Umra ke Saath Aapke Sharir Mai Hote Hai Yeh Sudhar
Umra badhna ek swabhavik si prakriya hai, lekin kya aao jante hai ki umra badhne ke saath aapke sharir mai kiss tarah ke badlav hote hai, aaiye hum aapko batate hai umra aur sharir mai hone wale badlav ke bare mai puri jankari. Na jane log umra kyu chipate hai jabki umra ke anusar aisi kai chize hai jo improve hoti hai. Umra ke anusar kuch chize wakai mai badalti hai aur wo aapke acche ke liye hi hoti hai. Umra ke saath inn badlav mai 5 chize kafi jaruri hoti hai. So agar saal dar saal aapke birthday cake par mombatti ki sankhya badh rahi hai to udas hone ki jarurat nahi hai. Balki inn badlav ke liye prakriti ka dhyanyavaad dene ki jarurat hai.
Janiye Umra ka Badhna aur Sharirik Badlav
Confidence ka Badhna:Umra ke anusar jo chiz sabse jyada improve hoti hai wo hai confidence ka badhna. Har kisi ko chhote mai yeh kam umra mai logo se baat karne par hichkichahat hoti thi, stage par jane se dar lagta tha, interview mai nervous hote the aadi. Lekin jese-jese aapki umra badhti jati hai aapka confidence bhi badhta jata hai. Twacha ki Gunvatta Mai Sudhar:Jese jese aapki umra badhti hai uska sabse accha asar twacha par padtahai. Umra ke badhne ke douran skin mai se oil hatate jata hai aur skin dry aur acchi hone lagti hai. Umra ke anusar sebaceous gland mai se oil ka kam risav hota hai jisse oily skin ki samasya umra badhne ke douran khatam ho jati hai. Memory Power:Adhiktar logo ka manana hota hai ki umra ke anusar dimaag ki takat kam ho jati hai. Lekin issue of phychological science ke april 2015 ke research ke anusar humari cognitive skill, jisme naam, naye shabd, suchnaye aadi yaad karna, umra ke saath badhte jati hai. Shodhkartao ke anusar bhulne ki bimari 60 saal se shuru hoti hai. Yeh research 50000 logo mai iq aur memory test ko lekar kiya gaya hai jisme bacche, youth aur budhe shamil the. Migraine ko Dur Kare:Umra badhne ke saath migraine ki samasya thik ho jati hai. Untied kingdom ke migraine trust ke migraine research charity ke anusar sare cases mai to aisa nahi, lekin 40% logo ne mana hai ki unki umra ke
anusar migraine ki samasya khatam ho gayi hai. Inn Gharelu Nuskhe se bhi aap migraine ki samasya ko dur kar sakte hai. Kam Neend Aana:Umra badhne ka sabse jyada fayda hota hai ki aapke paas kaam karne ke liye jyada samay hota hai kyuki umra badhne ke saath neend kam aati hai. Khaskar to ek umra ke baad din mai neend aati hi nahi jisse kaam karne ka bahut sa samay aapke paas bach jata hai. Upar aapne jane umra ke saath aapke sharir mai kon-kon se sudhar hote hai. Inn upay ko yaad rakhkar aap bhi swastrh aur tandaroost rahe.