Parmanu apne haatho mey besudh pade Birla ko liye reactor kay kendra ki taraf udd raha tha. Anthony aur Probot shayad sachchai ko maankar waha se surakshit sthaan chale gaye thay. Parmanu reactor kay kendra se takraya aur ek bhishan dhamake mey uske aur Birla kay shareer kay chhithade udd gaye. Lekin uske iss balidaan nay ek bahut badi vinashleela honay se bacha li. To kya manavta kay liye ye Parmanu ki aakhri udaan thi aur Parmanu ab kabhi nahi aayega ?
Idhar Vinay aur Probot surakshit sthaan se uss dhamake ka manzar dekh rahe thay. Nuclear blast ki jagah par ek aakriti roop le rahi thi. Kya rahasya tha ye.....Vinay kaise bach gaya aur wo kaun si aakriti thi ? Kuch dair pehle, -> Quote Clip : [ANTHONY- kya aur koi rasta nahi hai, parmanu ? PARMANU- shayad yahi rasta bacha hai, anthony, ab tum hi probot ka khayal rakhna, agar meri maut se hi roop nagar bachega to mai khushi - khushi apni jaan dunga. ab to mai bhi tumhare parivar ka hissa hu.]
Anthony- Ruko, Parmanu, ek raasta aur hai. Mai tumhari Parmanu dress aur belt pehankar iss nuclear reactor mey jaata hun. Parmanu - Anjaam to wahi hoga.....beeshan visphoot se meri jagah tum nasht ho jaaoge. Anthony - Mujhe vardaan hai ki agar mera shareer kabhi nasht ya shat vikshat hota hai to mere shareer kay nasht huey hisse mere dwara maare gaye mere dushman kay shareer se dobara ban jaate hai. Mai behosh Birla ko lekar reactor kay kendra se takra jaaunga aur fusion prakriya beech mey hi aniyantrit hokar visphoot kar degi. Mera shareer Birla kay mrit shareer se dobara roop le lega. Ab dair mat karo, Probot kay saath tum yaha se door chale jaao. Mere vaar se Prince behosh ho gaya tha usse bhi yaha se le jaao. Mai jald hi tumse milunga.
Probot- Anthony nay apna kaam kar diya hai, Vinay, usne uske Roopnagar ko vinash se bacha liya. Vinay - Uska Roopnagar nahi humara Roopnagar kahiye. Dukh to iss baat ka hai ki Prof. Kamal Kumar bach nikla. Anthony unke paas vijayi muskaan kay saath pahuncha. Khatre kay baadal ab chhat chuke thay. Vinay nay Anthony ko galey se laga liya. Phir Kanha National Park kay kuch hisse mey lagi aag
bujhakar wo teeno Roopnagar ki taraf badh chale. Khatra tal chuka tha aur Delhi kay prati Vinay aur Parmanu ki zimmedariyan usse waapas bula rahi thi. Vinay nay Probot kay saath apne naye parivaar se vida li aur vaayda kiya ki jab bhi unpar mushkile padengi Vinay "apno" ka saath dene zaroor aayega. Usne King ko Delhi ghumane ka bhi vaayda kiya. Anthony aur Parmanu phir se apradh kay vinash ki apni apni raah par chal pade.
The End.