Fruits Benefits in Hindi: Swasthvardhak Hai Phalo Ka Sevan

Page 1

Fruits Benefits in Hindi: Jane Phalo Se Milne Wale Labh Phal hamare swasth ke liye bahut hi faydemand hote hai. Phalo ke prayog se na keval ham aneko bimariyo se dur rehte hai balki yeh hamari twcha aur baalo ke liye bhi faydemand hote hai. Kuch phal aese bhi hote hai jinme antioxidant gun paye jate hai, yeh phal sharir ki rog pratirodhak kshamta ko badhane mai madad karte hai. Nimbu, santra, seb aadi phalo mai fiber ki uchha matra payi jati hai jo ki hamare sharir ke vasa ko kam kar sharir ke vajan aur motape ko kam karne mai sahayak hota hai. Phalo ka prayog khane ke sath-sath pooja mai Prasad ke rup mai bhi kiya jata hai. Phalo ke sath-sath iska juice bhi swasth ke liye faydemand hota hai. Phalo mai kai prakar ke prakratik lavan bhi hote hai jo ki hamare sharir ko kamjor hone se bachata hai. Phalo mai mithas hone ki wajeh se hi yeh pacha hua bhojan kehlata hai. Khana khane ke bad phalo ka ras pine se susti aur thakan dur hoti hai aur tajgi mehsus hoti hai. Phalo ke aur bhi fayde janne ke liye yaha padhe Fruits Benefits in Hindi.

Fruits Benefits in Hindi: Phalo Ke Swasthvardhak Gun


Seb Seb hamare swasth ke liye kai tariko se faydemand hota hai. Isme upasthit antioxidant gun sharir ko madhumeh, cancer aur dimag se sambandhit pareshaniyo ko dur karne mai madad karta hai. Iske sath hi isme fiber ki ucch matra payi jati hai jo ki sharir se vasa ki matra ko kam kar vajan aur motape ko kam karne mai sahayak hota hai. Seb sharir se sharkara aur cholesterol ki matra ko bhi niyantrit karne mai madad karta hai. Iske alava iske aur bhi fayde janne ke liye padhe Apple Benefits in Hindi. Anannas Anar mai mojud Vitamin A, B,C aur folic acid sharir ko kai prakar ki bimariyo aur sankraman se ladne ke liye shakti pradan karte hai. Yeh bhi sharir ko hriday ke rog, cancer se bachane ke sath-sath garbhvati mahilao ke liye bhi faydemand hote hai. Kela Kela urja ka accha source hota hai. Saath hi isme pani ki 64.3%, protein 1.3%, carbohydrate 24.7% matra payi jati hai. Kela sharir ko anemia, ucch raktchap jaisi bimariyo se bachata hai. Rojana subah 1 glass dudh ke sath kele ka sevan karne se ham overeating se bhi bach sakte hai. Vitamin C se bharpur hone ki wajeh se yeh garbhvati mahilao aur twacha ke liye bahut hi faydemand hota hai. Iske alava kele ko mash karke balo par lagane se baal narm, mulayam aur chamakdar ho jate hai. Papita Papita mai vitamin c ke sath-sath khanij padarth, antioxidant aur fiber ki uchh matra hoti hai jisse yeh pet ke liye bahut hi faydemand hota hai. Fiber ki wajeh se yeh sharir ke vajan ko kam karne mai bhi sahayak hota hai. Isliye niymit rup se papite ka sevan karna chahiye. Vitamin C hone se yeh twacha ke daag-dhabbe ko hatane aur twacha ko komal banane mai bhi madad karta hai.


Angur(Grapes) Angur ko balvardhak phal kaha jata hai. Isme vitamin A aur potassium, sodium, iron aadi jaise minerals paye jate hai. Angur, sharir ke khun ko badhane, jodo aur kamar dard ko dur karne, gathiya rog, badhajmi, sharir mai sujan aadi jaisi bimariyo se dur rakhne mai madad karta hai. Iske alava angur ka sevan karne se fode-funsi aur muhase jald hi sukhne lagte hai. Santra Santre ko narangi bhi kaha jata hai. Yeh sharir mai vitamin C ki kami ko pura karne mai madad karta hai. Yeh sharir ko chust aur durast kerne ke sath-sath sharir ki sundarta ko badhane mai bhi madad karta hai. Isme upasthit potassium aur magnesium sharir ko uchh raktchap mai rahat dilate hai. Iske alava yeh acidity, madhumeh aur cancer se bachane mai bhi madad karta hai. Blueberry Blueberry bhi swasth ke liye bahut hi faydemand hoti hai. America mai sabse jyada khapat hone wale phalo mai strawberry ka dusra sthan hai. Yeh sharir se bure cholesterol ki matra ko kam kar acche cholesterol(HDL) ki matra ko badhane mai madad karta hai. Iske alava yeh aankho ki roshni ko badhane, yaddasht badhane, cancer aur mutramarg ke sankraman se rokne, dil ki bimari se bachane, motapa kam karne aadi mai bhi madad karta hai. Strawberry Strawberry mai mojud fevonoil, folic aur vitamin C sharir ko cancer se ladne ki shakti pradan karta hai. Vitamin C se bharpur hone ki wajeh se yeh hamari twacha aur baalo ke swasth ke liye bhi faydemand hota hai. Isme upasthit salicylic acid aur ellagic acid, twacha ke sabhi dark spots ko hatane mai madad karte hai. Iske sath hi yeh sharir mojud atirikt vasa ki matra ko kam kar vajan aur motape ko bhi kam karne mai sahayak hota hai. Upar aapne padha Fruits Benefits in Hindi. Yadi aap bhi apne jivan ko aneko bimariyo aur rogo se dur rakhna chahte hai to aaj se hi apne dainik jivan mai phalo ka prayog kare aur swasth rahe.


Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.