Kalonji Oil Benefits in Hindi: Jane Iske Bemisal Fayde

Page 1

Kalonji Oil Benefits in Hindi: Jane Iske Bemisal Fayde Kalonji ek prakar ka beej hota hai jiska prayog kai prakar ke pakwano mai kiya jata hai. Ise nigella ka poudha, kala jeera aur kale beej ke naam se bhi jana jata hai. Iski kai prajatiya south west Asia mai hai. Sadiyo se iss kale beej ka sevan India, Pakistan aur Bangladesh ke nivasi kar rahe hai. Kalonji ek bahut hi acchi jivan aushadhi hai aur iska prayog 2000 varsho se dawao ko banane mai kiya ja raha hai. Kalonji ke tel mai 100 se adhik ghatak shamil hai aur iska prayog kai prakar ke rogo se bachane mai kiya jata hai. Kalonji ki khoj raja Tut ki kabra mai hui thi. Iske tel mai 21% protein, 39% carbohydrates, 34% vasa aur tel ki matra payi jati hai. Kalebeej ka tel ek utkrisht aarogya ke liye jana jata hai. Iska prayog sharir ke sabhi bahari ango jaise psoriasis, eczema, sushk twacha, jodo aur sar ki malish ke liye kiya jata hai. Iske sath-sath sabhi andruni rogo jaise immunity system ko banaye rakhne, gathiya aur asthma aadi jaise rogo ki roktham ke liye kiya jata hai. Yeh hamare sharir ko aur kin-kin rogo se bachata hai? iske ke liye yaha padhiye Kalonji Oil Benefits in Hindi aur rakhe apne aap ko swasth.

Kalonji Oil Benefits in Hindi: Inn Bimariyo Se Rakhe Dur


Kalonji ke tel mai anti-oxidant, anti-bacterial aur anti-inflammatory ke gun paye jate hai. Iske sath hi kalonji tel mai bahut adhik matra mai Polyunsaturated fatty acid paya jata hai. Isliye iska prayog sharir ko kai prakar ke sankraman se ladne, rog pratiroshak kshamta ko banaye rakhne aur dainik swasth ke liye kiya jata hai. Black Seed Oil Benefits mai aaiye jane iske aur bhi fayde. Yaddasht Badhaye Vyasko ki tulna mai bujurgo mai yad rakhne ki shakti kam hoti hai. Kalonji ke tel ka prayog yaddasht shakti aur ekagrata ko badhane ke liye kiya jata hai. Iske sath hi iska prayog absentmindedness aur satarkta ko badhane mai kiya jata hai. Dil Ke Rogo Ke Liye Kalonji ke tel ka prayog hriday se sambandhit kai rogo ke ilaj ke liye kiya jata hai. Iske istemal ke liye ek chammach bakari ke dudh mai ½ chammach kalonji ke tel ke milakar rojana 1 hafte tak pine se hriday majbut banta hai aur heart attack ka khatra bhi kam ho jata hai. Cancer Ko Roke Aaj ke samay mai manav jivan ke liye cancer sabse badi bimari ban chuki hai. Kale beej se Thymoquinone ko nikalne, tumer ke vikas ko rokne aur breast cancer ke khatre ko kam karta hai. Shuruati cancer ko rokne ke liye 1 chammach kalonji ke tel ko le aur usme 1 glass angur ke ras ko milakar din mai teen bar le. Aesa karne se badhte cancer ko roka ja sakta hai. Iske sath hi kalonji blood cancer, aant aur gale ke cancer ke khatre ko bhi kam karne mai sahayak hota hai. Madhumeh Madhumeh se pidit vyaktiyo ke liye kalonji ka tel bahut hi faydemand hota hai. Iska upyog diabetes ko niyantrit karne aur uske ilaj dono ke liye kiya jata hai. Iska prayog karne ke liye ek cup kali chay mai ½ chammach kalonji ke tel ko milakar rojana subah aur sham piye. Aesa 1 mahine tak karne se aapko asar dikhayi dene lagega.


Twacha Ke Liye Faydemand Homemade treatment for acne bhi hai. Twacha ke fode aur funsi dur karne ke liye bhi kalonji ka tel faydemand hota hai. Kalonji Oil Benefits for Skin bhi hai. Yeh fode aur keel-muhaso ko janm dene wale bacteria se ladta hai aur twacha ko saf, suthari aur chamakdar banane mai madad karta hai. Iska prayog karne se chehre se daag-dhabbe mitte hai aur chehre mai nikhar bhi aata hai. Ise nimn prakar se chehre par laga sakte hai.  Iske istemal ke liye kalonji ke tel ko funsi wale sthan par rojana subah aur sham ke samay lagaye.  2 chammach nimbu ke ras mai ½ chammach kalonji ke tel ko milakar rojana subah aur rat ko sote samay laga le. Nimbu ke sthan par aap seb ke sirke ka bhi prayog kar sakte hai. Aankho Ki Roshni Ke Liye Netra rog vyakti ko kisi bhi umra mai ho sakta hai. Aese mai Kalonji ke tel ka prayog aankho ki roshani ko badhane aur aankho ke ilaj ke liye sabse acchi home remedy hai. Yeh aankho ke laalpan, cataract yaa aankho se pani aane jaisi samsya ko dur karne mai sahayak hota hai. Iske sath hi yeh motiyabind jaise rogo ko bhi thik karta hai. Iske istemal ke liye gajar ke ek glaas juice mai 2 chammach kalonji ke tel ko milakar subah sham do bar piye. Baalo Ki Dekhbhal Kare Aajkal mahila ho ya purush baalo ke jharne ki samsya se har koi pareshan hai. Aur baalo ka jharna, sharir mai nutrition aur uchit poshak tatvo ki kami ke karan hota hai. Aese mai kalonji ke me upasthit antioxidant aur antimicrobial gun baalo ki jado ko majbut banate hai aur unhe jharne se rokte hai. Ise lagane ke liye Kalonji ke tel se rojana sar ki malish kare. Iske alava kalonji ke beej ka lape banakar sar par lagane se bhi baalo ki jade majbut banti hai.


Kalonji Oil Benefits in Hindi: Anya Fayde Inhe Bhi Padhe  1 cup garm pani, 1 chammach shahad aur ½ chammach kalonji ke tel ko milakar rojana subah sham sevan karne se asthma jaise rogo mai aaram milta hai.  Rojana ½ chammach kalonji ke tel ko garm chay mai dalkar pine se raktchap mai aaram milta hai.  Kalonji ke tel se hath aur pairo ki malish karne se jodo ke dard mai aaram milta hai sath hi haath pairo ki sujan bhi dur hoti hai. Iske sathsath yeh charm rog aur gathiya rogo ko bhi dur karne mai sahayak hota hai.  Kalonji ke tel se sar aur kaan ke pas malish karne se sar dard dur ho jata hai. Iske sath hi aesa rojana karne se migraine ki wajeh se hone wale sar dard mai rahat milti hai. Upar aapne jana Kalonji Oil Benefits in Hindi. Yadi aap bhi upar dee gayi bimariyo se pareshan hai to aaj se hi Kalonji ka sevan kare aur rahe swasth.


Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.