Goats milk benefits in hindi edit

Page 1

Goats Milk Benefits in Hindi: Bakari Ke Dudh Ke Fayde Rojana ek glass dudh pina swasth ke liye bahut hi faydemand hota hai. Dudh pine se sharir mai calcium ki puri hoti hai, isliye chhote baccho se lekar bade budho tak ko dudh pine ki salah di jati hai. Kya aap jante hai gaay ke dudh ke alawa bakri ka dudh bhi calcium ka bahut accha strot hota hai. Bakari ka dudh pi e se hi sharir ai al iu aur utritio ’s ki purti kee ja sakti hai. Iske sath hi bakari ka dudh digestion se lekar shararik viaks dono ke liye madadgar hota hai. Bakari ka dudh maa ke dudh ke barabar hota hai. Yadi kisi karan se shishu ko maa ka dudh nahi mil pata hai to unhe bakari ka dudh pilaya jata hai. Yeh dudh aasani se pach jata hai jisse pachan sambandhi koi bhi pareshani nahi hoti hai. Bhale hi kuch logo ko bakari ke dudh ki gandh pasand nahi hoti lekin isme sharir ke liye jaruri carbohydrate, lipid, vitamin, khanij aur bahut se labhkari yogik paye jate hai. Iss dudh ka prayog bahut se rogo se bachne aur uske upchar ke liye kiya jata hai. Yeh hamare liye kiss tarah se faydemand hai iske liye yaha padhiye Goats Milk Benefits in Hindi aur jane iske swasthvardhak laabh.

Goats Milk Benefits in Hindi: Swasth Ke Liye Faydemand


Bakari ke dudh ai o sa hi utritio ’s, ita i s aur jaruri minerals hote hai jo ki manushya ke liye jaruri hote hai. Benefits of Goat Milk mai aaiye jane iske aur bhi fayde. Rog Pratirodhak Kshamta Badhaye Bakari ka dudh sharir ki rog-pratirodhak kshamta badhane mai madad karta hai. Isme anya poshak tatvo ki apeksha selenium namak minerals ki adhik matra payi jati hai. Iss wajah se yeh sharir ki immunity system ko banaye rakhta hai. Iske atirikt yeh dudh sharir ko kai prakar ke rogo se bachane mai bhi sahayak hota hai. Chikitsako ki mane to aids pidit vyaktiyo ki rog-pratirodhak kshamta bahut hi kam hoti hai isliye unhe bakari ka dudh pine ki salah di jati hai. Kaha jata hai ki is dudh pine se unki umra bhi badh jati hai. Metabolism Badhaye Bakari ka dudh mai gaay ke dudh ki tulna mai kahi jyada nutritions, iron aur copper paya jata hai. Isliye rojana ek glaas dudh pine se sharir mai 40% calcium, 20% vitamin B, potassium aur jaruri phosphorous ki purti ho jati hai. Iss wajah se yeh sharir ki karya pranali shamta ko bhi badhata hai. Calcium ki Purti kare Sharir mai calcium ki purti se haddiya majboot banti hai. Isliye hi log hamesha gaay ka dudh pina pasand karte hai. Lekin shayad aapko nahi pata hoga ki bakari ke dudh mai bhi calcium ki bharpur matra payi jati hai jo ki haddiyo ke liye faydemand hai. Iske sath hi isme amino tryptophan bhi mojud hota hai jo ki sharir ko tandrust banane mai madad karta hai. Calcium ki adhikta hone ke karan yeh daanto ko bhi majbut banane mai sahayak hota hai. Kai Prakar Ke Rogo Ke Liye Bakari ka dudh madhumeh, kshay rog aur cancer jaise rogo ko dur karne mai bhi sahayak hota hai.


Sujan Se Rahat De Bakari ka dudh mai anti-bacterial gun bhi paye jate hai jo ki sharir mai kisi bhi prakar ki jalan aur sujan se rahat dilane mai madad karte hai. Isliye rojana subah aur sham ek glass bakari ka dudh pine ki salah dee jati hai. Vajan Kam Karne Mai Sahayak Jo log apne badhte vajan se pareshan hai to unke liye bakari ka dudh bahut hi labhkari hota hai. Iss dudh mai fatty acid hota hai jo ki sharir ke atirikt fat ko kam kar vasa ko badhne se rokta hai. Iss wajah se yeh sharir ke vajan ko kam karne ke sath-sath motape ko bhi kam karne mai sahayak hota hai. Hriday Ke Liye Faydemand Bakari ka dudh hariday aur dil ke rog se pidit vyaktiyo ke liye bhi labhkari hota hai. Isme gaay ke dudh se kahi jyada fatty acid mojud hote hai jo ki cholesterol ke level ko niyantrit karne mai sahayak hote hai. Iss wajeh se dil ka dora, stroke aur kai prakar ki coronary pareshaniyo se bacha ja sakta hai. Goats Milk Benefits in Hindi: Anya Fayde Inhe Bhi Padhe  Bakari ke dudh se purana hone ke bad bhi malai ki ek nayi parat nahi banata hai iss wajah se isse banaya gaay a dahi bahut hi soft hota hai.  Potassium ki upasthiti ke karan yeh dudh,blood pressure ko niyantrit karne mai sahayak hota hai.  Isme upasthit protein ki matra tissues, koshikao aur haddiyo ko banane mai madad karti hai. Sath hi bakari ka dudh baccho ki badhti umra aur unke vikas ke liye bahut hi faydemand hota hai.  Bakari ke dudh mai kai prakar ke fatty acid hote hai jo ki bhojan ke pachan mai madad karte hai.  Isme vitamin A ki bhi bahut adhik matra hoti hai jisse yeh aankho ki roshni ke liye accha hota hai.  Bakari ka dudh ulti, dast, pet dard aur saans lene mai hone wali samsaya ko bhi dur karne mai sahayak hota hai.



Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.