Health Tips Mai Janiye Dengue Fever Ke Karan Aur Lakshan

Page 1

Janiye Dengue Fever ke Karan, Lakshan aur Upchar

De gue ek i ari hai jo Aedes Aegypti Ma haro ke kat e se hoti hai. Iss rog mai tez bukhar ke saath sharir ke ubhare chhakte se khun rista hai. Dengue bukhar dhire-dhire mahamari ke roop mai fail raha hai. Yeh jyadatar sahari kshetra mai failta hai. Yadi dengue bukhar ke lakshan shuruaat mai pata chal jaye to iss bimari se bacha ja sakta hai. To aaiye jante hai Dengue Fever Symptoms, Treatment and Causes in Hindi. Har saal duniya mai lagbhag 10 crore log dengue fever ke shikar hote hai. Bharat mai bhi har saal kai logo ki dngue fever ke karan mout ho jati hai. Hume roz samachar patro mai ya news channel par dengue fever ka atank dekhne ko milta hai. Samay ki jarurat hai ki iss bimari ke bare mai logo mai adhik se adhik jagrukta failai jaye. Yeh ek viral fever hai jo dengue virus ke 4 prakar mai se ek prakar ke dengyue virus se hota hai. Jab koi rogi dengue fever se thik ho jata hai, tab uss marij ko uss prakar ke dengue virus se lambe samay ke liye pratirodh mil jati hai parantu anya 3 prakar ke dengue virus se dengue fever dobara ho sakta hai. Dusri baar dengu fever kafi gambhir ho sakta hai jise Dengu Hemorrhagic Fever bhi kehte hai.


Dengue ke lakshan janane ke liye dekhe yeh Dengue Symptoms In Hindi aur rakhe apne aap ko iss bimari se dur. Dengue Fever Kese Failta Hai? Dengue Fever hawa, pani, saath khane se ya chhune se nahi failta hai. Dengue Fever sankramit stri jati ke Aedes Aegypti namak macchar ke katne se hota hai. Agar kisi vyakti ko dengue fever hai aur uss vyakti ko yeh macchar kaat kar uska khoon pita hai to uss macchar mai dengue virus yukt khoon chala jata hai. Jab yeh sankramit macchar kisi swasth vyakti ko kaat leta hai to dengue virus uss swasth vyakti mai chala jata hai. Aedes Aegypti Macchar ki Kuch Khaas Visheshtaye Niche Di Gayi Hai:         

Yeh din mai jyada sakriya hote hai. Inn macchar ke sharir par chite jesi dhariya hoti hai. Jyada upar tak nahi ud pate hai. Thande aur ghav wale jagaho par rehna jyada pasand karte hai. Pardo ke piche ya andhere wali jagah par rehte hai. Ghar ke andar rakhe huye shant pani mai prajann karte hai. Apne prajann kshetra ke 200 meter ki duri par hi udte hai. Gatar ya raste mai jama kharab pani mai kam prajann karte hai. Pani sukh jane ke baad bhi ande 12 mahino tak jivit reh sakte hai.

Dengue Fever ka Ilaj Kya Hai?  Dengue Fever ka prevention hi iska sabse accha aur behtar ilaj hai.  Dengue fever ki koi vishesh dawa ya vaccine nahi hai.  Ek viral rog hone ke karan iski dawa nirmann karna behad kathin karya hai.


 Dengue fever ke ilaj mai symptomatic treatment ki jati hai.  Dengue fever ki koi dawa nahi hai par iss rog se sharir par hone wale side-effects se bachne ke liye rogi ko doctor ki salah anusar aaram karna chahiye aur samay par dawa lena chahiye.  Bukhar ya sar dard ke liye aspirin ka upyog na kare.  Doctor ki salah anusar niyamit platelet count ki janch karaye.  Santulit aahar aur sahi vyayam dwara rog pratikar shakti ko badhane ki koshish karni chahiye. Dengue Fever ke Bachav ke Upay Kya Hai?  Dengue Prevention hi iska sabse behtar ilaj hai. Dengue fever ke bachav ke upay niche diye gaye hai:  Ghar ke andar aur aas-paas pani jama na hone se. Koi bhi bartan mai khule pani na jamne de.  Bartan ko khali kar rakhe ya use ulte karke rakh de.  Agar aap kisi bartan, drum ya balti mai pani jama rakhte hai to use dhak kar rakhe.  Agar kisi chiz mai humesha pani jama kar rakhte hai to use pehle sabun aur pani se acche s dho lena chahiye, jisse macchar ke ande ko hataya ja sakta hai.  Ghar mai kitnashak ka cidkav kare.  Raat ko sote waqt macchardhani lagakar soye.  Aise kapde pehne jo pure sharir ko dhak sake.  Anya macchar virodhi upkarno ka istemaal kare jese ki electronic mosquito bat, repellent cream, sprays aadi.  Dengue Fever ke jyadatar marijo ki mratyu platelet ya khoon ke abhva mai hoti hai. Iss samay aap kisi swasth insaan se Blood Donation ke dwara apna bhi swasth thik kar sakte hai.


 Kai log dengue fever mai platelet count badhane ke liye papite ke patte ras pine ki salah dete hai. Papite ke patte ka ras pin ke baad marij mai platelet count mai sudhar hote huye dekha gaya hai. Iska koi thod purva nahi hai aur na hi koi research huya hai. Upar aapne jane dengue ke lakshan, upchar aur aapko iss bimari se kese bachna chahiye. To aap bachiye iss bimari se aur rahiye swasth.


Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.