Blueberry Benefits in Hindi: Jane Iske Swasthvardhak Laabh Blueberry swasth ke liye faydemand phal hai jiska swad halka khatta aur meetha hota hai. America mai jyada khapat hone wale phalo mai strawberry ke bad iska hi naam aata hai. Iss phal ki kai prajatiya uttari America mai payi jane ki wajah se yeh waha ka sabse prasiddha phal mana gaya hai. Adhyano se yeh pata chala hai ki blueberry swasth ke liye bahut hi labhprad hai. Yeh chhoda sa phal swad mai jitna accha hota hai utna hi sharir ko bhi kai prakar ki bimariyo se bachane mai madad karta hai. Blueberry mai phalo, sabjiyo aur masalo ki tulna mai kai adhik antioxidant paya jata hai jo ki sharir ko bimariyo se ladne ki shakti pradan karta hai. Iske sath-sath isme fiber ki bhi adhik matra hoti hai jisse yeh sharir ke atirikt fat ko jalakar motapa aur vajan kam karne mai sahayak hota hai. Yadi aap rojana ek mahine tak blueberry ke 1 se 3 cup ras ka sevan kare to aapke khoon mai vasa ka leval santulit rehta hai. Iske alawa bad cholesterol ki matra ko kam kar acche cholesterol(HDL) ki matra ko badhane mai bhi madad karta hai. Iske aur bhi fayde janne ke liye yaha padhe Blueberry Benefits in Hindi aur iske sevan se rahiye sehatmand.
Blueberry Benefits in Hindi: Sharir Ke Liye Faydemand
Sharkra Ki Matra Ko Niyantrit Kare Blueberry rakt mai sharkra ke star ko niyantrit kar madhumeh jaise rogo ko rokne mai madad karta hai. Jo vyaktiyo ke sharir mai type-2 diabetes, insulin na banne ya fir metabolism syndrome ke karavash rakt mai sharkara ki matra anyimit hone lagti hai unk liye blueberry ka sevan bahut hi labhprad hota hai. Yeh blood glucose ki matra ko balance karta hai. Adhyano se pata chala hai ki blueberry ke patto mai Anthocyanins namak tatva hota hai jo ki sharir ke metabolism ko santulit kar glucose ko sharir ke sabhi bhago mai pahuchane ka kam karta hai. Aankho Ke Liye Faydemand Health Benefits of Blueberry aankho ke liye bhi hai. Yane ki iska sevan aankho ko bhi swasth rakhne mai faydemand hai. Oxidative tanav ki wajah se aankho ki retina par bhut bura asar padta hai. Blueberry mai phytonutrient antioxidants namak tatva paya jata hai jo ki retina ko kharab hone se bachata hai. Iske sathsath Yeh aankho ko suraj ki tej kirno se bhi bachane mai madad karta hai. Blueberry mai Anthocyanosides namak poshak tatva hota hai jo ki aankho ki roshani badhane mai madad karta hai. Iske atirikt yeh motiyabind aur myopia jaisi bimariyo ke liye bhi labhprad hota hai. Cancer Ke Khatre Ko Kam Kare Blueberry ke sevan se cancer jaisi gambhir bimari ko dur kiya ja sakta hai. Isme upasthit elegiac acid aur Pterostilbene namak tatva stan cancer, pet ke cancer aur chhoti aant ke cancer sahit kai anya cancer se bachane mai madad karta hai. Iss phal mai mojud antioxidant, cancer ke cells ko banne se rokte hai. Isme mojud free radicals cancer ko janm dene wali tumor koshikao ko block kar deta hai jisse cancer badh nahi pata hai. Mutra Marg Sankraman Roke Blueberry mai paye jane wale tatva, mutrashay ke sankraman ko badhava dene wale bacteria ko rokte hai. Iske bimari ke kai lkshan hote hai jaise bahut adhik
badbu dene wala mutra, mahilao mai pelvic pain aadi. Blueberry inn sab se chutkara dilate hai. Yaddasht Badhaye Badhti umra ke sath yaddasht ka kamjor hona aam baat hai lekin Blueberry ka upyog yaddasht ko badhane mai bhi kiya jata hai. Iss baat ki pushti ke liye kuch vayasko par parikshan kiya gaya aur paya gaya ki unki yaad rakhne ki kshamta, iska sevan na karne wale vayasko ki tulna mai jyada thi. Dil Ki Bimari Ko Dur Kare Blueberry Health Benefits ke antargat isme flavonoid paya jata hai jo ki dil se judi bimariyo ke khatre ko kam karne mai madad karta hai. Yeh sharir mai rakt ka thakka banne nahi deta hai jisse heart attack ki sambhavnaye kam ho jati hai. Motapa Kam Kare Blueberry mai calorie ki kam matra prayi jati hai aur fiber ki ucch matra hoti hai isliye iska sevan karne se pet ke paas jami charbi dur ho jati hai. Iske sath-sath yeh blood mai sugar leval ko niyantrit karta hai falswarup motapa nahi badhta. Tanav Ko Dur Kare Blueberry tanav ko dur karne mai bhi sahayak hota hai. Isme bio-active padarth Anthocyanin paya jata hai jo ki mansik tanav ko bhi dur karne mai madad karta hai. Iske liye hafte mai do bar mutthi bhar blueberry ka sevan avashya kare. Pachan Ke Liye Faydemand Blueberry mai minerals aur kai prakar ke poshak tatv paye jate hai jo ki pachan tantra ko majbut banate hai. Iske sath hi isme fiber ki adhikta hone se yeh kabj aur pachan sambandhi sabhi samasyao se nijad dilane mai madad karte hai.
Twacha Ke Liye Blueberry ka prayog twacha ki dekhbhal ke liye bhi kiya jata hai. Sukhi twacha ke liye yeh ek prakratik moisturizer ka kam karta hai. Kale dhabbe hatane, aur muhaso dur karne ke liye bhi yeh madad karta hai. Diye gaye faydo ke alava Blueberry Benefits kai hai. Jaise ki yeh daanto ke liye accha hota hai aur collagen banne mai bhi madad karta hai. Yadi aap upar dee gayi sabhi bimariyo se pidit hai to aaj se hi Blueberry ka sevan kare aur rahe swasth.