Yoga for Back Pain in Hindi: Yogasana Se Dur Kare Kamar Dard Pehle ke samay mai kamar dard aur peth dard jyadatar vriddh purush aur mahilao mai dekha jata tha. Lekin aaj ke samay mai yeh samasya kam umra ke logo mai bhi hone lagi hai. Darahsal aaj kal jyadatar logo ka kam ek jagah baithkar hota hai chahe fir bat computer par kam karne ki ho ya fir kisi daftar mai baithkar kam karne ki. Ghanto baithkar kam karne ki wajeh se sharir ko kamar dard aur peeth dard hone lagta hai aur fir bad mai yeh dard Cervical jaisi bimari ka rup le leta hai. Lambe samay tak kam karne ye dard hona aam bat hai lekin jab bat iske ilaj ki aati hai to log kai prakar ki creams ka istemal karte hai jisse kuch ghanto ke liye to rahat mil jati hai lekin bad mai fir se yeh samasya hone lagti hai. Chikitsako ne yeh khud bataya hai ki kamar dard ke ilaj ke liye yoga bahut accha hota hai. Yoga ke dwara peeth dard, kamar dard ke sath-sath kai prakar ki bimariyo ko bhi dur kiya ja sakta hai. To aaiye aaj kamar dard se rahat pane ke liye jane best Yoga for Back Pain in Hindi.
Yoga for Back Pain in Hindi: Apnaye Inn Yogasana Ko
Aese kai prakar ke yoga hote hai jinki madad se kamar dard ko aasani se dur kiya ja sakta hai. Yoga ek aesa ilaj hota hai jo ki peeth dard se lekar sharir ki kisi bhi bimari ko jad se khatm kar deta hai. Isliye aaiye aaj jane yoga asanas for back pain. Makarasana Yeh aasan kamar aur peeth dard ke liye ramban aushadhi ka kam karta hai. Iss aasana ko pet ke bal letkar kiya jata hai aur isko karte samay hamari sharir ki sthiti magar ke saman dikhayi deti hai. Iss wajeh se ise makarasana kaha jata hai. Ise karne ke liye sabse pehle kamin par pet ke bal let jaye aur apni dadhi ko jamin par tika de. Ab apne dono hatho ko kamar se satakar aur hatheliyo ko upar ki or rakhe. Haath ke sath-sath dono pairo ko bhi ek dusare se satakar rakhe. Ab dono hatho ko upar ki or uthaye aur haatho par sar rakhne ki koshis kare. Uske bad mai thoda duri banakar jamin ko sparsh karte huye antar rakhe. Iss avastha mai thoda der rahe fir wapas apni pehle ki sthit mai aa jaye. Aesa rojana karne se peeth aur kamar dard mai aarma milta hai. Bhujangasana Yeh aasan bhi jamin par letkar kiya jata hai lekin isme sharir ki sthiti sar upar uthaye huye hoti hai jaise ki saanp apna fur failata hai. Iss wajeh se ise bhujangasana kaha jata hai. Ise karne ke liye jamin par let jaye aur apne pairo ki andi aur panje satakar rakhe aur daadhi ko jamin par rakhe. Haath ki kohniyo ko kamar se satakar rakhe. Ab dhire-dhire haath ko kohniyo se modte huye hatheliyo ko bajuo ke niche rakh de, aur thodi ko gardan se dabate huye mathe ko jamin par rakh de. Iske bad naak ko jamin se sparsh karate huye sar ko upar ki uthaye. Sar aur chhti ko jitna ho sake piche ki or le jaye lekin yad rahe ki nabhi jamin par hi ho. 20 second mai iss avasth mai rahe fir dhire-dhire saans chhodte huye apni pehle wali sthiti mai vapas aa jaye.
Chakrasana Chakrasana ek best Yoga for Back Pain Relief hai. Iss aasan ko karne ke liye jamin par seedhe khade ho jaye aur dono hatho ko satakar rakhe. Fir daanye haath ko upar ki or iss tarah se uthaye ki haath kaan se sata rahe. Ab sharir ko apni baayin or iss tarah se jhukaye ki dono haath ek seedh mai ho jaye. Ab daanye haath se apne pair ko chhuye aur baayen hath ko upar kare. Yehi prakriya dusare pair se bhi dohraye. Yeh aasan rojana karne se kuch hi dino mai kamar aur peeth dard jad se khatm ho jata hai. Halasana Iss aasan ko karte samay sharir ki sthiti hal ke saman ho jati hai isliye ise halasana kaha jata hai. Ise karne ke liye pehle jamin par peeth ke bal let jaye fir dono hatho ki hatheliyo ko jamin par rakhkar kohniyo ko kamar se sataye. Ab saans ko bahar nikale aur dono pairo ko ek dusare se satate huye pehle 60 degree aur fir 90 degree ke kon mai upar ki or uthaye. Fir dono hatheliyo ko jamin par dabate huye hathelyo ke sahare dono pairo ko piche ki or jhukate huye panjo ko jamin par rakh de. Ab dono hatho ki hatheliyo ki sandhi kar sar se lagaye. Fir sar ko hatheliyo se thoda dabaye jisse pair or piche ki or ho jaye. Aesa karne se peeth dard mai jald hi aaram mil jata hai. Ardha Matsyendrasana Yeh aasan kama raur peeth dard ke liye bahut hi mahatwpurna aasan hota hai. Ise karne ke liye sabse pehle jamin par baith jaye aur dono pairo ko seedha rakhe. Fir baaye pair ko ghutne se modte huye andi ko gudadwar ke niche laaye. Ab dahine pair ko ghutne se modte huye baanye pair ki jaangh se upar ki or le jate huye jaangh ke piche jamin par rakh de. Fir baaye hath ko dahine pair ke ghutne se par karke yani ghutne ko bagal mai dabate huye bayen hath se dahine pair ka aguntha pakade. Ab dahina hath peeth ke piche se ghumakar baye pair ki jangh ko pakde. Apne sar ko dahine or itna
ghumaye ki thodi aur baya kandha ek seedh mai aa jaye. Chaati ko bilkul tani rakhe aur fur iss prakriya ko dahine pair ke sath dohraye. Upar aapne jana Yoga for Back Pain in Hindi. Yadi aap bhi kamar aur peeth dard se pareshan hai to diye gaye yoga aasano ko apnaye aur dur kare kamar dard.