W W W. C A R A S I N D I A . C O M
Priyanka Chopra swasth sambhandit sewayon ke liye ek swaroop tyyar kar rahi hai jisme COVID19 se jhoojh rahe mareezo ke liye kendre aur isolation sthan banaye jayenge. Saath hi iss swaroop me Oxygen plants, chikitisic upkaran or vaccination ki sewayein bhi uplabhdh karwayi jayengi
BHARAT KI COVID-19 KE KHILAF JUNG MEIN FILMY HASTIYON KA YOGDAAN KAREENA COVID-19 KE KARAN HUE YATIM BACCHO KI MADAD KAR RAHI HAI JANIYE KAISE JACQUELINE FERNANDEZ LOGO KI MADAD KAR RAHI HAI SALMAN KHAN NE BOLLYWOOD KARMIYO KI PAGAR BHARI
SAMAJIK SAMASYAON KE KHILAF VIRAT- ANUSHKA KA EK ABHIYAAN
Adakara ne bataya hai ki vishw bahar me rehne wale unke fans ki madad se unhone iss abhiyan ke liye Rs. 22 Crore tak jama kar liye hai.
B
hartiya adakara Priyanka Chopra ne haal hi mein Give India Campaign ki shuruwaat ki hai. Priyanka ne social media par apne sabhi fans ko iss fundraiser me apna yogdaan dene ki guzarish ki hai taki bharat COVID19 se chal rahi jung ko jeet sake. Iss campaign duara jama ki gayi dhanrashi COVID care centres aur isolation centres ko banane me istemaal ki jayegi. Saath hi iss paise se kayi medical upkaran jaise ki oxygen generator aur vaccination sambhandit kayi cheeze khareedi jayengi.
“Shukriya. Apki iss madad se apne kayi jaane bachayi hai” (Priyanka Chopra) Iss campaign me Priyanka ke saath unke pati, lokpriya American singer Nick Jonas ne bhi unka saath diya hai. Social media par iss campaign ko #TogetherForIndia ke naam se promote kiya ja raha hai. Iss Campaign me yogdaan dene ke liye neeche diye gaye link par click kare https://fundraisers.giveindia. org/fundraisers/togetherforindia-stop-the-spread-help-india-fight-covid-19 ya phir page bio par diye gaye link par jaye. l @priyankachopra @nickjonas
@give_india
#giveindia
#covidresources
#covidhelp
#covid19
#covidaid
#carasindia
PHOTOS: INSTAGRAM @PRIYANKA CHOPRA / NETFLIX
#TogetherForIndia
#India
SWASTH DEKHBHAL TANTRA
TANTRA MEIN COVID DEKHBHAL KENDRA SHAMIL
PHOTOS: INSTAGRAM REPRODUCTION
Anushka aur Virat ke abhiyaan ne Rs. 11.39 crore jama kiye hai aur ye rakam aane wale waqt mein kayi jaane bachane ke kaam ayegi.
VIRAT & ANUSHKA: #INTHISTOGETHER VIRAT- ANUSHKA KA SAMAJIK SAMASYAON KE KHILAF EK ABHIYAAN
B
h a r a t k i l o k p r i y e j o d i kiya jayega. Anushka ne haal hi Anushka Sharma aur Virat me social media par ek video bhi Kohli ne desh me COVID 19 daali thi jisme unhone sabhi front ke khilaf chal rahi jung me apna line workers ki pandemic me niyogdaan diya hai ek naye cam- dar sahyog dene ki srahana ki hai. paign ke saath Iss Campaign InThisTogether me yogdaan dewith Ketto. Ye “Khushi zahir karne ne ke liye neeek online camke liye shabd kam che diye gaye paign hai jisme par click hai. Aap sabhi ka link jan sahyog ke kare visit: htshukriya” (Virat) tps://actgrants. duara paisa jain/donate/ ya ma kiya jayega. phir page bio Iss campaign me jama ki gayi dhanrashi par diye gaye link par jaye l ACTGrants ko jayegi jo ki sa@anushkasharma #OxygenForEveryone majik karyo me sahayta karne @kettoindia @actgrants #ActNow wali bhartiya company hai. Iss #TogetherWeCan #InThisTogether campaign duara bharat me chal rahi oxygen ki kami ko dur kar#covidresources #SocialForGood ne ke liye medical upkaran aur #India #carasindia @virat.kohli concentrators ke liye paisa jama
Kareena ne logo se guzarish ki hai ki akele reh gaye baccho ki suchna National Child Helpline (1098) ko zaroor dein.
K
areena Kapoor Khan ne haal hi mein Welham Girls Alumni Association ke saath ek mother’s initiative launch kiya hai. Iss association me kaam kar rahi mahilayein Mission Oxygen India ke saath mil kar hopitals mein oxygen ka prabhand karwayengi. Kareena, jo haal hi mein doosri baar maa bani hai, uhone apne social media handle par bachcho ki sahyata ke liye helpline num-
“COVID19 ke karan yateem hue baccho ka mujhe bhaut dukh hai ” (Kareena) bers bhi share kiye hai. Apne post me unhone kaha hai ki wo sabhi bachcho ke liye chintit hai jinhone apne maa baap ko iss pandemic ke duaraan kho diya hai. Kareena ne apne fans se guzarish ki hai ki agar unhne aise bachche kahi milte hai to unki suchna turant National Child Helpline (1098) ko de. Issi ke saath Kareena apni Instagram stories par COVID19 se sambhandit sul chanayein dalti rehti hai. @kareenakapoorkhan #welhambreathe #welhamlove
@welhamgirlsalumni #welham
#SafetyFirst
@missionoxygenindia
#CovidInfo
#missionoxygen #welhamgirlsschool
PHOTOS: INSTAGRAM REPRODUCTION
#AAHChildRescue
#ReachOut
BIN MAA-BAAP KE BACCHE YATEEM BACHCHO KE LIYE AAGE AAYI KAREENA
PHOTOS: INSTAGRAM REPRODUCTION
SAB KE LIYE DAYA AUR KHANA JACQUELINE NE YOLO ABHIYAAN SHURU KIYA
B
harat me chal rahe mushkil waqt me, Sri Lankan adakara Jacqueline Fernandes jo ki zadatar bhartiye filmo me kaam karti hai, unhone YOLO naam ki ek foundation shuru ki hai. Iss foundation duara, un logo ki kahaniyo ko social media par laya jayega jinhone pandemic ke duaran kayi logo ki madad ki hai. YOLO foundation ne kayi NGO’s jaise ki Roti Bank ke saath sajhedari ki hai jaha kareeb 1 lakh logo tak May ki mahine me khana pahochaya jayega. Iss sanstha ne Feline Foundation ke saath bhi
“Kaash maine ye kaam thoda pehle shuru kiya hota”, (Jacqueline Fernandes)
YOLO abhiyaan ne kayi NGO’s ke sath sajhedaari ki hai isme Roti Bank bhi shamil hai jiske zariye May ke makine mein 1 lakh logo tak khana pahochaya jayega.
haath milaya hai taaki pandemic ke dauran janwaro ki suraksha bhi ki ja sake. Jacqueline ne khud iss campaign me badh chadh kar hissa liya hai. Unhone Mumbai ki sadko par ja kar logo me khaana baata hai or saath hi iss campaign me kaam kar rahe volunteers ki tasveere apne social media page par bhi share ki hai. Iss initiative me frontline workers ko muft masks or sanitizers bhi diye jayenge. Apni kahani share karne ke liye, diye gaye Email address par sampark kare yolostoriesofkindness@gmail.com. l @jacquelinef143 @rotibankfdn #yolo
#kindness #covidresources
#helpothers
#staysafe
@jf.yolofoundation
#spreadlove
@mumbaipolice
#spreadthelove
@thefelinefoundation
S
onu Sood jo ki apni niswarth sewayon ke liye jaate hai, unhone pechle saal kayi pravasi majdooro ki madad ki thi jab COVID19 ke dauraan lage lockdown me wo apne ghar nahi ja pa rahe the. Aur iss saal phir Sonu COVID19 se jhoojh rahe deshvasio ki madad ke liye aage aaye hai. Sonu ne Sood Charity Foundation ke saath milkar ek telegram group banaya hai jiska naam hai ‘India Fights with Covid’ jiske zariye log unhe aspatalo, oxygen aur dawaiyon ke liye sampark kar sakte hai. Iske alwa Sonu apne Twitter account ke zariye bhi logo ki hopsital aur dawaiyon se sambhandhit madad karte aa rahe hai. Sonu ne haal hi mein sarkar ko un baccho ki arthik madad karne ki salah di
Sonu aur unki team un sabhi logo tak zaroorat ka samaan jaise ki aspataal mein bistar, dawaiyan , oxygen itiyadi pahocha rahe hai jo unko social media ke zariye sampark kar rahe hai.
“Agar hum logo ki madad ke liye aage nahi aate hai to hum khud insaan hone ke naate vifal hai” (Sonu Sood) thi jinhone Covid me apne maa baap ko kho diya hai. Priyanka Chopra jo ki khud ‘Give India Campaign ko support kar rahi hai unhone Sonu ki iss muhim ki social media par prashansa ki hai. Sonu ne sarkar se shamshan ghat ki badhti tangi ko dekh kar marne wale logo ki aantim sankar ko muft karane ki salah bhi di hai. Issi ke saath Sonu nirantar prayaas kar rahe hai taaki France or anay desho se oxygen plants bharat me mangwa sake. Sonu ke telegram group me bhag lene ke liye diye gaye link par click kare To join his telegram group: https://t.me/IndiaFightsWithCovid or please visit the link in our bio. l
SWAPNIL PAWAR
@sonu_sood
BHARAT KI COVID SE JUNG MESSAGE SE APNI JARURATEIN SONU TAK BHEJE
@sood_charity_foundation
#sonucharityfoundation
#socialdistancing
#IndiaFightsWithCovid
#covidresources
#maskup
#India
#oxygenforeveryone
#covid19 #carasindia
PHOTOS: INSTAGRAM REPRODUCTION
John Abraham ne kayi NGOs ke saath sajhedaari ki hai jo ki mansik swasth, zaroori dawayiyan aur vaccination ke liye logo ki madad karte hai.
HELP BLUE CROSS OF INDIA BLOOD DONATION SE LEKAR JANWARO KI MADAD TAK
J
ohn Abraham ne kayi NGO’s ke saath sajhedaari ki hai or kuch ko to apne social media handles ke zariye COVID 19 sambhandit jankari dene ke liye anumati bhi de di hai. John iss samay kayi campaigns me bhagidari le rahe hai jaise ki ‘Blue Cross of India’ campaign jo ki janwaro ke liye kaam karta hai aur ‘Project Mumbai’ jo ki mansik swasth se sambandhit sevayein dete hai. Issi ke saath John ‘Relief Riders”, ‘Hope’, ‘Help Now’, aur ‘India Shield’ jaise
“Ek jut hokar hum aur bhi takatvar ban sakte hai” (John Abraham) campaign mein bhi sajhedaar hai jo ki COVID 19 ke dauraan medical samasyao mein logo ki madad kar rahe hai. John jinko khud janwaro se bada lagaav hai, unhone social media ke zariye logo ko 5 tareeke bataye hai jisnse wo janwaro ki madad kar sakte hai. Yeh campaign John ne Out Of Home Adoption movement ke saath kiya hai jo ki CWATY naam ke initiative se juda hai. Ye vishw ke pehle online animal influencer hai. l @thejohnabraham
@project_mumbai
@helpnow24x7
@indiashield
#covidresources
@cwaty.official
#covid
#blooddonation
@reliefridersindia
@khoonkhas
@theunion_bengaluru #adoptdontshop
#animallovers
#spreadthelove
#covid_19
#covid19india
‘Give India Campaign’ Pradesh ke swasth mantraley ke saath kaam kar raha hai jiske zariye NGOs aur hospitals me oxygen cylinders aur anay zaroori upkaran pahochaye jayenge
A
lia Bhatt ne mashoor patrkar Faye D’Souza ke saath #CircleofHope naam ka campaign shuru kiya hai jisme wo COVID 19 se jhujh rahe deshvasiyo ki madad ke liye NGO’s, hospitals, ambulances or helpline numbers ki jaankari logo tak pahochayengi. Alia ke saath unki behen Shaheen Bhatt bhi iss camapaign me shamil hai jahan wo logo tak bharat ke kayi shehro ki list or hospital sambhandit jankari logo ko dengi. Issi ke saath Alia ne haal hi mein ek video bhi social media par daali thi jisme unhone un sabhi campaigns ki baat ki thi jiska wo samarthan karti hai. Isme unhone sarkar duara chalaye gaye
“Ek saath aage ayein! Iss samay pyar aur sehyog ki bhaut zaroorat hai” (Alia Bhatt) Give India Campaign ki bhi baat ki hai jo ki logo tak oxygen cylinders, concentrators or kayi jaan bachane ki upkarno ko pahochayenge. Iske alawa wo I breathe for India’ aur ‘#TogetherForIndia’’ jaise campaigns me bhi bhaag le rahi hai. Apni video me Alia ne frontline workers ko sraha hai aur logo ko btaya hai ki bhale hi hum in workers ki tarah na ban sake par un tak apna pyar aur arthik madad zaroor pahocha sakte hai. Iss Campaign me yogdaan dene ke liye neeche diye gaye link par click kare visit: https://covid.giveindia.org/ya phir page bio par diye gaye link par jaye. l @aliaabhatt #CircleOfHope
@fayedsouza #India
@give_india
#missionoxygen
#covid_19
#CovidInfo
#covidresources
#GiveIndia
#carasindia PHOTOS: INSTAGRAM REPRODUCTION
#covid19india
ALIA BHATT: #CIRCLEOFHOPE NGO LEADS OR HELPLINES SHARE KAR RAHI HAI
PHOTOS: INSTAGRAM REPRODUCTION
Ajay ne apatkaleen Covid-19 sewayaein Mumbai ke Shivaji Park me shuru karwayi hai aur saath hi ICU, oxygen or ventilator ki suvidhayein bhi logo ko uplabdh karayi hai.
AJAY: COVID SAMBHANDHIT SEWAYEIN COVID-19 KE MARIZO KI MADAD KAR RAHE HAI
A
jay Devgn ne bharat me chal aur Covid centres kholenge. rahe COVID19 support me Anand ke mutabik kareeb 75 beds apni bhagidaari dikhayi hai. in centres me uplabdh karwaye Unhone Mumbai sheher ke kayi jayenge or logo ke ilaaj ki saari shetro me Covid care facilities zimedaari Ajay aur Anand chalu ki hai. Unhone Mumbai ke uthayenge. Iss muhim me supersShivaji Park mein Covid19 ke tar Amitabh Bachchan bhi shamil marizo ke liye honge. Ajay ne apatkaleen suvihaal hi mein apdha bhi shuru ki “Hum sabhi ko apna ne aane wali hai or saath hi film ‘RRR’ ki sehyog dene ki team ke saath ek unhone Dadar avashyakta hai” video banayi hai ke ek shaadi (Ajay Devgn) jisme unhone ghar ko Covid Centre mein bhi logo ko COVID tabdeel karaya ke samay stark hai jaha ICU ki suvidha bhi upla- rehne ki or jald se jald vaccine bdh hai. Ajay ne apne social ser- lagwane ki salah di hai. l vice wing NY Foundations ke sa@ajaydevgn #covidcare ath milkar kuch paisa bhi COVID relief me lagaya hai. Aane wale #vaccinate #India #maskup waqt mein Ajay film nirmata #carasindia #covidresources Anand Pandit ke saath mil kar 2
S
uperstar Salman Khan ne Federation of Western Indian Cine Employees (FWICE) ke saath sajhedaari kari hai jisme ab wo bollywood me kaam karne wale workers jaise ki technicians, make-up artists, stuntmen aur spot boys ki arthik madad karenge. Reports ki maane to Salman 25,000 karmiyo ko Rs.1500 tak ki dhanrashi denge. Issi ke saath
“Aayein un sabhi logo ki madad kare jinhone apne priyajano kho diya hai” (Salman) Salman apne production house ‘Salman Khan Films’ or ‘Zee Entertainment’ ke saath milkar unki haal hi mein release hui hui film ‘Radhe’ duara kamayi gayi rakam ko Give India Campaign me lagayenge. Iss saal April me, Salman ne Yuva Sena leader Rahul Kanal ke saath milkar 5000 khane ke packets frontline workers tak l bhi pahochaye the. @beingsalmankhan #covidaid
#covidresources @give_india
@skfilmsofficial
#Covidrelief #India #covid_19
#covid19india #GiveIndia #carasindia
PHOTOS: INSTAGRAM REPRODUCTION
Salman Khan ne FWICE ke sath sajhedaari ki hai jiske zariye wo technician, make-up artists, stuntmen itiyadi tak arthik madad pahochayenge.
SALMAN NE PHIR BADHAYA HAATH RS.1500, 25,000 KARMIYO TAK PAHOCHAYENGE