Benefits of Smiling: Muskurane Se Milte Hai Ankeo Laabh Aajkal log apne kamkaj ki jindagi mai itna vyast ho gaye hai ki unhe apne parivar walo aur dosto ke sath chain se baithne aur hansane ka bhi samay nahi hai. Inhi sabhi ke chalte aajkal bahut si bimariya janm le rahi hai aur yoga aur vyayamo ko bhi badhava mil raha hai. Swasth rehne ke liye chikitsak ke pas jate hai, acche aaharo ka sevan karte hai, dawaiya lete hai aur bhi bahut se tarike apnate hai. Lekin ham sab yeh bhul jate hai ki ek chhoti si muskurahat bhi hamare jeevan ko khushhal banana ke liye kafi hoti hai. Chehre ki smile na keval hamare svabhav ko vyakt karti hai balki hamari positive personality ko bhi darshati hai. Muskurane se hamare chehre ke muscles aur twacha active rehte hai jisse khun ka sanchran sahi se ho pata hai jo ki sharir ko healthy rakhne mai madad karta hai. Iske alava muskurane se log swasth aur tanav mukt reh sakte hai sath hi hamari tacha javan bhi dikhayi deti hai. Muskurane ke aur bhi fayde janne ke liye aaiye padhe Benefits of Smiling aur banaye apne jeevan ko swasth aur khushhal. Benefits of Smiling: Muskurane Se Milte Hai Aneko Laabh
Tanav Kam Karne Mai Sahayak Aajkal ke jivan mai bahut se log tanav aur paresaniyo se grasit ho gaye hai. Muskurate rehne se log bahut se rogo aur takleefo ka aasani se samna kar sakte hai. Muskurane se tanav ko dur kiya ja sakta hai. Hansane se hamare sharir mai mojud endorphins namak chemical banta hai jo ki tanav aur chintao ko dur karne mai sahayak hota hai. Yeh endorphins chemical vyayam aur running karte samay bhi nikalta hai jisse chehre ki sahi tarah se exercise hoti rehti hai aur dimak bhi sahi tarah se kam karne lagta hai. Hriday Gati Ko Banaye Rakhe Smiling na keval hamare hriday ko aaram pahuchata hai balki hriday gati ko banaye rakhne mai bhi madad karta hai. Muskurane se sharir ke ratchap ko niyantrit rakhne mai madad milti hai. Sath hi we log jo hamesha muskurate rehte hai unme dil se sambandhit pareshaniya hone ka dar bahut kam hota hai. Rog Pratirodhak Kshamta Ko Badhaye Health Benefits of Smiling bhi hai. Muskurane se hamare sharir ki rog pratirodhak kshamta badhti hai. Aapne hamesha dekha hoga jab bhi baccho ko kisi prakar ki chot lagti hai ya fir injection diya jata hai to unke parents unhe hamesha khush rakhne ki koshis karte hai jisse unhe dard ka ehsaas na ho sake. Smiling sharir ki safed rakt koshikao ke banne mai madad karti hai sath hi bukhar ko bhi jald se sahi karne mai sahayak hoti hai. Iss tarah muskurahat sharir ki rog pratirodhak kshamta ko badhane mai sahayak
hoti hai. Muskurane se vyakti ko kisi bhi dard ka anubhav nahi hota hai aur log haskar sabhi pareshaniyo ka samna kar sakte hai. Vishvasniya Banaye Vishvas ek acche relation aur samajik jivan ka mahatwapurna hissa hota hai. Kisi se bat karte samay, interview ke samay ya fir kisi bhi business ki dealing karte samay aapki ek smiling aapko vishwasniya banana mai madad karti hai. Shodho se pata chala hai ki vishavas aur hasi hi ek thos relation ko banaye rakhta hai. Isliye apne jivan mai hamesha muskurate aur khush rahe. Smiling na keval aapko interview mai select hone mai madad karta hai balki ek muskurahat se acche aur naye dost bhi bante hai. Muskurane se vyakti active aur energetic dikhayi deta hai jisse samne wala bahut khush hota hai, yeh confidence ko darshata hai. Chehre Ki Khubsoorati Badhaye Chehre ko chamak aur khubsoorati ko banaye rakhne mai smiling bahut madadgar hota hai. Muskurane se chehre ki twacha ki acchi kasrat hoti rehti hai aur khun ka sanchran sahi tarah se hota rehta hai. Iisse fode funsi ka kalapan aur ghav aasani se bhar jate hai aur chehre mai chamak bhi aati hai. Yaha Padhe Aur Bhi Benefits of Smiling Aur Rahe Swasth  Jab bhi aap kisi buri parishthiti se gujar rahe hai aese mai ek muskurahat aapko apki pehle wali sthiti mai lane mai sahayak hoti hai.  Smiling sharir ke hormones ko badhane mai madad karta hai.
Apni bhavnao ko vyakt karne ka sabse sahi tarika muskurahat hoti hai. Isse ham apni bato ko samne rakh sakte hai. Jaya hansane se dil ki dhadkane samanya rehti hai jo ki vyaktiyo ki umra ko kaiban 6 saal badhne mai madad karti hai. Yeh saharir ki atirikt calorie ko kam karne mai madad karta hai jisse sharir ka vajan aur motapa kam hone lagta hai. Hansane se sar ke chari taraf ki maspeshiya sahi rehti hai jisse sar kisi bhi kam ko karne ke liye active rehta hai. Iske sath hi muskurane se yaddasht shakti bhi badhti hai. Hansane se sharir ke sabhi ango mai oxygen ka sanchran sucharu rup se ho pata hai sath hi hormones badhne mai madad milti hai. Sath hi sharir ke fefade, muscles aur cells sahi se kam karna chalu kar dete hai. Hansane se sharir mai oxygen ka sahi tarah se pravah aur safed rakt koshikao ka nirman hota hai jisse ki sharir ka hemoglobin badhne mai madad milti hai. Yadi aap bhi kamkaj ke chakkar mai muskurana bhul gaye hai to yaha padhiye Benefits of Smiling aur diye gaye laabho ko jankar jara yeh sochiye ki ek muskurahat aapke jeevan ko khushhal bana sakti hai. Isliye hamesha muskurate rahe aur swasth rahe.