Grasshopper - Mirrors of the Mind

Page 1





Hello, I need to talk to you. Can we meet?



Roz roz raaton mein, Uth key dekhoon chanda rey, Tu na aaya, Kaali raat ka saaya Kaali raat ka saaya

Kaise sapne hain, Jinme na dikhte apne hain, Kaisi maaya, Kaali raat ka saaya, Kaali raat ka saaya

Kaise sapne hain, Jinme na dikhte apne hain, Kaisi maaya, Kaali raat ka saaya Kaali raat ka saaya

Raakh udti hai sapnon key shehron mein, Daag dikhte hain kismat key chehron mein, Raahon mein chalta hai thodi door pe saaya

Kya zillat hai jo mujhko khati hai, Kya qillat hai jo jee ko aati hai, Maine to apna hi bija jo paya. Roz roz raaton mein, Uth key dekhoon chanda rey, Tu na aaya, Kaali raat ka saaya, Kaali raat ka saaya



Yun mita dena mera naam kahani sey, Jaise koi likhta ho koi naam paani sey. Saarey vaadey they aur kya zubaani sey, Saarey lamhey they aur kya naadani sey. Udti hai zyada, kati, jab hoti hai, patang, magar yeh, kisi ki nahin hoti hai, Kaash koi lele yeh kaash, mere seeney sey, Saans phir jodey meri laash jeeney sey, Khaak sab kar do saarey khwab, kareeney sey, Iskey pehley hon jazbaat kaminay sey



Jabi maut hoti hai, woh time pey nahi rona chahiye. Kyun? kyun, woh toh sab dukh sey door ho gaya. Mar gaya, sab takleef sey door. Jab bachcha paida hota hai, woh time pey rona chahiye. Jab woh paida hua hai, woh jab tak jiyega, Kaun kaun sa takleef sey guzrega. Us key upar kitni museebatein ayengi



Woh chhupa khada rehta hai Woh jhankta rehta hai Woh simta sa rehta hai Woh sarakta rehta hai Woh kisiko nahin dikhta, par mehsoos hota hai Woh khaata rehta hai Woh bhooka rehta hai Woh aata hai, jaata hai Woh ruka rehta hai Woh mera saathi nahin hai, par saath zaroor hota hai Kaaley sey tehkhaney hain Jinke moonh khul jaane hain Jo tera hai, jo tere hain Sab nigal jaane hain



Haath chhodey ehsaas key (dil mein mehsoos sab) Lafz ney (par adhoora bayaan hai) Saath chhodey saath key (rishtey mazboot sab) Sabr ney (adhoora par itminan hai)

Haath chhodey yaad key (naam chehrein hain wahi) Vaqt ney (khasiyat faraar hai) Saath chodey ghaav key (zakhm gehrey hain wahi) Dard ney (ahmiyat khaaksaar hai)

Door bhi, paas bhi, kyun lagey na zindagi khaas si

Door bhi paas bhi, kyun lagey na zindagi khaas si Thak gaye, bejaan sey, aarzoo hai ab kisi sailaab ki

Toofanon mein kashti girney ko raazi hai Barbadi ko apni mehmaannawazi hai Doobein ya ubhrein ab lehreinhi maajhi hain Bhavron ki gehrai manzil ki kaazi hai



Aaainon pey jo bhaap lagi hai, Tere daagon ko dhaank legi, Kisney kaha hai teri maafi, Tere karmon ko saaf karegi? Khidkiyon ki daraarein, Kahan baarishein bhar degi, Aankhon se behti dhaarein, Kahan kismat ko mod degi? Teri chausar pey yun haar key aye Zindagi ko baalon sey kheench key laye Kismat key haath bhi kaam na aaye Darbaron mein yun, yun lut key aaye Kagazon pey kheenchey nakshey, Kahan manzil ko paa lengey, Kisney kaha hai tere sajdey, Tujhey jannat mein laa dengey?



Kaise paththar daale ye paani mein, Jo ek laher nahin banate hain, Jaa baithe zehen ki teh mein, Aur ab aansu chalkate hain. Thode se yeh parde to hilte they, Ab yun hi thame reh jaate hain, Saason key jhonkey to chalte hain, Par dil mein ab kuch nahi udate hain. Bhar do na taarey jitne, Aasma yeh kaala rahega, Kaantey bhi phir na chubhenge, Dil mein jo chaala rahega Aankhon ki chaar diwari mein, Kaale panchi ab aate hain, Lakhon sapnon ki laashein hain, Sannatey noch key khaate hain.



Aaja chalein us or, Jis raste pey na mod, Bas badhta ek or, Jahan raatein ghanghor. Raaton mein aisa zor, Nazron pe pardey odh, Ab mita dey saare shor, Sannatey charon or. Gum hain galliyan, gum hain raste, gum mukaam hain, Gum hain lamhe, gum hain ghadiyan, gum tamaam hain. Aaj tak ki kashmakash sey ab araam hai, Yeh woh manzar hai jo khud ka khud anjaam hai Aaja Chalein is or, Yahan thehrey saari daud, Na khwahishon ki hod, Na mayusiyon key daur. Yeh Jahan hain koi aur

Na dishayein, na hi chhor Har rasta ek khoj, Ley jaye sach ki or. Gum hai mehfil, gum hain apne, gum anjaan hain, Gum hain chehre, gum hain saaye, sab gumnaam hai. Aaj tak ki kashmakash sey ab araam hai, Yeh woh manzar hai jo khud ka khud anjaam hai



Bhaven Dhanak : Vocals Gaurav Shah: Guitars Rahul Singh: Synthesizer/Keyboards All songs written by Amarpreet Saini, Gaurav Shah and Rahul Singh All songs lyrics by Amarpreet Produced and Engineered by Rahul Singh Recorded at Orange Byte Studios, Mumbai, India Mixed by Tim Palmer Mixed at ’62 Studios, Austin, Texas, U.S.A. Mastered by Justin Shturtz Mastered at Sterling Sound, New York, U.S.A. Vocal arrangement (backing vocals) by Bhaven Dhanak Music programming and sound design by Rahul Singh Additional Bass Recordings by Melroy Coelho and Anand Nawalkar Art direction/Design: Jonathan Key, Sydney Australia Band Logo: Dipto De & Anagh Banerjee Executive Producer: Gaurav Shah



Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.