Face Yoga in Hindi: Chehre Ko Khubsoorat Banane Wale Aasan

Page 1

Face Yoga in Hindi: Chehre Ko Banaye Aur Bhi Khubsoorat Mahilao ki badhti umra, tanav aur dushit vatavaran ki wajeh se chehre par jhaiya aur kalapan chane lagta hai. Iss wajeh se aajkal ke yuva varg bahut pareshan rehne lage hai. Iske alava dhul aur mitti se chehre par par keel aur muhase ho jate hai iske alava inke thik hone ke bad chehre par pade daag aur dhabbo se hamare chehra badsurat dikhayi dene lagta hai. Iske alava badhti umra ke sath bhi hamare chehre ki chamak aur khubsoorati chali jati hai. Lekin kya aap jante hai ki umr abadhne ke bad bhi chehre ki chamak ko banaya rakha ja sakta hai? Jee haa yoga ek aesa madhyam hai jise karne se ham anti-ageing ki samasya aur badhti hui umra ke asar ko puri tarah se roka ja sakta hai. Yeh to sabhi jante hai ki yoga hamare swasth ko behtar banane mai madad karta hai. Iske alava yeh hamari twacha aur chehre ki khubsoorati ko badhane mai bhi madad karta hai. Purane samay mai aese kai prakar ke yogasan kiye jate the jisse apne chehre ki chamak ko badhaya ja sakta hai. Inn yogasano ke bare mai janne ke liye aaiye padhe Face Yoga in Hindi aur badhaye apne chehre ki khubsoorati. Face Yoga in Hindi: Chehre Ko Sundar Banane Ke Liye Aasan Chehre ko sundar banane ke liye yoga sabse accha tarika hota hai. Face Yoga ek prakar ka yoga hota hai jise karne se hamare chehre mai khun ka sanchar sahi tarah se hone lagata hai sath hi chehre ki twacha mai kasav bhi aata hai. Inn yogasano ko karte samay hamare chehre ki twacha mai kai tarah ke khinchav aate hai jisse chehre ki jhurriya thik hone lagti hai. Face yog karne se hamare gaal, aankh, chin, gala aur mathe mai kasav hota hai jisse badhti umra ka prabhav hamare chehre par nahi pad pata hai. To aaiye yaha padhe Yoga for Face. Chehra Banaye Machlinuma Chehre ki twacha ko sundar banaye rakhne ke liye apne dono galo ko andar ki taraf khinche aur machlinuma bana le. Iss yoga ko rojan akarne se chehre se fat


kam ho jata hai aur jhurriya dur hoti hai. Sath hi ise karne se hamare chehre ki twacha aur maspeshiyo mai kasav bhi aata hai.

Sher Chehra Aasan Iss aasan ko karne ke liye sabse pehle apne muh ko khole aur apni jeebh ko puri takat se bahar nikale. Sath hi sath apni aankho ko bhi puri tarah se taan kar rakhe jaisa sher kiya karta hai. Ab muh mai hava bhar kar use dabaye aur daaye aur baaye ghumaye. Aankho Ka Yog Apni aankho ke sahare bhi chehre ko khubsoorat banaya ja sakta hai. Ise karne ke liye aankho ki putliyo ko baaye aur daaye taraf kam se kam 30-30 second tak ghumaye. Fir gol-gol ghumaye aur fir upar aur niche taraf eye ball ko khumaye. Iske alava apne haatho ki teen ungaliyo ko aankho ke niche rakhkar aur bina koi jor lagaye inse apni aankho ko niche ki taraf khiche. Ise karte samay apni palko ko band karne ki koshis kare. Aesa rojana karne se aankho ke niche aane wali sujan aur jhurriya dur ho jati hai. Jeebh Mudra


Iss mudra ko karne ke liye jeebh ko apni suvidhanusar bahar ki taraf 30 second tak kaskar bahar ki taraf khiche. Ise rojana karne se aankho se judi kai pareshaniya thik ho jati hai aur aankho ko aaram milta hai. Balloon Pose Aasan Bollon pose aasan mai apne muh mai hava bhar par iss aasan ko kiya jata hai. Aesa karne ke liye apne muh mai 10 second tak hawa bhare aur saans ko rokkar rakhe. Iss avastha mai kuch der tak rahe aur hawa ko muh ke andar idhar udhar karne ki koshis kare. Aesa kam se kam 5 bar jarur kare. Iss yog ko karne se hamare chehre ki twacha mai kasav aata hai. Ise karne se aur nimn fayde hote hai. 1. Rojana iss yog ko karne se hamare chehre par jami atirikt charbi kam hoti hai. 2. Chehre par se muhaso ki samasya kam ho jati hai. 3. Chehre par khun ka sanchran sahi tarike se hone lagta hai. 4. Sath hi sath yeh hamare jabde ki haddi ko majbut karne ka kam bhi karta hai. Face Yoga in Hindi: Inn Yogasano Ko Bhi Apnaye 1. Sabse pehle apne muh se lambi saans khinche aur 1 minute ke liye andar ki taraf rok kar rakhe. Iske baad hava ko dhire-dhire naak se bahar nikal de. Aesa kam se kam 5 bar kare. 2. Seedha khada hokar apne pairo ko ek feet ki duri mai rakhkar faila de. Ab apne chehre ko hatheliyo kse dhak de aur 10 minute bad gehri saans le. Iske bad chehre, aankhi aur mathe ko 2 se 3 minute tak ungaliyo se ragde. Fir apni twacha ko unn jagho par halke haatho se ragde aur gehri saans le. Aesa rojana karne se aapko accha labh milega. Upar aapne padha Face Yoga in Hindi. Yadi aap bhi apne chehre ki khubsoorati ko badhana chahte hai to yogguru ki salah se diye gaye yogasano ko apnaye aur dikhe sundar aur jawa.


Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.