Paytm debit card kya hai | Paytm debit card ke fayde

Page 1

Paytm debit card kya hai | Paytm debit card ke fayde techkashif.com/paytm-debit-card-kya-hai-paytm-debit-card-ke-fayde TechKashif

October 21, 2019

Paytm debit card kya hai | Paytm debit card ke fayde – Hello friends, aaj hum janenge Paytm debit card ke fayde kya kya hai aur Paytm kya hai. Paytm card kaise banaye. Dosto, aaj hum paytm debit card ke bare me details me janenge. Paytm kya hai ye to sabhi ko malum hai, lekin paytm card ke bare me kuchh hi log details me jante hai. Kuchh dino pehle hi paytm dwara paytm payment bank launch kiya gaya. Jisme aap bank account open kar sakte hai aur saath hi paytm debit card bhi banwa sakte hai. Computer me screenshot kaise le? Paytm user is card ke jariye kabhi bhi ATM se paise nikal sakte hai, iska istemal bilkul dusre bank ke debit card jaisa hi hota hai.

Paytm debit card kya hai? Is card ka istemal dusre ATM card ke jaise hi hota hai. Iska use aap kisi bhi ATM se paise uthane ke liye kar sakte hai. Saath hi aap is card ke jariye online shopping kar sakte hai. Lekin is card ka istemal aap sirf india me hi kar sakte hai. India ke bahar ye card work nahi karega.

Paytm bank account verification kaise kare? Paytm payment bank se judne ke liye aur debit card apply karne ke liye aapko sabse pehle account verification karwana hoga. Verification ke liye aapke pass 2 option hote hai. 1. Agent Verification 2. Center Verification

Agent Verification : Ye option select karne par paytm agent humare diye huye address par aata hai aur uske baad humara account verification process complete karta hai.

1/2


Center Verification : Is option ko select kar par hume humare nearest paytm center show hote hai jaha jake hume verification process complete karna hota hai, iske baad humara account active ho jata hai. Activate hone ke baad hume paytm card app me mil jata hai. Lekin hume paytn physical card chahiye hota hai to uske liye paytm me online request send karna parta hai.

Paytm card use karne ke pehle dhyan rakhe ye baate Is card ka istemal aap sirf india me kar sakte hai Paytm card se ek bar me 25,000 ka transfer kar sakte hai, ek din me. Ek mahine me 3 transaction karne par koi charge nahi lagega, 3 se jyada karne par 5 rupay per transaction lagega.

Conclusion Is post me humne jana Paytm debit card kya hai aur paytm card ke fayde kya kya hai. Ummid karte hai ki ye post aapke liye helpful hoga. Also Read,

Follow Us Archives PAGES Subscribe to Blog via Email Enter your email address to subscribe to this blog and receive notifications of new posts by email.

DMCA PROTECT

2/2


Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.