Jane Home Remedies for Mole Removal aur Hataye Chehre Se Til

Page 1

Home Remedies for Mole Removal: Til Hatane ke Gharelu Upay Chehre par hontho ke upar ya niche til ho to chehre ki khubsoorti badh jati hai. Lekin yadi yahi til jarurat se jyada ho to hamari khubsoorti ko bigad kar rakh dete hai. Til do prakar ke hote hai ek jo janmjat hote hai aur dusra jo kisi bhi umra mai kisi karanwash hote hai. Wah til jo janm se hote hai unhe sharir se dur karna bhead mushkil hota hai lekin jo til bad mai apne aap aate hai unhe gharelu upayo athwa surgery ke dwara alag kiya ja sakta hai. Yeh til do rang ke hote hai kale aur bhure. Aksar log inn tilo ko hatane ke liye surgery ka sahara lete hai. Lekin kuch log aese bhi hote hai jo surgery ke naam se darte hai. Lekin aapko ghabrane ki jarurat nahi hai gharelu tariko se bhi inhe hataya ja sakta hai. Yaha padhiye Home Remedies for Mole Removal. Yaha diye gaye gharelu nuskho ki sahayata se aap ghar baithe hi apni twacha ko bedag bana sakte hai aur dikh sakte hai sundar.

Mole Removal: Chehre Ke Til Hatane Ke Upay in Hindi


Tilo ko dur karne ke upayo ke bare mai janne se pehale jante hai what is mole? til kya hai? Til hamare sharir ki twacha ki we koshikaye hai jo ki failne ki bajaye aapas mai judkar ikatthi ho jati hai. Inn koshikao ko Milenosait kaha jata hai. Aur jab yeh koshikaye suraj ke sampark mai aati hai to kale ya bhure rang ki ho jati hai. Inhe hi til kaha jata hai. Inn tilo ko gharelu upayo ke dwara aasani se hataya ja sakta hai. Mole Removal at Home mai aaiye jane ise hatane ke nuskhe. Seb Ka Sirka Seb ke sirke ka prayog karke til ko bina kisi nishan ke hataya ja sakta hai. Ise lagane ke liye sabse pehale apni twacha ko acchi tarah se dhokar saaf kar le. Fir rui ki sahayta se seb ke sirke ko til ke upar lagaye, aur 1 ghante ke liye lage rehne de. Fir halke gungune pani se dho le. Aesa tab tak kare jab tak til puri tarah se hat nahi jata. Ful-Gobhi Ful-gobhi ka prayog na sirf khane mai kiya jata hai balki sharir se til ko hatane mai bhi kiya jata hai. Iske prayog ke liye sabse pehle gobhi ka ras taiyar kare. Fir ise apne til wali jagah par rakhe. Aesa din mai 3 se 4 bar kare, aap chahe to ise raat mai sone se pehle til par laga sakte hai. Aesa rojana karne se kuch dino mai hi til gayab hone lagega. Lehsun Ka Paste Sharir se til hatane ke liye lehsun sabse asardarak home remedy hai. Lehsun mai upasthit enzyme til ko janm dene wali koshikao ko tod deta hai. Jisse til dhire dhire sharir se hat jate hai. Lehsun ka upyog karne ke liye sabse pehle til wali jagah ko gungune pani ya fir alcohol se saaf kar le. Fir lehsun se bana paste taiyar kar raat ko sone se pehle iss par laga le aur uss jagah patti laga de. Raat bhar lage rehne ke baad subah gungune pani se dho le. Aesa rojana karne se kuch hi dino mai til gayab ho jata hai.


Pyaj(Onion) Pyaj ka prayog bhi mole removal ke liye kiya jata hai. Iska prayog karne ke liye sabse pehle pyaj ko chilkar uska ras nikal le. Uske baad rui ko pyaj ke ras mai dubo kar rakhe. Fir rui ko nikal kar til wale sthan par kam se kam aadha ghante tak rakhe. Uske baad rui ko hatakar thande pani se til wali jagah ko dho le. Aesa 1 mahine tak karne se til puri tarah se twacha se hat jata hai. Kele Ke Chilke Til ko hatane ke liye kele ka chilka bahut hi faydemand hota hai. Yeh til ko jad se khatam karne mai madad karta hai. Iska istemal karne ke liye sabse pehle taje pake huye kele ko chhil le. Fir chilke ke andruni bhag ko til ke upar rakhkar bandage patti se chipka de. Aesa raat bhar ke liye rakhe aur fir subah thande pani se dho le. Aesa tab tak kare jab tak til sharir se hat na jaye. Arandi Ka Tel(Castor Oil) Arandi ke tel ka upyog sharir ke til ko hatane ke liye kiya jata hai. Iska upyog sharir ki kisi bhi koshikao ke aasamanya rup se vraddhi ko rokne ke liye kiya jata hai. Ise lagane ke liye sabse pehale 3 se 4 boond arandi ke tel mai chutki bhar baking soda mila le. Ab iss mishran ko til par halke haatho se malhe. Fir lagbhag 1 ghante tak ise lage rehne de. Uske bad saaf pani se dho le. Aesa din mai kam se kam 2 bar karne se til jald hi chala chala jata hai. Ananas (Pine Apple) Ananas ka prayog swasth ke sath-sath sharir se til ko hatane ke liye bhi kiya jata hai. Yeh acidic prakrati ka hota hai jo ki til ko hatane mai karagar sabit hota hai. Rojana ananas ke ras ko til ke upar lagaye. Aap chahe to ise raat ko lagakar bhi so sakte hai. Iske alava angur ka juice bhi til ke upar lagane se til hat jata hai. Home Remedies for Mole Removal: Anya Tarike Inhe Bhi Apnaye  Hare dhaniye ko katkar uska paste bana le aur raat mai sote wakt til ke upar lagakar patti se chipka de. Fir subah thande pani se dho le.


 Iske alava adarak ko piskar uska paste taiyar kare aur raat bhar til ke upar lagakar so jaye.  Shahad aur surajmukhi ke tel ko milakar rojana 10 minute tak til ke upar ragadne se twacha bhi komal hoti hai aur til bhi gayab ho jata hai. Upar aapne jana Home Remedies for Mole Removal. Yadi aap apne sharir ke bahut sare tilo se pareshan hai to diye gaye home remedies ko apnakar aap bhi apne sharir ko bedag bana sakte hai.


Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.