Beauty Tips for Men in Hindi: Purusho Ke Soundarya Ke Liye Gori aur saf-suthari twacha ke ikshuk sirf aajkal ki ladkiya aur mahilaye hi nahi hai balki purush bhi inn sabhi mai aage aa chuke hai. Aajkal ke ladke aur purush apne chehre ki sundarta aur chamak par kuch jyada hi dhyan dene lage hai. Purusho ki twacha mahilao ki twacha ki apeksha thoda thos hoti hai iss wajeh se unki sundarta ke liye bhi mahilao se alag cream, gharelu nuskhe aur alag dekhbhal ki jarurat hoti hai. Purusho ki twacha ko sundar aur mulayam banana ke liye bajar mai aese kai products aur creams uplabdh hoti hai. Lekin yeh products mai kai prakar ke chemicals mile hote hai jo ki twacha ke liye harmful hote hai. Kai prurush aese hote hai jo ki shaving karne ke bad apne chehre mai nikhar lana chahte hai lekin sirf shaving se twacha acchi nahi banti uske liye kai prakar ki cleansing aur manicure ki jarurat hoti hai. Isliye purusho ko bhi mahilao ki tarah gharelu upacharo ko apanana chahiye jisse unki twacha bedag aur Sundar ban sake. Iske liye aaiye padhe Beauty Tips for Men in Hindi jiski madad se purush bhi apni twacha ko aur bhi komal aur chamakdar bana sakte hai.
Beauty Tips for Men in Hindi: Inn Tariko Se Banaye Twacha Ko Sundar Diye gaye tipso ko apnakar purush bhi apni twacha ko aur bhi behtar bana sakte hai. To aaiye yaha padhe Skin Care Tips In Hindi for Men.
Twacha Ki Safai Ke Dwara Prusho ko apne chehre ki twacha ko hamesha saaf-suthari rakhna vhahiye. Din bhar ki mitti aur dhul ki wajhe se twacha par mail aur kale daag banne lathe hai jisse poora chehra kala dikhane lagta hai. Aese mai twacha ki acchi tarah se cleaning karne ke liye cleanser ka prayog karna chahiye. Sabun ke prayog se twacha sorf bahar bahar saf hoi hai. Lekin cleanser ka prayog karke twacha ko accha banaya ja sakta hai. Cleanser se chehre ko saf karne se chehre mai yadi koi pimle ho to use saaf kiya ja sakta hai. Iske alava twacha ko saf rakhne ke liye smoking karne aur uske dhunye se bachna chahiye, kyonki iska dhunaa swasth aur twacha dono ke liye hanikarak hota hai. Manicure Yadi kisi purush ki twacha rukhi hui hai to unhe apni twacha ki adhik dekhbhal ki jarurat hoti hai. Iske sath hi achhe aur attractive look ke liye nakhuno aur pairo ki bhi acchi tarah se saaf-afai karna chahiye. Toning Toning ki wajeh se twacha mai khichavpan rehta hai jisse twacha nayi si dikhayi dene lagti hai. Toning karne se twacha mai nami bani rehti hai aur twacha ke romchhidra bharne lagte hai. Jisse twacha mai kasavat aati hai aur chehra khubsoorat dikhai dene lagti hai. Moisturizing Face Care Tips in Hindi for Men bhi hai. Twacha ki sahi tarah se dekhbhal ke liye moisturizing bahut hi jaruri hota hai. Aesa karne se twacha ko aur bhi sundar aur tarotaja banaya ja sakta hai. Purusho ko aese moisturizer ka upyog karna chahiye jo unki twacha par asardarak ho. Moisturizer karne se twacha mai gorapan aata hai sath hi yeh twacha ko suraj ki kirno se bhi bachane ka kam karta hai. Yadi aapki twacha teliya yukt hai to teliya mukt moisturizer ka upyog karna chahiye.
Skin Care Purusho ko apne chehre aur sharir ki sundarta ke liye acche products ka istemal karna chahiye. Yeh acche products sharir aur chehre ko sury ki kirno aur anya prakar se kharab hone se bachane ka kam karte hai. Iske sath-sath aankho ki sundarta bhi purusho ke beauty tips mai aati hai. Kya aap jante hai ki apne chehre ke look ke ansusar goggle ka upyog karne se chehre aura ankh dono ki sundarta badh jati hai? Isliye aajkal purush khubsoorat dikhane ke liye fashionable chashme ka upyog bhi karte hai. Danto Ki Dekhbhal Ek chhoti si smile kisi bhi vyakti ke look aur smartness ko present karne ke liye kafi hota hai. Isliye apne chehre ki sundarta ke sath-sath apni smile ko acchi banane ke liye healthy aur chamakdar(safed) danto ki jarurat hoti hai. Iske liye rojana subah aur sham danto ki acchi tarah se safai karna chahiye jisse dant bacteria se bach sake aur sundar dikh sake. Balo Ki Dekhbhal Beauty Tips for Hair bhi hai jiske anusar mahilao ki sundarta mai jitna balo ka mahatv hota hai utna hi balo ka mahatv purusho ki sundarta mai bhi hota hai. Purusho ke bal jitney ghane hote hai utne hi acche hote hai aur yeh ghane bal purusho ki sundarta bhi badhate hai. Isliiye baalo ki sahi tarah se dekhbhal ke liye acche shampoo aur conditions ka upyog karna chahiye. Pani(Water) Pani chehre aur twacha mai name banaye rakhne ke sath-sath twacha ko komal aur chamakdar banana ka kam bhi karta hai. Isliye hamesha chikitsak rojana 8 se jyada pani pine ki salaah dete hai.
Kapde(Clothes) Acche look aur personality ke liye sharir aur chehre ki sundarta ke sath-sath kapde bhi mahatwpurna bhumika nibhate hai. Isliye jab bhi kisi outing ke liye jaye to apne casual kapdo ko sahi tarah se wash aur clean karke hi jaye.
Yadi aap bhi apne look aur personality ko accha dikhana chahte hai to yaha padhiye Beauty Tips for Men in Hindi aur dikhiye sundar.