Gmail pe resume kaise send kare Email kaise bheje

Page 1

Gmail pe resume kaise send kare | Email kaise bheje techkashif.com/gmail-pe-resume-kaise-send-kare-email-kaise-bheje

Gmail pe resume kaise send kare | hello friends, aaj hum sikhenge gmail pe resume kaise bheje. Aajke time par Gmail ka istemal sabse jyada ho raha hai kyuki gmail par hum text ke saath saath photo, video, documents, software kuchh bhi bhej sakte hai. Ye sabse jyada secure aur safe bhi hota hai, isliye har company kisi bhi tarah ke email ke liye gmail ka istemal karti hai. Email bhejne ke liye sabse jyada istemal gmail, yahoo aur hotmail ka kiya jata hai. Lekin inme jyada popular gmail hai. Isliye main aapko suggest karunga ki aap Gmail account hi create kare. Agar aap soch rahe hai ki phone se email kaise bheje aur gmail pe resume kaise send kare, to humari ye post aapke liye helpful hoga.

Resume banane ke pehle kon si bato ka dhyan rakhe? Gmail pe resume kaise bheje ye janne ke pehle hum ye jan lete hai ki ek professional resume me kya kya hona chahiye. Resume banane ke pehle kon kon di bato ka dhyan rakhna chahiye. Hard words ka istemal naa kare 1/4


Fonts ka khyal rakhe Bina matlab ke space naa de Long resume naa banaye Resume me wahi baate likhe jisko leke aap confident ho Passport size photo ka istemal kare In baato ka dhyan rakhke agar aap resume banane hai to aapka resume ek professional resume lagega. Aaiye ab topic ki taraf aage badhte hai.

Gmail pe resume kaise send kare? Resume ko email se send karne ke liye apne phone me gmail app ko open kar lijiye. Apne Gmail account se login ho jaiye. Ab aapke samne pencil jaisa icon show hoga. Ispe click karke aage badhiye. Ab aapke samne kuchh esa screen open hoga jisme aapko kuchh information fill karna hai. 1. Apna email I’d daliye jisse aapko mail bhejna hai 2. Uska email I’d daliye jise aapko mail karna hai 3. Apne mail ka subject ( topic ) daliye. 4. Mail me aap jo bhi likhna chahte hai wo likhiye. 5. Resume upload karne ke liye attached file ke option par click kariye aur resume ko apne gallery se upload kariye

2/4


Last ke is arrow option par click karke apne mail ko send kar dijiye. Is tarah se aap gmail pe resume send kar sakte hai.

Email kaise likhe job ke liye – Tips Dosto, yaha main aapko kuchh tips dena chahunga jisse istemal karke aap ek professional email likh sakte hai. Subject : ye job email ke liye bahut important hota hai jise beginners serious lete hi nahi hai. Aapka subject unique aur strong hona Chahiye isliye subject likhne ke pehle thora soche. Bahut log subject me “Resume for job” esa likhte hai. Lekin isse koi khas effect nahi parne wala. Wo kehte hai naa “First impression is the last impression” bus isliye first impression par hi dikha dijiye ki aap ek professional hai. Isliye subject me kuchh is type se likhiye. Example: Akash Singh Resume for web development. Chaliye main yaha aapko ek mail ka chhota sa example de deta hu. Subject : Akash singh resume for web development Dear Sir/Madam I am posting this resume for the position of Web development, which was recently published in newspaper. I believed that i am well qualified for this job position. Please check my resume. 3/4


In the attachment kindly contact me on +9199999999 if you faced any problem in opening the attachment. Thank you!! Your sincerely Akash Singh Is tarah se aap ek professional email bhej sakte hai.

Conclusion Is post me humne jana gmail pe resume kaise send kare aur resume likhne ke pehle kon si bato ka dhyan rakhna chahiye. Ummid hai ki aapke liye humara ye post useful raha hoga. Post kaisa laga hume comment me batana naa bhule saath hi apne dosto aur family ke saath post share jarur kare. Summary Reviewer kashif Review Date 2019-10-19 Reviewed Item send resume from gmail Author Rating Edit Post

4/4


Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.