Vitamins for Hair Growth in Hindi: Baalo Ke Liye Khas Tatva

Page 1

Vitamins for Hair Growth in Hindi: Lambe Ghane Baalo Ke Liye Baalo ke girne se aajkal bahut se log pareshan hai. Din bhar ke kam kaj aur tanav se bhari aur aniyamit jivanshelly ke chalte log apne baalo ka sahi tarah se khayal nahi rakh pate hai. Jisse logo ke baal jharne lagte hai aur rukhe-bejan ho jate hai. Bajar mai aese kai product aur conditioners milte hai jo ki baalo ki dekhbhal aur unhe lamba karne ke liye acche hote hai. Lekin inn products mai aese kai chemicals moujud rehte hai jo ki baalo ke tutane aur rukhe hone ke jimmedar hote hai. Kuch product aese bhi hote hai jo ki baalo ke liye acche rehte hai. Lekin ham aapko batana chahte hai ki keval inn products ki madad se baal acche nahi hote. Baalo ke sahi vikas ke liye andaruni poshan ki bhi jarurat hoto hai. Vitamins aur nutrients ke sevan se baalo ki sahi tarah se dekhbhal ho pati hai. Lekin sabse pehle aapko iss baat ka gyan hona aavashyak hai ki aese koun se vitamins hai jo ki baalo ke liye acche hote hai? To aaiye aaj jane Vitamins for Hair Growth in Hindi jiski madad se baalo ko uchit vitamins aur poshak tatva mil sake aur baalo ki sahi dekhbhal ho sake. Vitamins for Hair Growth in Hindi: Rakhe Balo Ka Sahi Khayal Vitamins yukt aahar baalo ki dekhbhal ke liye bahut hi aavashyak hote hai iske liye hair growth Vitamins mai aaiye jane unn sabhi vitamins ke bare mai.


Vitamin A: Vitamin A baalo ke acche vikas ke liye acche hota hai. Vitamin A mai paya jane wala antioxidant baalo ke acche rehne ke liye jaruri hai. Iski kami hone se baal kharab hone lagte hai aur jharne bhi lagte hai. Vitamin A, baalo ke liye healthy serum aur teliya yukt padarth ka utpadan karte hai jo ki baalo ko rukha hone se bachane aur tutne se rokte hai. Iske sath hi yeh vitamin baalo ke girne mai jimmedar radicals se ladne ki kshamta rakhte hai. Vitamin A Ke mukhya strot hai: Palak, tamatar, gobhi, meethe aalu, gajar, aam, tarbuj, angur aadi. Vitamin B: Vitamin B ki kami hone par bhi baalo ki growth mai asar padta hai. Vitamin B yukt bhojan ke sevan se baalo ka sahi vikas hota hai. Iske sath-sath yeh kai prakar ke rog aur bimariyo mai bhi labhdayak hota hai. Vitamin B mai sabse pramukh Bcomplex hota hai jo ki baalo ka sahi tarah se khayal rakhne ke liye madadgar hota hai. Iski kami hone se haath-pairo mai dard rehna, kamjori lagna, baalo ka rukha hona aur baalo ke jharne jaisi bahut si samasyae dekhne ko milti hai. Isliye yadi aap baalo ki sahi dekhbhal aur lambe baal chahte hai to vitamin B se yukt bhojan ka sevan kare. Isse yukt aahar hai: ande, dudh, paneer, dahi, khajur, anjeer, kele, nuts aur dale, khameer, machali, sabut anaaj aadi. Vitamin C: Vitamin C for Hair Growth ke bare mai jane to,yeh baalo ke badhne aur unki sahi tarah se dekhbhal ke liye sabhi prabhavi poshak tatvo mai se ek mana gaya hai. Yeh sharir mai collagen ke banne mai madad karta hai jo ki baalo ki growth ke liye accha hota hai. Iske sath hi yeh baalo ko majbuti bhi pradan karne mai sahayak hota hai.


Iski kami hone par baalo mai sukhapan aata hai. Iske alawa sar ki twacha par papdi jamne lagti hai jiise baalo ki jade kamjor pad jati hai aur baal jharne lagte hai. Isliye Baalo ki sahi dekhbhal ke liye Vitamin C se yukt aahar jaise aam, santra, matar, narangi, amrud, hari pattedar sabjiya, broccoli aadi ko apne bhojan mai jarur shamil kare. Vitamin D: Baalo ko adhik lamba, mota aur ghana banaye rakhne mai Vitamin D mahatvapurna bhumika nibhata hai. Iske mukhya strot jaise dudh, anda, makkhan, santara, halki dhup aadi baalo ke vikas mai madadgar hai. Vitamin E: Vitamin E for Hair Growth bhi hai. Yeh baalo ki vradhhi ,vikas aur sir ki twacha ki sahi dekhbhal ke liye bhi bahut accha vitamin hota hai. Yeh anti-oxidant se bharpur hota hai. Vitamin E, sharir ke rakt sancharan ko banaye rakhta hai jo ki baalo ke vikas aur naye baalo ke utpadan ke liye mahatvapurna hota hai. Kuch aaharo ko apnakar sharir se Vitamin E ki kami ko pura kiya ja sakta hai. Yeh vitamin jab sharir mai anya vitamins se milta hai to yeh milkar baalo ko adhik chamakdar bhi banane mai sahayak hote hai. Vitamin E se yukt aahar hai: avocado, jamun, salmon machali, aam, nuts, sabut anaj, jaitun ka tel, surajmukhi tel, tamatar, palak aadi. Aaj aapne jana Vitamins for Hair Growth in Hindi. Yadi aapke baal bhi rukhe, bejan aur bahut adhik jharne lage hai to diye gaye vitamins ko apnakar baalo ko lamba, ghana aur chamakdar banaya ja sakta hai.


Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.