Curry Leaves Benefits in Hindi: Jane Kari Patta ke Aushdhiya Gun Meethi neem mai kai prakar ke aushdhiya gun hote hai, jo ki swasth ke liye faydemand hote hai. Ise kari patta ke naam se bhi jana jata hai. Iska prayog jyadatar dakshini bharat mai kiya jata tha lekin aajkal yeh har rasoi ghar mai masale ke rup mai prayog kee jati hai. Meethi neem ka prayog vyanjano ka swad aur khushbu ko badhane ke liye kiya jata hai. Meethi neem hamare khane ke swad ko to badhata hi hai sath hi yeh hamare sharir ko kai parkar ki bimariyo se bhi dur rakhne mai madad karta hai. Meethi neem mai iron, calcium, phosphorous aur kai prakar ke vitmians hote hai jo ki sharir ko anemia, ucch raktchap, madhumeh aadi rogo se bachane mai madad karte hai. Iske alava kari patte mai vitamin B2, B6 aur B9 ki bharpur matra hoti hai jisse hamare baal kale, ghane aur majbut bante hai. Iske alava hame rusi ki samasya se bhi nijad milta hai. Kuch log apne chehre ki rukhi twacha aur keel muhaso se bhi pareshan rehte hai. Aese logo ko ham batana chahte hai ki meethi neem ke patto se bane face pack ka istemal karne se keel muhaso se chutkara paya ja sakta hai. Iske alava yeh hamare swasth ke liye aur kin tariko se faydemand hai? Janne ke liye yaha padhe Curry Leaves Benefits in Hindi aur rahe swasth aur dikhe sundar. Curry Leaves Benefits in Hindi: Twacha, Baalo aur Swasth Ke Liye Faydemand
Kari patta ka prayog log apne vyanjano mai bahut shok se karte hai lekin bahut kam log yeh jante hai ki yeh vajan ko bhi kam karne mai madad karta hai. Iske aur bhi faydo ke bare mai janne ke liye padhe Curry Leaves Health Benefits. Dil Ki Bimariyo Ko Dur Kare Kari patte mai hamare sharir ke blood cholesterol ko kam karne ka gun hota hai. Jisse ham dil ki bimariyo se dur reh sakte hai. Shayad aap jante hai ki sharir ke oxidative cholesterol, bad cholesterol ko banane mai madad karte hai jisse heart attack ka khatra badh jata hai. Kadi patta mai anti-oxidant ka gun hota hai jo ki cholesterol ka oxidation hone se rok deta hai jisse sharir mai bad cholesterol ki matra badh nahi pati hai. Iss tarah se yeh hame dil se sambandhit pareshaniyo se dur rakhne mai madad karta hai. Anemia Rog Ke Liye Anemia, sharir ko sirf khun ki kami ke karan nahi hota hai. Balki jab sharir mai iron ko absorb karne aur iska sahi tarah se istemal karne ki shakti kam ho jati hai tab bhi hame anemia hone ka khatra badh jata hai. Iss rog se nijad pane ke liye kari patta bhaut hi faydemand hota hai. Isme iron aur folic acid ki bahut adhik matra payi jati hai. Hamare sharir mai folic acid, iron ko absorb karne mai madad karta hai aur iron khun ki kami ko pura karta hai. Isliye yadi aap anemia se pidit hai to ek khajur aur kari patti ko rojana subah khali pet khaye. Isse sharir ka iron level badhta hai aur anemia hone ka khatra kam hota hai. Madhumeh Mai Faydemand Kari patte mai kai prakar ke anti-diabetic agent hote hai jo ki sharir mai insulin ki gatividhi ko prabhavit kar blood se shugar ke level ko kam karne mai madad karte hai. Iske alava meethi neem mai upasthti fiber ki matra bhi madhumeh se grasit rogiyo ke liye faydemand hoti hai. Isliye rojana subah khali pet kari patte ka sevan karna shuru kare aur paye diabetes se nijad. Liver Ko Surakshit Rakhe Alcohol aur machli mai paye jane wale tatv mercury se hamare liver par oxidative stress badhta hai jise liver ki pareshani badh jati hai. Aese mai kari patta, liver par
padne wale oxidative prabhav se bachane mai madad karta hai. Iske alva yadi aapko liver se sambandhit koi bhi pareshani ho to ghar par bane huye ghee ko garm kar usme ek cup kari patte ka juice milaye. Uske bad isme thodi si shakkar aur pisi hui kali mirch ko milaye. Thoda der tak mishran mai ubaal laye aur fir halka thanda kar ise pee jaye. Diarrhea Se Bachaye Kari patte mai upathit carbazole ki wajeh se isme anti-bacterial aur antiinflammatory ka gun paya jata hai. Yeh gun hamare pet ke liye bahut hi faydemand hote hai. Kari patta pet se pitta ko dur kar diarrhea ko dur karne mai madad karta hai. Iske sevan ke liye kari patto ko piskar iske ras ko chhach ke sath din mai 2 se 3 bar piye. Aapko jald hi diarrhea mai aaram mil jayega. Twacha Ke Liye Faydemand Purane samay mai chehre ki chamak ko badhane ke liye kari patte ka upyog kiya jata tha. Iske istemal ke liye pehle iska face pack bana le fir chehre par lagaye. Yeh chehre ki sabhi samasyao jaise chehre ka rukhapan, fine line, pimple aur acne jaisi samasyao ko dur karne mai madad karta hai. Iska face pack banane ke liye sabse pehle kari patto ko sukha le aur inhe piskar powder bana le. Ab iss powder mai gulabjal, nariyal tel aur thoda multani mitti ko milaye. Ab iss mishran se bane face pack ko apne chehre par lagakar 20 minute ke liye chhod de. Fir thande pani se chehre ko dho le. Balo Ke Liye Faydemand Kari patti ka prayog hamare baalo ki jado ko majbut banane, kaala banane, jharne se rokne aur balo ko rusi se bachane mai bhi kiya jata hai. Yeh hamare balo ke liye aur kis tarah se faydemand hai janne ke liye padhe Curry Leaves for Hair Growth in Hindi. Vajan Kam Kare Upar aapne kari patte ke kai swasth laabh ke bare mai jana lekin aapko yeh jankar aashchary hoga ki yeh hamare vajan ko bhi kam karne mai sahayak hota hai.
Meethi neem mai upasthit fiber ki matra, hamare sharir mai jame atirikt fat aur vishakt padartho ko bahar nikalne mai madad karta hai. Jo ki vajan ko kam karne mai madad karta hai. Upar aapne padha Curry Leaves Benefits in Hind. Yadi aap bhi apne khane ke swad ke sath-sath apne sharir ko swasth, baalo aur twacha ki dekhbhaal karna chahte hai to aaj se apne aahar mai kari patte ka istemal karna shuru kare.