Jane Natural Home Remedies for Sleep Apnea aur Rahe Khush

Page 1

Home Remedies for Sleep Apnea: Kharraten Dur Karne Ke Upay Din bhar ke kam ke bad jab koi apne ghar aata hai to chahta hai ki use chain ki neend mile. Lekin jab koi kharraten mar kar apni neend ko kharab kar deta hai to uss par gussa bhi bahut aata hai. Sote samay kharrate aanakoi badi bimari nahi hai. Lekin jab yeh hamesha aane lage aur iska ilaj na kiya jaye to yeh gambhir bimari ka rup le leta hai. Aur sleep apnea ka karan bhi banta hai. To aaiye iss pareshani ko dur karne ke liye jane Home Remedies for Sleep Apnea aur le such bhari neend. Darhasal jab bhi ham saans lete hai to saans ke dwara oxygen, naak aur muh ke madhyam se gale se hoti hui hamare fefado aur hriday tak pahuch jati hai. Lekin jab yeh oxygen sahi tarah se fefado aur hriday tak nahi pahuch pati ya fir kisi vajeh se oxygen ke marg mai rukavat hoti hai to hamare gale mai ek kampan utpanna hone lagta hai. Yehi kampann kharraten ka rup le leta hai. Jab yeh rukavat bahut adhik badh jati hai to vyaktiyo ko ghabrahat aur bechaini hone lagti hai. Iss wajeh se logo ki neend bhi puri tarah se nahi ho pati hai aur susti bhi mehsus hoti hai. Yeh bimari jab kai dino tak hone lagti hai to vyaktiyo ko brain stock aur dil ka dora padne ka khatra bhi badh jata hai. Home Remedies for Sleep Apnea: Inn Tariko Se Dur Kare Kharraten Sleep Apnea ko mukhyatah teen prakaro mai vibhajit kiya gaya hai to aaiye padhe types of Sleep Apnea.


Obstructive Sleep Apnea: Hava ke pravah ke karan jab vyakti ko saans lene mai pareshani hoti hai tab ise OSA kaha jata hai. Aur yeh rukavat gale mai mojud uttatko (tissues) ke karan hota hai. Central Sleep Apnea: Yeh tantrika tantra ke karan hota hai. Jab hamara mastishk, sharir ki maspeshiyo ko yeh batane mai asafal ho jata hai ki saans ko kiss tarah se niyantran mai laya jaye tab ise kendriya SA kaha jata hai. Complex Sleep Apnea: Isme CSA aur OSA dono ke lakshan shamil hote hai.

Kisi bhi vyakti ko generally dekhkar yeh andaja nahi lagaya ja sakta hai ki iss vyakti ko kharraten aate hai. Lekin fir bhi ise pehchanne ke kai lakshan hote hai. To aaiye jane Sleep Apnea Symptoms.  Yaddasht kamjor hona.  Gale mai sukhapan mehsus hona  Sar mai dard hona


 Aksar rat ke samay mai bar-bar peshab lagna  Sote samay kharraten aana Inn sabhi lakshano ko dur karne ke liye aaiye aaj jane Sleep Apnea Home Remedy. Jiski madad se ghar baithe hi kharrato ka ilaj kiya ja sakta hai. Adhik Dhumrapan Se Bache: Adhik dhumrapan karna sharab ke liye hanikarak hota hai. Yeh cancer ke sath-sath sleep apnea ka karan bhi banta hai. Dhumrapan se nikalne wala dhua, seedhe hamare hriday aur fefado tak jata hai. Isse fefade kamjor padne lagte hai aur oxygen ka sahi se prav bhi nahi ho pata hai. Iss wajeh se saans sambandhi samasya hone lagti hai aur kai bar saans lete samay aavaj aane lagti hai jise kharraten kaha jata hai. Adhik se Adhik Pani Piye Pani hamare sharir mai name ko banaye rakhne mai madad karta hai. Jab sharir mai pani ki kami hoti hai to hamari naak ki nali bhi such jati hai. Iss wajeh se saans lene mai pareshani hone lagti hai aur kharraten aana shuru ho jate hai. Isliye dinbhar mai kam se kam 8 glass pani jarur pina chahiye. Peeth ke Bal Sone Se Bache Rat mai sote samay peeth ke bal sone ki bajay pet ke bal ya fir karvat lekar sona chahiye. Isse saans lene mai takleef nahi hoti hai aur chain ki neend aati hai.


Vajan Kam Kare Adhik vajan ka badhna bhi kharraten ka karan hota hai. Aapne dekh hoga ki jinn logo ko kharraten aate hai wo bahu tadhik mote hote hai sath hi unka vajan bhi bahut adhik hota hai. Adhik motapa ki wajeh se gale kea spas atirikt vasa jama ho jata hai jisse saans lete samay oxygen ka pravah sahi tarah se nahi ho pata hai. Aese mai adhik badhi hui charbi ki wajeh se hava ke aavagaman hote samay muh se aavaj aana shuru ho jati hai. Isliye yadi aap kharraton se chutkara pana chahte hai to motape aur vajan ko kam karne ka prayatn kare. Rat mai Alcohol aur Dawaiya Lene Se Bache Bahur adhik dawaiyo ka sevan aur alcohol lene se sharir ki sabhi maspeshiyo mai adhik khichav hota hai jisse maspeshiya fail jati hai. Iss wajeh se bhi kharraten aana shuru ho jate hai. Isliye jitna ho sake alcohol aur adhik dawaiyo ke sevan se bache. Kali Mirch Aur Shahad Ka Sevan Kare Ek glass gungune pani mai 1 chammach kali mirch ka powder aur 1 chammach shahad ka mishran banakar rat ko sone se pehle pine se kharraten ki samasya se nijad paya ja sakta hai. Home Remedies for Sleep Apnea: Anya Upaye Inhe Bhi Padhe  Kharrate ki samasya ko dur karne ke liye 1 galss gungune pani mai 3 chammach dalchini ke powder ko milakar pina chahiye.  Rat ko sone se pehle kam se kam 1 cup dhudh pine se bhi kharraten aana band ho jate hai.


 Sinus ki samasya se bhi kharrate aana shuru ho jate hai. Isliye jab bhi sinus ki pareshani ho to chikitsak ki salah le ya fir ise dur karne ke liye padhe Home Remedies for Sinus Infection. Upar aapne jana Home Remedies for Sleep Apnea. Yadi aapka sathi ya fir koi saga sambandhi kharrate ki samasya se pareshan ho to diye gaye home remedies ko apnaye aur dur kare iss pareshani ko.


Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.