Jane Home Remedies for Sinus Infection Aur Isse Bache

Page 1

Home Remedies for Sinus Infection: Isse Bachane Ke Upay Sinus ek prakar ka sankrraman hai jiski wajeh se naak ki haddiyo, sar, gaal aura ankh mai kahi bhi dard mehsus hone lagta hai. Hamare chehre par naak ke aaspas kai prakar ke chhidra hote hai inhe hi sinus kaha jata hai. Jab inn chote-chote chhidro mai sankraman hota hai to ise Sinusitis kaha jata hai. Jab kisi vyakti ko sinus hota hai to aankho aur mathe par dard jyada mehsus hone lagta hai. Aur yeh sardard aage jhukne aur letne se aur bhi badh jata hai. Kabh kabhi to itna dard hota hai ki vyaktiyo ko bukhar aana, naak band ho jana, thakan,chehre par sujan aur naak se peele ya hare rang ke reshe bhi nikalne lagte hai. Sinus se grasit vyaktiyo ki naak aur gale mai cough jam jata hai. Vyaktiyo ko dhul aur dhuna se bhi allergy hone lagti hai. Jab yeh rog kafi dino tak badh jata hai to vyaktiyo mai asthma aur dama jaisi gambhir bimariyo ke hone ka khatra bhi badh jata hai. Sinus ka kai tariko se ilaj kiya jata hai. Surgery ke dwara bhi yeh thik kiya ja sakta hai lekin kabhi kabhi isse bhi yeh sankraman puri tarah se thik nahi hota hai. Iske liye aaiye bat karte hai Home Remedies for Sinus Infection aur gharelu tariko ke dwara dur karte hai sinus ka sankraman. Home Remedies for Sinus Infection: Gharelu Tariko Se Dur Kare Sankraman


Sinus mai generally hawa aati jati rehti hai lekin jab isme hawa ke sath dhul, mitti ke kan, taral padarth prvesh kar lete hai to sinus mai bacteraia aur kavak jaise jeevanu badhne lagte hai jo ki sankraman ka karan hote hai. Sinus infection ka sahi tarah se ilaj karne ke bajay vyaktiyo ko iske badhne ke karan aur lakshano ko pehchanna chahiye. Jisse gharelu tariko ke dwara sharir mai iske prabhav ko kam kiya ja sake aur iska sahi tarah se upchar kiya ja sake. Aaiye aaj padhe Sinus Infection Home Remedy. Garm Pani Ki Bhaap Le Sinus ki samasya se nijad pane ke liye garm pani ki bhap lena chahiye. Isse naak aur gale mai jame dhul aur mitti ke kano ko bahar nikalne mai madad milti hai. Isliye rojana ek tapele mai garm pani karke 5 se 10 minute tak ke liye bhap lena chahiye. Iske alava tel mai uleliptus ke tel ki kuch bunde milakar bhap lene se bhi sinus ke sardard mai rahat milti hai. Khadya Padartho Ka Sevan Sinus mai sankraman ke samay vyaktiyo ko uchit bhojan ka sevan karna chahiye jaise halki paki hui sabjiyo ka sup, sem, daal, sabut anaj aur sup aadi ka sevan karna chahiye. Iske sath hi gale aur naak mai balgum paida karne wale khadya padarth jaise jyada tale huye padarth, chocolate, ande, chini aur flore products aadi ke sevan se bachna chahiye. Jyada tel masalo ke sevan se muh mai cough banne mai madad milti hai isliye inke sevan se bhi bache. Aur jitna ho sake utna adhik pani pina chahiye. Lehsun Aur Pyaj Ka Sevan Kare Pyaj aur lehsun sinus se grasit marijo ke liye jadi butiyo ka kam karta hai. Inhe bhojan mai shamil karne se yeh sharir mai banne wale balgum ko khatm karne aur bulgum ko sharir se bahar nikalne mai madad karta hai.


Pyaj mai mojud sulfer sardi, khansi aur sinus sankraman ke liye antibacterial ka kam karta hai. Pyaj ko katte samay jo tejpan aur mehak aati hai usse bhi sinus mai aaram milta hai. Lehsun aur pyaj ka upyog karne ke liye dono ko pani mai acchi tarah ubal le aur bhap le, isse sinus ke sardard mai rahat milti hai. Iske alava pyaj aur lehsun keg arm pani ko ek botal mai rakhkar gaal aur mathe ki sikai karne se bhi sar dard mai rahat milti hai. Khud Ko Hydrate Rakhe Sinus sankraman se chutkara pane ke liye sharir ko hydrate rakhna bahut jaruri hota hai. Isse balgum ko patla karne aur sharir se ise bahar nikalne mai madad milti hai. Isliye falo ka ras, khub pani, garm chay ka sevan karna chahiye. Iske alava nimn tarike apnaya ja sakta hai.  180 ml pani mai, 1 se 2 chammach seb sider sirka aur 1 chammach shahad ka milakar din mai 3 se 5 bar lene se bulgum ko todne mai madad milti hai.  Iske alava grapefruits ka sevan karna chahiye. Yeh grapefruits bacteria, virus, roganu aur candida sahit 30 anya prakar ke kavak ko sharir se bahar nikalne mai sahayak hote hai. Home Remedies for Sinus Infection: Anya Tarike Inhe Bhi Apnaye  Garm pani mai pudine ke ras ki kuch bunde dalkar bhap lene se sinus se hone wale sar dard aur naak ke dard mai aaram milta hai.  Methi ke beej ko garm pani mai ubalkae pine se bhi sinus sankraman se hone wale sar aura ankh ke dard mai rahat milti hai.  Jaitun ke tel se naaka ur sar par malish karne se sinus ke dard ko kam kiya ja sakta hai.  Gajar ka ras sinus ke sankraman se bachane mai madad karta hai. 1 Glass garaj ke ras mai khire ya palak ke ras ko milakar pine se sinus ke lakshano ka upchar kiya ja sakta hai.  Apne bhojan mai jeera, long, dhaniya aur sonf ko shamil kare. Isse sinus ke dard mai jald hi aaram milta hai.


 Garm pani mai adrak ki kuch bunde dalkar rojana pine se sharir se bulgum bahar nikalne mai madad milti hai.  Anannas mai mojud Broman aur nariyal mai mojud potassium sinus sankraman se grasit rogiyo ke liye bahut hi faydemand hota hai . Isliye inka sevan karna chahiye.  Yoga ke dwara bhi sinus ke dard se chutkar apaya ja sakta hai. Isliye saans se jude aasan jaise pranayam, anulom-vilom, bhramari, jal netri kriyaye aadi karne se sinus sankraman mai aaram milta hai. Upar aapne jana Home Remedies for Sinus Infection. Yadi aap bhi sinus ke sankraman se pareshan hai to dee gayi home remedies ko apnaiye aur dur kijiye iss sankraman ko.


Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.