Acne Scar Removal in Hindi: Daag Dhabbo Ko Kare Dur

Page 1

Acne Scar Removal in Hindi: Chehre Ke Daag Dhabbe Hataye Khubsoorat aur sundar twacha to to har koi chahta hai. lekin uske liye acchi dekhbal ki jarurat padhti hai. Lekin kuch log samay ki vyastata ke chalte to kuch log aalas ke karan apne twacha ki dekhbal nahi karte. Natijan chehre par muhase hone lagte hai. Iske alawa hamare sharir mai hone wale hormones parivartan bhi keel muhase hone ke piche ka ek karan hai. Inn muhaso ko dur karne ke liye log kai prakar ke tarike apnate hai aur yeh thik bhi ho jate hai. lekin inn muhaso ke daag kai saalo tak jate aur pareshani ka karan banne lagte hai. Yeh daag dhabbe hamari sundarta ko bigad kar rakh dete hai. Chehre par daag dhabbe hone ke aur bhi karan hai jaise chehre par fodiya hona, keel banna aur kai dino tak rehna aadi. Yeh daag dhabbe dhup mai ghumne se aur bhi badhne lagte hai. Inn daag dhabbo ko hatane ke liye kai prakar ke gharelu nuskhe hote hai. Jinhe apnane se yeh daag dhabbe aasani se dur ho jate hai. Iske sath-sath hame bahut si savdhaniya bhi rakhne ki jarurat hoti hai jaise bahut tej dhup mai jane se bachna, kahi se aane ke bad acchi tarah se chehre ko saf karna aadi. Iske alava bahut se prakratik tarike hote hai jinhe apnakar aasani se daag dhabbo ko hataya ja sakta hai. To aaiye yaha padhe Acne Scar Removal in Hindi aur banaye apni twacha ko daag rahit.

Acne Scar Removal in Hindi: Apnaiye Inn Prakratik Upayo Ko


Kacche Aalu Ka Istemal Kare Aalu har rasoi ghar mai mil jata hai. Isme daag-dhabbo ko hatane aur acne ko dur karne ke gun hote hai. Isse muhase dur karne ke liye sabse pehale ek kaccha aalu lekar use do hisso mai kat le. Ab inn aalu ke tukado ko lekar daag-dhabbo ke upar rakh de. Aap aalu ko kaduukas karke bhi chehre par laga sakte hai. Ise lagakar 15 se 20 minute tak rakhe fir halke gungune pani se dho le. Iske alava aalu ko ubalkar uske chilke ko bhi chehre par lagakar rakhne se chehre ke daag-dhabbe dur ho jate hai. Anda(Egg) Anda amino acid aur protein se bharpur hota hai. Ise chehre par lagane se yeh twacha ke pores ko bharta hai aur keel muhaso ki wajeh se pade kale daag dhabbo ko hatane mai bhi madadgar hota hai. Ise lagane ke liye ek taje ande ke safed bhag ko nikal le aur jaha par bhi daag dhabbe ho waha par laga le. Ise 10 se 15 minute ke liye apne chehre par rehne de aur fir thande pani se dho le. Iss prakriya ko hafte mai 2 se 3 baar karne se daag dhabbe halke padne lagte hai. Nimbu Nimbu ek accha Acne Scars Removal hai. Yeh cheare ke daag dhabbe, keel, muhaso ko hatata hai. iske atirikt chehre ki twacha ko chamakdar banane ke liye bhi nimbu ek behtar vikap hai. Isme upasthit vitamin C, chehre mai moujud vishakt padarth ko bahar nikal twacha ko komal banane mai madadgar hota hai. Ise chehre par lagane ke liye nimbu ke ras ko cotton ki sahayta se daag-dhabbo par lagaye aur fir use thande pani se dho le. Iss prakriya ko har dusre din karne se daag dhabbo par jald hi asar dikhai dene lagta hai. Iske alava 1 chammach nimbu ke ras mai, 2 chammach gulabjal milakar lagane se chehra bedag bhi ho jata hai.


Aloe-Vera Aloe-Vera ke jel ka prayog twacha ke daag-dhabbe hatane aur keel muhaso ko dur karne ke liye kiya jata hai. Ise lagane ke liye aloe-vera ke jel ko chehre par lagakar 45 minute ke liye rakhe fir thande pani se face ko dho le. Aesa pratidin karne par 15 dino mai asar dekhane ko milne lagta hai. Khire Ka Prayog Kare Khire mai bhi muhaso ko dur karne ki khsamta hoti hai. Iske prayog se twacha swasth aur mulayam rehti hai. Ise lagane ke liye khire ko kaddukas kar le aur fir ise twacha par lagakar 15 minute ke liye rakh de. Uske bad thande pani se chehre ko dho le. Shahad(Honey) Shahad khane mai swadisht hi nahi balki twacha ke liye bhi faydemand hota hai. Yeh ek accha Home Remedies for Acne Scars hai jiska prayog keel, muhaso aur usse hone wale daag-dhabbo ko hatane ke liye kiya jata hai. Ise lagane ke liye 2 chammach shahad ko lekar apne chehre par laga le. Aur 15 se 20 minute tak ise lage rehane de fir halke gungune pani se chehre ko dho le. Yadi aap iska jaldi prainaam chahte hai to ise raat mai sone se pehle laga le aur fir subah gungune pani se saaf kar le. Acne Scar Removal in Hindi: Anya Tarike Inhe Bhi Apnaye  Tamatar ke ras ko rui ki sahayta se daag-dhabbo par lagane se jald hi fayda milta hai.  Papite mai upasthit enzyme chehre ke daag-dhabbe hatane mai madad karte hai. Iske liye papite ke gude ko 15 se 20 minute tak chehre par lagaye aur fir thande pani se dho le.  Daag-dhabbo ko hatane mai dudh bhi madad karta hai. Isme upasthit lactic amal twacha ko komal banane ka kam karta hai. Ise cotton ki sahayata se 15 minute tak chehre par lagaye fir gungune pani se dho le.


 Haldi mai paya jane wala anti-bacterial gun keel- muhaso aur uske daago ko hatane mai madad karte hai. Chutki bhar haldi powder mai kuch bunde nimbu ke ras ki milaye aur fir ise daago par laga le.  Chehre se Acne Scars ko hatane ke liye olive oil ka bhi prayog faydemand hai. Isse rojana malish karne se muhaso ke daag jald hi khatam ho jate hai.


Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.