Hair Fall Treatment in Hindi – Baalo Ka Jhadna Roke Har vyakti lambe ghane baalo ki chah rakhta hai. Lekin kai logo ke asamay hi baal jhadne lagte hai. Aur iss wajah se wo log 25 saal ki umra mai 40 saal ke dikhai dene lagte hai. Vaise to baal jhadna aajkal behad aam baat hai. Kehte hai yadi din mai karib 100 baal jhadte hai. To koi pareshani wali baat nahi hai. Kyoki itne hi baal pratindin jate hai. Lekin dhyan de agar aapke baal isse kahi jyada jhadte hai to yeh chinta ka Vishay hai. Vartaman samay mai yeh samasya yuwao mai bahut teji se badh rahi hai. Aajkal har dusra vyakti baal jhadne ki samasya se pareshan hai. Lekin yadi aap apne aahar mai Vitamin B ki matra badha denge to kaafi had tak aapko iss samasya se nijat mil jayegi. Lekin dhyan rahe ki apne baalo ki kism ke hisab se hi aapko apne baalo ko treatment dena chahiye. Tabhi wah prabhavi dhang se parinaam dega. Baalo ko kala, ghana, sundar banane ke liye jaane Hair Fall Treatment in Hindi.
Hair Loss: Baalo Ko Girne Se Rokne Ke Upay Baalo ka asamy jhadna ya girne se rokne ke liye yeh jaruri hai ki pehle aap pata kare ki kin karno se aapke baal adhik jhad rahe hai. Jab tak vastavik karan ka upchar naa kiya jaye Hair loss rokna kathin karya hai. Hair loss hone ke mool karan ka upchar karne ke sath niche diye gaye anya upya ka upyog kar aap baalo ke girne mai viraam laga sakte hai. Santulit Aahar Le Baalo ki growth ke liye high protein diet lena behad jaruri hai. Prachur matra mai protein lene ke liye subah naste mai ankurit anaj, mung, dudh aur soyabin lena chahiye. Bhojan mai dal ko patla banane ki jagah dal gadhi bana kar khana chahiye. Snacks mai fast food ki jagah par bhune hue mungfali ya chana lena chahiye. Roti banane ke liye gehu ke aate mai Âź hissa soyabin ka aata milakar roti banana chahiye. Baalo ke badhne aur majbut hone ke liye Protein, Vitamin A, Vitamin B Complex, Vitamin C, Vitamin E aur Iron ki vishesh aavyashakta hoti hai. Isliye aahar mai aese anna ka samawesh hona jaruri hai. Jinme inn sabhi aahar padharto ki prachur matra ho. Preganancy ke baad dekha jata hai ki kai mahilao mai adhik hair loss hota hai. Iski khas wajah hai Iron, calcium, aur protein ki kami. Pregnancy ke douran, breast feeding karte samay aur uske 3 months baad tak iron, Calcium, Protein prachur matra mai lena chahiye. Typhoid ke sankraman ke baad bhi adhik hair loss hota hai. Isme bhi santulit aahar aur poshan jaruri hai.
Aloe Vera Gel Se Massage Kare Apne baalo mai Suddha Aloe Vera Gel se hafte mai do baar massage bhi kar sakte hai. Massage karne ke baad do ghante tak ise aese hi rehne de aur gun gune pani se baalo ko saaf kar de. Aesa karne se baalo ki growth badhti hai aur baal majbut hote hai. Tel Ki Malish Agar aap dry baalo mai shampoo karte hai to isse bhi aapke baal jhadne lagte hai. Isliye shampoo karne se pehle baalo mai halke garm olive oil ya coconut oil se massage kare. Baalo ki jado mai tel ki acche se massage rat ko sone se pehle hi kar lena chahiye. Isse na keval baalo ki jade majbut hoti hai. Balki baal bhi shine karte hai. Roj Vyayam Kare Agar hamara sharir swasth ho to hame kisi bhi tarah ki pareshani nahi hoti hai. Isliye baal jhadna rokne ke liye niyamit vyayam kare. Vyayam karne se sharir mai blood circulation thik se hota hai, aur aap nirogi rehte hai. Hair Loss Se Bachne Ke Anya Upay Auto Immune Disorder se grast hone ki wajah se bhi baal jhadte hai. Agar aap bhi hair fall se pareshan hai to din mai do baar 1 chammach ashwagandha churn sahad ke sath lena chahiye. Chai, coffee, pan-tambaku. mirch masale aadi nashile padharto se dur hi rahe. Jyada samay tak kadak dhoop mai rehne se bache. Dhool, mitti aur barish ke pani se baalo ka bachav kare.
Apne baalo ko baar baar color na kare. Hair straitening karne se bhi bache. Inse baalo ko nuksan pahuchta hai. Kai dawao ke karan bhi Hair Fall adhik hota hai. Jaise ki dardnashak ya tanav kam karne wali dawa. Agar aapko koi dawa lene ke baad adhik baal jhadne jaise samasya ho rahi hai. To apne doctor ko iski jankari jarur de. Baalo par adhik garm pani ka upyog na kare. Adhik garm pani se baal shusk aur najuk ban jate hai. Snan karne ke liye thande ya lukewarm pani ka prayog kare. Saftah mai ek din shankhapushpi se bana hua asli aur suddha churn thode se pani mai milakar baalo ki jado mai lagaye. Iske alawa bhringraj ke churn mai thoda til milakar khaye. Pyaj k ras baalo mai lagane se baalo ka jhadna kam hota hai. Inn aayurvedic upchar se aapke baal prakratik roop se swasth aur majbut banenge.