Computer me folder kaise banaye – Beginners Guide techkashif.com/computer-me-folder-kaise-banaye-beginners-guide TechKashif
October 21, 2019
Computer me folder kaise banaye | Hello friends, aaj hum sikhenge ki computer / laptop par new folder kaise banaye. Agar aap soch rahe hai ki computer ya laptop me folder kaise banaye to aajka humara ye article aapke liye helpful ho sakta hai. Ek beginners ke liye starting stage par jab wo computer ka istemal karna shuru hi karta hai to uske liye ye thora confusing hota hai. Waise dekha jaye to computer par new folder banana utna hi aasan hai jitna ki folder ko delete karna. Lekin shuruwa me ye hume thora muskil aur confusing lagta hai. Dekha jaye to sabhi laptop models me alag alag tarike se folder banaya jata hai. Gmail par job ke liye resume kaise send kare? Bahut se tarike hote hai jinka istemal kar aap kisi bhi computer me aasani se folder bana sakte hai. Humari ye post basic knowledge ke liye hai jinko computer se related basic jankari mil sake. Beginners user ko computer se related sahi guide mil sake. Aaiye jante hai unme se ek tarike ke bare me ki kaise computer me new folder banaya jata hai. Agar aap computer me bahut si file rakhna chahte hai to uske liye aapko alag alag folder ki jarurat paregi. Kyuki ek hi folder me sare files rakhne se jarurat ke waqt aapko files ko dhundne me paresani ho sakti hai. Isliye alag alag files ke liye alag alag folder hona jaruri hai. Dosto folder banane ke liye sabse pehle computer ke us drive select kariye jaha aap folder banana chahte hai. Example ke tor par maine picture folder ko select kiya hai jisme hum ek aur new folder banayenge. Esi tarah aapko jis bhi part me folder create karna hai waha par chale jaiye. Ab aapko upar ki side me kuchh option show honge. Jaise ki – 1/2
File Home Share View managed Aapko simply Home ke option par click karna hai. Ab yaha aapko ek option milega “New Folder” ke naam se. Is option par click kariye. Ab aap dekhenge ki ek new folder ban gaya hai. Aap is folder ka naam change kar sakte hai. Mouse pe right click karke aap aasani se folder naam ko badal sakte hai. Dosto, is tarah se aap computer me new folder create kar sakte hai.
Laptop me keyboard shortcut ka istemal karke new folder kaise banaye? Agar aap keyboard shortcut ka istemal karke folder bana chahte hai to uske liye aapko apne keyboard me “Ctrl+Shift+N” press kare, aapka new folder aasani se ban jayega.
Conclusion Is post me humne jana ki Computer me folder kaise banaye. Ummid hai ki aapko humari post helpful laga hoga. Post kaisa laga comment box me batana naa bhule saath hi apne dosto ke saath post share jarur kare. Also Read,
2/2