Arabic Mehndi Designs Se Badhaye Haatho Ki Khubsurti Shraddha paksha ke khatam hote hi tyoharo ka mosam dastak de dega. Tyoharo mai har ladki aur mahilao ko saj sawarkar rehna accha lagta hai. Ab jab sajne ki baat ho aur haatho par mehndi naa ho to tyohar adhura sa lagta hai. Shaadi ho ya koi teez tyohar, mehndi se rache haath to sabko hi apni aur aakarshit kar lete hai. Aajkal Mehndi lagwane ka trend itne joro par hai ki ladkiya sirf haath ya pairo par hi nahi balki apni peeth, yaha tak ki apni naabhi par bhi Mehndi lagwane lagi hai. Designer dresses aur jwellary ki tarah ise lagwane ka chalan bhi kaafi badh gaya hai. Jaisa ki ham sabhi jante hai ki fashion kabhi nahi rukta, wakt ke sath badalta rehta hai. Usi tarah suhag ki nishani mane jane wali mehndi ne bhi apna roop rang badal diya hai. Inn dino Arabic Mehndi Designs ka jyada prachalan hai. Yeh Mehndi dekhne mai bahut hi sundar lagti hai. To aaiye jane arabic mehadi ke bare mai.
Designer Arabic Mehndi Jo Aapke Andaaj Ko Kare Bayan
Arabian style mehndi mai mote mote phul patti wale design aajkal khoob chalan mai hai. Arabic Mehndi style mai balck chemical se outline kar beech mai mehndi se shading ya use pura bhar diya jata hai. Kale aur surkha laal rang ke liye iss mehndi par bhi aap apni poshak ke rang aur designes ke anusar rang birenge stone ya kundan lagwa sakte hai. Yaha ham aapko kuch Mehndi designs ke bare mai bata rahe hai jo aapke haatho ki khubsurti par char chand laga denge. Simple aur Sundar Arabic Design
Kehte hai na saadgi mai hi sundarta chupi hoti hai. Yeh Mehndi iss kahawat ka perfect mail jol hai. Jo log bhari hui mehndi lagana pasand nahi karte, unke liye ye bilkul behatar wikalp hai. Isme phool ke aakar ki badi pattiya banti hai. Yeh har moke ke liye khubsoorat design hai. Yaha tak ki aap mehndi banane mai jyada expert naa bhi ho to bhi aap yeh design bana sakti hai.
Bhari Hui Arabian Mehndi
Kuch logo ko bhari hui designs jyada acchi lagti hai. Aur tyoharo ka mosam ho to pura hath bharkar mehndi lagana to banta hi hai. Upar di gayi mehndi tyoharo ke liye bahut hi badhiya hai. Iska less pattern aur ghumavdar design haath ki kalaiyo par bahut hi accha lagta hai. Iss tarah ki bhari hui mehndi shaadiyo mai bahut pasand ki jati hai. Sanskritik Arabic Mehndi
Jo log traditional pehnava pehnna pasand karte hai unke liye Sanskritik Arabic Mehndi ek behatar vikalp hai. Yeh golakar phul ki tarah hoti hai. Jise andar se pura bhara jata hai. Isme design to pure haatho mai banai jati hai. Par kuch jagah chhod di jati hai. Iss design ki khasiyat jo ise sabse alag banati hai wo hai ki ise badi safai se banaya jata hai. Partiyo Ke Liye Classy Design
Iss tarah ki design, latest Arabic mehndi designs mai se ek hai. Iss tarah ki designs mai teen chize hoti hai. Pehla yeh ki isme kalai par bracelet hota hai. Aur piche ke haath par bail bute bane hue hote hai aur ungaliyo par anguthi ki design bani rehti hai. Yeh design iss tarah lagti hai jaise haatho par koi aabhusan pehan ke rakha ho. Agar aap kisi party mai jaa rahi ho, to iss mehndi ko lagane ke baad aapko kisi tarah ki jwelery pehhne ke jarurat nahi hai.
Shaadi Ke Liye Khas
Yeh design dulhan ke liye pehli pasand hoti hai. Ise phulo ki design se haatho ko look diya jata hai. Isme design ke har pattern mai phul aur pattiya hi hoti hai. Ungaliyo mai bhi kuch isi tarah ki design banai jati hai. Yeh free flow designe hoti hai jisme upar se lekar kalai tak kalakari ki jati hai. Jel Pattern Mehndi
Yeh mehndi jel jaisi dikhti hai. Iska design bilkul alag aur traditional lagta hai. Hatho ki ungaliyo par bhi khub bharav hota hai. Hath ke bich mai dil bana hota hai. Jo isko aur khubsoorat banata hai. Complicated hone ke karan iss tarah ki design ko banane mai bahut jyada wakt lagta hai. Kuch Hatkar
Agar aap kuch hatkar lagana chahte hai. To iss arabic mehndi ko jarur try kare. Isme dono hatho ki design alag alag hoti hai. Sidhe haath par jyadatar gol (circular) design banti hai. Jabki ulte haath par gehri kali mehndi se curve bante hai.