Exercise Benefits: Vyayam ke Dwara Paiye Swasth Life Swasth sharir ke liye santulit aahar aur vyayam dono hi jaruri hai. Hum khane mai to starak rahte hai lekin sharirik mehant ke mamlo mai laprvahi karne lagte hai. Lekin bhojan ki tarah hi vyayam bhi niyamit karna chhaiye. Lekin dekha gaya hai ki, bahut se log vyayam ke faydo ke bare mai nahi jante hai. To chaliye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Exercise Benefits. Jisse aap inn sharirik gatividhi ko apna kar hamesha ke liye swasth rah sakte hai. Vibhin cheezo ke liye vibhin prakaar ke vayyam hote hai. Kuch sharir ko swasth banane ke liye hote hai, tatha kuch nirogi hone mai sahayak hote hai. Vese Yog ke roop mai kiye jane vale vayyam intellectual health swaath ke liye hote hai. Vyayam hi ek aisi cheez hai, jisse aapko mansik aur sahrirk dono samasya mai aaram milta hai. Isliye jo log mansik ya sharirik kisi bhi prkaar ke pareshani se pareshan hai. To aaj se vyayam ko apne jivan ka mukhaye hissa bana lijiye aur aasani se healthy life paiye . Lekin dhyan rahe ki vyayam ko aapko niyamit roop se karna chahiye. Tabhi iske sahi prinaam milte hai. Saath hi sahi aahar bhi lena jaruri hota hai, tabhi aapko iske asli fayde mil payenge. Aur sabse badhi baat hai ki, kisi bhi sharirik gatividhi ko hamesha karne ka tarika ek daam sahi hona chahiye. Nahi to iske fayde ki jagah aapko nuksaan bhi ho sakta hai. Saath hi ho sake to kisi expert ki salah bhi le sakte hai. Exercise Benefits ke Dwara Paiye Aachi Sehat Seaht
Intellectual Health ko Bdhava Milna Niyamit roop se 30 se 45 minutes ke liye vyayam karne se aapke dimag ke swasth par accha prabhav padta hai. Yeh aapke mood ko bhi theek karte hai. Vyayam se nyei tantrika koshikao ka nirmand hota hai,
jisse alzheimer and parkinson jesi bimariya dur ho jati hai. Vyayam se jivan mai kai tarah ke vikas hote hai. Sex Power Badhye Health Benefits of Exercise ki baat kare to, iska sabse badha fayda hai ki, isse aapki sex power badhti hai. Niyamit vyayam se aapke sharir mai urja ka sanchar hota hai, jisse aap apne saathi ko sundar lagte hai. Iss ke saath hi aap apne saathi ke saath bistar mai behtar vakt bhi bita sakte hai. Niyamit vyayam se mahilao mai uttejna badhti hai aur purush mai sex sambhandhit samasya mai kami aati hai. Chintao se Dur Vyayam dwara aane vale shanti ke ahsaas se lagatar aane vali chintaye dur hoti hai aur atmvishvaash ke badhne se dimag se pareshani dur hoti hai. Isliye agar aap kisi mansik pareshani se pareshan hai, to aaj se hi vyayam karna shuru karde. Healthy Heart Niyamit roop se vyayam karne vale logo aasani se janleva bimariyo se bach jate hai. Agar aap ke parivaar mai purv mai kisi ko heart disease hai. To sharirik mehant se aap lambe samay tak swasth rah sakte hai aur dil ki bimariyo se bhi bach sakte hai. Vajan Kam Kare Exercise Benefits mai weight loss ki mukhaye bhumika hai. Swasth sharir vala vajan pana sabhi ke liye ek sapne ke saman hota hai aur niyamit vayyam se aap sharir ka motapa khatam kar sakte hai. Yadi aap paryapt vayyam ke saath santulit aahar le to aap aasani se atirik charbi se nijaat pa sakte hai. Madhumeh ka Khatra Kam Vyayam se vajan hi nahi kam hota hai, balki mote logo mai umra ke saath hone vale madhumeh ke khatre ko bhi kam kiya ja sakta hai. Niyamit exercise se rakt mai sugar ki matra control rahti hai aur diabetes hone ka chances bhi kam ho jate hai.
Health Benefits of Exercise: Vyayam mai Chupe Hai Healthy Life ke Raaz
Blood Pressure Apne aap ko ucch rakchap se bachane ke liye niyamit roop se vyayam karna chahiye. Isse rakt sanchar badh jata hai aur aapki maspeshiya mai adhik matra mai oxygen prabhavit hoti hai. Isse rakt vahikaye bhi sucharu roop se kaam karte hai. Aur high blood pressure mai bhi kami aati hai. Sahan Shakti Ka Badhna Vyayam se paseena aata hai aur thakaan aati hai. Lekin isse sahan shakti badhti hai aur maspeshiya mai majbuti jese parinaam prapt hote hai. Immune System Majbut Niyamit vayyam se aapka immune system bhi strange hota hai. Saath hi aapka digestion system bhi majbut hota jata hai. Isliye aap rozana exercise jarur kijiye. Kharab Cholesterol Kam Vyayam se acche cholesterol ki matra badhti hai, Jabki kharab cholesterol ki matra kam hoti jati hai. Isse dhamniyo mai jamne vali prat mai bhi kami pai jati hai. Maspeshiya mai Majbuti Vyayam se maspeshiya mai majbuti aati hai, jisse aap vradhavstha mai bhi aasani se cha –fir sakte hai. Saath hi aapki umra bhi lambi hoti jati hai. Mood Ko Sudharta hai Agr aap mansik roop se pareshan hai, to apne priye bhojan par bharosa na karke gym ki taraf badh kar vayyam karna chahiye. Vyayam aapke mastishk ke rasayno ko uttejit kar aapka mood theek karta hai. Urja Ka sanchar Hota hai Niyamit vyayam karne se aapki maspeshiya majbut hoti hai, urja ka sanchar hota hai aur sahan shakti aati hai. Vyayam se hamare body ke tissue ko paryapt matra mai oxygen milti hai aur sharir karagar roop se karye karta hai
Behtar Neend Aana Kam par thakan bhare din ke baad sharirik mehnat ke karan bistar mai jane par aap bacche ki tarah gahri neend mai so jayenge, lekin dhyan reh ki sone se turant pahle vyayam na kare. Haddiya Majbut Hoti hai Health Benefits of Exercise ke dawra aap apni haddiya ko majbut bana sakte hai. Jisse osteoporosis aur arthritis jesi haddiyo ki bimari bhi nahi hoti hai. Isliye jo log niyamit exercise karte hai, unki haddiyo ki halki-fhulki chhot jaldi theek ho jati hai. Cancer Ka Khatra Kam Kare Vyayam se aant, istan aur fefdo ke cancer ke khatra mai kami hoti hai. Jivan mai exercise ko shamil karke aap vibhinn prakaar ke cancer ke khatre se bach sakte ho. Lambi Aayu Niyamit vyayam se aapke jivan ke kai saal badh jate hai aur chirayu hone ka sapna bhi pura ho jata hai. Isse na keval aapka jivan lamba ho jata hai, balki aap swasth roop se puri jindgi beeta sakte hai. Peeth Dard Kam Kare Jin logo ka peeth ka dard aur kharab sharirik mudra ki shikayat hai, vah inn samasya ko dur karne ke liye vyayam ka sahar le sakta hai. Vyayam peeth ke dard se mukti pradaan karte hai. Upar apne jane Exercise Benefits, jisse aap aasani se vyayam ke dwara ek healthy life jee sakte hai. Saath hi kai bimariyo se bhi bach sakte hai. To der kis baat ki aaj se hi exercise ko pane jivan ka hissa baniye.