Yoga for Migraine in Hindi: Yoga Dilaye Sar Dard Se Chutkara Aajkal ki tanavpurna jindagi aur kamkaj ke chalte sar dard hona aam bat hai. Lekin jab yeh sar ka dard hamesha hone lage to ise thik karne ke liye kisi bhi painkiller ka sevan nahi karna karna chahiye. Hamesha sar ,mai dard rehna migraine ka karan hota hai. Aajkal desh mai adhiktar logo ko iss bimari ne jakad kar rakha hai. Aur din par din iske marij bhi badhte ja rahe hai. Vyaktiyo mai migraine hone ki pramukh wajeh bhag-dor bhar jindagi aur mansik tanav hai. Jo ki hamare rojmarra ke karyo se paida hota hai. Migraine hone par vyaktiyo mai kai lakshan dekhne ko milte hai jaise ulti aana, bar-bar chakkar aana, aur drashti kamjor hona . Kabhi-kabhi kisi kam ke pura na hone aur usme koi samasya aane ke karan bhi sar mai tanav ya khichav sa lagne lagne lagta hai. Iss khichav ki wajeh se vyaktiyo ko aadhe sar ka dard yani migrane ki shikayat hone lagti hai. Migraine ko dur karne ke liye log bahut si dawaiyo ka sevan karte hai lekin inse bhi sar ka dard jad se khatm nahi hota hai. Aur jab bhi vyakti dawaiya lena band karta hai to sar dard fir se shuru ho jata hai. Yoga ke dwara bahut si bimariyo se chutkara milta hai. Yoga ke dwara migraine ki wajeh se hone sar dard se chutkara paya ja sakta hai. Aese mai hame koun-koun se yogasano ka sahara lena chahiye janne ke liye yaha padhiye Yoga for Migraine in Hindi.
Yoga for Migraine in Hindi: Inn Yogasano Ka Le Sahara
Migraine hone kai kai anya karan bhi hai jaise kabj, ucch raktchap, masik dharm mai aniymitta, pachan kriya mai samasya, galat khan-pan, neend puri na hona, had se jyada karya karna. Migraine ka dard 10 se 15 saal ke ki umra se shuru hota hai. Isse chutkara pane ke liye aaiye jane Migraine Treatment Yoga. Balasana Migraine se chutkara pane ke liye accha aasan hota hai. Yeh ek accha stress buster aasan hai. Iss aasan ko karne se hipps, jaangho aur aediyo mai khichav hota hai jisse sharir thakan aur tanav se mukt ho jata hai. Iss aasan ko karne se hamara man shant hota hai, tantrika tantra ko shanty milti hai aur prabhavi rup se sar ka dard bhi kam ho jata hai. Hastpadasana Hastpadasana karne se hamare pure sharir ko shanty milti hai aur tantrika tantra bhi sfurti se bhar jata hai. Iske alava yeh aasan sharir ke rakt sanchran ko bhi bhi badhane mai madad karta hai. Iss aasan ko karne ke liye sabse pehle seedhe khade ho jaye. Fir dhire-dhire niche jhuke aur dono haatho ko bhi pichhe karte chale. Sharir ko itna niche jhukaye ki hamara sar ghutno se sat jaye aur dono haath pichhe ki chale jaye. Iss mudra mai thoda der rehne par vapas usi mudra mai aa jaye. Pashchimottasana Iss aasan ko karne se hamara man shant hota hai, tanav se rahat milti hai aur hamare sar ka dard bhi dur ho jata hai. Iss aasan ko karne ke liye jamin par chatai bichakar baith jaye aur apne dono pairo ko samne ki taraf seedha faila le. Fir ek lambi sans le aur dono hatho ko, pairo ke samanantar mai seedha rakhe. Uske bad dhire-dhire saans chhodte huye apne sar ko niche ki or itna jhukaye ki sar ghutne par rakh jaye aur dono hath panjo se sat jaye. Ab iss mudra mai thoda samay rehne ke pashchat vapas apni pehle wali sthiti mai aa jaye.
Marjariyasana Yeh aasan sharir ke raktsanchar ko sudharne mai madad karta hai. Iss aasan ko karne se migraine ki wajeh se hone wale sar dard ko thik kiya ja sakta hai. Yeh aasan hamare man ko shant rakhta hai, tanav ko dur karta hai aur shvasan kriya ko behtar banane mai madad karta hai. Rojana marjariyasana karne se sharir ki sabhi thaki hui maspeshiyo mai aaram milta hai jisse sar dard, jodo ke dard aadi se chutkara dilane ka ek accha tarika hota hai. Pavanmuktasana Pavanmuktasana bhi hame migraine ki wajeh se hone wale sar dard se chutkara dilane mai madad karta hai. Ise karne ke liye sabse pehle ek chatai mai sar ke bal late jaye. Uske bad daaye pair ko ghutno se modte huye apni chati se lagane ka prayas kare. Fi apne dono hatho ki ungliyo ko aapas mai mila le aur dadhi ko ghutne se milane ki koshis kare. Iss avastha mai baaya pair jamin par rahega. Kuch der isi mudra mai rehne ke pashchat isi kriya ko baaye pair se kare. Iss tarah iss aasan ko kam se kam 5 bar jarur kare. Yoga for Migraine in Hindi: Anya Aasan Bhi Hai Faydemand  Padmasana karne se sar dard dur hota hai aur migraine se chutkara milta hai.  Shavasana bhi migraine se chutkara dilane mai madad karta hai. Ise karne ke liye peeth ke bal let jaye, dono pairo ke bich mai 1 se 2 feet ka antar rakhe. Dono haatho ko jangho ke pas aur hatheliya upar ki taraf ho. Iske bad apna sara dhyan saans lene aur chhodne mai lagaye. Isse shvasan kriya sahi hoti hai aur sar dard mai bhi aaram milta hai.  Vajrasana bhi faydemand hota hai. Ise karne ke liye apne dono pairo ko ek dusare ke upar rakhkar padmasana ki sthiti mai baith jaye. Uske bad dono hatho ko piche ki or le jakar kalaiya pakad le. Fir dhire-dhire apni kamar ko niche ki or jhukaye aur dadhi ko jamin se lagane ki koshis kare. Iss aasan ko karne se sar dard dur hota hai aur sharir tanav se bhi mukt rehta hai.
 Setu bandhasana bhi migraine ki wajeh se hone wale sar dard mai aaram dilate hai. Iss aasan ko karne se rakt sanchar sahi hota hai, man shant rehta hai aur mastishk ko aaram bhi milta hai. Iske alava Ise karne se rakt mastishk ki or badhne lagta hai jisse sar dard mai aaram pahuchta hai. Upar aapne jana Yoga for Migraine in Hindi. Yadi aap bhi migraine ki wajeh se hone wale sar dard se pareshan hai to aaj se hi upar diye gaye yogasano ko apni dincharya mai shamil kare aur rahe swasth.