Sago Health Benefits: Sabudane Se Milne Wale Fayde Sabudana khana har kisi ko pasand hota hai. Yeh safed motiyo ki tarah dikhne wala chote aakar ka hota hai. Iska prayog vrat-upvas mai pramukh rup se kiya jata hai. Waise to iska prayog log falahar ke rup mai karte hai lekin kya aap jante hai ki yeh hamare swasth ke liye bhi faydemand hota hai ? Sabudane mai prachur matra mai carbohydrate, calorie aur protein ki matra payi jati hai jo ki hamare swasth ke liye faydemand hoti hai. Iska sevan karne se sharir ko bharpur urja milti hai, iss wajeh se ise upvas mai khastour se prayog kiya jata hai. Sabudana ko starch ke rup mai sago namak ped ke tane ke gude se banaya jata hai. Ise Tapioca pearls ke nam se bhi jana jata hai. Sabudane ko log kai prakar se banate hai jaise sabudana khichadi, namkeen, meetha, sabudana upma, sabudana vada aadi. Kai desho mai iske soup aur upna ko bhi pasand kiya jata hai. Iske alava yadi aap kisi bhi bhojan ki gravy ko gadha banana chahte hai to sabudane ke ras ko prayog kar sakte hai. Isme upasthit starch gravy ko gadha banane mai madad karta hai. Sabudane hamare swasth ke liye kis tarah se faydemand hai? Yeh janne ke liye yaha padhe Sago Health Benefits.
Benefits of Sago: Sabudane Se Milne Wale Fayde
Poshak Tatvo Se Bharpur Sabudana aakar mai bahut chota hota hai, iska vyas 2 mm hota hai. Iske bavjud isme bharpur matra mai carbohydrate aur calorie hoti hai. Shayad aap jante honge ki 1 gram sabudane mai 355 calorie aur 93 gram carbohydrate hota hai. Sabudane mai 87 gram carbohydrate, 351 calorie, 0.2 gram fat aur 0.2 gram protein ki matra hoti hai. Sharir ko Urja Deta Hai Carbohydrate se bharpur hone ke karan yeh sharir ko bharpur matra mai urja deta hai. Isme fat ki bahut kam matra payi jati hai. Vrat mai aksar log lambe samay tak kuch bhi sevan nahi karte hai aese mai sharir ko calorie ki jarurat padti hai. Isliye sabudane ko aksar vrat mai khaya jata hai. Dast lagne se roke Yadi aapka kisi karan vash pet kharab ho jaye ya fir aapko dast ya atisar ki samasya hone lage to aese mai sabudane ki kheer bahut hi faydemand hoti hai aur dast mai turant aaram milta hai. Ucch Raktchap Health Benefits of Sago bhi hai. Sabudane mai potassium ki matra bhi payi jati hai iss wajeh se yeh sharir ki rakt sanchar ko sahi karta hai sath hi cardiovascular system ke tanav ko kam kar hriday ko swasth rakhta hai. Jisse ucch raktchap ko kafi had tak control kiya ja sakta hai. Iske alava yeh hamare sharir ki maspeshiyo ke liye bhi labhdayak hota hai. Pet Ki Samasyao mai Faydemand Aksar logo ka manna hai ki sabudane bahut gastric hota hai. Lekin aesa nahi hai ham aapko batana chahte hai ki yeh pet ki samasyao ko dur karne mai bhi madad karta hai. Yeh pet ki pachankriya ko thik kar pet mai banne wali gas aur upach aadi mai labhprad hota hai.
Garbhavastha Ke Samay Sabudane mai folic acid aur vitamin B complex ki bhi adhik matra hoti hai jo ki garbhavastha ke samay garbh mai pal rahe sishu ke vikas mai sahayak hota hai. Sath hi yeh neural tube defect se suraksha pradan karta hai. Haddiyo Ko Majbut Banaye Sabudane mai calcium, iron, vitamin Ka ki bharpur matra payi jati hai, iss wajeh se yeh hamare sharir ki haddiyo ko majbut banane mai madad karta hai. Iske alava yeh shairi ko lachila banane mai bhi madad karta hai. Vajan Badhaye Sabudana Sabudana mai calorie ki adhik matra hoti hai iss wajeh se yeh sharir ko vajan ko badhane mai madad karta hai. Jin logo ko eating disorder ki samasya hoti hai aur jinka vajan aasani se nahi badh pata hai unke liye sabudana ek accha vikalp hota hai. Twacha Ke Liye Sabudane ka prayog twacha ki dekhbhal ke liye bhi kiya jata hai. SAbudane ka face pack banakar chehre par lagane se chehre mai kasav aata hai sath hi jhurriya bhi kam hoti hai. Sago Health Benefits: Anya Fayde Inhe Bhi Padhe Sabudane ka prayog sharir ki garmi ko dur karne mai bhi kiya jata hai. Iske prayog ke liye sabudane ko chaval ke sath milakar banaye aur sevan kare. Isse sharir ko thandak pahuchti hai. Iske alava kai desho mai ise sharir ki prakriya ko sudharne mai bhi kiya jata hai. Sabudane ka prayog sharir ki thakan ko dur karne mai kiya jata hai. Sabudane ka prayog sharir mai protein ki matra ko pura karne ke sath-sath sabhi muscles ki growth ko badhane mai bhi kiya jata hai. Iske alava sabudana ka prayog sharir mai cholesterol ki matra ko niyantrit karne mai kiya jata hai.