Anti Aging Foods: Inn Aaharo Ki Madad Se Chupaye Apni Umra Badhti umra ke sath mahilao ka chehra aur twacha dono hi dull aur murjha jate hai. Aese mai unhe apni twacha ki dekhbhal pehle sekahi jyada karne ki hoti hai. Aajkal ke dor mai koi bhi mahila apni umra se adhik nahi dikhna chahti hai. Badhti umra ke sath-sath mahilao ke sharir ki karyakshamta mai bhi kami aa jati hai jisse sharir ke jaruri tatv aur myelin mai kami hone lagti hai. Inn tatvo ki kami hone se sharir ki mahilao ki umra dikhne lagti hai. Lekin kharab jivanshelly aur khanpan ke chalte jab kam umra ki ladkiyo aur mahilao mai hi myelin mai kami aa jati hai tab bhi umradaraj dikhne lagta hai. Ise hi aging ki samasya kaha jata hai. Umra ke sath aging ki problem hona aam bat hai lekin ham aapko bta de ki sahi khanpan,diet aur niyamit jivanshelly ke chalte mahilaye adhik umra ka hone ke bad bhi apne aap ko kam umra ka dikha sakti hai. AAj iss article mai ham aapko btayenge ki badhti umra ke sath twacha mai aayi aging ki samasya ko dur kaise kiya jata hai? Janne ke liye yaha padhe Anti Aging Foods aur dikhe jawan. Anti Aging Foods: Inn Aaharo Ke Sevan Se Twacha Ko Dikhaye Jawan Visheshagyo ki mane to kam umra mai mahilao ki twacha mai padne wali surya ki kirno ki wajeh se twacha kharab ho jati hai aur yeh twacha umra badhne ke sath kale dhabbe aur blackheads mai badal jati hai. Inko dur karne ke liye mahilaye bajar mai uplabdh creams aur suns cream ka istemal karti hai. Lekin suns cream kharidate samay unhe SPF ke leval par jarur gour karna chahiye yeh cream mahilao ko apni jarurat ke hisab se hi lena chahiye.
Aging sign hone ka dusra karan sharir mai fiber ki matra ka badhna bhi hota hai. Fiber ki matra badhne par kai bar twacha ke chhidra itne khul jate hai ki white heads aur black heads bhi hone lagte hai. Yeh heads bhi aging kehlate hai. Kuch aaharo ka sevan karke twacha se aging ki samasya ko dur kiya ja sakta hai. Iske liye mahilao ko healthy diet ki aavashyakta hoti hai. To aaiye aaj iss article mai Anti Ageing Foods ki bat kare. Dahi Dahi mai ucch matra mai calcium aur acche bacteria hote hai jo ki twacha ki sahi dekhbhal mai madad karte hai. Shodho se pata chala hai ki niymit rup se dahi ka sevan karne wale vyaktiyo ki umra samanya logo ki apeksha jyada hoti hai. Iske alava dahi ka sevan karne se twacha ke daag aur dhabbe bhi sahi ho jate hai.
Santare Santare mai pani ki matra bhi hoti hai jisse yeh sharir aur twacha ki koshikao ko hydrate karne mai madad karte hai. Iske alava santare mai bharpur matra mai vitamin C hota hai jo ki naye collagen banata hai aur twacha ko komal aur mulayam banana mai madad karta hai. Jetun Ka Tel Ham sabhi health benefits of olive oil jante hai. Isme polyphenols hota hai sath hi yeh twacha ke liye shaktishanli antioxidant ka kam bhi karta hai. Iske istemal se mahilao ki twacha mai umra daraj ya fir aging ki samasya dur ho jati hai. Iske istemal ke liye rat mai sone se pehle jatun ke tel ki malish karna labhprad hota hai. Machhali (Fish) Machhali mai omega-3 ki prachur matra hoti hai jo ki twacha ko jawan dikhane mai madad karti hai. Isliye yadi aap non-vegetarian hai to apne aahar mai machhali ka sevan jarur kare isse aging ki samasya aasani se dur ho jati hai. Anar Anar ek accha anti aging food hai. Isme bharpur matra mai vitamin C aur antioxidant gun hote hai jo ki twacha ko bharpur poshan dene, dekhbhal karne aur umra daraj ke karan aane wali aging ki samasya ko dur karne mai madad karta hai. Iske sath hi yeh twacha mai padne wale daag dhabbo ko bhi dur karne mai madad karta hai.
Nuts Aapne hamesha nuts khane se fat badhna aur vajan badhna suna hoga. Lekin shayad aapko pta hoga ki nuts mai unsaturated fat, bharpur vitamins, khanij aur antioxidant gun hote hai jo ki mahilao mai aging ki samasya ko dur karne mai madad karte hai. Iske sath-sath nuts sharir mai cholesterol ke leval ko bhi banaye rakhne mai sahayak hota hai. Blueberry Blueberry bhi mahilao mai aane wali aging ki samasya ko dur karne mai madad karti hai isme upasthit oxidative guno ke karan yeh sujan ko kam karne aur kai prakar ki bimariyo se ladne ki bhi shakti pradan karta hai. Avocados Avocado mai twacha ke liye jaruri sabhi vitamins, healthy fat aur monosaturated fat se bharpur rehta hai yeh tatv twacha ko hydrate karne mai bhi madad karte hai. Iske sath hi yeh twacha mai aane wali aging ki samasya ko bhi dur karne mai sahayak hote hai. Inn sabhi aaharo ke alava aap dainik jivan mai oats ko bhi shamil kar sakte hai. Kuch khadya padarth aese bhi hote hai jo ki aging ki samasya ko aur adhik badha sakte hai. To aaiye jane aese khadya padarth jinke sevan se bachna chahiye.
Bahut adhik vasa aur maas wale aahar Sugar ki matra ko kam karna chahiye Adhik masale ka sevan Jyada namak ka prayog nahi karna chahiye.