Jane Wheatgrass Benefits in Hindi Aur Banaye Apne Aap Ko Swasth

Page 1

Wheatgrass Benefits in Hindi: Jane Genhu Ki Ghas Ke Fayde Ham sabhi jante hai ki genhu ka sevan swasth ke liye faydemand hai. Lekin kya aap jante hai ki genhu ke chote-chote hare poudhe bhi poshak tatvo se bharpur hote hai. Inn chhote poudho ko wheatgrass kaha jata hai. Yeh wheatgrass sharir mai D-Toxin agent ke rup mai karya karta hai. Jab genhu ke beej ko upjau jamin mai boya jata hai to yeh beej kuch dino mai bahar ki aur hari ghas ke rup mai badhne lagta hai, jise genhu ki ghas kehte hai. Yeh ghas sharir ko kai prakar ki bimariyo jaise pet ke chhale, cancer, charm rog ucch raktchap aadi se ladne ki shakti pradan karti hai. Sath hi genhu ki ghas motape ko bhi kam karne mai sahayak hoti hai. Hari ghas ko log kai prakar se kha sakte hai jaise iski sabji banakar, wheatgrass powder ya fir iska juice banakar. Genhu ki ghas mai Iron, calcium sahit 19 amino acid aur 92 khanij tatva moujud hote hai. Sath hi isme kai prakar ke vitamins aur poshak tatv paye jate hai jo sharir ki rog pratirodhak kshamta ko banaye rakhne mai madad karte hai. Iske aur bhi fayde janne ke liye yaha padhiye Wheatgrass Benefits in Hindi aur banaye apne aap ko swasth.

Wheatgrass Benefits in Hindi: Jane Iske Swasthvardhak Labh


Immunity Syatem Ko Badhaye Sharir ki rog pratirodhak kshamta mai kami ki wajeh se chakkar aana, kamjori aur thakan lagne jaisi samasya hone lagti hai sath hi yeh kai prakar ki gambhir bimariyo ko bhi nyota deti hai. Genhu ki ghas mai rog nirodhak gun hota hai jo ki kamjori ko dur karne ke sathsath kai prakar ke rogo se ladne ki shakti deta hai. Iske liye ache khan-pan ke sathsath rojana ek glass Wheatgrass Juice jarur pina chahiye. Pachan Mai Sahayak Genhu ki ghas sharir ke pachan tantra ko banaye rakhti hai. Isme magnesium ki ucch matra payi jati hai sath hi kai prakar ke kshariy(Alkaline) tatv bhi hote hai jo ki sharir ko kabj, pet dard, alsar, muh ke chhale aur dast se rahat pradan karte hai. Iske sath hi isme upasthit vitamin B, amino acid aur kai prakar ke enzyme, upaj aur sine mai jalan jaisi samasyao ko dur karte hai. Cancer Se Bachaye Sharir mai oxyzen ki kami kai prakar ke cancer aur sankraman ka karan banti hai. Iske liye wheatgrass sharir mai oxyzen ke pravah ko banaye rakhta hai. Iske sathsath Isme kai prakar ke poshak tatv, chlorophyll aur minerals hote hai jo ki sharir ki andruni safai karte hai aur bimariyo se bachate hai. Twacha Ke Liye Genhu ki ghas twacha ke liye bahut hi faydemand hoti hai. Iska juice pine se sharir ke sabhi kharab cells ki repairing hoti hai aur naye cells bante hai jo ki purane ghavo ko bharne mai sahayak hote hai. Iske sath hi Iske Juice ko rui ki sahayta se chehre par lagane se pimples, daag aur chehre ki jhaiya dur ho jati hai. Motapa Kam Kare Motape ko kam karne mai genhu ki ghas ka bahut bada yogdan hota hai. Isme upasthit nutrition’s aur poshak tatv sharir ko urja aur shakti pradan karte hai aur lambe samay tak bhuk ko lagne nahi dete hai. Jisse overeating se bacha ja sakta


hai aur motape ke sath-sath vajan ko bhi kam karne mai sahayak hota hai. Iske alava yeh thyroid granthi ki sakriyta ko bhi badhata hai jo ki vajan ko ghatane mai madad karta hai. Hemoglobin Ko Badhaye Genhu ki ghas mai chlorophyll ki adhik matra payi jati hai. Iss chlorophyll ko green blood kaha jata hai, yeh sharir mai upasthit oxyzen se milkar laal rakt koshikao aur safed rakt koshikao ke banne mai sahayak hota hai. Iss wajeh se yeh sharir ke hemoglobin ko badhane mai sahayak hota hai. Jo ki anemia jaise rogo se ladne ki shakti deta hai. Madhumeh Mai Faydemand Madhumeh rog se pidit vyaktiyo ke liye genhu ki ghas bahut hi faydemand hoti hai. Yeh sharir mai glucose ki matra ko banaye rakhne mai sahayak hota hai. Yeh sharir mai upasthit sabhi vishaile padarth ko bahar nikalne mai madad karta hai sath hi yakrit aur agnashay ki karya pranali ko bhi banaye rakhta hai. Wheatgrass Benefits in Hindi: Anya Fayde Inhe Bhi Jane  Wheatgrass Powder Benefit-Genhu ki ghas mai upasthit chlorophyll, khanij aur vitamins, bavasir jaise rogo mai faydemand hai. Iss samasya ke liye rojana 3 mahino tak din mai 2 bar genhu ki ghas ka powder aahar ke rup mai lena chahiye.  Wheatgrass for eyes bhi hai. Iske powder ka niyamit sevan aankho ki roshni badhane mai madad karta hai.  Genhu ki ghas ka sevan karne se sharir mai moujud toxins bahar nikal jate hai. Sath hi isme upasthit vishanunashk, rakt ko saaf karta hai jisse sharir aur pasine se badbu nahi aati hai.  Sharir ke blood circulation ko banaye rakhne mai bhi yeh sahayak hota hai.  Wheatgrass Juice Benefits bhi hai. Genhu ki ghas ke juice ko muh mai thoda der tak rakhne par daanto ki sadan dur hoti hai. Sath hi yeh daanto ko majbuti bhi pradan karte hai.


 Wheatgrass ka juice, hath-pairo ke dard aur sunburn ko bhi dur karne mai sahayak hota hai.  Genhu ki ghas sharir ki prajnan shakti ko banaye rakhne aur garbhdharan mai bhi madad karta hai.  Rusi ko dur karne ke liye iske powder se sar ko dhona chahiye. Isse rusi aur sar ki khujali mai rahat milti hai. Aaj aapne jana Wheatgrass Benefits in Hindi. Yadi aap bhi upar di gayi samasyao se pareshan hai to aaj se hi apne aahar mai genhu ki ghas ko shamil kare aur rahe swasth.


Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.