Foods to Avoid Before Sex: Na Kare Inn Padartho Ka Sevan

Page 1

Foods to Avoid Before Sex: Sambhog se Pehle Na Khaye Yeh Aahar Kuch aahar aise bhi hai jo aapki youn iccha ko prabhavit kar sakte hai. Yaha hum aapko aise aahar ke bare mai jankari dege jo aapko sambhog ke purva kabhi bhi nahi khana chahiye. To aaiye jante hai Foods to Avoid Before Sex. Aahar na kewal swasth ke liye jaruri hai balki sex kshamta ko badhane me bhi aahar ki mahatvapurna bhumika hoti hai. Jiss tarah se prajann kshamta ko badhane wale aahae hote hai thik wese bhi kuch khadya padarth aise bhi hai jinka sevan youn sambandh banana se purva kiya jaye to kammecha badhne ki bajay ghat jati hai. Iska asar aapki pourush kshamta par bhi bahut padta hai. To agar aap shadi shuda hai aur sex ko lekar pareshan rehte hai aur to aaiye jante hai aise aahar jinka aapko sex ke pehle sevan nahi karna chahiye. Foods to Avoid Before Sex: Sex ke Purva Na Khaye Yeh Khadya Padarth


Red Meat Mat Khaye: Red Meat ko sex sambandh banane se purva nahi khana chahiye. Yeh bahut bhari hota hai aur ise khan eke baad aap aalsi mahsoos kar sakte hai. Yani khan eke baad aapki kammecha ki bhavna kam ho jati hai. Isliye youn sambandh banane se purva iss aahar ka sevan karne se bachna chahiye. Energy Drink Na Piye: Energy drink pikar partner ko khush karne ki galatfehmi bilkul na pale. Energy drink pine se aap urjavan jarur mahsoos karte hai lekin usme acchi matra mai artificial sugar hoti hai jo sharir mai sex hormone yani testosterone hormone ka level ghatati hai. Isse behtar hai ki aap ghar par bane phalo ka juice le jisme sugar level kam hi aur urja barkarar rahe. Alcohol na Piye: Alcohol ke sevan se sharir ke sex hormone ko nuksaan pahuchta hai aur sex power bhi kam hoti hai. University of Washington ke shodh kartao ne apne shodh mai paya ki alcohol adhik pine wale purush mai testosterone ka level kam hota hai jiska adhik prabhav unke sex jivan par padta hai. Isliye youn sambandh se purva sharab ka sevan karne se bache. Peppermint na Khaye: Pudine ke flavor wale peppermint chewing gum ya mouth freshner aapki saans ki badbu jarur hata sakte hai lekin sex ke pehle inka sevan ghate ka souda ho sakta hai kyuki isse acidity ho sakti hai. Agar aap saans ki badbu se chutkare ka vikalp khoj rahe hai to peppermint ki bajay herbal chai piye, jisse aapki sex performance par viprit prabhav nahi padta hai. Paneer Khane se Bache: Halaki paneer vitamin aur protein se bharpur hota hai, aur yeh logo ko bahut pasand aata hai. Lekin yadi aap ek romantic date par hai to ise khane se parhej kare, kyuki yeh aapki sex kshamta ko prabhavit kar sakte hai. Yeh aapki kammecha ko prabhavit kar sakta hai. Dibba Band Bhojan Na Khaye: Dibba band bhojan mai sodium adhik matra mai hota hai jo na sharir ke pachan tantra ko nuksaan pahuchahta hai balki sex hormone ko bhi ghatata hai. Isliye aise aahar ka sevan youn sambandh banane se purva na kare.


Beans Yani Faluiya: Beans swasth ke liye bahut faydemand mana jata hai, isme fiber aur protein bharpur matra mai hota hai. Lekin isme sugar bhi hota hai jiska sevan karne se aapke pet mai gas ban sakti hai aur pet ful bhi sakta hai. Isliye sex se purva ise bhi khane se bache. Lahsun na Khaye: Halaki lahsun pachan ke liye bahut faydemand hai, lekin sex se purva iska sevan aapki kammecha ko kam kar sakta hai. Lahsun mai starch hota hai, jiske sevan se pet mai sujan aur gas ki samasya ho sakti hai. Iske alawa iski gandh bahut tikhi hoti hai, jo aapke partner ko vichlit kar sakti hai. Tofu na Khaye: Tofu ka sevan sex se purva nahi karna chahiye. Tofu estrogen ke level ko badhata hai. Yadi sharir mai estrogen ki matra adhik ho jaye to mahilao aur purusho mai kammecha ki bhavna ka hasra hota hai. Isliye sex se purva tofu khane se bache. Upar aapne jane aise aahar jinko sex ke purva kabhi bhi nahi khana chahiye. Isse aapki sex kshamta kam hoti hai to aaj hi se Foods to Avoid Before Sex ko dhyan mai rakhkar inn khadya padarth ke sevan se bache.


Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.