Skin Cancer Symptoms in Hindi: Pehchane Iske Lakshan Twacha cancer vyaktiyo mai hone wala ek aam cancer hota hai. Jo ki sharir ki twacha ke upar hota hai. Iske jyada badhne par yeh ek bade cancer aur mout ka karan bhi ban sakta hai. Lekin ghabraiye nahi twacha cancer ke shuruati tour mai kai lakshan dikhayi dete hai. Inn lakshano ko dekhte huye iska ilaj kiya ja sakta hai. Cancer ke kai prakaro mai twacha cancer ka bhi naam aata hai. Twacha cancer, sharir ke kisi bhi bhag mai koshikao ki aniyamit vraddhi ko kaha jata hai. Aur yeh aniyamit rup se vikasit koshikaye aaspas ke uttako ko hani bhi pahuchane lagti hai sath hi aaspas ke ango mai yeh koshikaye failne bhi lagti hai jo ki cancer ka karan hoti hai. Twacha cancer jyadatar dhup mai kam karne wale vyaktiyo mai dekha jata hai. Iske alava jin vyaktiyo mai immunity power kam hoti hai unko yeh cancer aasani se pakad leta hai. Isse grasit logo mai peshab sambandhi samasyaye hona, muh se lagatar cough aana jaisi samasyaye hone lagti hai. Iske lakshano ko pehchanne aur iske karan janne ke liye aaiye padhe Skin Cancer Symptoms in Hindi aur Aur kijiye iska jald illaj Skin Cancer Symptoms in Hindi: Jane Iske Mukhya Lakshan aur Karan
Twacha Cancer Ke Prakar Twacha cancer ke lakshan ko dekhte huye ise teen prakar mai vibhajit kiya jata hai pehla Basal Cell Cancer (BCC), Squamous Cell Cancer (SCC) aur teesra Melanoma. BCC aur SCC cancer jyada khatarnak nahi hota hai aur iska ilaj bhi aasani se kiya ja sakta hai lekin Melanoma ke ilaj aur thik hone mai bahut samay lag jata hai. Basal Cell Cancer Yeh samanya prakar ka cancer hota hai. Yeh cancer twacha ki sabse nichali parat mai hota hai. Jab twacha ki nichali parat asamanya rup se badhne lagti hai tab yeh cancer hota hai aur aaspas ke bhago mai bhi failne lagta hai. Yeh sharir ke adhiktar unn bhago mai hota hai jo ki surya ke sampark mai jyada hote hai jaise chehra, kaan, gardan aadi. Yeh cancer, dhup mai adhik rehne wale logo mai hota hai. Iske alava ve log jinki aankhe safed aur neeli ho, ya fir jinki twacha bahut gori ho unme yeh cancer hone ka sabse adhik khatra hot ahai. Squamous Cell Cancer (SCC) Yeh cancer mukhya jyadatar twacha ki upari parat par hota hai. Jab surya ki hanikarak parabengani kirne twacha ke sampark par aati hai to yeh kirne twacha ko nuksan pahuchati hai aur cancer ka karan banti hai. Yeh cancer bhi jyadatar dhup mai rehne wale logo aur neeli aankho wale logo mai hota hai. Iske alava jinn vyaktiyo ka rang dark hota hai unme bhi yeh cancer hona ka khatra hota hai. Melanoma
Twacha cancer mai yeh ek aesa cancer hota hai jo ki vyaktiyo mai sabse kam hota hai lekin yeh sabse jyada khatarnak bhi hota hai. Yeh cancer sharir ke kisi bhi bhag mai ho sakta hai. Iss cancer ke hone ke piche ka karan bhi surya ki kirane hi hai iske atirikt jinko bahut bura sunburn ho gaya ho, jinki twacha bahut gori ho, sharir mai bahut sare masse ho ya fir parivar mai kisi ko pehle se melenoma cancer ho to bhi iske hone ki sambhavana rehti hai.
Twacha Cancer Ke Lakshan Twacha cancer se grasit logo mai kai prakar ke lakshan dekhne ko milte hai ise janne ke liye yaha padhiye Symptoms of Skin Cancer . Twacha mai kisi daag ya dhabbo ka 4 hafto se jyada rehna. Sharir ke kisi bhi ang mai khaj ya khujali ka bahut dino tak rehna. Twacha mai rojeshiya ki samasya yani twacha ka rang laal ya gulabi hona . Twacha mai pade daag mai khujali hona ya fir chhune par twacha ka komal hona aur dard mehsus hona. Til ya masso se khun ka behna bhi twacha cancer ka lakshan hota hai. Yadi sharir ke kisi bhi ang ki twacha ka rang badal gaya hai aur yeh rang aaspas ki twacha mai fail raha ho to yeh cancer ka karan ho sakta hai. Iske alava yadi aankh, dadhi, gaal aur mathe ke aaspas ki twacha mai laalpan ho aur usme jalan aur khujlahat ho to bhi yeh cancer ka lakshan hota hai.
Sharir mai til ya masse kahi par bhi ho sakte hai. Aur har vyakti ke sharir mai kahi na kahi ek til to jarur hota hai. Yeh til ya masse sharir ki twacha par uthe huye kale ya bhure rang ke hote hai. Lekin jab bhi inn masso ya fir til ke aakar aur color mai parivartan hota hai to yeh melonema ka karan ho sakta hai. Twacha cancer ke kai karan hote hai Upar diye gaye lakshano ko dekhkar aap inhe aasani se pehchan sakte hai. To aaiye jane Causes of Skin Cancer.
Surya ki hanikarak parabengani vikiran Adhik dhumrapan aur tambakhu ka sevan Purane ghav jo ki bhare nahi hai Kuchh dawao jaise pratiraksha damankari(Immunosuppressive) ka istemaal
Twacha Cancer Se Bachane Ke Upay Twacha cancer ke lakshan ko dekhte huye chikitsak ki salah lena chahiye jisse iska sahi tarah se ilaj kiya ja sake. Lekin uske bad bhi kai prakar ki savdhaniya baratkar iss cancer se bacha ja sakta hai. To aaiye padhe Prevention of skin cancer. Suraya ki hanikarak kirno se bachane ke liye dhup mai jane se pehle sunscreen ka upyog kare. Vitamin D se yukt aahar le jisse haddiya majbut ban sake aur surya ki hanikarak kirno se twacha bach sake. Iske alava chai piye, tamatar aur angur ka sevan kare. Nariyal ke tel, rasbhari ke bij, badam aur genhu ke tel se twacha ki malish kare. Twacha Cancer Ka Ilaj
Twacha cancer ko kai prakar se sahi kiya ja sakta hai to aaiye skin cancer treatment mai jane iske ilaj ke bare mai. Aksi Snl surgery Radiotherapy Radiation Upar aapne jana Skin Cancer Symptoms in Hindi. Yadi aapki twacha mai bhi twacha cancer ke lakshan dikhai de rahe hai to di gayi savdhaniyo aur uchit ilaj ke dwara aap is samasya se dur reh sakte hai.