Weight Loss Diet Plan in Hindi: Jaldi Se Kam Kare Apna Vajan Din-bhar baithakr kam karna aur khana aajkal ke logo ki jivanshelly mai aa chuka hai. Iss wajeh se sharir ka vajan bhi din par din badhta ja raha hai. Vajan kam karne ke liye logo ke man mai sabse pehle khana kam karne ki bat aati hai. Lekin shayad aapko pata hoga ki khana kam karne se vajan kam nahi hota hai. Vajan kam karne ke liye khane ko kam karne ki bajay yeh jan liya jaye ki hame kiss prakar ke aahao ka sevan karna hai aur kab. Iske liye hame kab kya khana chahiye yeh bhi pata hona bahut jaruri hai. Iske sath hi hame yeh pata hona chahiye ki hamare bhojan mai koun-koun se poshak tatv hai. Din bhar ke bhojan ko yadi ek sath kha liya jaye to iske kai dushprabhav jaise motapa, apach aur vajan badhne jaisi pareshani hone lagti hai. Isse bachne ke liye hame din bhar kuch samay ke antral mai kuch na kuch poshtik aahar ka sevan karte rehna chahiye. Vajan kam karne ke liye yadi ham apne dinbhar ke khane ka ek diet chart bana le to kuch hi dino mai vajan ko kam kiya ja sakta hai. Iske liye yaha padhiye Weight Loss Diet Plan in Hindi aur aasani se kam kare apna vajan. Weight Loss Diet Plan in Hindi: Planning Se Kare Apna Vajan Kam Sharir ke vajan ko kam karne ke liye hame apni dincharya ko ek planning ke sath chalane ki jarurat hoti hai. Kisi bhi samay bhuk lagna, bahar ka khana aur fast food ka sevan aadi vajan ko badhne mai madad karte hai. To aaiye padhe Diet Chart for Weight Loss jisse vajan ko aasani se kam kiya ja sake.
Taral Padarth aur Pani Piye Vajan kam karne ke liye sabse jaruri yeh hota hai ki sharir mai pani ki kami na ho. Pani hamare sharir se sabhi vishele padartho ko bahar karne mai madad karta hai. Isliye hame rojana 3 se 4 liter pani avashya pina chahiye. Iske alava hame pey yukt padarth jaise subah green tea aur falo ka juice jarur pina chhiye. Taral padath sharir ko shakti bhi dete hai sath hi inke sevan se sharir mai atirikt charbi nahi jamti hai. Subah Nashta Karna Na Bhule Subah ka nashta, sharir ko din bhar ki energy deta hai isliye hame apne dincharya mai subah ke nashte ko jarur shamil karna chahiye. Subah nashta na karne se ham din mai kuch jyada kha lete hai jo ki motape ko badhava deta hai. Isliye din bhar ki energy, calorie ko kam karne aur
overeating se bachne ke liye subah ka nashta jarur karna chahiye jisse sharir ka vajan kam ho sake aur adhik motape se bach sake. Din Ke Khane Ka Dhyan Rakhe Vajan aur motapa kam karne ke liye yeh jaruri hota hai ki ham jo khana kha rahe hai wo kiss tarah ka hai. Dophar ke bhojan mai hame daal, chawal, roti aur sabji ka sevan jarur karna chahiye jisse sharir ko multivitamin mil sake. Iske sath-sath salad ko bhi aahar mai shamil karna chahiye. Rat Ka Bhojan Jaldi Kare Rat ko sote samay hame daal, chawal rajma jaise khadya padartho ke sevan se bachna chahiye kyunki yeh aasani se nahi pachte hai. Iske alava hame rat mai sone se 2 ghante pehle khana kha lena chahiye isse bhojan ko pachne ke liye paryapt samay mil jata hai. Dhyan rahe rat ke bhojan mai halke aaharo ko le jisse bhojan jaldi pach sake aur sharir mai adhik fat na jam sake. Yoga aur dhyan Jarur Kare Yoga aur dhyan ke dwara bhi vajan ko kam kiya ja sakta hai. Isliye apne khan-pan ke sath-sath yeh bhi dhyan rakhna chahiye ki hame niymit rup se dhyan karna hai. Mahilaye yadi rojana subah uthte aur sham ke samay dhyan kare to apne swasth ko bhi accha bana sakti hai aur vajan ko bhi kam kar sakti hai. Weight Loss Diet Plan in Hindi: Vajan Kam Karne Ke Anya Jaruri Tathya  Vajan kam karne ke liye sabse pehle yeh jan lena jaruri hai ki ham jo khan rahe hai wo sahi tarah se chaba hai ya nahi. Sahi tarah se chabe huye bhojan ko pachne mai aasani hoti hai.
Aese khadya padartho se bache jinme bahut adhik fat hota hai. Subah ke samay chay ki jagah green tea ka sevan kare. Isse vajan ko kam karne mai aasani hoti hai. Jitna ho sake ghar par bane bhojan ko khaye. Bahar bana hua bhojan adhik teliy yukt aur fatty bhi ho sakta hai. Bhojan karne ke 30 minute pehle phal khane ki salah dee jati hai. Isse bhojan ke pachne mai madad milti hai aur khana bhi jaldi pach jata hai. Bhojan karne se pehle soup jarur pina chahiye. Soup hame overeating se bachane mai madad karta hai. Lekin dhyan rahe jyada cream aur chikna soup na piye, isme calorie ki matra adhik bhi ho sakti hai. Upar aapne jana Weight Loss Diet Plan in Hindi. Yadi aap bhi apna vajan kam karna chahte hai to dee gayi diet plan ko apnaye aur jaldi se kam kare apna vajan.