Nooreirfaan Volume 2

Page 1


A ll R ights R eserved T abligh Board – Dsm

C ompilers: A kil Meghji A liasgher Meghji

Second E dition, 2009 - 1000 C opies

T A B L I G H B OA R D K SI JA MA A T P O BOX – 233 Dar es salaam T anzania T el: +255 22 2115119 Fax: +255 22 2127555 Email : tabligh@raha.com W ebsite: www.dartabligh.org


In the Name of Allah the Beneficent the Merciful Dear Reader, Salaamun Alaykum, By the grace of Allah (SWT) and the Wasilah of 14 Ma’sumin, the Noore-Irfaan under the patronage of the compilers Akil Meghji and Aliasgher Meghji are endeavouring to convey Nawhas, Marthiyas & Munajaat specially for those reciters who are unable to read the Gujarati and Urdu language. Our Special Thanks goes to the following for their tireless efforts into compiling the 2nd edition of NOOR-E-IRFAAN. These include: - Mawlana Zeeshan Haider - Br. Jaffer Fazel - Gulamabbas Datoo - Sis. Swaleha Meghji

- Br.Abbas Rehmtullah - Akil Janmohamed - Shabbar Fazel (Jamana Printers) - Sis. Sajida Tejani

We would be unfair if we would not thank Mehboobbhai Somji and Tabligh Sub-Committee of Dar es Salaam Jamaat in Collaboration with Sleep Inn Hotel for Sponsoring the book. We would also like to thank those who have worked behind the curtains into making NOOR-E-IRFAAN a success not forgetting Zakira Fatim Dewji. May Almighty Allah (s.wt) shower his blessings upon them all. Your participation in the development of NOOR-E-IRFAAN are welcomed in all ways . Whilst every effort has been made to ensure the accuracy of the compiled contents. Mo’mineen are urged to write to us if they spot any errors to enable us to rectify and are requested to remember us in their prayers. Thanking you, NOOR-E-IRFAAN, P.O.BOX 88, Dar-es-salaam, Tanzania , Cell : 0713 362 866 / 0784 233 455 ameghji2000@yahoo.com , meghji786@hotmail.com February 2009 , Safar 1430 Cell: 0713 362866 / 0784 233455 Due to respectable text, please handle with care

Noor - e - Irfaan

1


MUNAJAAT Page No. 1. Dua - Yaa Rab behakke Zehra

4

2. Banke Saail (NEW)

5

3. Bibi Fatema Zehra

5

4. Diin ka Daata

7

5. Ghar Fatema Zehra ka

8

6. Lahad me Qibla

9

7. Haajat meri rawaa karo

10

8. Naame Abbas (NEW)

10

10. Saamaan Shitaab

12

11. Yaa Rab Bimaare Kerbobala

13

12. Mehboob ki Mehfil ko

14

13. Sarkaar Ali Mawla

15

MARTHIA 1.

Khuda ne jab Malakul mawt

2. Aaj Qabre Mustufa

17

3.

Chalo Kerbala chale

18

4.

Hawaaose kehdo

19

5.

Jab aakheri rukhsatko

21

6.

Khat Fatema Sughra

22

7.

Kya dhudh rahi hay

22

8.

Mujhko tanhaa na

23

9.

Jab lutke Kerbalase

24

10. Sakina utho

2

16

Noor - e - Irfaan

25


11. Ay Maahe Muharram

26

12. Hay salaam uspe

27

13. Haae Ummat ne tujhe

28

14. Kerbala taazim kar

29

15. Jab Qatl kiya

30

16. Pehney zanjeer

31

17. Mawt ki aagoshme

32

NAWHA 1. Wa Muhammada wa Musibata

33

2. Zuljanah ay zuljanah

34

3. Mai jula julaau

36

4. Kerbala waalon ki zinda

37

5. Abbas e Alamdaar

37

6. Hashr me rang laaega

39

7. Mere Ghazi kahaan ho

40

8. Ghurbat ki intehaa hai

42

9. Maa or Aliakber ki maa

43

10. Sitam ki hogayi

44

11. Ek Jari chaahiye

45

12. Kerbala ki ye sadaa hai

47

13. Kufe ka aur Shaam ka manzar

48

ZIYARAT 49

Noor - e - Irfaan

3


YAA RAB BEHAKKE ZAHRA Yaa Rab behakke Zahra, tawfik ye ataa ho Marnese pehle yaa Rab, didaare Karbalaa ho 1. Jo arze Karbalaa hay, har ardh se judaa hay Iss khaake Karbalaame (Shehkaa lahuu milaa hay) X2 Har laa dawaa maraz kii, ye khaak hii dawa hay Marnese pehle yaa Rab, didaare Karbalaa ho

4

2.

Hay waastaa Hasan kaa, Qaasim se gulbadan kaa Abbase khush sukhan kaa (Anwaare Panjetan kaa) X2 Duniya ki mushkilon me, koi na mubtilaa ho Marnese pehle yaa Rab, didaare Karbalaa ho

3.

Mominke dam me dam ho, har dilme Sheh kaa gham ho Abbas kaa karam ho (har gharpe yeh Alam ho) X2 Abbas ke Alam kii, ab chaarsuu hawaa ho Marnese pehle yaa Rab, didaare Karbalaa ho

4.

Hay waasta Khudaa kaa, Abbas kii wafaa kaa Beemaare Karbalaa kaa (Zainab kii ridaa kaa) X2 Jo hay aseer Mawlaa, ab jald se rihaa ho Marnese pehle yaa Rab, didaare Karbalaa ho

5.

Khush khabriya sunaade, sabke chaman khilaade Ho khatm naa ummiide (Maayusiyan mitaade) X2 Shabbir ke wasile, awlaad bhi ataa ho Marnese pehle yaa Rab, didaare Karbalaa ho

6.

Hay waastaa Razaa kaa, Masumaa ki ridaa ka Ay waarisaane Daawar (Ay dilbare payambar) X2 Ho qarz jispe (Maula) Bibi, woh ghayb se adaa ho Marnese pehle yaa Rab, didaare Karbalaa ho

Noor - e - Irfaan


BANKE SAAIL - IMAM HASAN (AS) Banke saail aaye hay darpe tumhaare yaa Hasan Aaj pure kijiyo armaan hamaare yaa Hasan 1. Fatima ke jaan ho lakhte dile Hayder bhi ho Ahmade Mukhtaar ke ho tum dulaare yaa Hasan 2. Aaye hay milaad me jo sab sawaali aapke Joliyaa bhar dijiye sabki hamaare yaa Hasan 3. Jo marize laa dawaa hayn mojize se do shafaa Jaan ho Mushkil Kusha ke aur pyaare yaa Hasan 4.

Laa walad hayn jo bhi Maula sabko ho awlaad ataa Aaye hayn bankar sawaali tere darpe yaa Hasan

5. Phir bane Roza Baqii par hay tamanna ye meri Gumbade Rawza main dekhun tere darpe yaa Hasan 6. Aankho me aansu hayn sabke dil ghamo se chuur hay Paar beraa kijiye sabkaa hamaare yaa Hasan

BIBI FATEMA ZEHRA Ya Fatema, Umme Abi ha, Bint-e-Payambar, Khayrun-Nisaa,Yaa Zehra, Yaa Zehra Tu hai Siddiqa, tu Tahira aur tuhi Shafi-e-Rawze jazaa, ay meri Bibi, waqt-e-madad hai, har maatami ke dil ki sadaa hai (Bibi Zehra ye dua hai) x2 Aap ke darbaar mei Bibi Zehra ye dua hai 1. D ast-e-dua ko jab bhi uthaaya, maanga hai teri chaadar kaa saaya, (ya Zehra) x2

Noor - e - Irfaan

5


Waqt-e-musibat mei har Husaini bas Naam tera, honto pe laaya, ay meri Bibi, tang dast hu mein, ye kehke daaman pheylaadiya hai (Bibi Zehra ye dua hai)x2 Aap ke darbaar mei Bibi Zehra ye dua hai 2. Wo Bibi jiski hai gowd khaali, chawkhat pe teri hai wo sawaali (ya Zehra) x2 Mujhko bhi dede Asghar ka sadqa maine tere dar se lo lagaali, ay meri Bibi, jin godiyo mei, awlaad hai wo Teri ataa hai (Bibi Zehra ye dua hai) x2 Aap ke darbaar mei Bibi Zehra ye dua hai 3. Jo Maaye Behne be aasra ho Farsh-e-Azaa par mehwe bukaa ho (ya Zehra) x2 Tu unke pardo ki laaj rakhiyo jo teri Zainab ki Zaakira ho, ay meri Bibi, zinda rahe wo, bhaayi jo behno ka aasra hai (Bibi Zehra ye dua hai) x2 Aap ke darbaar mei Bibi Zehra ye dua hai 4. Jo apne beto ka bhool kar gham, karti ho Tere, Akbar ka Maatam (ya Zehra) x2 Un maao ko tu, de sabr Bibi wo phir na dekhe Awlaad kaa gham, ay meri Bibi, us maa ko koi gham na ho jisko ye gham mila hai (Bibi Zehra ye dua hai) x2 Aap ke darbaar mei Bibi Zehra ye dua hai 5. Hai yaad abtak purdard manzar pyaase ki gardan, Zalim ka khanjar (ya Zehra) x2 Hum tere pyaase Bete ka sadqa yu(n) maangte hai Farsh-e-Azaa par, ay meri Bibi, aabaad rakhna wo ghar ke jisme Farsh-e-Azaa hai (Bibi Zehra ye dua hai) x2 Aap ke darbaar mei Bibi Zehra ye dua hai 6. Shabbir ki wo Mazloom Dukhtar, zindaan se jo, na jaa saki ghar (ya Zehra)x2 Sadqe mei uske, ham par karam kar, bejurm qaydi kehte hain rokar, ay meri Bibi, ab ye aseeri ho khatm Aabid kaa waasta hai (Bibi zehra ye dua hai) x2 Aap ke darbaar mei Bibi Zehra ye dua hai 6

Noor - e - Irfaan


7. “Irfan-o-Mazhar” ye chaahate hain, miljaaye hamko bas ye sa’adaat ( ya Zehra) x2 Jo aakhri hain Hujjat Khuda ki, hojaaye hamko uski ziyarat, ay meri Bibi, ye baat wo hai, jo har Husaini ki iltejaa hai (Bibi Zehra ye dua hai) x2 Aap ke darbaar mei Bibi Zehra ye dua hai

DIIN KAA DAATA Diin kaa Daata , Jagat kaa Maalik , Sabka paalanhaar , Mawla Ali Ali 1.

Tere charan ke dhuul ke aage , kya chaandi kya sona hay, Dharti chaand sitaare sab kuch, Tere husn ka sadqa hai , Tera pasina - hay tere maathe ka pasina Nabi Wali awtaar, (Mawla Ali Ali X2)

2. Tere siwa hai kown ke jiske , darpar Taaraa utra hay, Dharti se Aakaash talak bas, Tera sikka chalta hay, Mera mawla - Suraj Tere hukm se nikla ek din me do baar, (Mawla Ali Ali X2) 3.

Purab Pachim Uttar Dakhshin ,sehme sehme rehte hain, Khof se apne pankh samete ,duur Farishte rehte hayn, Ay palhaari - chalti hay aghyaar ke aage jab Teri Talwaar, (Mawla Ali Ali X2)

4. Naino me Teri yaad ki jyoti ,Zehn me Teri Murat hay, Saanse hai tere Naam ki maala, manme pyaar ki dawlat hay, Ay jagdaataa - mere badan ke rom rom mai hay tera upkaar, (Mawla Ali Ali X2) 5. Miisam Salman aur Abuzar, sab hamko pehchane hain, Teri gali ke ghada hain Ham, Kambar hamko jaane hain , Bhejde Mawla - bhejde ab Hasnain ka sadqa, karde beda paar, (Mawla Ali AliX2)

Noor - e - Irfaan

7


GHAR FATEMA ZEHRAA KAA Ghar Fatema Zahraa kaa bari shaan kaa ghar hay Ye wahi kii Manzil hay ye Quraan kaa ghar hay. 1. Islaam ke maahol me Imaan kaa ghar hay Momin ki Munaafik ki pehchaan kaa ghar hay. 2. Kuch log mare jaate hay iss ranjo alam me Iss Ghar kaa kyun darwaaza hay Masjid ke Sahan me . 3. Allah ne iss ghar ko Nabuwwat se nawaaza Ismat se Imaamat se wilaayat se nawaaza. 4. Gardun se utar kar yahin aataa hay Sitaara Miltaa hay yahin aake Imaamat kaa Sitaara . 5. Makhluk ki bas aakheri sarhad nazar aae Jis fard ko dekho to Muhammad nazar aae . 6. Iss ghar ke to Bache bhi badal dete hay aksar Insaano ki takdir or Farishton kaa mukaddar . 7. Raahib ko kai Laal isi ghar se mile hain Fitrus ko Paro Baal isi darse mile hain . 8. Ye saare Sharaf Binte Risaalat ke liye hain Jibrile Amin Bachon ki khidmat ke liye hain . 9. Darzi ki zarurat hay Rizwaan hay haazir Khud Aap musalle pe Ibaadat ke liye hain .

8

Noor - e - Irfaan


LAHAD ME QIBLA Lahad me Qibla roo iss Buturaabi ko litaa dena Najaf ki paak mitti me meri mitti milaadena. 1. Mara(mari) hun Nainawa ki aatishe hijraa me jal jal kar Uthaa kar khaak meri Karbalaa ke simt uraadena . 2. Jo peshaani pe marte dam pasina maut kaa aaye Mere Mawla tum aake apne Daaman ki hawaa dena . 3. Sukune qalb hoga hashr me didaar tashaf fiikaa Ba wakhte naz’a aakar yaa Ali surat dikhaa dena . 4. Khuda ko apni ye surat dikhaate sharm aayegi Siyaah kaare zamaana hun kafan se muh chupaa dena . 5. Mujhe tanha zamin me dafn karke jab chale jaayen Fishaare Qabr se ya Buturaab aakar bachaa lena . 6. Sunaa (yaqeen) hay Qabr me Shio ki khud Shabbir aate hain Main so jaaun agar ay Munkir Nakir aakar jagaa dena . 7. Kiraaman-Kaatebin-kaa-kaam hay mere Amal likhna Ali ka kaam hay mere gunaahon ko mitaa dena . 8. Amal se go nahin Jannat ke qaabil ham rahen leikin Khudaaya apne bando ko Jahannam se bachaalena .

Noor - e - Irfaan

9


HAAJAT MERI RAWAA KARO Haajat meri rawaa karo behre Khuda Husein Dono jahaan ke aap hay haajat rawaa Husein 1. Mushkil khusha kaa waasta (dete hain aapko X2) Mushkil sabhi ki hal karo Mushkil khusha Husein 2. Mohtaaj na kisiko (Duniaame kijiye X2) Zehraa kaa waasta tumhe dete hain yaa Husein 3. Abbaase Alamdaar kaa (dete hain waastaX2) Rawzepe hamko ek baar bula lije yaa Husein 4. Duniya ke ranjo gham se (bacha lijiye HuseinX2) Akber ki nawjawaanika hay waasta Husein 5. Sab momino ki haajaten (bar laawo yaa HuseinX2) Ho sab dilonki jald dua mustajaab Husein

NAAM - E - ABBAS Naam-e Abbas-e wasila Hay har duwa ke liye. Isme A’zam hay ye Momin Ki iltija ke liye. Naam-e Abbas-e wasila Hay har duwa ke liye. 1. Jab bhi Ghaazi ke Alam par kabhi parjaae nazar (x2) (apne haatho ko) x2 uthaao sabhi dua ke liye Naam-e Abbas-e wasila Hay har duwa ke liye 2. Kyun na ho Naame Alamdaar Jahaame uncha (x2) (isko maangaa hi tha) x2 Haidar ne Karbala ke liye Naam-e Abbas-e wasila Hay har duwa ke liye 3. Maangna hai jo Alamdaar ke Dar par maango (x2) (mojiza Naam hai) x2 ye darde laa dawa ke liye Naam-e Abbas-e wasila Hay har duwa ke liye 10

Noor - e - Irfaan


4. Maango Abbas se tum deke Sakina ki qasam (x2) (yehi ek khaas) x2 tariqa hai har ataa ke liye Naam-e Abbas-e wasila Hay har duwa ke liye 5. Bole Abbas Sakina se hun may sharminda (x2) (muje khaime me) x2 na lejaaiyo khuda ke liye Naam-e Abbas-e wasila Hay har duwa ke liye 6. Bole Abbas ye Zainab se abhi zinda hun (x2) (hain salaamat mere) x2 baazu teri Rida ke liye Naam-e Abbas-e wasila Hay har duwa ke liye 7. Tere Roze ka may ek baar karu bas deedaar (x2) (may waha aau mere) x2 dil ki har duwa ke liye Naam-e Abbas-e wasila Hay har duwa ke liye 8. Ab bhi Maqtal ki fizaao me hai Zahra ki sadaa (x2) (Marhaba ay mere) x2 Ghaazi teri wafaa ke liye Naam-e Abbas-e wasila Hay har duwa ke liye 9. Tujko Zahra ki qasam meri muraaden bharde (x2) (sar jukaayaa hai tere) x2 dar pe bas duwa ke liye Naam-e Abbas-e wasila Hay har duwa ke liye 10. Ab bhi aati hai ye Naqvi ko sadaa kaano me (x2) (ab bhi roti hai) x2 Sakina yuhi Chacha ke liye Naam-e Abbas-e wasila Hay her duwa ke liye

Noor - e - Irfaan

11


SAAMAN SHITAAB Saamaan shitaab karde mere dil ke chain kaa Parwardigaar waasta khuune Husain kaa

12

1.

Yaa Kirdigaar tujko Payambar kaa waasta Yaa Zuljalaal Haydaro Safdar kaa waasta Yaa Rab badarde Pehlue Zakhmie Faatema Ma’abud tujhko Hazrate Shabbar kaa waasta

2.

Mazlum tishna kaamo jigar khastao Ghariib Ya’ane Husain kushtae khanjar kaa waasta Qassim ki Auno Jaafaro Abbas ki qasam Akber kaa waasta Ali Asgher kaa waasta

3.

Thaa qayd be dawaaoo giza jo asiire gham Uss Aabide sitam Shahe Muztar ka waasta Tujhko qasam yatimae Atfaale Shaah ki Or bepardagi e Baanue be par kaa waasta

4.

Sadqa uni labo ka jo be aabo khushk the Jo aag se jalaa tujhe us Ghar ka waasta Rassiime jo bandhaa tujhe uss haath ki qasam Balweme jo khula tujhe uss Sar kaa waasta

5.

Rakhaa tanuur me jise uss sar ki qasam Jo be kafan tha uss tane be sar kaa waasta Ruswaaiyo malaalo maraz se gunaahose Sabko bachaale tujko Bahattar kaa waasta

6.

Duniyaa me sabko jald Ziyaarat nasiib ho Hujjat jo teri chawdaa hay unsab ka waasta Kar mustajaab sabki hay ya Rab ye iltejaa Fariyaado aaho Zainabe Muztar kaa waasta

Noor - e - Irfaan


YA RAB BIMAR -E- KARBOBALA Ya rab Bimare Kerbobala, Kaa hai waasta Jo hai mariz unko tu de, Jalda ab shafaa 1.

Bimaare watan Fatemah Sughra ka waasta Masooma ka yateem Sakina ka waasta Duuba labe dariyaa ho safina ka waasta Ay mere Khuda Shaahe Madina ka waasta

2. Bimaar ki haalat hai yeh dekhi nahi jaati Mei kya karu gham se meri bhar jaati hai chaati Bas yaad me tere mei Musallah hun bhichaati Juz Tera nahi koyi mera muniso saathi 3.

Karta hun dua’a Rab se may yaa Hazrat-e-Sajjad Hai aasra tumhaara tumhi kijiyo imdaad Ha kaun mera jisse karun jaa ke mey fariyaad Imdaad talab hai meri tum kijiyo imdaad

4.

Bimaar key liye tera yeh Zikr shafaa hai Har Ism tera unke liye ek dawaa hai Tun kun faya kun hai wo tere Dar ka Ghadaa hai Tun chaahe to ek aan me hi unki shafaa hai

Noor - e - Irfaan

13


MEHBOOB KII MEHFIL KO Mehboob ki Mehfil ko Mehboob sajaa te hain Aur aate hai wohi jinko Sarkaar bulaate hain 1. Allah ke khazaa no ke (Maalik hay Ali Mawlaa)x2 Ye sach hay niyaazi hum Sarkaar kaa khaate hain 2. Ye log Khuda shaahid (Qismat ke Sikandar hain)x2 Jo Ali ki muhabbat me Milaad manaate hain 3. Iss aas pe jiitaa hun (Ye kehde koi aakar)x2 Chal tujhko Najaf me ab Sarkaar bulaate hain 4. Jis kaa bhari duniyaame(Koi bhi nahi waali)x2 Usko bhi mere Aaqaa sine se lagaate hain 5. Hum Naame Ali lekar(Mushkil ko hataa te hain)x2 Hum Naade Ali parkar Dushman ko haraate hain 6. Un logo kii azmat kaa (Allah bhi zaakir hay)x2 Gun Aap ki azmat kaa din raat jo gaate hain 7. Mehfil me jo aate hain (Jo zikre Ali sun ne)x2 Daamaane talab bhar kar Mehfilse wo jaate hay

14

Noor - e - Irfaan


SARKAAR ALI MAULA Sarkaar Ali Mawla X4 Hay saari khudaai ke X2 Mukhtaar Ali Mawla 1. Haydar ko kahaan chod ke (Tum jaaoge bolo) X2 Pardaa nazar aaenga (Zaraa aankh to kholo) X2 Is paar Ali Mawla X2 Us paar Ali Mawla 2. Khaybar me ajab wakt hay (Islaam ke upar) X2 Islaam ke lashkar se (Pareshaan hay Payambar) X2 Kuffaar pe ho jaae X2 Yalgaar Ali Mawla 3. Jis wakt chali Binte (Asad Kaabe ki jaanib) X2 Or Qaadire Mutlaqse (huwi ayse mukhaatib) X2 Hasne lagi Kaabe ki X2 Diwaar Ali Mawla 4. Hasnain ka sadqa mujhe (Ehjaaz ataa kar) X2 Abbaas ka sadqa mujhe (Andaaz ataa kar) X2 De mujko bhi Meesam ki X2 Guftaar Ali Mawla 5. Mawla hame Shabbir ki (Jaagiir ataa kar) X2 Mawla mujhe Hurr jaisi (Taqdiir ataa kar) X2 May hun Tere bete ka X2 Ghamkhwaar Ali Mawla 6. Ay Haydare Karaar mujhe (Rawzepe bulaalo) X2 Ek baar nahi Mawla (soo baar bulaalo) X2 Ye iltejaa kartaa he X2 Karraar Ali Mawla.

Noor - e - Irfaan

15


KHUDA NE JAB Khuda ne jab Malakul Maut ko ye izn diya, Ke rooh-e-Hazrate Sarwar nikaal kar le aa, Rahe khayaal ke Shabbir ko na ho izaa, Husain x3 Pehle hi zakhmo se choor choor huwa, Malak pukaara ye mujhse na ho sakega Khuda, Me kis tarha se nikaalu, badan se jaan-e- Husain, Bahot hi sakht hay yaa Rab,yeh imtehaan-e- Husain.

16

1.

Lagaa hai zakhme tabar, behraha hai sar se lahu, Bhare hain khuun me, jaan-e-Rasuul ke gesu, Qareeb jaake rakhu, dil pe kis tarha qaabu, Ke is lahu me to hai Fatema ke doodh ki bu. Me kis tarha se nikaalu, badan se jaan-e- Husain, Bahot hi sakht hay yaa Rab,yeh imtehaan-e- Husain

2.

Main phir in aankhon pe dhaau, sitam yeh kya hai zaroor, Bicharke jo Ali Akber se hogayi benoor, Nida ye aayi, dahan se nikaal jaan-e-Huzoor, Kaha dahan me to kaante pare hai Rabbe Ghafoor. Me kis tarha se nikaalu, badan se jaan-e- Husain, Bahot hi sakht hay yaa Rab,yeh imtehaan-e- Husain

3.

Nida ye aayi ke gardan se khench jaa Inki, Kahaa me kya kahu, gardan pe chal rahi hai churi, Churi pakarke ye chillaati hai koi Bibi, Na zibha kar mere Bache ko may dua dungi, Me kis tarha se nikaalu, badan se jaan-e- Husain, Bahot hi sakht hay yaa Rab,yeh imtehaan-e- Husain

4.

Nida ye aayi ke seene se qabz karle jaan, Kahaa woh teeron se chalni hai ay mere Rehman, Abhi to maar ke barchi hataa tha ek Shaitan, Aur ab to hai tahe zaanu-e-Shimr ye Qur’an, Me kis tarha se nikaalu, badan se jaan-e- Husain, Bahot hi sakht hay yaa Rab,yeh imtehaan-e- Husain

Noor - e - Irfaan


5.

Nida ye aayi ke mazlumiyat ke rutba shinaaz, Kamar se khenchle Saabir ki jaan bewaswaas, Kahaa Malak ne tarapkar badardo hasrato yaas, Kamar to toot gayi jabse margaye Abbas, Me kis tarha se nikaalu, badan se jaan-e- Husain, Bahot hi sakht hay yaa Rab,yeh imtehaan-e- Husain

6.

Falak se tab huwa Ruhul Ameen kaa ran me nuzool, Kahaa pukaarke muh dhaamplo baraaye Batool, Pisar ke laash pe kholengi baal Binte Rasool, Sadaa ye thi Malakul Maut ki bahuzno malool, Me kis tarha se nikaalu, badan se jaan-e- Husain, Bahot hi sakht hay yaa Rab,yeh imtehaan-e- Husain

7.

Muti ye hukm hoon par arz hai ye ay Yazda, Har ek uzw hai zakhmi lagaau haath kahaan, Khuda pukaara ye Mushkil karenge hum aasaan, Na tu nikaal mere Aashiqe Ghariib ki jaan, Me khud nikaal raha hoon, badan se jaan-e- Husain, Ke khatm hone ko ab hai, Yeh imtehan-e- Husain x2

AAJ QABRE MUSTUFA Aaj Qabre Mustufa par ek hujoome aam hai Aagayi Zainab Madine me bapaa kohraam hai Aaj qabre Mustufa par ek hujoome aam hai 1. Naama bar ko laash bete ki dikha kar bole Shaah, Ye hai Sughra ki tamanna ispe usko naaz hai Aaj qabre Mustufa par ek hujoome aam hai 2. Berida Zainab hai suraj aaj kyu chupta nahin, Wo Madina thaa Nabi ka ye dayaare Shaam hai Aaj qabre Mustufa par ek hujoome aam hai

Noor - e - Irfaan

17


3.

Kehti thi Fizza chini jaati hai Zainab ki rida, Ya Ali aawo madad karna tumhaara kaam hai, Aaj qabre Mustufa par ek hujoome aam hai

4.

Karbala ke waaqiye ko ek muddat ho gayi, Sayyad-e-Sajjaad ki aankho mein phir bhi Shaam hai Aaj qabre Mustufa par ek hujoome aam hai

5.

Zainab-e-Muztar ke ek dil par Bahattar daagh hai, Haazir-e-darbaar hona maut kaa paighaam hai, Aaj qabre Mustufa par ek hujoome aam hai

CHALO KARBALA CHALE Ya Rab Har ek ko ye, sa’aadat nasib ho, Karbobala ki sab ko, ziyaarat nasib ho. Chalo Karbala chalen Ay Sheh ke Azaadaar, Chalo Karbala chalen. (Ay Sheh ke azaadaar Chalo Karbala chalen) x2 (Ye dil he beqaraar) x2 Chalo Karbala chalen. Abbase Naam daar ke roze pe jaayenge Jaakar wahaan Sakina ka nawha sunaayenge (Dekhenge wo dayaar) x2 Chalo Karbala chalen. Tar apne aansuwo se karenge wo ham Zamin Khaakar sina giraa tha jaha Akbare hazeen (Sab honge ashq baar) x2 Chalo Karbala chalen. Ehle Haram ke khayme jalaaye gaye jahaa Maatam karenge aag ke sholo pe ham wahaa (Jaane Karen nisaar) x2 Chalo Karbala chalen.

18

Noor - e - Irfaan


Ashke ghame Husain milaayen Furaat me Nawho ke sab arize bahaayen Furaat me (Mojo ko de qaraar) x2 Chalo Karbala chalen. Phir paa barehna jaayenge Baazaare Shaam me Zainab gayi thi jis tarha darbaare aam me (Dil ki he ye pukaar) x2 Chalo Karbala chalen. Dasht-e balaa me Baanue dilgir ki fugaan Ab bhi sunaayi deti hai Asghar ki hichkiyan (Aahon ka hai hisaar)x2 chalo Karbala chalen

HAWAAONSE KEHDO Hawaaonse kehdo, Madine me jaawe, Madineme jaa ke, Nabiko jagaawe Nabiko jagaakar , ye haalat sunaade, Husain be kafan hain,khun me nahaaye 1.

Nabine sunaa karbalaa kaa jo manzar , Jo tashrif laaye (dekha wo Mehshar )X2 Hai suraj gahan me Falaq khu bahaaye, Husain be kafan hain , khun…

2.

Ye aandhi chali or khun hai barastaa, Khule sar hain aati (hai Fatema Zahra )X2 Najaf se Ali bhi hain tashrif laaye, Husain bekafan hain, khun …

3. Sitaaron tum apni chamak ko bujaado, Khule sar hai Zaynab (chehra chupaa do )X2 Muhammad ke gharko Sitamgar jhalaaye, Husain bekafan hain, khun……

Noor - e - Irfaan

19


4. Bahu betiyonki musibat ko dekho, Ay Fatema Zainab ka (parda sambhaalo )X2 Hain be makna Zainab ko balweme laaye, Husain be kafan hain, khun,…

20

5.

Ali ko khabar do ke maqtal me aaye, Ye Chaand Hashmi ka hain(baazu kataaye)X2 Alam khaakh se aake Mawla uthaaye, Husain be kafan hain, khun …

6.

Qarib aaye piit te khaakh uraate, Jigar ko sambhaale (kaleje ko thaame)X2 Bahattar Shaheedonki besar hain laashe, Husain be kafan hain, khun…

7.

Ay chaand baadalonme chehraa chupaade, Kaleje me Akbar (ke bhaalaa na dekhe )X2 Nabi laashe Akber pe rone ko aaye, Husain bekafan hain, khun …

8.

He zindaan ki sakhti or Aabide Bimaar, Hain durre lagaate (malaaine khunkhaar)X2 Qaatonpe piyaada isko chalaaye, Husain be kafan hain , khun...

Noor - e - Irfaan


JAB AAKHERI RUKHSATKO HUSAIN 1. Jab aakheri rukhsatko Husain aaye haram me, sab Bibiya lipti shahe waalaake kadamse Hazratne kaha qat’e mohabat karo hamse, jineke nahi ham AliAkberke alam se Babaase na jabtak wo gul andaam milenga, ek din na jahaame hame aaraam milenga 2. Sab marchuke ab kiske liye sar na kataawe, ayse nahi bichre hain ke Akber chale aawe, Kis tarhase us Yusufe gumgashtako paawe, hay fark basaaratme kahaan dhundhne jaawe Be unke na khaaneka na pineka mazaa hay, Farzand salaamat ho to jineka mazaa hai Allah ko sompa tume ay Zainabo Kulsum, lag jaao ghale tumse 3. bichartaa haye Mazlum Ab jaatehi kat jaaega khanjarse ye halqum, hain sabr ka Ammaakaa tariqa tume ma’lum, Majboor hain naachaar hain marzie Khudaase, Bhaai nahi jee uthneka fariyaado bukaase 4. Mayn kehtaathaa katjaaega jab tanse mera sar , Sab roenge or ghuslo kafan dewenge milkar Baabaa kaa uthaaenge janaazaa AliAkber, Wo margae orr zindaa hay Farzande Payambar Ruhe AliAkber se hame sharm bari hai, Maydaan me Begoro kafan laash pari hai 5. Ay Bhaai jahaan jaawoge may saath chalungi, jangal me raho ghar ka kabhi naam na lungi Talwaaro me bhi paas se hargiz na talungi, par aatishe furkatse tumhaare na jalungi Aa’daa ki laraaise na darjaaegi Zainab, katwaake ghala teghse marjaaegi Zainab Noor - e - Irfaan

21


KHAT FATEMA SUGHRA Khat Fatema Sughra ne ye Baba ko likhaa hai Bimaar hu marti hu(X2) ye sab tumko pataa hai 1. Jis roz se dekha hay Muharram kaa nayaa chaand Ye kaise likhu Baba ke dil duub gayaa hai 2. Waadaa to kiyaa Baba nibhaane nahi aaye bimaar se kis baat pe muh pher liyaa hai 3. Tum jabse gaye ghar se ye ghar qabr hai meri Mai zinda hu aise ke koi laashaa pada hai 4. Baba mere Asgher ka to kuch haal sunaawo Uss bezabaan mujko kabhi yaad kiya hai 5. Baba mujhe dansti hay ye tanhaai watan ki Ye ghar ki udaasi hay to phir qabr me kyaa hai 6. Lout aate hay ghar shaam ko hote hi parinde Kunbaa mera kyun ab bhi safar me hi rahaa hai

KYA DHUNDH RAHI HAY Kya dhundh rahi hay jangal me Sakina Abbas ke baazu yaa Baba ka seena 1. Kaano se chine gauhar aur aag thi daaman me Gabhraai hui Bachhi yeh kehti rahi ranme Hai koi jo mujko pohchaade Madina, Kya… 2. Ranse AliAsgher ko le aawo mere Baba Suna nazar aataa hai bhaai ka mere jhoola Asgher ke baghair ab mujko nahin jeena, Kya… 22

Noor - e - Irfaan


3. Ye shaam ke zindaan me deewaron ko takti hay Kya soch ke ye jaane din raat sisakti hay Bichri hay chachaa se jabse ye hazina, Kya… 4. Dunya se sidhaare hayn bhaai jo mere pyaase Jab tak nahin loutenge Ammu mere daryaase Maine ay phuphi jaan paani nahin peena, Kya… 5. Ponche jo Shahewaala Bete ki sadaa sunkar Dekha ke ragarte hayn eri ko jawaan Akber Neze ki ani hay aur bete ka seena, Kya… 6. Ahmed ke Nawaase ko maaraa hay Moharram me Chaalis baras roe Sajjaad isi gham me Taarikh pukaari ye gham kaa Mahina, Kya…

MUJHKO TANHA Baba jaan haae Baba jaan, Baba jaan haae Baba jaan Mujhko tanha na kabhi chorke jaana Baba 1. Gar khataa mujhse huwi hai to khataa maaf karo (Maardaale na mujhe) x2 aapkaa jaana Baba 2. Tum se shikwaa na karungi apni bimaari ka (khud hi le lungi dawa) x2 tum na pilaana Baba 3. Saath Asgher ko liye jaane ka maqsad kya hai (Apni bimaar se tum) x2 ye na chupaana Baba 4. Baba pardes mein Akber ki karo jab shaadi (Us ghari Sughra ko tum) x2 bhool na jaana Baba 5. Phir agar mil na saki itni guzaarish hai meri (Meri turbat pe diya) x2 aake jalaana Baba 6. Kaarwaan jab ye chalaa karbobala ay “Yaawar” (Sughra kehti thi yehi) x2 lout ke Aana Baba Noor - e - Irfaan

23


JAB LUTKE KERBALA SE 1. Jab luutke Kerbala se asire sitam chale, Sajaad sar barehna badardo alam chale Rote saroko pit te paabande gham chale, Zainab ne laashe Shehse kaha bhaai ham chale Marnese aapke mai ye eeza uthaati hu, Darbaarme Yazidke sar nange jaati hu . Bhaai tumhaari duurise marjaayegi Bahan, kyu kar tumhaari 2. laashko dafnaaegi Bahan Kaahe ko chutke qaidse ab aaegi Bahan, kis tarha aapko yahaan phir paaegi Bahan Naachaar qayde zulm me ye khastatan chali, lo bhaai shehre Shaamke jaanib Bahan chali. 3. Sonpa tuje khudaako ay Zahra ke Gul o zaar, is bekasiko teri Bahan ho Gayin nisaar Hay hay ye ret garm hay gulshan badan fighaar,ye halqe naazni tera or teghe aabdaar Gardan kataake Bhaai bayaabaame sogaye, ghaafil Bahan se aanke jangal me sogaye. 4. Hay hay mere gharib mere mahlaka Husain, hay hay mere musaafire karbobala Husain Hay hay tuje na paanika qatra mila Husain, hay hay tamaam tan tera tukre huwa Husain Pyaase ghalepe khanjare bedaad chal gaya, hay hay tarap tarap ke tera dam nikal gaya. Ay naynawa Ali ki biza’at tuje mili, ay Kerbala Khudaaki 5. amaanat tuje mili Ay khaakh meri Maaki riyaazat tuje mili, le ay zamin sham-e- Imaamat tuje mili Daaman tera bhara meri kheti ujar gayi, sarhadme teri bhaaise Zainab bichar gayi . 24

Noor - e - Irfaan


SAKINA UTHO Sakina utho Meri jaan utho Rihaai mili Chalo gar chalen Ye Karti thi Maa lahad pe bukaa Meri laadli chalo gar chalen. 1. Yahaa se chalo chalen karbala Wahi se tumhe milenge Chacha Sitam jo huwe bataana unhe Dikhaana unhe ye kurta jalaa Chachaa jaan ko dikhaana zara ridaa khun bhari chalo gar chalen. 2. Bataana unhe kis qadar sakhtiyaan Mili jis qadar tuje gurkiya Hamaari ridaa luti kis tarha Chini jis tarha teri baaliya Bataana unhe buji kis tarha teri tishnagi chalo gar chalen. 3. Padar se milo to dil joi ho Bataana unhe bahot roi ho Qasam lo agar tumhaare bina Sakina kabhi kahin soyi ho Lahad Baap ki mile jab tuje to kehna yahi chalo gar chalen. 4. Lahad jab mile tuje Bhaai ki To kehna use meri laadli Rihaai mili hame qaid se Hame ab nahi aziyat koi Mere be zuba utho gar chale shabihe Nabi chalo gar chalen. 5. Labe Al Qama tu karna fughaan Teri moj hai abhi tak rawaa Meri pyaas par huwe jo fida Chachaa ke mere hai baazu kahaa Kahaan mashk hai kahaan hai Alam kahaan hai Zarih chalo gar chalen. 6. Na ab gham koi na uftaad hai Wo zanjir se ab aazaad hai Puphi bhi teri tere saath hai Tere saath hi wo Sajjad hai Meri gham zadaa shabe gham kati sahar ho chuki chalo gar chalen.

Noor - e - Irfaan

25


7. Labo par tere yahi baat thi Watan jaayenge kabhi ham Phuphi Tuje Shimr kaa nahi khof ab Sataayenge na tuje ab shaqi Nikal qayd se shuru ham Karen nayi zindagi chalo gar chalen. 8. Gharibo ka ye luta kaafela Wida ho ke phir watan jaayenge Tuje paayegi jo Sughra teri To bimaar ko milegi dawaa Ghale mil ke phir bahot royegi wo Behna teri chalo gar chalen.

(Sakina utho Meri jaan utho Rihaai mili Chalo gar chalen)

AY MAAHE MUHARRAM Ay Maahe Muharram tuhi bataa Khatun kaa Chaand kaha hay Aabaad hay duniya saari magar Zahraa ka chaman wiraan hay. 1. Dekha na suna Zaahid aysa zakhmose badan hay chuur magar Jaari hay zaban pe zikre Khuda x2 gardan pe khanjar rawaan hay. 2. Kehti thi Sakina Aabid se iss qayd me may marjaaungi Choro na akela bhaai mujhe X2 andher bahot zindaa hay. 3. Zanjiiron me jakde hay Aabid hay towqo salaasil gardan me Leikin Bimaar ko khincha hay X2 taarikh iski gawaah hay. 4. Ay Kufiyo mayn hun Binte Ali or Waarise Chaadar Zahraa ki dekho na tamaasha sharm karo X2 ab Zainab sar uryaan hay. 5. Aankho ki basaarat ab to nahin Mawla ye kahaan ko jaate hayn Mumkin hay aawaaz aaye X2 barchi Akber ko lagi hay 6. Babaa aawo dekho to zaraa jaate hay Asgher maqtal me Roti hay fojen saari X2 magar Asgher ke labon par hasi hay 7. Tanveer uthaa kar Asgher ko Sayyad ne sawaale aab kiya Tum bhi ho Musalman rehm karo X2 Beshir ki khushk zabaan hay 26

Noor - e - Irfaan


HAY SALAAM USPE Hay salaam uspe jo kehti thi mere Beer Husain Khaak me kisne milaa di teri Taswiir Husain. 1. Kyaa ibaadat kaa tumhe shokh thaa Allah Allah Tahe shamshiir bhi jaari rahi Takbiir Husain. 2. Amma Zahraa kaa janazaa to uthaataa shab ko Mujko balweme liye jaate hay Be piir Husain. 3. Tere laasheko kafan bhi na milaa mere Akhii Sarpe chaadar bhi nahin kyaa karun Tadbiir Husain . 4. Taaziyaane tere bachon ko lagaaten hayn Laeen Kis gunaah ki ye hame dete hay taaziir Husain. 5. Raat din wirde zabaan tha mere Bhaai Bhaai Ab akhi kisko kahe Zainabe Dilgiir Husain. 6. Puchti tumko Sakina ke kahaan hayn Baabaa Kya karun usko mayn behlaaneki Tadbiir Husain. 7. Shaam ko jaati hun mayn tumko Khuda ko sompaa Mere Mazlum akhi kushtae Shamshiir Husain. 8. Shaah ke halqe buriidaase yeh aayi aawaaz Sar bhi hamraah chalega tere Hamshiir Husain.

Noor - e - Irfaan

27


HAAE UMMAT NE TUJHE Haae Ummat ne tujhe khoob sataayaa Zahraa Tujhpe jhaltaa huwaa darwaaza girayaa Zahraa 1. Jahaan Jibreel salaami ke liye aate the Zaalimo ne wohi darwaaza girayaa Zahraa 2. Sirf athaara baras jeeti rahi dunyaa me Iss qadar aap ko Ummat ne sataayaa Zahraa 3. Kyaa qayaamat ki hay be ghairato be Dino ne Baade Baabaa tere haq ko bhi dabaaya Zahraa 4. Aap par dar jo giraa Aap kaa jisme at’har Darmiyaane daro diwaar tha aayaa Zahraa 5. Zakhm pehlu kaa jo dekhaa to Ali kehne lage Tumne ye zakhm Ali se bhi chupaaya Zahraa 6 Baade baabaa tere rone pe bhi paabandi thi Zaalimone tujhe na rone diyaa tha Zahraa 7. Iss qadar aap pe dhaaye gaye zulm aur sitam Tere ghar ko haae Ummat ne jalaaya Zahraa 8. Zulm pe iqtifaa Zahraa ki naki Ummat ne Zaalimone tere beton ko sataaya Zahraa 9. Darde pehlu se tere Bibi tarap uthti thi Par na honton pe kabhi laayi na shikwaa Zahraa 10. Baade rehlat bhi tujhe Bibi sukun mil na sakaa Zaalimone tere Roze ko giraaya Zahraa 11. Lafz Ja’ffer ko ataa kijiye Bibi Zahraa Bethne jab wo likhe aap kaa Nawhaa Zahraa 28

Noor - e - Irfaan


KARBALA TAAZIM KAR Kerbala ta’azim kar, aai Bahan Shabbir ki. Jaake qadmose lipat, tu Zaynabe dilgeer ki 1. Qabr se be sar Bahattar, tan uthe ta’aziim ko. Dekh istekbaal ko hay Kushtae Shamshiir bhi. 2. Baap ke haatho pe hay, Ma’asoom Asgher Tishnalab. Dekh ab tak hay nishaani Hurmalaa ke teer ki 3. Qaid ho kar jab chaliithi, sarpe chaadar bhi nathi. Sar khule baazaar me thi Waarise Tat’hir ki 4. Aaj tak roneki bewonko, ko ijaazat bhi nathi. Ab rihaai mil gayi hogi Azaa Shabbir ki 5. Maadare Akber bhi aati, hay kaleja thaam kar. Wo gilaa kisse kare ruthi hui Taqdiir ka 6. Nannisi turbat ye Asgher, ki chupaale Karbala. Kyaa tarapna soon sakoge Maadare Beshiir ka 7. Tum Sakiina ko na dhundho, Turbate Abbaas par. Reh gayi hay Shaam me wo Laadli Shabbir ki.

Noor - e - Irfaan

29


JAB KATLA QIYA Jab Qatl kiya Nehr pe Sakkaa e Haram ko,Bhaai ko diya daagh Shahan Shaahe umam ko Paani na diyaa pyaas me un behre karam ko,thaa shor ke ab khof kisika nahin ham ko Ghaazi ko Jigar bande Yadullah ko maara,Abbas ko bhi Qatl kiya Shaah ko maara Us sher pe naazaa the bahot Sarware Dilgir,taaqat na rahi tuut gaya Baazue Shabbir Larzaa hay bahot zo’f se ahwaal hay taghiir,khud aake rakh denge ghalaa ab tahe shamshir Kehdo ke baje nawbate Lashkar me khushi kii,bas khatm huwi jang Husain ibne Aliki A’adaato yeh kehte the Shahedin ka yeh thaa haal,tar aansuose hota tha rumaal pe rumaal Farmaate hain kya ho gaye Abbas khush ikbaal,duniyaame nahin jine kaa ab Fatemaa kaa Laal Bin Bhaai basar hogi na ek aan hamaari,Abbas ke maatam me gai jaan hamaari Bekas huwe ab koi nahin ham damo yaawar,paaenge kahaan aysa Wafaadaar Biradar Bar aae kahin aarzue Sibte Payambar,jaldi meri gardan pe chale Shimr ka khanjar Dushman pe bhi ye aalame tanhaai na howe jineka mazaa khaak hay jab bhaai na howe Yeh kehke tarap te the Shahanshaahe do Aalam,barpa tha ajab khaymae Shabbir me maatam Chilla ti thi Zainab ke jigar bhuntaa hay iss dam Bhaai ke alam me na jienge Shahe akram Andher jahaan hay jo Alamdaar nahin hay, koi mere Bhaai kaa madadghaar nahin hay 30

Noor - e - Irfaan


PEHNEY ZANJEER Pehne zanjeer jo hain Aabide Bimaar chaleX2 (Paaume chaale pare X2) hoke khunbaar chale 1. Gham uthaae hai bahot ,zakhm khaaye hai bahot Ek Sayyad ne yahaan, dard paaye hai bahot (Muztarib nawha kuna x2) hoke laachaar chale 2. Bekajaawa hai Shutur,gham se chalni hay jigar Chaar su Ehle Haram ,or kaantope safar (Kistarha Ehle Haramx2) sue baazaar chale 3. The rasan basta Haram , har qadam taazaa sitam Zakhm karte the bukaa, jab barhaatethe qadam (Sar juka kar wo sare x2) raahe pur khaar chale 4. Haashmi khun tha magar , tey kiye ayse safar sar khule Aale Nabi , or Nezo pe the Sar (zakhm Aabid ko yahi x2) jiteji maar chale 5. Kya ghamo ka ho shumaar , na sukoon tha na qaraar mere Mazlum Imam , tujpe yeh Jaan nisaar (yaad jab aaye teri x2) dilpe talwaar chale 6. Ponche Baazaare jafaa, thi labo par ye sadaa Tun bachaale ya Rab , Binte Zahra ki rida (dilpe Zainab ke koi x2) ab na talwaar chale

Noor - e - Irfaan

31


MAUT KII AAGOSH ME Maut kii aagosh me jab thak ke so jaati hay Maa Tab kahin jaakar raza thora sukuun paati hay Maa 1. Fikr me bachon kii kuch is tarha guljaati hay Maa Nawjawaan hote huwe burhii nazar aati hay Maa 2. Odhti hay ghurbaton kaa khud ye bosidaa kafan Chaahaton kaa payrahan bache ko pehnaati hay Maa 3. Maang ti kuch bhi nahin apne liye Allah se Apne bachon ke liye daaman ko phaylaati hay Maa 4. Baad mar jaane ke phir bete kii khidmat ke liye Bhes beti kaa badal kar ghar me aajaati hay Maa 5. Apne pehlume litaake or tote kii tarah Ek ,baara ,paanch,chawda, hamko sikhlaati hay Maa 6. Saal bhar me yaa kabhi Hafteme Jume raat ko Zindagi bhar ka silaa ek Fatehaa paati hay Maa 7. Yaad aata hay Shabe Aashur kaa Kariyal Jawaan Jab kabhi ulji huwi zulfon ko suljaati hay Maa 8. Shimr ke khanjar se yaa sukhe ghale se puchi ye Maa idhar muhse nikaltaa hay udhar aati hay Maa 9. Fatema ke laal par qurbaan karne ke liye Baandh kar sehraa jawaan bete ko samjaati hay Maa 10. Apne gham ko bhul kar rote hay jo Shabbir ko Unke ashqo ke liye Jannat se aa jaati hay Maa

32

Noor - e - Irfaan


WA MUHAMMADA WA MUSIBATA Wa Muhammada wa Musibata, Aale Mustafa pe zulm aur jafaa Ghar ka ghar lutaa, khaima tak jhalaa, Aale Mustafa pe zulm aur jafaa 1. Jisko keh Nabii, Bizatumini uska ghar jale aah Mo’miniin Dar ka dar giraa, durra tak lagaa, Aale Mustafa pe zulm aur jafaa 2. Jo ke ho Amir Mominiin ka, uspe ho ye zulm wa Musibataa Sar do tukre ho, dar zikrae khudaa, Aale Mustafa pe zulm aur jafaa 3. Siine Mustafa pe jo ho sawaar, uska zeher se sina ho fighaar Or howe sabz rang jism ka, Aale Mustafa pe zulm aur jafaa 4. Jiski shaan me ho sura-e-hal ataa, be ghizaa rahe wo wa Musibataa Paani tak nade usko be khataa, Aale Mustafaa pe zulm aur jafaa 5. Jisko Rab kahe Zainul Aabedin, towk use pehnaye Zaalime be diin Us towqe aahnise chile ghala, Aale Mustafa pe zulm aur jafaa 6. Ho jo Sadike Aale Mustafa, wo bhi jag se aah zehr se gayaa Aage kya kahuu larazti hai zubaan, Aale Mustafa pe zulm aur jafaa 7. Aah Musiye Kadhim pe ye sitam, umr bhar sahe qaid ke sitam Jasr par rahaa laasha Aap kaa, Aale Mustafa pe zulm aur jafaa 8. Hadhrate Rizaa ko Shehre Tuus me, dushmane laee ne maara zehr se Aah istarha qabr ho judaa, Aale Mustafa pe zulm aur jafaa 9. Hadhrate Taqi or Ali Naqi, or Yazdahum Imame Askari Zehr de unhe haaye be khataa, Aale Mustafa pe zulm aur jafaa 10. Haqse hum kare logo ye duaa, pohnche kerbala jald yaa Khudaa Maatame Husain jaa kare bapaa, Aale Mustafa pe zulm aur jafaa 11. Aage fatehali kya kare bayaan Ghaib hogaye Sahebuzzaman Zulm zaalimo ka yahaan tak baraa, Aale Mustafa pe zulm aur jafaa Noor - e - Irfaan

33


ZULJANAH AY ZULJANAH Boli Khatun-e-Jina, ya’ni Shabbir ki Maa(n), mera Bacha hai kahaa(n) Zuljana ay Zuljana (mera bacha hai kaha(n)) x2 1. L ay gaya ghar se ek pyaase ko, Rab ke Mehboob ke Nawaase ko, Chor kar aagaya laeeno me, Gham zada Maa ke tu asaase ko Dhund ne jaawu(n) use, is andhere me kaha(n), Mera bachaa hai kaha(n) (Zuljana ay Zuljana mera bacha hai kaha(n)) x2 2. J is ne laashe uthaaye the din bhar, khune Asghar tha jiske chehre par, zakhme Akbar ki thi anii dil men, Bhaayi ki gham me jhuk gayi thi kamar, khaak urhaate hain Nabi, hain Ali mehve fughaan, mera bacha hai kahaa(n) (Zuljana ay Zuljana (mera bacha hai kaha(n)) x2 3. R aaqibe doshe Mustafa tha wo, tujhko bachpan se chaahata tha wo, saath kyu(n) aaj uska chor diya, Jabke mushkil me aagaya tha wo, bewafayi ka sabab, kya karu(n) tujhko bayaa(n), mera bacha hai kahaa(n) (Zuljana ay Zuljana (mera bacha hai kaha(n)) x2 4. T ere maathe pe khun hai kiska, rang khu(n) ye tere sawaar ka tha, hai mere shiir ki mehek usme, kaampta hai alam se dil mera, bol khaamosh hai kyu(n), tere aasu(n) hai rawaa, mera bacha hai kahaa(n) (Zuljana ay Zuljana (mera bacha hai kaha(n)) x2 5. Jo teri pyaas par udaas raha, aur paani ke aaspaas raha, phir bhi paani piyaa nahi usne, Teri khaatir wo mehwe yaas raha, khushk tha uska ghala, khushk thi uski zabaa(n), mera bacha hai kahaa(n) (Zuljana ay Zuljana (mera bacha hai kaha(n)) x2

34

Noor - e - Irfaan


6. Kaise soyegi Ladli uski, jisko sine pa neend aati thi, jisne roka tha tujhko jaate huwe, kya kahega agar wo puchegi, saamna uska na kar, roke dedegi wo jaa(n), mera bacha hai kahaa(n) (Zuljana ay Zuljana (mera bacha hai kaha(n)) x2 7. Qalbe Zainab kahee(n) fighaar na ho, dilpe Ehle Haram ke waar na ho, tun jo khayme me jaayenga khaali, Kon hai jo ke soghwaar na ho, tu jo jaayega wahaa(n), hashr ka hoga samaa(n), mera bacha hai kahaa(n) (Zuljana ay Zuljana (mera bacha hai kaha(n)) x2 8. Naa gahaa sar sina pe aayaa nazar, Zikre Khaaliq tha jiske honto par, thaam kar dil larazte haatho(n) se, Boli “Rehan� Maadare Sarwar, tujhse ay Aspe Jhari, ab na puchengi ye Maa(n), mera bacha hai kahaa(n), (Zuljana ay Zuljana (mera bacha hai kaha(n)) x2

Noor - e - Irfaan

35


MAI JULA JULAAU Mai jula julaau,mai tuje juulaa julaaun . Tuje juulaa julaau, mai tuje juulaa julaaun (X2) Mai khaab me Asgher tujhe, lori bhi sunaaaun. 1. Laut aawo safar se ke bari der huwi hai(X2) Betaab hun kabse tuje (X2)sinese lagaaun 2. Koi muje batlaata nahi teri nishaani(X2) Barsaat me tironki(X2)kaha dhund ne jaaawun 3. Socha tha teri saal gira garme karungi(X2) Takdiir ye kehti hai(X2)tera sog manaawun 4. Baba se tere tera janaaza na uthega (X2) Rukja zara Abbaas ko(X2)dariya se bulaaun 5. Ye khun bhara kurta ye mattise bhare baal(X2) Sinese lagaaun ke(X2)mai ankhome chupaaun 6. Is tarha koi ruth ke Maase nahi jaata(X2) Tun khud hi bataa de main(X2)tuje kaise manaaun 7. Rehan ke nauhe se sadaa Banuki aayi(X2) Mai ankhose ashkoke(X2)samandar ko bahaaaun

36

Noor - e - Irfaan


KERBALA WAALON KI. Kerbala waalon ki zindaa se rihaai hogayi X2 Turbate Baali Sakina se judaai hogayi 1. Iss qadar maare tamaache hai Shimar badkaarne X2 Hashr tak wo mowt baba ki rulaai hogayi. 2. Momino munhko chupaalo noch daalo sarke baal X2 Sar barehna dasht me Zahra ki Jaai hogayi 3. Asghare Maasum ka woh muskuraana mowt par X2 Dekh kar sharminda darya ki taraai hogayi 4. Sar kataa Gulzaar jab Mushkil kushaa ke laal ka X2 Taa qayaamat Deen ki mushkil kushaai hogayi.

ABBAS - E- ALAMDAR Abbas-e-Alamdar, Abbas-e-Alamdar Tumsa to zamaane me nahi koi wafaadaar. Hai Naame wafaa aaj talak tujse hi baaqi Rakhi jo sare aab hai bunyaad wafaa ki Is baat se karsakta nahi koi bhi inkaar Khaa sakta nahi jhooti qasam koi tumhaari Hai ek siffat Baab-e-Hawaaij bhi tumhaari Tu chaahe to ruk jaaye abhi waqt ki raftaar

Noor - e - Irfaan

37


Ek Mashk bhari Nehr se ek mashk diya khoon Jab Mashk chidi behgaya sine se tera khoon Zainab ne kahaa maara gaya mera Madadghar Dhaaras tha Sakina ki Alamdaar ka paykar Jab tak raha zindaa na chini Bibi ki chaadar Baad aap ke daakhil huwe khaymo(n) me Sitamghar Tum baazuwe Shabbir ho Haidar ke pisar ho Lashkar ke Alamdar Sakina ka jigar ho Jite hai(n) tumhe(n) dekh ke bas Sayyede Abraar Tum Ruh-e-Ali, Jaan-e-Husain, Ibn-e-Ali ho Tum Ibne Wali, Ibne Wali, Ibne Wali ho Hai dushamane Dee(n) ke liye baazu teri talwaar Paani pe Alam tere siwaa kisne lagaaya Mashkize me darya ko tumhi ne hai uthaaya Tum lashkar-e-Shabbir ke ho Haidar-e-karrar Tum Fatema Zehra ki Duwaawo ka asar ho Tum dhoop me Zainab ke liye misle Shajar ho Parcham ka pharaira hai tera aisa Baraadar Haidar ne namaazo me jo Allah se maanga Kehte the Khuda de mujhe Abbas sa beta Wo jisko kahe saara arab Ghaaziyo Jarraar

38

Noor - e - Irfaan


“Rehan” qalam Zikre Alamdar karega “Abbas” ke munkir ko jo talwaar lagega Wo mere madadghaar hain main unka hu ghamkhwaar

HASHR MEIN RANG LAAEGA (Shaheed e Kerbala, hay Deen ki baqa, zabi hay Nainawa Husain Baadshah) x2 Hashr mein rang laaega khune Shahidan dekhna (Aayegi jab Fatema) x2 haal-e- pareshaan dekhna 1.

oo baru Baba ke jab Khatoon Jannat aayegi ,khali joli R Sarwar-e- Kawnain ko dikhlaaegi , (phir yaqee kehlayenga) x2 Mehshar ka maidan dekhna

2.

akhdiya barchi ne Akber ka kaleja cheer ke,Rukh badal daale R hain Ummat ne teri tasweer ke, (Maalike Kawsar zaraa) x2 Ummat ka ehsaan dekhna

3. Asgare Ma’asoom ke lab par sawaale aab hai,Bund paani ke liye, kis qadar betaab hai, (Nehrse paani nahi) x2 De te Musalman dekhna 4.

Zainab o Kulsoom se kehta tha Shimr bad gohar ,shaam me jaawoge nange sar phiroge dar badar, (Karbala ke baad ab) x2 Taarik zindaa dekhna

5. Gham bhalaa Gulzaar ka is dil ko roze hashr ka,Jo hai awlaade Payambar ki muhabbat se bharaa, (Bakshwaa denge use) x2 Yasrab ke Sultan dekhna

Noor - e - Irfaan

39


MERE GHAZI KAHAAN HO (Mere Ghazi kahaan ho) x2 (Teri jaageer se, chal para kaafela, mere Ghazi kahaan ho) x2 Ay mere Bawafa, hai bahan berida, mere Ghazi kahaan ho Teri jageer se, chal para kaafela, mere Ghazi kahaan ho 1.

Tujhko dekhe bina, chayn aata nahi Noke neza pe sar tera rukta nahi Main ziyarat karun, kistarha ye bataa, mere Ghazi kahaan ho Teri jageer se, chal para kaafela, mere Ghazi kahaan ho

2.

Laaj rakhlo bahan ki baraadar mere Khaake maqtal mere sar ka parda bane, Hukm dedo zara, muntazir hai hawa, mere Ghazi kahaan ho Teri jageer se, chal para kaafela, mere Ghazi kahaan ho

3.

Tere baazu mujhe raaste me mile, Maine chadar samaj kar wo sar par rakhe Baazuwon se tera, puchhti hu pata, mere Ghazi kahaan ho Teri jageer se, chal para kaafela, mere Ghazi kahaan ho

4.

Dekh kar behn ko dasht me nange sar, Kya haya aagayi, chhup gaye ho kidhar, Khud chali aawungi, tum bataado zara, mere Ghazi kahaan ho Teri jageer se, chal para kaafela, mere Ghazi kahaan ho

5. Maine bachpan me lori sunayi tujhe, Maine chalna sikhaaya tha bhayi tujhe Raahe pur khaar par, mujhko chalna sikha, mere Ghazi kahaan ho Teri jageer se, chal para kaafela, mere Ghazi kahaan ho

40

Noor - e - Irfaan


6.

Wo teri laadli wo Sakina teri Chalte naaqe se jab khaak par ghir gayi Dekhti rehgayi, wo suwe Alqama, mere Ghazi kahaan ho Teri jageer se, chal para kaafela, mere Ghazi kahaan ho

7.

Jo bane Murtaza me wo ehsaas hu(n), Berida bibiyon ki me Abbas hu(n) Tum meri aas the, ay mere Baawafa, mere Ghazi kahaan ho Teri jageer se, chal para kaafela, mere Ghazi kahaan ho

8. Waaris-e-Ambiya ki me Hamsheer hu(n), Binte Haider hu(n) Qura(n) ki tafseer hu(n), koi “Yawar� nahin, kisko dun main sadaa, mere Ghazi kahaan ho Teri jageer se, chal para kaafela, mere Ghazi kahaan ho

Noor - e - Irfaan

41


GHURBAT KI INTEHA HAI Ghurbat ki intehaa hai, na saaya na rida hai, Zahra teri lahad par. Chand patharon ne mil kar, mehroom likh diya hay, Zahra teri lahad paar.

1.

Teeron bhari qaba thi, aur khoon bhari rida thi (x2) Jo Shaam se bacha tha Zainab ne rakh diya hai Zahra teri lahad par.

3.

Do paher dhal rahi hay, khaiyaam jal rahe hain (x2) Tasveer Karbala ki , koi bana raha hay Zahra teri lahad par.

3.

Zindaan ki guthan se, har Laash baykafan se (x2) Abid ne jo sambhala, woh aansu ghir parha hay Zahra teri lahad par.

4. Kya yeh daleel kam hay, is ki kamar main kham hai (x2) Kayi baar Aasmaan ne, sajda adaa kiya hai Zahra teri lahad par.

42

5.

Sun kar hawaa bhi royee, khud Karbala bhi royee (x2) Khaak-e-Rahe Najaf ne jo marsiyah parha hai Zahra teri lahad par.

6.

Tere gham ki chand qatrain, kaam aayegi lahad main (x2) Bakshish ke liye Tauqeer, yeh noha jo likha hay Zahra teri lahad par.

Noor - e - Irfaan


MAA OR ALI AKBAR KI MAA Jab Ali Akbar sa beta, Shaahne Rab ko diya. Is ataaye Kibriya par, Karbala ne di sadaa. (Maa or Ali Akbar ki maa) x2 1.

Uska maatha chum tithi Ume Layla baar baar, Uska chehra dekh kar kehtithi ay Parwardigar, Ye bahaare zindagi hai, ye mere gar ki bahaar, Ye meri pehli tamanna, ye mere dil ka qaraar.

2. Kaali dori baandtithi nanni kalaai me kabhi, Nanne sine par kabhi karti thi dam Naade Ali, Kehti thi murjaaye na Maula mere Dil ki kali, Ye dile Shabbir hai, ye hai hamaari zindagi 3. Gutniyon chalne laga jis waqt unka Sheerkhwaar, Saaf karti apne aanchal se wo uski reh guzaar, Ay Khuda na khaasta chubh jaaye na bache ko khaar, Chalte chalte jab wo thakta pusht pe karti sawaar . 4. Sab funune harb sikhla te the Abbase Jari, Sehn me khursi bichaa kar Maa bhi aksar dekhti, Mashk ke doran ek din yuhi neze ki ani, Chu gayi sine se Layla par ghashi taari huwi . 5. Kya khabar thi Umme Layla ke wo din bhi aaega, Byah ka arman dil ka dil me hi rehjayega, Laashe Qaasim ki tarha tukro me dil batjayega, Nawjawaan ki laash par sehra sajaaya jayega 6. Umme Layla dil sambaalo Arsh se aayi sadaa, Barchiyo ki simt jaata hai tumhara Mehlakaa, Yuh karo rukhsat ke jaise ho samaan baaraat ka, Khak me miljayegi Laylaa shabi he Mustufa

Noor - e - Irfaan

43


SITAM KI HO GAYI Sitam ki ho gayi ye inteha Rasul ke baad Chali hay maang ne haq Fatema Rasul ke baad 1. Rasul zaadi khari kyun rahi sare darbaar Ye kaun takht pe baitha raha Rasul ke baad 2. Wo jaake shehr se baahar Pidar ko roti rahi Kisi ne gharme na rone diya Rasul ke baad 3. Wo jurm kyaa tha ke jis par Ali ko galiyon me Rasan se baandh ke khincha gayaa Rasul ke baad 4. Shikasta ho gayaa kaise Batul kaa pehluu Bataao zulm ye kisne kiya Rasul ke baad 5. Shaheed ho gayaa uski hii zarb se Mohsin Dare Batul giraayaa gaya Rasul ke baad 6. Koi bataae hame kyun Rasul ke ghar se Hamesha rone ki aayi sadaa Rasul ke baad 7. Jo chehre Aayae Tathiir ki bane tafsiir Unhe phiraaya gaya berida Rasul ke baad 8. Zafer Nabi ke gharaane pe dhaake zulmo sitam Sajaai jaane lagi Karbalaa Rasul ke baad

44

Noor - e - Irfaan


EK JARI CHAAHIYE. (Sakhi Abbas Jari Ya Ilaahi mujhe de) x2 1.

Ek jari chaahiye taarikhe shujaa’at ke liye Karbala me mere Shabbir ki nusrat ke liye Aur naamuse Payambar ki hifaazat ke liye Ya Ilaahi mujhe Abbas sa beta dede (Jab mere ghar me Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

2.

Shukr sad shukr tera Shabbar-o-Shabbir diye Betiyaan ki hai ataa Zainab-o-Kulsoom mujhe Baad iske meri bas ek dua ke badle Ya Ilaahi mujhe Abbas sa beta dede (Jab mere ghar me Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

3.

Aaina sabr-o-shuja’at ka banaa naa mera Hu bahu meri hi tasweer ho bacha mera Usko dekhoon to nazar aaye saraapa mera Ya Ilahi mujhe Abbas sa beta dede (Jab mere ghar me Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

4.

Koi be-yar-o-madadghaar agar hojaye Ilteja behre madad apni zubaan par laaye Mujko aawaaz koi de wo madad ko aaye Ya Ilahi mujhe Abbas sa beta dede (Jab mere ghar me Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

5.

Zindagi jiski guzar jaaye Alamdaari me Apne baazu bhi kataa de jo fidakaari me Sabse aage nazar aaye jo wafadaari me Ya Ilahi mujhe Abbas sa beta dede (Jab mere ghar me Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

Noor - e - Irfaan

45


6.

Naam uska ho jin hoton pe wahaan pyaas na ho Koi umeed na toote koi be aas na ho Yaad karke use tanhaai ka ehsaas na ho Ya Ilahi mujhe Abbas sa beta dede (Jab mere ghar me Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

7.

Mere Maalik mere honton pe jab aayi ye dua Meri aankhon me nazar aane lagi Karbobala Mera Shabbir musibat me kharaa hay tanhaa Ya Ilaahi mujhe Abbas sa beta dede (Jab mere ghar me Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

8. Jab wo karbal me ho chawbhees pahar kaa pyaasa Har qadam par use iisaar ka jazba dena Aur mere laal ke haathonko salaamat rakhna Ya Ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede (Jab mere ghar me Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3 9.

46

Ay “kaleem” hogayi maqbool duaa-e-Haidar Usko “Mesum” kaha hai Fatema Zehra ne pisar Aarzu ki thi Ali ne jo huzur-e-Daawar Ya Ilaahi mujhe Abbas-sa beta dede (Jab mere ghar me Alam hay to Alamdaar bhi ho) x3

Noor - e - Irfaan


KARBALA KI YE SADAA Karbalaa ki ye sada hay, Laa ilaaha illallah Ibteda hay intehaa hay Laa ilaaha illallah 1.

Chin gayi Zainab ki chadar lutgayaa Zehraa kaa ghar Tab kahin jaakar bachaa hay Laa ilaaha illallah

2.

Kis kii khaatir hogaye Abbas ke baazu qalam Iss tarhaa likhaa gayaa hay Laa ilaaha illallah

3.

Reg zaare Kerbalaa par che mahine kaa Ali Teer khaakar keh rahaa hay Laa ilaaha illallah

4.

Deen e Ahmad kaa muarrikh hay Husain ibn-e Ali Jisne khun se likhdiyaa hay Laa ilaaha illallah

5.

Haafize Qur’aan hona baad me ehle jahaan Pehle ye sam jo ke kyaa hay Laa ilaaha illallah

6.

Ye Husain ibn-e Ali ke khun kii taasiir hay Har Musalmaan padh rahaa hay Laa ilaaha illallah

7.

Deen aur Mohre Nabuwwat Sajda- e-Shabbir hay Naqsh dil par ho gayaa hay Laa ilaaha illallah

8.

Chaadare Tatheer kehti thi sinaa ke nawq par Meri Zainab ki ridaa hay Laa ilaaha illallah

Noor - e - Irfaan

47


KUFE KA AUR SHAAM KA MANZAR Kufe ka aur Shaam ka manzar Yaad jab aajata hai Baba, dil mera phat jaata hai Baba, Kufe ka aur Shaam ka manzar 1. Qabr pe Shabbir ki karte the Aabid buka, Hogayi kya kya jafaa, suniye Shahe Karbala, Sar pe kisi ke na thi chaadar, Yaad jab aajata hai Baba, dil mera phat jaata hai Baba, Kufe ka aur Shaam ka manzar 2. Ek rasan me bandhe chote badhon ke ghale, Barsare darbaar sab is tarha laaye gaye, Kotho se barsaat the pathar, Yaad jab aajata hai Baba, dil mera phat jaata hai Baba, Kufe ka aur Shaam ka manzar 3. Kufe ke baazaar me majma-e kuffaar me, Ek tamaasha sa tha, Aale Sitamghaar me, Ayse me Maa Behne khule sar, Yaad jab aajata hai Baba, dil mera phat jaata hai Baba, Kufe ka aur Shaam ka manzar 4. Tawq se hargiz na thaa Baabaa mera sar jhukaa, Hath kadi aur bediyan koi mujhe gham na thaa, Dekha nahi jaataa thaa manzar, Yaad jab aajata hai Baba, dil mera phat jaata hai Baba, Kufe ka aur Shaam ka manzar 5. Bali Sakina ka gham dil ye nahi bhuul ta, Sab ke the shaane bandhe uska bandhaa thaa ghalaa, Dard se wo roti thi muztar, Yaad jab aajata hai Baba, dil mera phat jaata hai Baba, Kufe ka aur Shaam ka manzar 48

Noor - e - Irfaan


ZIYARAT Ziyarat of Imam Husain (as) Assalamu alayka yaa Rasulallah Assalamu alayka yaa Amiral Mu’mineen Assalamu alayki yaa Faatimataz Zahra Sayyidati Nisaail Aalamin Assalamu alayka yaa Hasanal Mujtaba Assalamu alal Husain Wa alaa Ali yibnal Husain Wa alaa Awlaadil Husain Wa alaa Ashabil Husain Jamian warahmatullahi wa barakaatuh Ziyarat of Imam Redha (as) Assalamu alayka yaa Mawlayi wabna Mawlayi Assalamu alayka yaa Gharibal Ghurabaa Assalamu alayka yaa Sultaan Yaa abal Hassan Ali yabna Musa-ar-Redha Warahmatullahi wabarakatuh Ziyarat of Imame Zamana(as) Assalamu alayka yaa Saahibal Asri Wazzamaan Assalamu alayka yaa Khaliifatar Rahmaan Assalamu alayka yaa Shariikal Qur’aan Assalamu alayka yaa Ka’batal Imaan Assalamu alaykum warahmatullahi wabarakaatuh

Noor - e - Irfaan

49


Notes:

50

Noor - e - Irfaan


Notes:

Noor - e - Irfaan

51


Notes:

52

Noor - e - Irfaan


For the isaale thawaab of: Marhum R amzanali A limohamed Meghji Marhum Sultanali K ermali Jagani Marhuma Zainab bai Fazal K ermali & Qul Marhumeen

Iltemase du’a



Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.