Youtube views badhane ke top 5 tips techkashif.com/youtube-views-badhane-ke-top-5-tips
Youtube views badhane ke top 5 tips | Aaj hum janenge Youtube video par views kaise badhaye. Aaj ke time pe Youtube sabse jyada popular source hai online earning karne ke liye. Is platform ka istemal karke aap Google AdSense, Sponsorship, Paid Promotion se har month lakho kama sakte hai. Youtube se paise kamane ke liye sabse important chiz hota hai “Views�. Agar aapkp Views hi nahi aayenge to aap paise bhi kama nahi payenge. Isliye aaj ki is post me hum Youtube views badhane ke top 5 tips ke baare me janenge.
1/3
1- Thumbnail & Title Youtube video me ye Important factor hai. Kisi bhi video ka thumbnail aur title ki wajah se hi views aate hai. Thumbnail esa hona chahiye jisse koi bhi first time dekhte hi click kar de. Yani ki simple Language me bolu to thumbnail clear and attractive hona chahiye. Video ka title searchable hona chahiye. Ese title naa de jise log search hi naa karte ho. Title ke liye aap Youtube pe search karke dekh sakte hai ki us topic se related log kya search karte hai, aur use aap title me de sakte hai.
2- Description Video ka description esa likhe jisse video Youtube ke saath saath Google search engine me bhi show kare. Uske liye description ke first 2 line me keyword ka istemal kare.
3 – Card & End Screen Youtube video me card aur end screen ka istemal kare. Isme aapka ek video dusre video ke saath bhi linked hota hai. Aur Viewers aapke ek video se dusre video par bhi jata hai. Har video me end screen ka istemal kare. Jis video me jyada views aate ho usme end screen ka istemal jarur kare.
2/3
4 – Upload Video Regular Views laane ke liye aapko regular active rehna jaruri hai. Agar aap active nahi rahenge to views aane ke jagah kam hote jayenge. Isliye atlist week me ek video jarur daale.
5 – Topic Find Ese topic find kare jo yaa to trending ho yaa phir jyada search hone wala topic hai. Saath hi is baat ka bhi dhyan rakhe ki high search ke sath sath us topic par compition kam ho. Tabhi aapka video rank ho payega aur views aayenge.
Conclusion Is post me humne jana Youtube par views kaise badhaye. Ispe maine aapko 5 tips diya hai jiska istemal karke aap apne video ko rank karwa sakte hai. Post kaisa laga comment me apna feedback dena naa bhule. Also Read, Edit Post
3/3