Beauty Tips in Hindi: Chehre Ko Banaye Daag Rahit

Page 1

Beauty Tips in Hindi: Daag Rahit Chehre ka Raaz Sundar dikhna har kisi ki chahat hoti hai, iske liye jaruri nahi hai ki aap costly cosmetics ka upyog kare ya beauty parlor jaye. Chehre ki khubsurti ke liye jaruri hai ki aap iska khass khayal rakhe. Aaiye jante hai kuch Beauty Tips in Hindi jo aapko de minuto me nikhari twacha. Jiss tarah swasth aur poshtik aahar se sharir ko urja milti hai, usi tarah swasth tarike aapke roop ko nikharta hai. Koi khubsoorat dikhne ke liye mahenge utpado par paisa kharch karta hai to koi dawai par. Lekin aap inn gharelu upay ki madad se khubsoorat dikh sakte hai.

Beauty Tips in Hindi: Chamakti Twacha ke Liye Kuch Khaas Tips

Tips for WrinklesEk chammach honey mai kuch bunde nimbu ke ras ki milakar lagane se chehre par wrinkles nahi padte hai. Iss paste ko rojana use kijiye aur wrinkles ko apni twacha se koso dur rakhiye.


Tips for Glowing SkinKhub saara pani pijiye. Pani pine se sharir ka saara dushit satva toilet dwara bahar nikal jata hai. Jab sharir mai gandagi nahi rahti to twacha par apne aap glow aa jata hai. Tips for ScrubbingTamatar ka tukda lekar chehre par halke haatho se massage kare, aisa karne se chehre ki saari gandagi dur ho jayegi. Twacha ko nikharne ke liye scrubbing bahut jaruri hai. Scrub twacha ki dead cells ko hatakar romchhidro ko band hone se rokta hai. Tips for Oily Skin1 chammach nimbu ke ras mai ek chammach gulab jal aur pisa huya pudina milakar 1 hour tak rakhe. Fir chehre par lagakar 20 minute baad dhole. Isse chehre ka chipchipapan dur ho jayega. Tips for Skin TightnessFace aur neck par Honey lagaiye. Ise sukhne ke baad halke haatho se massage kijiye. Shahad ke sukhne ke baad gungune pani se ise saaf kare. Isse twacha me kasawat aayegi. Dark CirclesAakhon ke niche ke dark circles se bachne ke liye badam ke tel mai honey milakar lagaye. Isse thodi der lage rahne de phir halke haatho se massage karke dho le. Tips for CleansingChehre se makeup ke hatane tatha dhool mitti se bachne ke liye cleansing jaruri hai. Iske liye chawal ke aate mai dahi milakar paste banaye aur ise chehre aur gardan par acchi tarah male. Iske baad chehra dhole.


Beauty Tips for Dry SkinNariyal ke tel mai shahad aur santare ka ras mila le aur ise rukhi, fati hui twacha par lagaye. Ise acchi tarah se sukhne ke baad gungune pani se dho le aur halke haatho se pocchkar nariyal ka tel ya koi bhi moisturizer laga le. Dur Kijiye Black SpotsChehre se kale daag dhabbe hatane ke liye tamatar ke ras ko cotton me bhigokar daago par lagaye. Isse kale dhabbe saaf ho jayenge aur aapka chehra sundar dikhega. For PimplesAalu boil karke uske chhilke nikal le aur unn chhilko ko chehre par male. Isse pimples ki samasya samapt ho jayegi.

Beauty Tips from Kitchen: Gharelu Samagri se Nikhare Khubsurti Kya aap jante hai ki, aapki damakti twacha ka raaz aap hi ke ghar me chhupa hai. Jee haa hum baat kar rahe hai aapke kitchen ki. Aapke ghar ke kitchen mai, jaha specially ladies apna jyadatar waqt gujarti hai, wahi chupa hai unki khubsurti ka raaj. Yaha dekhiye kuch aisi chize jo aapke kitchen mai aasani se payi jati hai: – • Ho ey Shahad - Honey ek aisa ingredient hai jo sabhi ke ghar mai paya jata hai. Kya aapko pata hai ki honey aapki twacha ke liye kitna upyogi hai. Honey aapki twacha ke saare blackheads nikalne mai aapki madad karega aur aapki twacha ko ek komal ehsaas bhi dega. • Gra Flour Besa - Besan se to aap sabhi vakif honge. Gram Flour lagbhag sabhi ke gharo mai paya jata hai. Yeh khane ko jitna swadishth banata hai, utna hi twacha ke liye bhi laabhkari hai. Besan mai nimbu aur milk milakar aap ubtan bana sakte hai. Iss ubtan ko apne chehre aur gardan par lagaye, thodi der rakhne ke baad thande pani se chehra dho le. Isse aapka chehra nikhar jayega. • Chi i ka S ru - Chini, nimbu ka ras aur olive oil, sabko ek saath mix karke aap body scrub tayar kar sakti hai. Mulayam twacha ke liye yeh scrub sahi hai. Iske


mishran ko apne sharir par chini ke ghulne tak dhire-dhire ragade. Isse twacha ki rangat nikharti hai. • Kesar- Yeh paste banane ke liye aapko dahi aur cream mai thoda sa kesar milane ki jarurat hai. Iss paste ko apne chehre par sukhne tak lagaye aur uske baad garam pani mai sokhe kapde se chehre ko poch le.


Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.