Stevia Benefits: Mithas ke Saath Swasth ke Liye Laabhkari
Stevia ki pattiyo mai chini se 300 guna adhik mitha hota hai. Isi mithas ke karan ise Honey Plant bhi kaha jata hai. Kya aap isse parichit hai, agar nahi to aaj hum aapko batate hai Stevia Benefits in Hindi. Stevia jise madhurguna ke naam se bhi jana jata hai. Isme diabetes ko dur karne ke gun hote hai. Iske naam ki jadi booti chini ka sthan le sakti hai aur khaas baat to yeh hai ki ise ghar ki bagiya mai bhi ugaya ja sakta hai. Yeh shunya calorie sweetener hai aur iska koi dushprabhav nahi hai. Ise har jagah chini ke badle istemaal kiya ja sakta hai. Isse tayar utpad na kewal swadisht hai, balki dil ke rog aur motape se pidit logo ke liye bhi faydemand hai. Stevia na kewal sugar balki blood pressure, hypertension, daanto, vajan kam karne, gas, pet ki jalan, twacha rog aur sundarta badhane ke liye upyogi hota hai. Yahi nahi iske podhe mai kai aushdhiya aur jivanurodhi gun bhi hote hai. Wese to yeh mul roop se japan ka podha hai kintu jese-jese iski khubiyo ke bare mai pata chalta gaya. Wese hi wese iski vyavsayik kheti ko badhawa mila. Wahi bharatvarsh mai bhi kai rajya mai iski kheti prarambh ho chuki hai. Ise pachane se sharir mai enzyme nahi hota hai aur na hi glucose ki matra badhti hai. Aaj ke samay mai iska sugar free product banana ke liye prayog kiya jane laga hai.
Stevia Benefits in Hindi: Janiye Iske Aushdhiya Guno ke Bare Mai Diabetes mai Laabhkari:- Stevia ek charhara sadabahar shakiya poudha hai. Iski mithaas ke karan ise honey plant bhi kaha jata hai. Iska upyog herbal aushadhi rogiyo ke liye tonic ke roop mai bhi kiya jata hai. Stevia pancreas se insulin ko release karne mai aham bhumika nibhata hai. Yeh insulin pratirodhak mai vraddhi, glucose ke avashoshan ko rokkar aur agnyansh ke swasth ko badhawa dekar blood sugar level ko stith karta hai. Motapa Kam Kare:- Ayurveda chikitsako ke anusar stevia se sugar ke alawa motape se bhi nijaat payi ja sakti hai. Motape ke shikar vyaktiyo ke liye bhi yeh poudha kisi vardaan se kam nahi hai. Sugar hi motape ka karan banti dikhai de rahi hai, yadi sugar na bhi ho aur iska sevan kiya jaye to na hi sugar hone ki nobat ban payegi aur na hi motapa hoga. Aaj calorie ki samasya bhi kafi badhne lagi hai aise mai bhale hi stevia chini se adhik mitha ho kintu isme glucose ki matra na hone ke karan isse calorie ke aniyantrit hone ki sambhavna nahi rehti hai.
Blood Pressure ko Control Kare:- Brazil mai General and Technology mai prakashit ek adhyayan ke anusar, stevia se hypertension se pidit logo mai raktchap ke level ko kam kiya ja sakta hai. Halaki iske parinam samne aane mai ek se do saal lag jate hai. Lekin iss rog se grast logo ko High BP ko rokne ke liye apne aahra mai stevia ko shamil karna chahiye. Blood pressure ko control karne aur iske jokhim ko kam karne ke liye apne niyamit aahar mai stevia se bani chai piye. Dandruff aur Muhase ko Dur Kare:- Anti-bacterial, anti-fungal aur anti-inflammatory guno se bharpur hone ke karan, stevia muhaso aur rusi ki samasya se chutkara pane mai madad karta hai. Iske alawa yeh dry aur damage baalo ko thik karne ke liye bhi prayog kiya ja sakta hai. Baalo mai dandruff ko dur karne ke liye stevia ke satt ki kuch bundo ko shampoo mai milakar niyamit roop se upyog kare. Aur muhaso ki samasya hone par stevia ki pattiyo ko paste banakar ise prabhavit twacha par lagaye ya iske satt ko sidha muhase par lagakar, rata bhar ke liye chhod de. Acche parinaam pane ke liye iss upay ko niyamit roop se kare. Heart Burn aur Apach Kam Karne Mai Madadgar:- Stevia mai vishisht sanyantra glycoside ki upastithi, pet ke asatar mai hone wali jalan ko dur karne mai madad karta hai. Iss tarah ke apach aur heart burn ke upchar mai madad karta hai. Apach ki samasya se bachne ke liye stevia ki ek pyali garm chai hi kafi hai. Jabki heart burn se bachne ke liye aapko stevia se bani thandi chai pini chahiye.
Jhurriyo aur Fine Line ko Kam Kare:- Stevia mai moujud retinoic acid namak tatva jhurriyo ko kam karne mai madad karta hai. Yeh koshikao ke jivanskal ko bhi badhata hai. Iske skin care laabh pane ke liye aap stevia ko niyamit roop se istemaal ki jane wali cream mai milakar lagaye. Stevia Side Effects: Halaki stevia hume kai prakar ke swasth laabh pradan karta hai, lekin kuch shodh kehte hai ki iske kuch side effect bhi hote hai. Isme pet mai sujan, pehle se hi hypoglycemia se pidit logo mai blood sugar ka kam hona aur hypertension se pidit logo mai blood sugar ko kam karta hai. Isliye inn swasth jatiltao se bachne ke liye iske istemaal se pehle apne chikitsak se paramarsh kare. Upar aapne jane Stevia Benefits in Hindi. To aaj hi se iss ayurvedic aushadhi ka istemaal kare aur bahut si bimariyo ko dur kare.