Noor-e-Irfaan Volume 4

Page 1


ALL RIGHTS RESERVED - TABLIGH BOARD - DSM

COMPILERS: AKIL MEGHJI & ALIASGHER MEGHJI VOLUME 4 - 1432 A.H. (2010/2011) 1000 COPIES

TABLIGH BOARD, KSI JAMAAT P O BOX 233 | DAR ES SALAAM, TANZANIA TEL: +255 22 2115119 | FAX: +255 22 2127555 EMAIL: tablighadmin@raha.com | WEBSITE: www.dartabligh.org


NOOR E IRFAAN - VOL 4. Dear Reader, Salamun Alaykum, Alhamdulillah, with His grace, The Almighty Allah (SWT) & with the wasilah of the 14 Ma’sumin, We, the compilers come up with the Fourth Volume of NOOR E IRFAAN. We would like to thank all those who have worked behind the curtains into making NOOR E IRFAAN a success. However still, a human beings capacity, any errors in the script or typing can please be referred to the below: NOOR E IRFAAN PO BOX 88, Dar es salaam, Tanzania Cell:0713 362 866 | 0784 233 455 ameghji2000@yahoo.com | meghji786@hotmail.com January 2011, Muharram 1432

KEY. * Any Letter in the bracket is Pronounced Silently E.g: PARWARDIGAAR TU (N) HI RAHIMO KARIM HAY * Any smallcase alphabet should be pronounced silently OR with continuity. E.g.TAABUTa JAB UTHTAA HAY SHABBIR KAA AY GHAAZI E.g. AFTAAB - Normal Way | AAFaTAABa - Reciting way Also; In Urdu Lingusitics, FUFI it to be recited as PHUPHI. Also Note: ZEHRa = Poison

|

ZEHRA = Lady Fatema (a.s)

DUE TO RESPECTABLE TEXT, PLEASE HANDLE WITH CARE COVER ILLUSTRATION COURTESY OF WWW. NIKAHMATCH.COM


MUNAJAAT 1. BAS EEK BAAR 2. AJAB RANG PAR HAY 3. FATEMAH TERE DARPE 4. TUFAA(N) KI KHATAR 5. MAWLAA KI BAARGAAHME 6. MAWLA ALI KA NAAM 7. PAAS HAY JO KUCH 8. YAA RAB DUA KABUL 9. HAYDAR HU(N) MAY HAYDAR 10. DUA KARO 11. AY RABE PANJETAN 12. EK NAJAF ME 13. DAM BA DAM 14. HAR EK HAAL ME 15. ISHKE ALI ME 16. NOOR KI ANJUMAN 17. MADAD KIJIYE YAA 18. ILAAHI BABIMAARE (RECITED IN ALL MAULUD)

Page No. 1 2 3 3 4 5 5 6 6 8 9 10 10 11 12 13 13 14

MARSHIYAS 1. AAJ DONO JAHAA(N) ME 2. BAANU YE AABID KO 3. BOHOT RO CHUKI HAY 4. AAJA ASGHER KI JAGAAH 5. BARBAAD HUWA BAAGHE 6. PUKAARA SHEH NE 7. HAAYE SHABBIR KO 8. WOH FAATEMAH ZEHRAA KA 9. KYU(N) KAR JUDA HUWA 10. BETA ALI AKBAR 11. MAA PUKAARI 12. BAAZAAR ME BINTE 13. MUJRA-EE SHEH NE KAHAA 14. HAAY WO SHAAH KA 15. SADA SAKINA KI AAYI

16 17 18 19 19 20 21 21 22 23 24 24 25 26 27


NAWHAS

1. BAZAAR KE MANZAR 2. SAR PIIT KE BOLE 3. JAA RAAHA HU(N) 5. MU(N)H CHUM KAR 6. YAA WAJIHAN 7. JAA RAHA HAY - JAA RAHA HAY 8. HAAYE KERBALAA WAALO 9. DHAL GAYA SURAJ 10. ZULJANAAH HAQBAL 11. AA DEKH MERE 12. YAA HUSEIN

Page No. 29 29 30 31 31 32 33 34 34 35 36



BAS EEK BAAR-IMAME ZAMAANA AY IMAAME ZAMAAN AAP KAA MUNTAZIR HAY YE JAHAAN BAS EEK BAAR BAS EEK BAAR AY WAQT KE HUSAIN AB AAJAAO EEK BAAR HO JAAYE KHATM FATEMAH ZAHRAA KAA INTEZAAR BAS EEK BAAR BAS EEK BAAR JALWA KARE(N) JAHAA(N) MEIN IMAAME FALAQ WIQAAR CHAMKE UFAQ BATUL KE PHIR NURE QIRDIGHAR HO JAYE POORA TIIN SO TERAA KAA AB SHUMAAR SADYON KE BAAD KHATM HO MAWLAAKAA INTEZAAR AAYE(N) NIKAL KE PARDA E GHAIBAT SE ZULFIQAAR HO JAAYE KHATM FATEMAH ZAHRA KAA INTEZAAR GHAIBAT KAA PARDAA UNKE UTHAA NE KE BA’AD BHI ILMO AMAL SE KHUD KO SAJAANE KE BA’AD BHI MAWLAA KAA SAATH DENA HAY AANE KE BA’AD BHI JAANA NAHI(N) CHARAAGH BUJHAANE KE BA’AD BHI NAASIR HAY KAWN KAWN YE HONA HAY PHIR SHUMAAR HO JAAYE KHATM FATEMAH ZAHRA KAA INTEZAAR HAY MAQSAD- E- HAYAAT YAHI(N) KHAASO AAM KAA AT-KAA HUWA HAY SINEME DAM ISS GHULAAM KAA POORA HO KHWAAB NUSRATE SHAAHE ANAAM KAA BAS EEK BAAR DEKHLU(N) CHEHRAA IMAAM KAA SADIYO(N) SE HAY IMAAME ZAMAANAA KAA INTEZAAR HO JAAYE KHATM FATEMAH ZAHRA KAA INTEZAAR BAS EEK BAAR DINE KHUDA KO BACHAA- IYE BAS EEK BAAR AMNO AMAA(N) SAATH LAA-IYE BAS EEK BAAR PARDA-E GHAYBAT UTHAA -IYE DAADI KA ROZA KARTAA HAY FARIYAAD AAI-YE PHIR JANNATUL BAQI ME AAJA-E(N)GI BAHAAR HO JAAYE KHATM FATEMAH ZAHRA KAA INTEZAAR BABA AB APNE ZAKHM KO DHOTI NAHI(N) HU(N) MEI(N) NOKE MIZHAAN PE ASHQ PIROTI NAHI(N) HU(N) MEI(N) DURRO(N) SE KHOUF AATA HAY ROTI NAHI(N) HU(N) MEI(N) RAATO(N) KO NIND AATI HAI(N) SOTI NAHI(N) HU(N) MEI(N) ZINDAA(N) SE SAKINA KO LE JAAO EEK BAAR HO JAAYE KHATM FATEMAH ZAHRA KAA INTEZAAR

1


BAAZAARE SHAAM MEI(N) HAY MASAAEB KI INTEHA PHUPHIYO(N) KE SAR KHULE HAI(N) TO AABID KAA SAR JHUKAA HO JAAYE(N) TAI YEH SAATWE(N) DAR KAA BHI MARHALA NAMUSE MUSTAFAA KO JO MILJAAE EK RIDA REH JAA-E BAAKI CHAADARE TATHIR KI WAFAA HO JAAYE KHATM FATEMAH ZAHRA KAA INTEZAAR DEE(N) PAR AMAL TAMEEZ HALAALO HARAAM HO JAZBAA JIHAADE HAQ KA ZAMAANE MEI(N) AAM HO EE-SAARa KAA HAY SHOWK TO PHIR AYSAA KAAM HO BAS EEK BAAR LASHKARE MAHDI MEI(N) NAAM HO HO JAAYE KHATM FATEMAH ZAHRA KAA INTEZAAR

AJAB RANG PAR HAY BAHAARE MADINA AJAB RANG PAR HAY BAHAARE MADINA HAM ANKHO(N)SE DEKHE DAYAARE MADINA SALAAMUN ALAYKUM RASULUN KARIMUN SALAAMUN ALAYKUM RASULUN KARIMUN RAHAM KI NAZAR JO TUM HAMPE HII RAKHNA TUMHE WAASTAA FAATEMAAKI RIDAA KAA TUMHE WAASTA MAWLAA MUSHKIL KUSHAA KAA MUJHE TERE DARSE NA KHAALII PHIRAANAA SARE HASHR AAKAA KARAM ITNAA KARNAA FAQAT TUM HAME APNI KAMLI ME RAKHNAA KHUDA SE HAMAARI SIFAARISH BHI KARNAA IJAABAT KAA SEHRAA INAAYAT KAA JORA DULHAN BANKE NIKLE DUAA E MUHAMMAD MUHAMAD BARHAAYE JAANIBE ILAAHI YE SHURUWAATE SHAADI KI MAJLIS SAJI HAY KHUSHI KII GHARI HAY KHUSHI KAA SAMAA(N) HAY MUBARAK HO TUMKO KHUSHI KAA NAZAARAA

2


FATEMAH TERE DARPE-BIBI - FATEMA AS FATEMAH TERE DARPE AAYAA HU(N) DILKE ARMAAN SAATH LAAYA HU(N) DILME TASBEEH FATEMAH PARH KAR SAR JUKAA YE HUWE MEI(N) AAYA HU(N) JO JHALAA YAA GAYAA THA DARWAAZAA MAY WAHAA(N) BHIIKH LENE AAYAA HU(N) TERI CHAADAR KE SAAYEME AAWU(N) YE YAQI(N) DILME RAKH KE AAYAA HU(N) TERE BACHO(N) KAA WAASTAA TUJH KO BHARDE JHOLI MERI MAY AAYA HU(N) JIS TARAH ROTI DII FAQIRO(N) KO DE DUA MUJHKO MEI(N) BHI AAYA HU(N) JO BHI BIMAAR WO SHAFAA PAAYE YE DUA DILME LEKE AAYA HU(N) DE DE ZAINAB KE SADQE MEI(N) BIBI HAATH PHAILA-E MEI(N) BHI AAYA HU(N) KAASH AAWU(N) MAY TERE ROUZE PAR DIL MEI(N) ARMAAN LEKE AAYA HU(N)

TUFAA(N) KI KHATARNAAK- H. ABAAS AS TUFAA(N) KI KHATAR- NAAK HAWAA-O (N) SE BACHAANAA ABBAS ALAMDAAR TABAAHI SE BACHAANA BERAA MERA DUBE NA KAHI (N) PAAR LAGAANAA ABBAS ALAMDAAR TABAAHI SE BACHAANA MOUJO KE THAPERONE PARESHAAN KIYA HAY TUFAA(N) BAPAA HAY TUM KO MAGAR AASAAN HAY KASHTI KAA BACHAANA ABBAS ALAMDAAR TABAAHI SE BACHAANA JOLI MERI BHARDO SHAHE QAWNAIN KAA SADQA HASNAIN KAA SADQA WARNA MERI HAALAT PE HASE (N) GAA YE ZAMANA ABBAS ALAMDAAR TABAAHI SE BACHAANA 3


TUM AALE NABI BHI HO AUR AWLAADE NABI BHI WALIYO(N) KE WALI BHI KYA BAAT GHARAANE KI HAY KYA PAAK GHARAANA ABBAS ALAMDAAR TABAAHI SE BACHAANA SUN LIJIYE FARIYAAD PAYAMBAR KAA TASSADDUQ HAYDAR KAA TASSADDUQ RAKH LIJO MERI LAAJ KE DUSHMAN HAY ZAMAANAA ABBAS ALAMDAAR TABAAHI SE BACHAANA MEIN BHI HU(N) BHIKHAARI MERI JOLI KO BHI BHARDO RAHEM ITNAA TO KARDO MERI TARAF BHI DASTE KARAM APNAA BARHAANAA ABBAS ALAMDAAR TABAAHI SE BACHAANA DO BAATO ME(N) SE EEK BHI PURI HO JO AAKAA TO PAAR HO BERAA YAA DARPE BULAANA MUJHE YAA KHWAAB ME AANAA ABBAS ALAMDAAR TABAAHI SE BACHAANA BE- SAAKHTAA AA(N)KHO SE NIKAL PARTE HAY AA(N)SUU CHAL PARTE HAY AA(N)SUU JAB KERBALAA KO KAAFELAA HOTA HAY RAWAANAA ABBAS ALAMDAAR TABAAHI SE BACHAANA HO UMR BASAR MERI YE SARKAAR KE DARPAR MAUT AAWE WAHA(N) PAR MAWLA MAY AZADAAR HU(N) KARBAL ME BULAANA ABBAS ALAMDAAR TABAAHI SE BACHAANA

MAWLAA KI BAARGAAH ME - H.ALI AS MAWLAA KI BAARGAAH ME GUNEHGAAR AAYE HAY(N) UMMIDWAAR BARSARE DARBAAR AAYE HAY(N) QASIM KAA WAASTAA ALI AKBAR KAA WAASTA DAR DAR KII KHAAKE THOKARE LAACHAAR AAYE HAY(N) UN PYAARE NANNE BACHO(N) KAA MAWLA HAY WAASTA JIN KE LIYE NEHR PE ALAMDAAR AAYE HAY(N) UN DONO LAADLO(N) KAA HAY ZAINAB KO WAASTA JO RANME MISLE JAAFARE TAYAAR AAYE HAY(N) 4


UN MANZILO(N) KAA WAASTA EHLE HARAM KE SAATH JIN MANZILO(N) SE AABIDE BIMAAR AAYE HAY(N) KUL MUSHKILO(N) KO HAL KARO MUSHKIL KUSHA HO TUM AAKAA TERI ZIYARAT KE TALABGAAR AAYE HAY(N) DAAMAN GULE MURAAD SE BHARNE KO AAYE HAY(N) ROUZE PE TERE AB YEH GUNEHGAAR AAYE HAY(N)

MAWLA ALI KAA - H.ALI AS MAWLA ALI KAA NAAMa LIYE JAA RAHAA HU(N) MEI(N) TAWSIIFa AHLEBAIT KIYE JAA RAHAA HU(N) MEI(N) MEHFIL MEI(N) AAJ JAM’A HAI(N) MUHIBAANE AHLEBAIT BHAR BHAR KE UNKO JAAMa DIYE JAA RAHAA HU(N) MEI(N) DUSHMAN KAA KHOUF AUR NA KHATRAA BALAAO(N) KAA NAADE ALI KAA WIRD KIYE JAA RAHAA HU(N) MEI(N) DAAMAN ALI KAA MO’MINO CHUTE NA HAATHO(N) SE TUM SAB KO YE PAYAAM DIYE JAA RAHAA HU(N) MEI(N) AWSAAFE MURTAZA KE HAI(N) LIKH KE RAAT DIN UQBAA KAA INTEZAAM KIYE JAA RAHAA HU(N) MEI(N) YEH FAIZ MUSTAFAA KAA KARAM MURTAZA KA HAY ZAR-RE KO AAFaTAABa KIYE JAA RAHAA HU(N) MEI(N)

PAAS HAY JO - BIBI FATEMAH AS PAAS HAY JO KUCH ATAAYE SAY-YADAAH AAJ JO HAM HAY DUA -E SAY-YADAAH BAANT-TAA HAY KAUSARO TASNIM JO JO BHI BANJAA-E GHADAA-E SAY-YADAAH DUSHMANE ZAHRAA PE LA’ANAT BESHUMAAR ISI - ME HAY SHAAMIL RAZAA-E SAY-YADAAH JIS KI JO AWQAAT THI DARBAAR MEIN APNE KHUTBEME BATAAYI SAY-YADAAH 5


DIN KE JO JABRASE REHBAR BANE AA-INAA UNKO DIKHAAYE SAY-YADAAH AAJ HAY ISLAAM KI JISSE BAQAA WOH TOU HAY LOGO (N) RIDAA -E SAY-YADAAH TASBIHE ZAHRAA KA HAY YE MO’JIZAA AZMATE RAB KO BATAAYE SAY-YADAAH HASHR TAK KARNI HAY HAMNE TO BAPAA HAY WIRAASAT YE AZAA-E SAY-YADAAH APNI WIRAA(N) QABR KE DIDAAR KO JAA-E WOH JISKO BULAAYE (N) SAY-YADAAH LIKH RAHAA HAY JO KALAAM “ALI DEEP” KAA YEH TO SAB ISKO LIKHAAYE(N) SAY-YADAAH

YAA RAB DUA - BIBI ZAINAB AS YAA RAB DUA KABUL HO ZAINAB KAA WAASTA KARBO BALAA KI SAABIRAA MUZTAR KAA WAASTA DAR DAR PHIRI BAAZAARON MEI(N) BE MAQNA O CHAADAR US WAARISE TATHIR KI CHAADAR KAA WAASTA DO LAAL KO NISAAR KIYA RAAHEY KHUDA ME ZAINAB KE DIL KE DAAGHO KE NASHTAR KAA WAASTA LORI JISEY SUNAATI THI ZAINAB JO PYAARSE US LAADLE MA’SOOM ALI ASGHAR KAA WAASTA JO HAI(N) MARIZ UNKO SHIFA JALD ATAA HO HAM SHAKLE FATEMAH KE KHULE SAR KAA WAASTA YAA RAB HAME MA’SUMO(N) KI ZIYARAT NASIB HO MAZLOOME KARBALA KE KATE SAR KA WAASTA

HAIDAR HU(N) ME HAIDAR - IMAM ALI AS HAIDAR HU(N) ME HAIDAR HAIDAR HU(N) ME HAIDAR KEHTE THE ALI KUFE ME YE BARSARE MIMBAR (HAYRAAN HAI DUNYA) X2 KYU(N) MERE MO’JIZE SUNKAR 6


SURAJ MERE KEHNE PE BHALAA KYU(N) NA PALAT’TAA TAARA MERI DEHLEES PE KAISE NA UTAR-TAA (MAINE HI JALAAYA) X2 THA BUJHAA DETAA ME AKSAR MEI(N) GHAYB HU(N) DUNYA KO YE IDRAAK NAHI(N) HAY HAA(N) MUJHPE KISI NAAM KAA ITLAAQ NAHI(N) HAY (BAS MUJHKO SAMAJ SAKTE) X2 ALLAH-O-PAYAMBAR HAY RAB KI SADAAQAT KE HAWAALE MERE BAS MEI(N) QUR’AN MEI(N) ALLAH NE KHAAYI MERI QASME(N) (LAA RAYB LAQAB HAY ) X2 MERAA QURAANa KE ANDAR IS BAAT KI QUDRAT HAY FAQAT MERE QALAM MEI(N) TASWEER BANAATAA HU(N) MEI(N) MAADAR KE SHIKAM MEI(N) (TAKHLIQ PE KHAALIQ) X2 NE KIYAA MUJHKO MUQARRAR GAR QATL KIYAA JAAWU(N) TO MEI(N) QATL NA HU(N)GA SO BAAR BHI MAUT AAYEGI PHIR BHI NA MARU(N)GA (BEBAS HAI(N) MERE SAAMNE) X2 YE MAUT KA CHAK-KAR POHNCHE SAR-E-ME’RAAJ NABI JIS GARI LOGO BAS HAATH MEI(N) LAANE KAA WAHAA(N) IZN THAA MUJHKO (JEE KARTA- THAA KEHDU(N) ) X2 MEI(N) YE PARDE SE NIKAL KAR MAA(N) NE KABHI MARHAB KI YE MARHAB SE KAHAA THAA TU LAAKH BAHAADUR HAY MAGAR US SE NA LARNAA (MAYDAAN ME AAJAAYE) X2 AGAR KOI YE KEHKAR TUM KISKO DARAATE HO YU(N) NAAM APNAA BATAAKE WOH AUR THE MAYDAA(N) SE JO BHAAG GAYE THE (MEI(N) AAM SAHABI) X2 NAHI(N) AY MARHAB-O-ANTAR JO LOG SAMAJHTE HAY MEI(N) WALLAHa NAHI(N) HU(N) BAS JAAN LO SAB KUCH HU(N) MEI(N) ALLAH NAHI(N) HU(N) (MA’ABUDa HAY AKBAR) X2 WOH MERAA KHAALIQ-E-AKBAR ISS WAASTE DUNYA HAY MERE NAAMa SE JALTI KHAATA HU(N) MEI(N) ZAHRAA KI BANAAYI HUWI ROTI (KHAIBAR TO HAY KYAA)X2 RAKHDUN MEI(N) DUNYAAKO PALAT KAR

7


DUA KARO - IMAME ZAMANA ATFS DUA KARO KE ZAHURE IMAM HO JAAYE YE ROZ ROZ KAA KIS-SA TAMAAM HO JAAYE ALI KI TEGH KE JAU-HAR KHULE ZAMAANE PAR TAMAAM DUNYA HO ISS TEGH KE NISHAANE PAR HO SAARI KHALQE KHUDA MAUT KE DAHAANE PAR JO GHAIB MEIN HAY WOH ZAAHIR IMAAM HO JAAYE SINAA(N) KI NOUK PE UTH-THEGA KALAA-E KHAIBAR KAFAN HAWAA KA MILEGA NA KHAAQ KAA BISTAR AJAL CHABAATI PHIRE LAASHE MARHABO ANTAR JO ZULFIKAARE ALI BE NIYAAM HO JAAYE KARENGI MOUJE HAWAA DHULM KO RASAN BASTAA ZAMINa BAND KAREGI FARAAR KAA RASTAA WO BARSE AAGH JO DARBAARIYO(N) KO HO SAKTAA AGAR ZAMAANE FADAK HAM KALAAM HO JAAYE HAQIQI SURATE ISLAAM BHI AYAA(N) HOGI NIGAAHE ADL ZAMAANE KI PAASBAA(N) HOGI PHIR EK KALMA YAHAA(N) EEK HI AZAA(N) HOGI PAYE NAMAAZ JO HAAZIR IMAAM HO JAAYE NA SHIRK HOGA NA ILHAAD KUFR KUCH BHI NAHI(N) KHUDA KE DIIN SE AABAAD HOGI SAARI ZAMI(N) HAR EK SAAGARE NAFSE BASHAR MEIN HOGA YAQI(N) MUQIME SHEHRAGE JAA(N) KAA QAYAAM HO JAAYE MAGAR WOH SHEHRAGE JAA(N) JISPE CHAL GAYAA KHANJAR MAGAR WOH SAR JO UTHAAYAA GAYAA THA NEZE PAR MAGAR WOH PYASE JO HAY IBNE SAAQIYE KAUSAR HAR EK ZABAAN KI ZINAT WOH NAAM HO JAAYE HAYAA BHI ROTI HAY JIS PAR WOH ZAINABE MUDHTAR USE BHI KUCHA BA KUCHA PHIRAAYA BE CHAADAR WOH SAYYADAH KI HAY BETI HUSAIN KI KHWAAHAR WOHI JO RUU- KASHE DARBAARE SHAAM HO JAAYE RAHE JO PYAASE LABE JUU UNHE ABAD KAA SALAAM QALAM JO HO GAYE BAAZU UNHE ABAD KAA SALAAM JO UNKE GHAM MEIN HAY AA(N)SUU UNHE ABAD KAA SALAAM KHUDA KARE KE SHURU INTEQAAM HO JAAYE 8


AY RABBE PANJETAN AY RABBE PANJETAN AY RABBE PANJETAN AY RABBE PANJETAN MERI TUJHSE HAY YEH DUA PARWARDIGAAR TU(N) HI RAHIMO KARIM HAY QUR’AAN KEH RAHAA HAY ALIYUL AZIM HAY AAWAAZ TUMSE PEHLE HAY ITNA QADIM HAY WAAJIB HAY QAENAAT PE HARDAM TERI THANA CHAAHAA JO TUNE KHALQa ME PEHCHAAN HO TERI TUNE BANAAYI PAANCH SITAARO(N) KI EK LARI UNKI REDHA ME TERI RAZA HAY CHUPI HUWI NAARAAZ HAMSE HONA KABHI AALE MUSTAFA TANHAAIYO(N) KAA TERE RAHAA HAY JO HAMSAFAR WOH MUSTAFA JO BA’AD TERE SAB SE MO’TABAR HO QARZ JISKA AJRE RISAALAT JAHAAN PAR HAR QARZ KARDE GHAIB SE MAKRUZ KAA ADAA TUJSA ALI BHI KEHTA HAY KHAALIQ JISE ALI UNGLI PAKAR KE JISKI SHARIAT TERI CHALI RAAZIQ HAY DO JAHAAN KA, WALIYO(N) KA HAY WALI SADQEME USKE RIZQ ME HO WUS-ATE ATAA WOH FATEMAH HIJAAB BHI NURI MILA JISE HASNAIN JAYSE JISNE PISAR PAAL KAR DIYE RAHMAT BANI JO RAHMATE AALAM KE WAASTE TUTE NA MO’MINEEN SE RAHMAT KAA SILSILA WOH MUSTAFA KAA LAAL JO DEE(N) KO BACHA GAYAA TEGHO KO APNE ZERE QALAM SE HARAA-GAYA AMNO AMAA(N) KA DARS JAHAA(N) KO PARHAA GAYAA HAR SIMT USKE SADQE-ME HO AMN KI FIZAA MA’ABUDa WOH HUSAIN JO MEHBOOB HAY TERA SAR KAAT KAR BHI JISKA NA ZAALIM JHUKA SAKAA JISNE ZAMI(N) KO ARSHE MUALLA BANAA DIYAA DIKHLAADE HAM FAKIRO(N) KO RAWZAA HUSAIN KAA MUSHKIL KO TAAL, HAL-LE MASAAIB KO BHEJ DE HAY JISKA MUNTAZIR USI SAAHIB KO BHEJ DE MUSHKIL KUSHAA KE AAKHERI NAAIB KO BHEJ DE HAY SIBTE JAAFER AUR HASSAN KI YEH ILTEJAA 9


EK NAJAF ME MERA ALI HAY - IMAME RAZA AS EK NAJAF ME MERA ALI HAY EK ALI IRAAN ME HAY HAMPAL-LAA DONO KI SAKHAAWAT KUDRAT KE MIZAAN MEIN HAY MAWLA RAZA OR MEHDIE DEE(N) MEIN FARQ YEHI MAA’MULI HAY EK QURAAN KHULA RAKHA HAY EK ABHI JUZDAAN ME HAY MASHHAD INKE DAMSE MUQADDAS SHEHR HUWA HAY SHEHRO(N) MEIN JAISE KE RAHMAAN KA SURAH DULHAN SAA QURAAN ME HAY NAQSHE QADAM KO CHUMKE UN KE SURAJ REHTAA HAY ROSHAN CHAAND KAA CHEHRAA INKI ZIYAASE SURAJ KI PEHCHAAN BHI HAY MAWLA ALI BHI MAWLA ALI HAY NAADE ALI TO PARKE DEKH NAADE ALI MO’MIN KAA SAHAARA JANG KE HAR MAYDAAN MEIN HAY EK RAZA EK SHERE KHUDA HAY EK SHAJRAA EK ADAA JANNAT KE MEWO(N) KAA MAZAA DONO KE DASTARKHAAN MEIN HAY

DAM BA DAM - IMAM ALI AS DAM BA DAM ALI ALI PUKAAR HAR KADAM ALI ALI PUKAAR TERE SUNE AA(N)GAN MEI(N) KHELEGI BAHAAR DAM BA DAM ALI ALI PUKAAR DAR BADAR BHATAK NE-KA KYUN YE ROGa PAALAA HAY SAB KE SAB BHIKHAARI HAY KOWN DENE WALAA HAY USSE MAA(N)GO UNTO(N) KI DEDE JO QATAAR PAAK HAY LAHU KISKA KISME KYA KHARAABI HAY KON HAY SAQIFAAI KON BUTURAABI HAY PAL ME SAB KE CHEHRESE HOGA AASHQAAR AAL KI TARHA GAR TU(N) EK QADAM BARHAA-EGA DAS QADAM ZAMAANESE KHUD KO AAGE PAA-EGA KYU(N) KE YE NAHI(N) RAKHTE KISIKA UDHAAR RANJO GHAM KI RAAHO(N) MEIN BAD HAWAAS BAYTHA HAY CHAL ALI KE RAWZE PAR KYU(N) UDAAS BAYTHAA HAY BAS PALAK JAPAK TE-HI HOGA BERAA PAAR NAAME FAATAHE KHAYBER GAR TERA WAZEEFA HAY PURI HO(N)GI HAR MUSHKIL YE HAMAARA DAAWA HAY KHAALI JAA NAHI(N) SAKTAA TERAA KOI WAAR 10


PHIR NA KOI GHAM HOGA PHIR NA KOI DAR HOGA MAR BHI JAAEGA LAIKIN PHIR BHI TU(N) AMAR HOGA KARDE APNI JAA(N) MERE MAWLAA PAR NISAAR CHAAH-TAA HAY GAR TUJSE SAYYADAH BHI RAAZI HO KHUSH HO KHAALIQE AKBAR MUSTAFA BHI RAAZI HO DUSHMANAANE HAYDAR PE KARKE BE SHUMAAR TUJHKO FAATEMA ZAHRAA KI DUA-E MILJAA-YE KHUD TERI ZIYAARAT KO AMBIYA CHALE AA-YE KARBALAA PAHONCH JAAYE TU(N) JO EK BAAR ADL OR ADAALAT KA INTEQAAM LENEKO KARBALAAKA AY ”NAAYAAB” INTEQAAM LENE KO AANEWAALA HAY KOI LEKE ZULFIQAAR BE MISAAL GHAAZI HAY KYU(N) ALAM NAHI(N) DETE AAP KAA SAHAABI HAY KYU(N) ALAM NAHI(N) DETE SHAAYAD AAP KO NAHI(N) HAY INPE E’TBAAR APNI AAQEBAT APNE HAATHO(N) SE SAWAARU(N)GA SHUKRE RAB KE SAJDO(N) ME ZINDAGI GUZAARU(N)GA MAATAMI MEI(N) HOJAAYE GAR MERA SHUMAAR

HAR EK HAAL ME - IMAM ALI AS HAR EK HAAL ME SHAJRAA ZARUR BOLEGA JO KHUSH NASAB HAY TABARRA ZARUR BOLEGA JO BE SADAA HAY WO SEHRAA ZARUR BOLEGA KABHI NA BOLNEWAALA ZARUR BOLEGA ZABAANE MISAME TAMMAAR KI QASAM DEDO ALI KE NAAM PE GUNGA ZARUR BOLEGA KOI BHI BOLE NA BOLE MAGAR KHUDA KI QASAM ALI KE BAAREME KA’ABA ZARUR BOLEGA NIFAAQ CHUP NAHI(N) SAKTAA KABHI CHUPAANE SE HO LAB KHAMOSH TO CHEHRAA ZARUR BOLEGA TU(N) APNE AYB CHUPAA LAAKHa DUSHMANE HAIDAR BURE AMAL KAA NATIJAA ZARUR BOLEGA 11


KAHI(N) BHI BAAT JO AAYEGI HAQ-QE ZAHRAA KI ALI KAA CHAAHNE WAALAA ZARUR BOLEGA JAHAA(N) MEI(N) PAAYE IMAAMATKI THOKARE AY “GAWAAH” ALI JO CHAAHE TO MURDA ZARUR BOLEGA GHAME HUSAIN PE GAR AANCH AAEGI KOI YE AANSUO(N) KAA QABILA ZARUR BOLEGA NA KHUL SAKE(N)GI JAHAA(N) PAR IBAADATO(N) KI ZUBAA(N) TERI AZAAN KA LEHJAA ZARUR BOLEGA SIPAR HUSAIN KE SAJDEH KI BAN KE AY AKBAR TERI AZAAN KAA LEHJAA ZARUR BOLEGA MUJHE HUSAIN KE BIMAAR NE SHIFAA BAK-SHI WOH HAR SADI KAA MASIHA ZARUR BOLEGA “WAQAAR” PESHE NAKIRAIN MERI MARQAD MEI(N) MERE LIYE MERA MAWLA ZARUR BOLEGA

ISHKE ALI NE –IMAM ALI AS ISHKE ALI NE YU(N) MERI BIGRI BANAAYI HAY KAUTHAR BHI HAATHa AAGAYAA JANNAT BHI PAAYI HAY TAARE NE BHI JABI(N) USI DAR PAR JHUKAAYI HAY SHAAHI SE BHI BALANDa JAHAA(N) KI GHADAAYI HAY SHERE KHUDASE JANGa KI DILME SAMAAYI HAY MARHAB KO AAJ USKI KAZAA GAR LAAYI HAY MEI(N) HUN GHULAAMa AUR MERA AAKAA HAY WOH ALI KABZE MEI(N) JISKE AAJ BHI SAARI KHUDAAI HAY HAL MUSHKILE(N) WOH KYU(N) NA KARE KUL JAHAAN KI MUSHKIL KUSHA KA KAAM HI MUSHKIL KUSHAAI HAY AAYI HAY AASMAA(N) SE KITABE(N) TO CHAAR CHAAR TEGHE ALI WOH HAY JO FAQAT EK AAYI HAY “AKHTAR” WOHI BACHAAEGA MERI BHI AABaRU TUFAA(N) SE JISNE NUHa KI KASHTI BACHAAYI HAY

12


NOOR KI ANJUMAN - BIBI FATEMAH A S NOOR KI ANJUMAN FATEMAH MARKAZE PANJATAN FATEMAH ARSH SE BANKE AAYI HAY TU(N) MURTUZA KI DULHAN FATEMAH KEHKASHA(N) SE ZIYAADA HASI (N) TERE GHAR KAA CHAMAN FATEMAH KHULD KAA ARSH PAR HAY DIMAAGH CHUU KE TERE CHARAN FATEMAH KAB KISI MAA NE PAYDA KIYE PHIR HUSSAIN O HASSAN FATEMAH BANGAYAA TERA BAAGHE FADAQ GHASIBO(N) KAA KAFAN FATEMAH BOLI ZAINAB SE RUHE ALI SAR UTHAA AUR BAN FATEMAH HAY YEH KAWLE NABI AY “SAROUSH” MERA TAN MERA MAN FATEMAH

MADAD KIJIYE-IMAME ZAMAANA AS MADAD KIJIYE YAA IMAM E ZAMAANAA HATAA DIJE GHAYBAT KAA PARDAA KHUDARAA PARDAA KHUDARAA MADAD KIJIYE YAA IMAM E ZAMAANAA BARI AAFATE(N) HAI(N) ZAMAANE PE MAWLAA PAREHSHAAN SHIA KAHAA(N) JAYE(N) MAWLAA PUKARA TUMHE JAB HUWA DIL JO MUDHTAR BALA-E(N) HAI(N) GERII NAHI KOYI SAATHI ANDHERA HAI(N) HARSU UDASI HAI(N) CHAAYI TUMHARE QADAM SE HO DUNYA MUNAWAR BHAWAR MEIN HAI KASHTI BACHAA NE KO AAWO GHAME(N) ZINDAGI SE CHURAANE KO AAWO MUHAMMED KI JAA(N) HO SAFINE KE LANGAR 13


GHUNEHGAAR HU(N) AUR SHARMINDA MAWLAA MAGAR AAP PAR HI HAI(N) MUJKO BHAROSAA KARO REHBARII AB BARAA E PAYAMBAR TAMANNA YE DIL MEIN BOHOT KUCH HAI(N) MERI HAI UMEED HOGI BOHOT JALD PURI MERE HAQ MEIN KARDIJE JO KUCH HO BEHTAR ILLAHI BABIMARE DASHTE BALAA ILLAHI BA-BIMAARE DASHTE BALAA JO BEEMAARa HO JALD PAAWE SHIFAA ILLAHI BARAA-YE IMAME ZAMAA(N) HAME HAWLE MEHSHAR SE DE TU(N) AMAA(N) QAYAMAT KO ME’-SHUURa HO MAa ALI UTHE(N) QABRa SE KEH-TE HAM YAA ALI HAI PAANCH-O-NAW MIL CHAHAARDA TAN AHMAD WA ALI ZAHRAA WA HASSAN SHABBIRa-SE LE TAA IMAME ZAMAAN X2 EK EK PE SADAA SALAWAAT PAR(h)O SALAWAAT SALAWAATa KE USPE NISAARE “GAWHAR” JO NABI-YE BULAND SIFAAT HUWE SALAWAAT SALAWAAT O SALAAM YAA IMAME ZAMAA(N) FARMAA-O DHUHUR YAA IMAME ZAMAA(N) SALWAAT

14



AAJ DONO JAHAA(N) ME HAY - BIBI FATEMAH AS AAJ DONO JAHAA(N) MEI(N) HAY MAATAM BAPAA HAAYE KHAIRUNNISA FATEMAH FATEMAH DEKHO SURAJ KE GHAR ME ANDHERAA HUWA HAAYE KHAIRUNNISA FATEMAH FATEMAH EK MEHSHAR BAPAA EK QAYAAMAT UTHI AAJ DUNYAA SE KHAATUNE JANNAT CHALI AB AKELE AKELE HAY(N) SHERE KHUDA HAAYE KHAIRUNNISA FATEMAH FATEMAH DEKH LO DONO BACHO KAA KOI NAHI(N) AAJ SE IN YATIMO(N) KAA KOI NAHI(N) SAR SE HASNAIN KE MAAKA SAAYAA UTHAA HAAYE KHAIRUNNISA FATEMAH FATEMAH MAAMTAA JAYSAA DUNYAA MEI(N) RISHTAA NAHI(N) KOI MAA KI TARAH PYAAR KARTAA NAHI(N) JAB TALAK MAA HAY DUNYAA MEI(N) HAY MAAM-TAA HAAYE KHAIRUNNISA FATEMAH FATEMAH PAAS BULWAAKE BACHO(N) KO BOSE DIYE JAATE JAATE YE BACHO(N) KO TOHFE DIYE DEKH KAR YEH, FARISHTO(N) KAA DIL HIL GAYAA HAAYE KHAIRUNNISA FATEMAH FATEMAH MARNESE PEHLE BACHO(N) KAA KITNAA KHAYAAL ACH-CHE KAPRE PINHAA KE SAWAARE(N) HAY(N) BAAL KAYSI HOTI HAY(N) MAA TUMNE DIKHLAA DIYAA HAAYE KHAIRUNNISA FATEMAH FATEMAH ZEHRa TUMKO DIYAA JAAYEGA AY HASSAN MERA SHABBIR REH JAAYEGAA BE KAFAN TUM KO KARNAA HAY NAANAA KAA WA’ADA WAFAA HAAYE KHAIRUNNISA FATEMAH FATEMAH PAAS BULWAAKE SHERE KHUDAASE KAHAA AB TUMHAARE HAWAALE HAY YE GHAR MERA BAKHSH DENAA HUWI-HO JO MERI KHATAA HAAYE KHAIRUNNISA FATEMAH FATEMAH MERE SARTAAJ MAI TO GUNEH-GAAR HU(N) AAPKE AAGHE AB TAK KHATAA WAAR HU(N) EK ZAWJAA KAA HAQ, KAR SAKI NA ADAA HAAYE KHAIRUNNISA FATEMAH FATEMAH 16


AA-HO ZAARI MERE BACHO(N) ACH-CHI NAHI(N) MAA KISIKI HAMESHAA TO REHTI NAHI(N) SABR KARNAA, KE HAY SAABIRO(N) KAA KHUDAA HAAYE KHAIRUNNISA FATEMAH FATEMAH AAP KE HAATHO(N)-SE GUSLE MAYYAT MILE AUR UTH-THE JANAAZA TO SHAB KO UTHE MAR-NEKE BA’AD BHI, RAKHNAA PARDAA MERA HAAYE KHAIRUNISSA FATEMAH FATEMAH BAANU YEH AABID-BIBI SAKINA AS BAANU YEH AABID KO BATLAA RAHI HAY MERI SAKINA KO NIND AARAHI HAY KEHDO HAWAAO(N)SE AAHISTAA AAYE KEHDO PARINDO(N)SE GUL NA MACHAAWE KEHDO ANDHERO(N) SE WAAPAS NA JAAYE JAAGI HUWI CHAIN KUCH PAA RAHI HAY YEH SHAAME GHARIBAA(N) KI JAAGI HUWI HAY TAMAACHO(N) KE DARSE NAHI(N) SO SAKI HAY ZARAA JO GALESE RASAN JO KHULAA HAY SUKU(N) SE JO AB SAA(N)S LE PAA RAHI HAY ZINDAA(N) KAA DAR ZOR SE AB NA KHOLO AY PEHRE DAARO AB AAHISTAA BOLO TUM BHI TO JAAGE HO KHUCH DER SOLO BABA KI KHUSHBU ISE AA RAHI HAY MAY KHUSH HU(N) KE SOE(N)GI MERI DULAARI MEI(N) KURBAAN ISKE MEI(N) AB ISKE WAARI BOHOT SEH CHUKI HAI YEH GHAAZI KI PYAARI MAGAR LAFZ KUCH AUR BATLAA RAHI HAY MAGAR YEH HUWA KYA KE ZINDAAN ROYA BADAN RUH KE SAATH BACHI KAA SOYAA NA JAAGI TO AABID NE SHAANA HILAAYAA AB MAA YEH KEHTE BHI SHARMAA RAHI HAY KAHAA(N) TAK LIKHU(N)GA MAY “REHAAN” NAWHAA KABHI SHAAM JAAU(N) TO DEKHUN MEI(N) RAWZAA JAHAA(N) QAIDI BACHI KAA MARQAD HAY TANHAA JAHAA(N) MAA ABHI BHI KAHE JAA RAHI HAY 17


BOHOT RO CHUKI HAY - BIBI SAKINA AS HAAYE HAAYE HAAYE KHAAMOSHIYO(N) SE HI PUCHO IN AANSUO(N) SE HI PUCHO BARE ZULM RAAHO(N) ME SEHTI RAHI HAY YATIMI KE TA’ANE YEH SUNTI RAHI HAY NAHI(N) MAAR ZAALIM TAMAACHE ISE - NA KAR ISKA DUSHWAAR JEENA BOHOT RO CHUKI HAY SAKINA - ALLAH - BOHOT RO CHUKI HAY SAKINA SAFAR MEI(N) YEH SOYI NA ZINDAA(N) ME AAKAR UJAALA KIYA HAY YAHAA(N) DIL JALAAKAR PADAR SE JO BICHRI HAY AASHURa KO SUKU(N) PAA SAKI PHIR KABHI NAA - BOHOT RO CHUKI HAY SAKINA MILAA DASHT ME JAB KE BAABAA KAA LAASHA LIPAT KAR PADAR SE KIYA KHUB GIRYAA WAHAA(N) POH(N)CHI ZAINAB TO SHEH NE KAHAA SULAADO ISE JAAKE BEHNAA - BOHOT RO CHUKI HAY SAKINA RASAN DE GAYI HAY NISHAANI GALE PAR HAY PESHAANI ZAKHMI JO KHAA-E THE PAT-THAR NISHA(N) HAY TAMAACHO(N) KE RUKHSAAR PAR MASAAEB SE ZAKHMI HAY SINAA - BOHOT RO CHUKI HAY SAKINA KABHI APNE BAABA KE QAATIL SE DAR KAR KABHI RO-EE ZINDAA(N) ME TANHAA-IYO(N) PAR KABHI BOLI ZAINAB SE AB GHAR CHALO HUWA EKK BARAS EKK MAHINAA - BAHOT RO CHUKI HAY SAKINA QAYAAMAT KI EK RAAT AYSI BHI AAYI KAZAA NE SAKINA KO LORI SUNAAYI KAHAA ROKE SAJJAD NE AY PHUPHI KE AB ROEGI PHIR KABHI NAA - BOHOT RO CHUKI HAY SAKINA JO QABRE SAKINA PE ROTE THE QAIDI TO UN RONE WAALO(N) SE BAANU YEH KEHTI ABHI THAK KE SOYI HAY ZINDAAN MEI(N) JAGAAE USE AB KOI NAA - BOHOT RO CHUKI HAY SAKINA YEH KEHTA HAY “FARHAAN” SE ROKE “MAZHAR” JO QABRE SAKINA PE JAAU(N) BARAADAR WAHAA(N) MARSIYAAH JAAKE PARNAA YEHI BOHOT RO CHUKI HAY SAKINA - BOHOT RO CHUKI HAY SAKINA 18


AAJA ASGHER KI JAGAAH - BIBI SAKINA AS AAJA ASGHER KI JAGAAH MERI SAKINA SOJA JAAGTI MAA NE KAHAA MERI SAKINA SOJA JO TUJHE KHOUF HAY SHAAYAD MAY USE KUM KARDU(N) AAJA AA(N)KHON ME TERE NAADE ALI DAM KARDU(N) DUURa KYUN BAYTHI HAY AA MERI SAKINA SOJA BAAP KE SINE PE AADAT HAY TUJHE SONE(N)KI MERI GODI MERI QAATIL KO NAHI(N) HAY PHIR BHI HAY MERE DILKI SADAA MERI SAKINA SOJA CHAAR BHAR SONE NA ZEHMAT DI KABHI TUNE MUJHE APNI KHIDMAT KAA MUJHE AAJ WO MOUKA DEDE HOGA EHSAAN TERA MERI SAKINA SOJA QAID KHAANE ME JO AAJAAYE(N)GE TERE BAABAA DUKH UTHAA DU(N)GI TUJHE SHAANA HILAAKAR TERA ACHAA KUCH DER ZARAA MERI SAKINA SOJA MUJHSE DEKHA NAHI (N) JAATA YEH TERA DARDE JIGAR YEH BATAATE HUWE ACHAA TO NAHI(N) LAGTAA MAGAR AB NA AAE(N)GE CHACHAA MERI SAKINA SOJA SAABIRO(N) KAA YEH QARINA TO NAHI(N) HAY BIBI YEH HAY PARDES MADINA TO NAHI (N) HAY BIBI KARKE BAS SHUKRE KHUDA MERI SAKINA SOJA ISS TARAAH SOYI”TAKALLUM” WOH YATIMA BIBI MAA UTHAA TI RAHI UTH-THI NA SAKINA BIBI PHIR NA BAANU NE KAHAA MERI SAKINA SOJA

BARBAAD HUWA BAAGHE – H ALI ASGHER AS BARBAAD HUWA BAAGHE NABI DORE KHIZAA(N) SE AFSOS SAFAR SAY-YADE BEKAS KA JAHAA(N) SE SHABBIR LIYE JAATE HAY BESHIIR KO RANME ALLAAH BACHAANA INHE DUSHMAN KI JAFAA SE EK PAL MEI(N) WO ASGHAR KA GHALAA CHED KE NIKLAA WO TIIR JO NIKLAA KISI DHAALIM KI KAMAA(N) SE 19


BACHAA KAFANO GHOR KAA MOHTAAJ PARAA HAY CHAADAR BHI NAHI(N) SARPE KAFAN DU(N) MAY KAHAA(N) SE KIS DIL SE NIKAALI SHAHE DILGHIIR NE BARCHI LIPTAA THA KALEJA ALI AKBAR KA SINAA(N) SE SHABBIR CHALE KEHTE HUWE HAAYa RE KISMAT WO TIIR PARAA MASHKE SAKINA PE KAMAA(N) SE KARBAL KI ZAMI(N) NAAM KIYAA TUNE JAHAA(N) MEI(N) SAJDE KE LIYE JHUKTE HAY SAB “SHOUKATO” SHAA(N) SE

PUKAARA SHEHNE KA-EE BAAR - ASHURA DAY PUKAARA SHEHNE KA-EE BAAR ZAINAB ZAINAB ZAINAB KHUDA HAY TERA MADAD-GHAAR ZAINAB ZAINAB ZAINAB NA AB HAY AUNO MUHAMMAD NA QAASIMO ASGHAR NA AB JAHAA(N) MEIN NA ABBAS AUR NA AKBAR TUMHI HO KAAFELAA SAALAAR ZAINAB ZAINAB ZAINAB MUSIBATO(N) MEIN TUMHE(N) DILPE JABRa KARNAA HAY KADAM KADAM PE BAHAN TUMKO SABRa KARNAA HAY WO CHAAHE KU-FEKAA BAAZAAR ZAINAB ZAINAB ZAINAB HAMAARE BA’AD TUMHE ASHQIYAA(N) SATAA-E(N)GE MERI SAKINA KO YE SANG DIL RULAA-E(N)GE RIDAAE(N) CHINE(N)GE KUFAAR ZAINAB ZAINAB ZAINAB ASIR HOGAA MERA LAAL SAY-YADE SAJAAD KARE(N)GE EHLE SITAM US GHARIB PAR BE DAAD SIPURD TERE HAY BIMAAR ZAINAB ZAINAB ZAINAB TUMHAARE SAATH HARAM HO(N)GE SAB RASAN BASTAA BOHOT TAWIL KATHAN HOGAA SHAAM KAA RASTAA NA HOGA KOI BHI GHAMKHWAAR ZAINAB ZAINAB ZAINAB

20


HAAYE SHABBIR KO MEHMAAN HAAYE SHABBIR KO MEHMAAN BANAAYA NA GAYAA MAAR KAR LUT LIYA WAA’DA NIBHAAYA NA GAYAA IBNE HAYDAR TERI BE PARDAA BAHAN KEHTI HAY LOG DEKHE(N)GE JO QURAAN SUNAAYA NA GAYAA SHAAHEDI(N) UTH GAYE DUNIYAASE MAGAR SUNLE YAZID TUNE KALME KO MITAANA THA MITAAYA NA GAYAA NAAM WAR LAASHA-E AKBAR PE PUKAARAA AFSOS BAHNa KAA BHAAI KO PAYGHAAM SUNAAYA NA GAYAA SAB KI LAASHE TO UTHAALI MAGAR AY IBNE ALI KUCH TO HAY LAASHA-E AKBAR JO UTHAAYA NA GAYAA MUH SIYAAH HOGA SARE HASHR BARU-E ZAHRAA GHAME SHABBIR ME GAR ASHK BAHAAYA NA GAYAA KARBALAA KUFEME ME AUR SHAAM ME KYA KYA GUZRI RO-E SAJJAD MAGAR KUCH BHI SUNAAYA NA GAYAA YA MUHAMMAD WA ALI FAATEMA ZAHRAA WA HASAN AY MUSALMAAN KAHO KISKO SATAAYA NA GAYAA ISS QADAR LUUT MACHI KHAYME JHALE DUR BHI CHINE PHIR BHI SAJJAD KO KYU(N) HOSH MEIN LAAYAA NA GAYAA

WOH FATEMAH ZAHRA KA - BIBI FATEMA AS WOH FATEMAH ZAHRA KA, GHAR BHAR KO BULAANAA AUR SAB KO SHAHAADAT KI KHABAR, HAAYE SUNANAA JAATI HU(N) MAY WAALI MUJHE, BAABA HAY BULAATE(N) BACHON KO MERE BAAD TUMHI NAAZ UTAANAA SAR SABZ BADAN HOGA ,PAAO(N) - GE ZAHAR TUM KAT KAT KE KALEJE KO LAGAN MEI(N) HAY GHIRANAA BETO(N) KO FIDA KARKE, GHAR BAARa LUTAA KE AUR AAKHERI SAJDE KE LIYE SAR KO JHUKANAA 21


UMMAT HAY MERE BABAA KI, AASI HAY KHATAAKAAR BAKHSHISH KE LIYE UNKI SAR NANGE PHIRANAA SAR NEZE PE SHABBIR ,MERE LAAL CHARENGAA BEHNO KO LIYE SAATH TUM DARBAAR ME JANAA KARDENGE NISAAR QALBO, JIGAR AAP KE DARPAR BIBI JO HAME QABR PE EK BAAR BULANAA JANNAT ME RAHUNGI NA MAY GHAR GHAR ME PHIRUNGI BETE KI MERE FARSHE AZAA TUM JO BICHAANA

KYU(N) KAR JUDAA HUWA SARE KYU(N) KAR JUDAA HUWA SARE SARWAR NA BHUL NAA GHAM SHAAHEDI(N) KA AY DILE MUZTAR NA BHUL NAA JALDI BULAANA KEHTI THI SUGHRAA PADAR SE YEH HAALE MARIZ AY MERE SARWAR NA BHUL NAA KEHTI THI LAILA BETE(N) KI ZULFE SA(N)WAAR KAR MERA RIYAAZ AY ALI AKBAR NA BHUL NAA BHAR -AAE ASHQ AA(N)KHO(N) MEIN PAANI KO DEKH KAR HAA(N) TISHNAGI SHAHE DILE MUZTAR NA BHUL NAA BACHE KO LEKAR JAB CHALE SHABBIR KHAYME(N) SE MAA BOLI MERI MEHNATE ASGHAR NA BHUL NAA KEHTI THI YEH TASAWWURE ASGHAR ME ROKE MAA DADI KE PAAS PEHLUE MAADAR NA BHUL NAA KEHTE THE DASHTE DHULM ME AA KE ZALZALE JHULE KAA SONA AY ALI ASGHAR NA BHUL NAA KEHTAA THA SHIMRa CHAADARE ZAINAB UTAARa KE AY DIL KAHI(N) SAKINA KE GOUHAR NA BHUL NAA MAA KEHTI THI KE YAADa RAHE MERI TISHNAGI KAWTHAR PE MUJHKO AY ALI ASGHAR NA BHUL NAA AY SHIYO(N) SAR JUDAA HUWAA KIS TARHA SHAAH KAA TAA UMRa WOH RAWAANIYE KHANJAR NA BHUL NAA KEHTAA THA IBNE SAA’D YEH TURBAT KO KHOD KAR AY SHIMR KAATa NAA SARE ASGHAR NA BHUL NAA 22


BETA ALI AKBAR – H ALIAKBAR A S MAA KEHTI THI AB KISKO PUKAARE ALI AKBAR BETAA ALI AKBAR BETAA ALI AKBAR MAMTA KO BHALA KIS TARHA MAARE ALI AKBAR BETAA ALI AKBAR BETAA ALI AKBAR ARMAAN BOHOT THAA KE BASAAU(N)GI TERA GHAR YEH KYA THI KHABAR MUJHKO DIKHAAYEGA MUQADDAR SEHRE KI JAGAAH KHUUN KE DHAARE ALI AKBAR BETAA ALI AKBAR BETAA ALI AKBAR SO(N)CHAA BHI NA THAA IS TARHA TAQDEER PHIRENGI NAZRO(N) MEIN MERI ISS TARHA TAQDEER PHIRENGI YEH ZINDAGI AB KAISE GUZAARE ALI AKBAR BETAA ALI AKBAR BETAA ALI AKBAR DUBE HAY LAHU(N) MEIN TERE ARMAAN HAMAARE KARTI THI DUA ZINDA RAHE SAATH TUMHAARE DUNYA SE TERE SAATH SIDHAARE ALI AKBAR BETAA ALI AKBAR BETAA ALI AKBAR SAR RAKHKE HAM AAGOSH MEIN AB KISKO SULAAYE AB KISKO “AZAA” KIS LIYE HAM BETA JAGAAYE AB KISKE BHARE GESU(N) SAWAARE ALI AKBAR BETAA ALI AKBAR BETAA ALI AKBAR HAR MAA KO JAWAA(N) BETE KA HOTA HAY SAHAARAA TOOTAA HAY KAHAA(N) AA KE MUQADDAR KAA SITAARA AB TAQ TUME ASHKO(N) KI KATAARE ALI AKBAR BETAA ALI AKBAR BETAA ALI AKBAR YEH ZAKHME JIGAR SHAAFAE MEHSHAR KO DIKHAANAA YEH SUKHI ZABAAN SAAQIYE KAUSER KO DIKHAANA HAM SOG TERA KAISE UTAARE ALI AKBAR BETAA ALI AKBAR BETAA ALI AKBAR

23


MAA PUKAARI MERE AKBAR - ALIAKBAR AS MAA PUKAARI MERE AKBAR KAISE BHULAAYE DAAGH BETA KAYSE RUJHAAYE DAAGH BETA DILME BHARKE GHAM KE SHOLE KAYSE BHULAAYE DAAGH BETA KAYSE RUJHAAYE DAAGH BETA THI TAMANNAA DULHAA BANAAWU(N) MAATHEPE TERE SEHRAA SAJHAAWU(N) KYAA KARUN KISTARHAA LUTI MAY JIGHAR KE CHAALE KISKO BATAAWU(N) NA DEKHI SEHRAA NA DEKHI MEHNDI NA DEKHI TERI BARAAT BETA KAYSE RUJHAAYE DAAGH BETA NAAZO NA’AM SE TUMKO THAA PAALAA BACHPAN ME ARMAAN KAA JHULAA JHULAAYA AAYI JAWAANI HA(N)S KE MAY BOLI AB MERA BETAA BANE(N)GAA DULHAA KARBOBALAA ME KAYSI KHIZAA THI LUT GAYAA MERA BAAGH BETA KAYSE RUJHAAYE DAAGH BETA MAWLAA KI AAYI AAWAAZ LAILA PARDA UTHAAWO AATA HAY DULHAA THOKARE KHAATI DOURKE AAYI DEKHA KE SAARAA PHATAA HAY SINAA PUKAARI US DAM ZAMI(N) PE GIR KAR ZINDAGANI HAY KHAAK BETA KAYSE RUJHAAYE DAAGH BETA ARMAA(N) BHARE TUM CHAL BASE AKBAR KARBOBALA MEIN AAEGI MAADAR KABR PE TERE BICHAAU(N)GI BETA SEHRAA KE BADLE PHULOUN KI CHAADAR DAAGHE PISAR SE ZAKHMI JIGAR HAY LUT GAYAA MERA SUHAAG BETA KAYSE RUJHAAYE DAAGH BETA

BAAZAAR MEIN BINTE ALI BAAZAAR MEIN BINTE ALI DETI THI SADAA BHAAI ABBAS KAHAA(N) HO SAR PAR BHI NAHI(N) CHAADAR X2 LAAKHO HAY TAMAASHA-EE ABBAS KAHAA(N) HO ISS AALAME GHURBAT ME KOI BHI NAHI(N) MERA HAY KHAAQE SAFAR SAR PAR OR HAATH RASAN BASTA PARDES ME ZAINAB KO X2 TAQDEER KAHAA(N) LAA-EE PAYWAST HAY YEH NEZE SAR SHAAHE SHAHIDAA(N) KAA YEH DEKH KE AY GHAAZI PHAT -TAA HAY MERA SINA MARJAAE(N)GI ISS GHAM MEIN X2 SHABBIR KI MAAJAAYI 24


DARIYA KE KANAARE TUM AA’DAASE GAYE LARNE TAB DEKH RAHI THI MEIN DARWAAZA-E KHAIMAASE AB JANG HAMAARI BHI X2 DEKHO TO ZARAA BHAAI DUNIYA KA SAHAARA HAY BAABA TO HAMAARA HAY MUSHKIL ME MAGAR MAINE TUMKO HI PUKAARA HAY AB DHUNDH TI HAY TUM KO X2 BHAYAA MERI BINAA-EE BE MUNISO YAAWAR HAY BATLAA-O KIDHAR JAAYE ISS TARHA TO JINE SE BEHTAR HAY KE MAR JAAYE FARIYAAD KARE KISSE X2 HOTI NAHI(N) SUNWAA-EE AY SHERE JHARI MERI IMDAAD KO AAJAAWO MAA(N)GAA HAY KANIZI MEIN DHAALIM NE SAKINA KO HAY WAQT QAYAAMAT KA X2 MAA’SUM HAY GHABHRAA-EE AHMAD KI NAWAASI KA “YAAWAR” YEHI NAWHAA THA NAA BHAAI BACHE MERE NAA KOI BACHAA MERA AB JEE KE KARUNGI KYAA X2 GAR MAUT NAHI(N) AAYII

MUJRA-EE SHENE KAHAA - IMAM HUSEIN AS MUJRA-EE SHEHNE KAHAA PAANI JO PAANAA ZAINAB TISHNAGI BHAAI KI TUM BHULa NA JAANA ZAINAB CHIN LE SHIMR SITAM-GAAR JO SARSE CHAADAR SAR KE BAALOU(N) SE GARAZ MUH(N) KO CHUPAANA ZAINAB REHMa KHAAKAR KOI BE REHMa JO DEWE PAANI PEHLE TUM MERI SAKINA KO PILAANA ZAINAB QAYD ME CHUP KE HI TUM JAAIYO SAR NIWRAA-E APNI AWAAZa KISIKO NA SUNAANA ZAINAB SABR MAADAR KAA TUMHAARE HAY JAHAA(N) ME MASH-HUUR LAAKH SADME HO PE TUM LAB NA HILAANA ZAINAB GAR SAKINA KAA LABE NEHRa GUZAR HO JAA-E LAASH ABBAS DILAAWAR KI CHUPAANA ZAINAB GAR MUJHE PUCH KE ROWE TO TASAL-LI DENAA USKE AAGE NA KABHI AA(N)SU BAHAANAA ZAINAB SOTI THI BAALI SAKINA JO MERI CHAATI PAR AB USE CHAATI PE TUM APNI SULAANA ZAINAB 25


AB KE MAY JAAKE NA MAYDAAN SE PHIR AAUU(N)GAA QAYD TUM HOKE MERI LAASH PE AANAA ZAINAB QAYD HO RAN ME MERE BAAD JO TUM AA-OGE DEKH KAR LAASH MERI GUL NA MACHAANAA ZAINAB BE QARAARISE SAKINA KO NA GAR NIND AAWE KAHIYO TUM USSE MERE GHAM KA FASAANAA ZAINAB

HAAY WO SHAAH KA - H.ABBAS AS HAAY WOH SHAAH KAA KEHNA MERE BHAAI ABBAS TUM SE PEHLE MUJHE KYU(N) MAUT NA AAYI ABBAS HAAYE KYAA NIND TUMHE AAGAYI BAAZU JO KATE BHAA GAYI PYAAS MEIN DARIYAA KI TARAAI ABBAS TUMNE PEHLU KIYAA KHAALI TO QAMAR TUUT GAYI DIL KALEJE SE JUDAAH HO GAYAA BHAAI ABBAS HO GAYE BAA’D TUMHAARE ALI ASGHER BHI SHAHEED NIND BESHIIR KO EK TIIR SE AAYI ABBAS THOKARE KHAATE HAY A(N)KHO ME BASAARAT NA RAHI JAB SE BARCHI ALIAKBAR NE HAY KHAAYI ABBAS DHYAAN THI PYAAS MEIN NA MARJAA-E ATFAALE HUSAIN TUMNE PAANI KE LIYE JAAN GAWAAI ABBAS REH GAYI BAA’D TUMHAARE MERE DILME HASRAT KEHKE MUJHKO NA PUKARAA KABHI BHAI ABBAS KABHI MAWLAA KABHI AAQAA KABHI SARWAR KE SIWA AUR KOI BAAT ZABAA(N) PAR NAHI(N) AAYII ABBAS DIL KABHI THA MERE SINE ME TUMHAARE DAMSE HO GAYI AB MERE LASHKAR KII SAFAAII ABBAS MUNTAZIR DEKHO SAKINA HAY KHARI DEWRI PAR DERSE HAATH ME KUZAA LIYE BHAAI ABBAS NAAM ISKAA HAY WAHI(N) ISKO “WAFA” KEHTE HAY PYAAS DARYAA PAR BHI JAAKAR BUJHAAI ABBAS

26


SADAA SAKINA KI AAYI-BIBI SAKINA AS SADAA SAKINA KI AAYI BOHOT ANDHERAA HAY GHATA SITAM KI HAY CHAA-EE BOHOT ANDHERAA HAY MAIN KAIDE SHAAMa- MEIN MARJAA-U(N)GI MERE BAABAA HUWI HAY DUNIYA PARAAYI BOHOT ANDHERAA HAY CHAHEETII BETI KA BAABAA ZARAA KHAYAAL KARO KE SUNLO MERI DUHAAI BOHOT ANDHERAA HAY YE KAID KHAANA BHI KAYSAA NA CHAT NA DEEWAARE(N) ASEER HAY MERA BHAI BOHOT ANDHERAA HAY KHUDA SE KAHIYE MADAD KARDE MERI AY BABAA HAY (N) SHAR PASAND KHUDAAI BOHOT ANDHERAA HAY MAY KAISE BHULU(N)GI KARBOBALAA KA WO MANZAR LUTI JAHAA(N) PE KAMAAI BOHOT ANDHERAA HAY

27



BAAZAAR KE MANZAR KO BAAZAAR KE MANZAR KO AUR APNE KHULE SARKO BHULI NAHIN MEI(N) APNE BANDHE HAATHO(N) KO BIMAAR KE ZEWAR KO BHULI NAHIN MEI(N) UTH-TI HUWI AANDHI KO, WEHSHAT KO BAYAABAA(N) KO CHUPTE HUWE SURAJ KO, TAARIKHI KO MAYDAA(N) KO CHALTE HUWE KHANJAR KO, NEZE PE TERE SAR KO BHULI NAHIN MEI(N) EK CHAAND THA BADLIME, CHUPTA THA NIKAL TAA THA PARDA DARE KHAYMAA KAA, UTH-TAA KABHI GHIR TAA THA WOH KHAYMAE LAILA SE, HAAY RUKHSATE AKBAR KO BHULI NAHIN MEI(N) FIZZA KO MERA BHAAI, MAA KEH KE BULAA TAA THA GHAM USKAA MERE BHAAI , KE NAAM PE JAA TAA THA KUFE ME JO MAA BANKAR, AAYI USI MAADAR KO, BHULI NAHIN MEI(N) LEHRAATA HUWA NEZA, AUR SHIMR KAA WOH BARH-NA AA AAKE MERE PICHE, HAR BIBI KA WOH CHHUP NAA SHOULO(N) ME GIRE GHAR KO, CHINI HUWI CHAADAR KO, BHULI NAHIN MEI(N) YAAD AATA HAY EK MAA-KA, WOH KHAAK ME DHA(N)S JAA NAA AUR AAGH KE SHOULO(N) MEIN, WOH MAAKA JHULAS JAA NAA JHALTE HUWE JHULE SE, LIPTI HUWI MAADAR KO, BHULI NAHIN MEI(N) MA’ASUM SAKINA KO, BARHTE HUWE NEZE KO GHI(N)STE HUWE GHAALON KO, BE REHM TAMAACHO(N) KO KHINCH TE HUWE KAANO KO, KHINCH TE HUWE GAUHAR KO, BHULI NAHIN MEI(N) UN SHAAM KI GALIYO(N) KO, JINSE KHULE SAR GUZRE JIS DAR SE GHUZAR NE MEIN, THE SOLAA PAHAR GUZRE DARBAAR KE US DAR KO, AUR SHAAMIYO(N) KE SHAR KO, BHULI NAHIN MEI(N)

SAR PIIT KE BOLE HARAM - H ABBAS AS SAR PIIT KE BOLE HARAM AAYAA ALAM ABBAS KA MAATAM KO SAB UTHI BAHAM AAYAA ALAM ABBAS KA PAN-JAA NAZAR JAB AAGAYAA, HA(N)S KAR SAKINA NE KAHAA BE AAB THE BETAAB HAM, AAYAA ALAM ABBAS KA MASHKIZA BINTE SHAAH KAA, CHOBE ALAM SE HAY BANDHAA KIS SHAAN SE AY EHLE GHAM, AAYAA ALAM ABBAS KA 29


PARCHAM LAHU SE LAAL HAY, MASHKIIZA BHI GIRBAAL HAY AFZU(N) NA HO KYU(N) KAR ALAM, AAYAA ALAM ABBAS KA WAAQIF SAKINA HOE(N)GI, KYA KYA TARAP KAR ROWEGI AB KYU(N) NA HO BAA CHASH- ME NAM, AAYAA ALAM ABBAS KA PAANI WO LAA-E HOE(N)GE, KHAALI NA AAE HOE(N)GE SAD SHUKR AAYAA DAM ME DAM, AAYAA ALAM ABBAS KA ZAINAB NE RO RO KAR KAHAA, NAADAAN TU(N) SAMJI HAY KYAA JAB LAAE SULTAANE UMAM AAYAA ALAM ABBAS KA MAARAA GAYAA TERA CHACHAA, JAA(N) APNI KI TUJ PAR FIDA DENE KO DARDO RANJHO GHAM, AAYAA ALAM ABBAS KA BAS AY “MATINE” KHASTA JAAN, KHAYME(N) MEIN THAA MAHSHAR AYAA(N) KEHTE THE SAB BA CHASH ME NAM, AAYAA ALAM ABBAS KA

JAA RAHAA HU(N) -1ST MUHARRAM JAA RAHAA HU(N) JAA RAHAA HU(N) KARBALA AY NAANAJAA(N) MOUT MUJHKO LE CHALI HAY KARBALA AY NAANAJAA(N) CHOURa KE APNAA WATAN HOTA HU(N) MAY AB BEWATAN AMMA ZAHRA KA UJARTAA DEKHTAA HU(N) MEIN CHAMAN JAATA HU(N) BACHON KO LE KAR KARBALA AY NAANAJAA(N) DILKE TUKRE SAATH HAY GHARMI KI MOUSAM ME SAFAR KEHTI HAY ZAINAB KE BHAYAA KYU(N) DHARAKTAA HAY JIGAR CHOTE CHOTE BACHO(N) KA HAY KAFELA KARBALA AY NAANAJAA(N) WAA’DAE TIFLI ADAA KARNEKE DIN AB AAGAYE APNA SAR KHANJAR TALE RAKHNE KE DIN AB AAGAYE SABRa KA TUM DIJIYO MUJHKO DUA AY NAANAJAA(N) AAG SE KHAIME JHALE MEHSHAR MEIN UMMAT NAA JALE PYAAS SE TARPU(N) MEIN NA UMMAT KABHI PYAASI RAHE HASHR MEIN UNPE ABAA KA KIJO SAAYA NAANAJAA(N) PYASa SE TARPE MERE BACHE NA TARPE DIL MERA JAB PHATE AKBAR KAA SINA DU(N) MEIN QAATIL KO DUA IMTEHAA(N) BHI SAKHT HOGA IMTEHAA(N) AY NAANAJAA(N)

30


JAB CHURI MUJH PAR PHIRE ALHAMDUL-LILLAH MAY KAHU(N) TIIRa SE ASGHAR CHIHDE ALHAMDUL-LILLAH MAY KAHU(N) MEIN NA RO-UN JAB KE RO-E AASMAA(N) AY NAANAJAA(N) JAB TAMAACHE KHAAYE(N)GI BAALI SAKINA ROE(N)GI AAKE LAASHE PE MERE QURTAA JALAA DIKHLAAE(N)GI TARPE NAA US WAQT BHI LAASHAA MERA AY NAANAJAA(N)

MU(N)H CHUM KAR - H. IMAM HUSAIN AS MU(N)H CHUM KAR SHEH NE KAHAA LE AY SAKINA ALWIDA BABA TERA MARNE CHALAA LE AY SAKINA ALWIDA BAA-HE(N) GHALE ME DAAL DE AUR MUH PE MUH RAKHDE MERE BAABAA TERA RAN KO CHALAA LE AY SAKINA ALWIDA AB HAM KAHAA(N) AUR TUM KAHAA(N) DEKHO(N)GI KYA KYA KHWAARIYA(N) MIL LE GHALE AY MERI JAA(N) LE AY SAKINA ALWIDA BAABAA FIDAA HAY MAAHE -RU BE WAARISO WAALI HAY TU(N) BETI NA ZID KARNAA KABHI LE AY SAKINA ALWIDA HAALAT HAY AB KARNAA JHARI BAABAA NA KEHNAA HAR GHARI BIN BAAP KI TU(N) HO CHUKI LE AY SAKINA ALWIDA ZAALIM JO CHINE BAALIYAA(N) AUR KURTAA HO LOHU LUHAA(N) SHIKWAA NA LAANA BAR ZUBAA(N) LE AY SAKINA ALWIDA GHUZRE JO KUCH RANJHO MAHAN AY MERI PYAARI GULBADAN CHUTE NA DAADI KE CHALAN LE AY SAKINA ALWIDA FADHLE KHUDA SE AAJ TAK TAABE RAHE JINNO MALAK AB TUM HO AUR ZHORE FALAK LE AY SAKINA ALWIDA LIKHA TERI TAQDEER KAA IS SINME MERI MEHL- KAA DAAGHE PIDAR TUJHKO MILE LE AY SAKINA ALWIDA

YAA WAJIHAN INDALLAAH YAA WAJIHAN INDALLAAH ISH FA’LANA INDALLAAH BAARE ILAAHA BAN KE SAWAALI TERE HUZUR DAAMAN ME APNE LAAYE HAY BE INTEHA QUSUR LAIKIN HAMAARE SINO MEIN MAATAM KA DEKH NUUR APNE NABI KE SADKE MEIN BAKHSHENGA TU ZARUR 31


MAWLA ALI KA RABBE JAHAA(N) TUJHKO WAASTAA YAA RAB BARAAE FATEMA SIDIIQA TAHERA BE ILM OR RISHTE KAA SAAGHAR BHARAA HUWAA TU - TE NA NE’MATON KA MERE GHAR SE SILSILAA MAALIK TUJHE IMAAME HASAN KAA HAY WAASTAA JISKE LAHU SE KARBOBALAA KI HAY IBTEDA HAA(N) US IMAME AMN KE SADQEME KIBRIYAA IS MULK MEIN HO AMN KA PARCHAM KHULAA HUWAA AB WAASTA HUSAIN ALAYHISSALAAM KA PARWARDIGAAR SABR SHAHE TASHNA QAAM KAA JISKE LABO(N) PE WIRD THAA TERE HI NAAM KAA KHANJAR TALE JO JHAARI THA TERE QALAAM KAA YAA RAB TU(N) MERI HASTI KO AYSA SAWAAR DE TU(N) APNI REHMATO(N) SE MERA GHAR NIKHAAR DE SAJJAD KA TU(N) SADQA-E PARWARDIGAAR DE BIMAAR KO SHIFAA DE MUKAM-MAL QARAAR DE MAALIK IMAAME BAAQIRO JAAFAR KA WAASTAA MAJLIS ME MEIN HUSAIN KA KARTA HU(N) YEH DUA DONO KA WAASTAA TUJHE DETAA HU(N) AY KHUDA MAQRUZ JO HAY GHAIB SE KAR UNKA QARZ ADAA YAA RAB BARAA-E MUSAE KAADHIM ALI RAZA MASHHAD MEIN OR NAJAF MEIN JO HAY QIBLA-E DUA TU(N) INKE WAASTE SE WOH AWLAAD KAR ATAA MAA BAAP JISS-E SHAAD HO JINKI HO YEH SADAA YAA RAB BARAA-E MAWLA NAQI TAQWA-E TAQI DE JAZBAE JIHAADE BASHAR SHAANE ASKARI MEHDI KAA BHI ZAHUUR DIKHAADE ISI SADI TERE HUZUR MERI DUA HAY YEH AAKHERI HUM TERE BAARGAAH MEIN AY RABBE KIRDIGAAR ROE HAY(N) JO DUA-E TAWASSUL MEIN ZAAR ZAAR SUNLE SADAA-E “SARWAR” O “REHAAN” EK BAAR HAMKO IMAAME ASR KE LASHKAR MEIN KAR SHUMAAR

JAA RAHA HAY, JAA RAHA HAY JAA RAHA HAY JAA RAHA HAY KARBALAA KAA KAAFELA YAAD RAHAA HAY YAAD RAHAA HAY KARBALAA KAA KAAFELA 32


DIL KE TUKRE HO GAYE GHAM KI NISHAANI REH GAYI JISKO THAAMA WOH SAHAARAA WOH JAWAANI SO GAYI GHAM PE GHAM DIKHLAA RAHA HAY KARBALAA KAA KAAFELA JAATA HAY UJRE HUWE GHAR SE KADAM ABBAS KAA LE CHALAA MASH-KE SAKINA BHI ALAM ABAAS KAA KHUNE DIL BARSAA RAHA HAY KARBALAA KAA KAAFELA JO TASSAWUR MEIN NIHAA-THA WO SAHAARAA BHI CHALAA SO GAYE TURBAT MEIN ASGHAR UJRA JULAA BHI CHALAA MAUT KO BEHLAA RAHAA HAY KARBALAA KAA KAAFELA BEHNE WAALI AA(N)SUO(N) MEIN KHU(N) KI LAALI LE CHALI CHAAND MAQTAL MEIN CHIPAA MAA GHOD KHAALI LE CHALI DARDO GHAM DIKHLAA RAHA HAY KARBALAA KAA KAAFELA BUT RAHI HAY JITNI RONAK SHAAM KE BAAZAAR MEIN UTNI BHAARI HO RAHI HAIN BERIYAA(N) BIMAAR KI MANZILE DIKHLAA RAHA HAY KARBALAA KAA KAAFELA MUH CHUPAA-E JAA RAHI HAY SAR BAREHNAA BIBIYAA(N) BIKHRE(N) GESU RUKH PE HAIN AUR BAAZUO(N) MEIN RASSIYA(N) HAAYE KYAA DIKH LAA RAHA HAI(N) KARBALAA KAA KAAFELA SHAAMO(N) KUFA MEIN KABHI HAIN AUR KABHI BAAZAARO(N) MEIN HAAYE ZAINAB AUR KULTHUM AUR BHARE DARBAARO(N) MEIN DIL KO KHU(N) RULWAA RAHA HAY KARBALAA KAA KAAFELA JO MUHARRAM SE THI ROUNAK HAAYE RUKHSAT HO GAYI KYAA BATAAE KUCH NA KHIDMAT KAR SAKE MEHMAAN KI AB ANDHERAA CHAA RAHA HAI(N) KARBALAA KAA KAAFELA HAAYE KARBALAA WAALO HAAYE KARBALAA WAALO HAAYE KARBALAA WAALO AY KHUDAA KE BANDO(N) MEIN MUNTAKHAB KHUDA WAALE TAKHTE IN-NAMAA WAALE TAAJE HAL ATAA WAALE SHAANE MUSTAFAA WAALO WAJ-HE MURTAZA WAALO KYAA WAFAAPE JAANE DI(N) TUMNE AY WAFAA WAALO KAARZAARE HASTI MEIN TUMNE DI PANAA HI KI SHOUKSE TAMANNAA-SE AZM SE IRAADE SE 33


MOUT KI TAMANNAA-SE HAR TARAF SE MUH MOURA KARBALAAKE SINE PAR NAKSHE ZINDAGI CHORAA YEH ADAA THI MARNEKI PUSHTE ZULM PAR KORAA PYAASKI AZIYAT MEIN MUSKURAAKE DAM TORAA CHOTE CHOTE BACHO NE JANG KI IJAAZAT LI BARH GAYE JAWAA(N) BANKAR KAMSINI MEIN RUKHSAT LI QOUM KI HIMAAYAT MEIN IZZA-TE SHAHAADAT LI ZINDAGI KO KYA KAHIYE MOUT SE BHI KHIDMAT LI KOI TUM MEIN AKBAR THA KOI TUM MEIN ASGHAR THA KOI SAANIE JA’AFAR KOI MISLE HAYDAR THA KOI KADRO KIMAT MEIN DO JAHAA(N) SE BARTAR THA ZERE TEGH SUNTE HAIN FATEMA KA GHAR BHAR THA DHAL GAYA SURAJ - BIBI SAKINA AS DHAL GAYA SURAJ SHAM-MA JALI AY MERI BACHI KAHAA(N) GAYI BAANU PUKAARI KOUKH JHALI AY MERI BACHI KAHAA(N) GAYI YE TO BATAADE SHIMRE LA-EEN KAYSA SITAM TUNE DHAAYE LA-EEN KANOSE BAALIYA(N) TUNE CHINII AY MERI BACHI KAHAA(N) GAYI NAAZUK GHALEME RASSI BANDHI DHULM KI HAD TUNE TORI LA-EEN CHAL BASI HAAYE BACHI MERI AY MERI BACHI KAHAA(N) GAYI CHOTE SE SINME YATIMI SAHI QAYD ME ROTI TU(N) CHALBASI DHUNDHU(N) KAHAA(N) TUJHE AY LAADLI AY MERI BACHI KAHAA(N) GAYI WAQTE MADAD HAY MUSHKIL KUSHAA MUSHKIL KARO HAL BEHRE KHUDA TUMHI BATAADO MAULA ALI AY MERI BACHI KAHAA(N) GAYI ZINDAANE SHAAMa ME QABR BANI WAAPAS MADINA JAA NA SAKI DILME TERE YEH HASRAT RAHI AY MERI BACHI KAHAA(N) GAYI GHOD HAY KHAALI KOUKH JALI HAAYE SAKINA TU(N) BHI CHALI KYA KARE AB YEH MAA DIL JALI AY MERI BACHI KAHAA(N) GAYI ZULJANAAH HAQBAL MINAL MAIDAAN-H IMAM HUSAIN A.S ZULJANAAH HAQBAL MINAL MAIDAAN KHAALI WAWAILAA - HAAY WAA HUSAINA AY WAA SHAHIID - HAAY WAA HUSAINA AY WAA MAZLUM - HAAY WAA HUSAINA 34


SHOR HUWA LO KHAALI AAYAA CHOR KE ZAINAB KAA MAAJAAYAA BAAGHE(N) KATI HAY KHU(N) ME NAHAAYAA ZAINAB NE DUKHRAA YEH SUNAAYAA KHUN ME TAR REHWAAR KO DEKHA ROI TARAP KAR BAALI SAKINA BOLI KAHAA(N) HAY MERE BAABAA CHIN LIYA KYUN MERA SAHAARAA MAY TERE SADQE MAY TERE WAARI TU(N) MERE BAABAA KI HAY SAWAARI TERE BADAN SE KHUN HAY JAARI ZAKHM LAGE HAY JISM PE SAARE BAAT NA MAANI TUNE MERI ROI BOHOT QADMO SE LIPTI BOLI KAHAA(N) HAY MERE BAABAA CHIN LIYA KYU(N) MERA SAHAARAA CHOR DIYAA KYU(N) RANME AKELA CHUR GHAMO(N) SE THAA MERA BAABAA JISNE UTHAAYA LAASHE PE LAASHAA TANHAA KYU(N) MAQTAL SE AAYAA BAANU PUKAARI PHENK KE CHAADAR LUT GAYI MEI(N) BARBAAD HUWAA GHAR RANSE NA AAYE SIBTE PAYAMBAR CHALTE HAY MERE QALB PE KHANJAR ZAINAB KE LAB PAR YEH FUGHAA(N) THI SEH NA SAKUNGI SHEHKI JUDAAYI TUNE KYU(N) GARDAN YEH JHUKAAI REHGAYAA KYU(N) MAQTAL ME BHAAI QATL HUWE SHABBIR JO RAN ME GUNJI SADAA “REHAAN” YEH BAN ME AAG LAGI ZAHRAA KE CHAMAN ME POHNCHI KHABAR SUGHRAA KO WATAN ME

AA DEKH MERE GHAAZI - H ABBAS A S AA DEKH MERE GHAAZI U(N)CHAA HAY ALAM TERA DIL SINE ME JAB TAK HAY BHULEGA NA GHAM TERA ZAINAB KI DUA BAN KAR EK WAQT WO AAYEGA HAR GHAR ME SAJHAA HOGA ABBAS ALAM TERA 35


AA JAATI HAY ZAHRAA BHI ZAINAB BHI ZIYAARAT KO JAB AATH MUHARRAM KO UTH-TAA HAY ALAM TERA TAABUTa JAB UTHTAA HAY SHABBIR KAA AY GHAAZI TAABUT KE AAGHE BHI CHALTAA HAY ALAM TERA WO KAUN SE SADME THE SHEH TUUTa GAYE JISSE EK DARD THA ZAINAB KA AUR DUSRA GHAM TERA BAAZAAR MEIN ZINDAAN MEIN DARBAAR ME HAR LAMHAA ZAINAB KI TO SAANSO PE, THAA NAAM RAQAM TERA JAB BEH GAYAA SAB PAANI TAB AAS TERI TUUTI THAA SINE KE ANDAR YAA MASHKIZE MEIN DAM TERA AAWAAZ TERI “SARWAR”, SHABBIR SE WAA-BASTAA ABBAS SE WAA-BASTAA, REHAAN QALAM TERA

YAA HUSAIN YAA HUSAIN - H. IMAM HUSAIN A.S YAA HUSAIN YAA HUSAIN KULLU YAWMIN AASHURAA KULLU ARZIN KARBALAA YAA ABAL AHRAAR YAA ABAL AHRAAR YAA SALEELUL AMBIYA ANTA IMAMUL ATQIYAA YAA ABAL AHRAAR YAA ABAL AHRAAR YAA ILMAN FII KULLI WAAD YAA IMAAMA FIL JIHAAD YAA ABAL AHRAAR YAA ABAL AHRAAR SALMAN LII MAN SAALAMAKUM HARBAN LII MAN HAARABAKUM YAA ABAL AHRAAR YAA ABAL AHRAAR YAA KAAFIYAL MUSTAJIRIIN YAA SHAFIYAL MUDHNIBIIN YAA ABAL AHRAAR YAA ABAL AHRAAR LAA ILAHA ILALLAAH YAWMI TWAFFI LAA NANSAA YAA ABAL AHRAAR YAA ABAL AHRAAR YAA KAAHFA WAL MUUTAMAD ANTA ZAADI WA SANAD YAA ABAL AHRAAR YAA ABAL AHRAAR YAA IMAAMAL MUTTAQIIN FARRAT BIL HAQIL MUBIN YAA ABAL AHRAAR YAA ABAL AHRAAR

36


DEDICATION This book has been dedicated in the loving memory of Marhum Ramzanali Alimohamed Meghji, Marhum Sultanali Kermali Jagani, Marhuma Zainab Bai Fazal Kermali and Qul Marhumeen. All users are requested to recite Sura-e-Fateha for the Isaale Thawaab of the above Marhumeen. - Iltemaase Dua.



Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.