Janiye Blood Platelets Badhane Ke Prakratik Aaha

Page 1

Prakritik Roop se Blood Platelets Badhane Wale Aahar Agar aap kam hote platelets se pareshan hai to ghabraye nahi kyuki aap apne aahar mai kuch foods ko shamil kar blood platelets ko prakritik roop se badha sakte hai aur khud ko puri tarah chust-durust bhi kar sakte hai. Sharir mai platelets ki sankhya kam hone ki stithi ko thrombocytopenia ke naam se jana jata hai. Ek swasth vyakti mai samanya platelet count blood mai 150 hazar se 450 hazar prati micro liter hoti hai. Lekin jab yeh count 150 hazar prati micro liter ke niche chala jaye to ise low platelet mana jata hai. Kuch khaas tarah ki dawai, anuvanshik rog, kuch khaas tarah ke cancer, chemotherapy treatment, adhik alcohol ke sevan aur kuch khaas tarah ke bukhar jese dengue, malaria aur chikengunia ke hone par bhi blood platelet ki sankhya kam ho jati hai. Lekin ghabraye nahi kyuki kuch aahar ki madad se aap blood platelets ko prakritik roop se badh sakte hai.


Inn Prakritk Roop se Badhaye Platelets Count aur Rahiye Swasth Nariyal Pani:Sharir mai blood platelet ko badhane mai nariyal pani bhi bahut madadgar hota hai. Nariyal pani mai electrolyte acchi matra mai hote hai. Iske alawa yeh mineral ka bhi accha source hai jo sharir mai blood platelet ki kami ko pura karne mai madad karte hai. Nariyal Pani ke aur adhik fayde janane ke liye dekhe Benefits of Coconut Water. Chukandar:Chukandar ka sevan platelet ko badhane wala ek lokpriya aahar hai. Prakritik anti-oxidant aur hemostatic guno se bharpur hone ke karan, chukandar platelet count ko kuch hi dino mai badha deta hai. Agar 2 se 3 chammach chukandar ke ras ko ek glass gajar ke ras mai milakar piya jaye to blood platelet tezi se badhti hai. Aur isme anti-oxidants ki mojudgi ke karan yeh sharir ki pratirodhi kshamta bhi badhate hai. Papita:Papite ke phal aur pattiya dono ka hi istemaal kuch hi dino ke bhitar kam platelet ko badhane mai madad karta hai. 2009 mai, malasia mai vigyan aur prodyogiki ke asia sanstha mai shodhkartao ne paya ki dengue bukhar mai girne wale platelet ko papite ke patte ke ras ke sevan se badhaya ja sakta hai. Aap chahe to papite ki pattiyo ko chai ki tarah bhi pani mai ubalkar pi sakte hai, iska swad green tea ki tarah lagega. Amla:Platelet ko badhane ke liye amla lokpriya ayurvedic upchar hai. Amla mai moujud bharpur matra mai Vitamin C platelet ke utpadan ko


badhane aur aapki pratiraksha pranali ko badhawa dene mai madad karta hai. Niyamit roop se subah ke samay khali pet 3-4 amla khaye. Yeh aap 2 chammach amla ka juice mai shahad milakar bhi le sakte hai. Kaddu:Kaddu kam platelets count mai sudhar karne wala ek aur upyogi aahar hai. Yeh Vitamin A se samraddh hone ke karan platelet ke uchit vikaas ka samarthan karne mai madad karta hai. Yeh koshikao mai utpadit protein ko niyantrit karta hai, jo platelet ke level ko badhane ke liye mahatvapurna hote hai. Kaddu ke aadhe glass juice mai ek se do chammach shahad dalkar din mai 2 baar lene se bhi blood mai platelet ki sankhya badhti hai. Giloy:Giloy ka juice blood mai platelets ko badhane mai kafi madadgar hota hai. Dengue ke douran niyamit roop se iske sevan se blood platelets badhne lagti hai aur aapki pratirohdi kshamta bajboot hoti hai. 2 chutki giloy ke satva ko ek chammach shahad ke saath din mai 2 baar le ay phir giloy ki dandi ko raat bhar pani mai bhigo kar subah uska chana huya pani pi le. Isse blood mai platelets badhne lagte hai. Palak:Palak Vitamin K ka ek accha source hai aur aksar kam Platelet vikar ke ilaj mai madad karne ke liye iska prayog kiya jata hai. Vitamin K sahi tarike se hone wali blood counting ke liye avashyak hai. Iss tarah se yeh bahhut adhik bleeding ke khatre ko kam karta hai. 2 cup pani mai 4 se 5 taaza palak ke patte ko dalkar kuch minutes ke liye ubal le Ise tahnda hone ke liye rakh de. Phir isme aadha glass tamatar mila de. Iss mishran


ko din mai 3 baar piye. Iske alawa aap palak ka soup, salad, smoothy ya sabji ke roop mai bhi iska sevan kar sakte hai. Upar aapne jane kese kam platelets ko aap prakritik tarike se badha sakte hai. To aaj hi se agar aap bhi low platelets count se pareshan ho rahe hai to inn prakritik chizo ka sevan kare aur swasth rahe.


Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.