Shirshasana Benefits in Hindi: Sehat aur Sondary ke Liye Yoga Yoga hamare sharir aur swasth dono ke liye bahut faydemand hota hai. Bahut se yogasano mai shirshasana bhi ek prakar ka yoga hai jise sar ke bal kiya jata hai. Iss aasan ko sabhi yogasano mai sarvshreshth mana gaya hai. Yeh hamare sharir ko kai prakar ki bimariyo se bachane mai madad karta hai. Shirshasana karne se hamare sharir ke rakt ka pravah mastishk par teji se hone lagta hai jisse mastishk ki granthiyo ki karypranali durast hoti ha, dimag sakriy hota hai sath hi sath pet mai sthit ang jaise amashay, liver, kidney aadi sabhi sucharu rup se karya karne lagte hai. Iss aasan ko karne se hamara pachan tantra thik se karya karta hai. Videsho mai ise inversion therapy ke naam se jana jata hai jisme ek flexible bistarnuma table par aasan ko kiya jata hai. Iss aasan mai dono pairo ko grip mai baandhkar pure sharir ko ulta latka diya jata hai. Jisse hamare pure sharir ka bojh sar aur haatho ko nahi uthana padta hai aur chot lagne ka khatra kam ho jata hai. Iss aasan ko karne se depression se bhi chutkara milta hai. Iske alava shirshasana ke aur bhi fayde janne ke liye yaha padhe Shirshasana Benefits in Hindi aur rakhe apne swasth ka sahi tarah se khyal. Shirshasana Benefits in Hindi: Yogasan Ko Karne Se Milne Wale Laabh
Shirshasana Karne Ki Vidhi Iss aasan ko karne ki vidhi baaki aasano se bilkul alag hoti hai. Ise sar ke bal kiya jata hai. Ise karne ki vidhi ke bare mai janne ke liye aaiye padhe Shirshasana Steps. 1. Iss aasan ko karne se pehle ek samtal sthan par dari bichakar vjrasan ki sthit mai baith jaye. 2. Ab thoda aage ki or iss tarah se jhuke ki aapne dono hatho ki kohniya jamin par tiki ho. 3. Iske bad apne dono hatho ki ungliyo ko aapas mai mod kar rakhe. 4. Fir apne sar ko dono hatheliyo ke bich mai dhire-dhire rakhe aur aesa karte samay apni saans ko samanya rakhe. 5. Apne sar ko jamin par tikane ke pashchat dhire-dhire apne sharir ka pura vajan sar par rakhte huye sharir ko upar ki or uthane ki koshis kare. 6. Ab apne sharir ka vajan sar par le le aur ulta khada ho jaye. Iss avastha ko hi shirshasana kaha jata hai. 7. Iss tarah sar ke bal kiye jane ke karan hi ise shishasana kaha jata hai. Shirshasana Karne Se Sharir Ko Milne Wale Laabh Iss aasan ko karne se hame bahut se swasth labh milte hai. Janne ke liye padhe Shirshasana Yoga Benefits. 1. Shirshasana ka niymit abhyas karne se pet mai sthit ang jaise kidney, liver, amashay aadi sabhi sucharu rup se kary karna prarambh kar dete hai. Aur hamara pachan tantra bhi active ho jata hai. 2. Iss yogasan ko karne se hamare chehre se jhurriya dur hoti hai, chehre se muhaso, pimples aur unke daag-dhabbo bhi jaldi dur ho jate hai. Darahsal sar ke bal khade hone ki sthit mai taja poshan aur oxygen hamare chehre ki taraf sancharit hone lagta hai jisse twacha mai chamak aati hai. 3. Iss aasan ka niymit rup se abhyas karne se hamare mastishk ka rakt sanchran badh jata hai natijnat hamari smaran shakti bhi bahut adhik badh jati hai.
4. Shirshasana aasan karne se hamare sharir ki tarah hi sar ko sabhi poshan aur khun ki matra milne lagti hai jisse hamare sar ke safed baal apne aap hi kale hone lagte hai. 5. Iske sath hi iss abhyas ko karne se hamare chehre ki chamak adhik badh jati hai, chehra glow karne lagta hai aur chehre par lalima aati hai. Darahsal hamara sar niche ki or mud jata hai jisse sar aur chehre par khun ka pravah adhik hone lagta hai. 6. Aur bhi kai Shirshasana Benefits in Hindi bhi hai. Iss abhyas ko karne se hame sharirik bal milta hai sath hi hamare pure sharir ki maspeshiya bhi majbut hoti hai. 7. Shirshasana karne se hamara aatmvishvas badhta hai aur kisi bhi prakar ka dar man se nikal jata hai. Shirshasana Karte Samay Rakhe Yeh Savdhaniya 1. Uchh raktchap se grasit vyaktiyo ko yeh yogasan nahi karna chahiye. 2. Aankho se sanbandhit koi bhi bimari ho tab bhi aapko yeh abhyas nahi karna chahiye. 3. Jin vyaktiyo ke gardan mai dard rehta hai ya fir gardan sambandhi koi bhi pareshani rehti hai tab bhi logo ko yeh aasan nahi karna chahiye. Yadi aap upar dee gayi teeno pareshaniyo se grasit hai ya fir aap puri tarah se aswasth hai to aapko yeh aasan karne se pehle kisi chikitsak ya fir yog shikshak ki salah lena chahiye. Iske alava yadi aap inn bimariyo se paresha nahi hai aur yogabhyas ki shuruaat karna chah rahe hai to shuruaat mai ise deeval ke sahare tik kar kare. Sath hi apne dono pairo ko bhi jhatke se bhi upar karne ki koshis na kare. Rojana abhyas karne se aap dhire-dhire shirshasana karne lagenge. Upar aapne padha Shirshasana Benefits in Hindi. Yadi aap bhi apne aap ko swasth aur sundar banana chahte hai yog guru ki paramarsh lekar iss aasan ko karna prarambh kare aur rahe swasth aur sundar.