Noor-e-Irfaan Volume 6

Page 1


ALL RIGHTS RESERVED - TABLIGH BOARD - DSM

COMPILERS: AKIL MEGHJI & ALIASGHER MEGHJI VOLUME 6 - 1434 A.H. (2012/2013) 1000 COPIES

TABLIGH BOARD, KSI JAMAAT P O BOX 233 | DAR ES SALAAM, TANZANIA TEL: +255 22 2115119 | FAX: +255 22 2127555 EMAIL: tablighadmin@raha.com | WEBSITE: www.dartabligh.org


NOOR E IRFAAN - VOL 6. IN THE NAME OF ALLAH (SWT), THE BENEFICENT, THE MERCIFUL.

Dear Reader, Salamun Alaykum. Alhamdulillah, With His Grace, The Almighty Allah(SWT) & the Wasilah of the Holy infallibles, We, the compilers have come up with the SIXTH volume of NOOR E IRFAAN. We really appreciate the hard work put into this noble cause and I shall fail in my duty if I do not thank ZAKIRA FATIM ZINATALI DEWJI being the proofreader of this holy book authorized by the Tabligh Board and also the Tabligh Board of Dares Salaam Jamaat. We would also like to thank each and everyone who have worked behind the curtains to make this book a success. Whilst every effort has been made to ensure the accuracy of the compiled contents, Mo’mineen are urged to write to us if they spot any errors. NOOR E IRFAAN P.O.Box 88, Dares Salaam, Tanzania. Cell: 0713 362866 / 0784 233455 ameghji2000@yahoo.com / meghji786@hotmail.com KEY: Keep in mind the KEY from the previous Noor e Irfaan, Kindly take Note of the below: CCHHOD = CCHHOR

DUE TO RESPECTABLE TEXT, PLEASE HANDLE THE BOOK WITH CARE.





AAJ DONO JAHAA(N) ME(N) AAJ DONO JAHAA(N) ME(N) HAY SHOR MACHA YA IMAME HASSAN YA IMAME HASSAN GHAR ME(N) ZAHRA KE KHAALIQ NE BETA DIYA YA IMAME HASSAN YA IMAME HASSAN AAJ ZAHRA KO YE MARTABA HAY MILAA MAA KA RUTBA MILAA PHOOL KAISA KHILAA KYU(N) NA HUM SAB BHI KHUSH HO KE YE DE(N) SADA YA IMAME HASSAN YA IMAME HASSAN AAP KO YA RASUL YE MUBARAK HO PHOOL SHAAD DONO BAHOT HAI(N) ALI-O-BATUL AAJ SHIYA BHI KHUSH HOKE DETE SADA YA IMAME HASSAN YA IMAME HASSAN GHAR ME(N) ZAHRA KE SAB KHUSH AUR MASROOR HAI(N) KHUD RASULE KHUDA SHAADO MASROOR HAI(N) INKI BETI KO HAQNE YE BETA DIYA YA IMAME HASSAN YA IMAME HASSAN MAA SE WIRSE ME(N) ISNE LIYAA SABR HAY BAAP KI YEH SAKHAAWAT KI TEHRIR HAY LI IBAADAT ME(N) NANA KI SAARI ADAA YA IMAME HASSAN YA IMAME HASSAN AAJ SAB YE MUHIBBO HAI(N) KARTE DUA MAWLAA MILJAAYE SABKO DILI MUD-DUA SAB FAQIRO(N) KI SUN LIJIYE YE SADAA YA IMAME HASSAN YA IMAME HASSAN

APNE RAWZEPE MUJHKO APNE RAWZEPE MUJHKO BULA LIJIYE YA IMAME RAZA YA IMAME RAZA YU(N) MERE DARDE DILKI DAWA KIJIYE YA IMAME RAZA YA IMAME RAZA MUJHKO IZNE HUZURI HO BEHRE KARAM APNI ANKHO(N) SE CHUMU DARE MOHTARAM MERA SOYA MUQADDAR JAGAA DIJIYE YA IMAME RAZA YA IMAME RAZA

1


AAP KE SHER KI ROSHNI DEKHLU(N) MAUT SE PEHLE YE ZINDAGI DEKHLU(N) MUJH GUNEHGAAR KO BHI SADAA DIJIYE YA IMAME RAZA YA IMAME RAZA MERE AAQA YE HAY ZINDAGI MUKHTASAR JAANE KAB HO NASEEB APKA MUJHKO DAR KHWAABE TAABIR SE AB MILAA DIJIYE YA IMAME RAZA YA IMAME RAZA SHAAHE LAWLAAK KA WAASTAA AAPKO PANJETAN PAAK KAA WAASTA AAPKO JO HAI(N) BIMAAR UNKO SHIFAA DIJIYE YA IMAME RAZA YA IMAME RAZA PAAKE DILKI MURAADE(N) SAWAALI GAYA AAP KE DAR SE KOI NA KHAALI GAYA HUR KE JAISA MUKADDAR BANAA DIJIYE YA IMAME RAZA YA IMAME RAZA HAR NAFAS AB YEHI HAY DUA E “SUHAIL” IZN MUJHKO MILE SAYADAAH KE TUFAIL APNA ZAAIR MUJHE BHI BANAA DIJIYE YA IMAME RAZA YA IMAME RAZA BANKE BAAP KI ZINAT BANKE BAAP KI ZINAT DEKHO AAGAYI ZAINAB ISMATO(N) KE JHURMAT ME(N) DEKHO AAGAYI ZAINAB FATEMA KI GODI ME(N) FATEMA KI SAANI THI BOLE YA ALI MAULA DEKHO AAGAYI ZAINAB KARBALA KE FAATEH TO HAI(N) HUSAIN IBNE ALI SHAAM KO FATAAH KARNE DEKHO AAGAYI ZAINAB KYA BAYAA(N) MEI(N) KARDU(N) ILM BIBI ZAINAB KA BAABE ILM KI BETI BANKE AAGAYI ZAINAB AB YAZIDE NEHS BHI DUM DABAA KE BHAAGE-GA BANKE ZULFIKAARE ALI SHAAM AAGAYI ZAINAB FATEMA KI NOORE NAZAR HAI(N) ALI KE DIL KA QARAAR FATEMA KI PARCHAYI BANKE AAGAYI ZAINAB BAITH NE LIKHA “JAFFER” JAB QASIDA ZAINAB KA LEKE FATEMA SE DUA LIKHA AAGAYI ZAINAB 2


DARE SAYYADAH KI ATAA DARE SAYYADAH KI ATAA CHAL RAHI HAY ABHI TAK JO SHEH KI AZAA CHAL RAHI HAY ALAM TAAZIYE MURTAJIZ HAM SAFAR HAY MERE SAATH KARBOBALA CHAL RAHI HAY UTHA KAR MEI(N) KHAAKE SHIFAA CHAL RAHAA HU(N) MERE PICHE PICHE SHIFAA CHAL RAHI HAY ATAA KI GAYI HAY JO EK SHAB KI MOHLAT USI SHAB ME(N) HUR KI DAWA CHAL RAHI HAY MUJHE ISSE AATI HAY PAANI KI KHUSHBU ALAM SE JO CHUU KAR HAWAA CHAL RAHI HAY YEH SHEHRE KHURAASAANO QUM HAY YAHAA(N) PAR IMAME RAZA KI RAZA CHAL RAHI HAY ALAM CHAL RAHAA HAY TO ISSE LIPAT KAR KISI BE RIDA KI RIDAA CHAL RAHI HAY HAY ROZA JHARIKAA WAFAAO(N) KA KA’ABA YAHAA(N) HAATH BAANDHE WAFA CHAL RAHI HAY SARE ALQAMA TEGHE ABBASE GHAAZI LAINO PE BANKAR QAZAA CHAL RAHI HAY HAYAAO(N) KI MALKA KE ROZE PE JISKE HAYAA HOKE KHUD BAA HAYAA CHAL RAHI HAY YEH TERI JO NASLO(N) ME(N) BHUGZE ALI HAY YEH TUJHME NASAB KI KHATAA CHAL RAHI HAY SAMAAE(N)GI KYU(N) DIL ME(N) GHAYRO(N) KI ULFAT YAHAA(N) TOH ALI KI WILAA CHAL RAHI HAY AY BESHIR TU KHUD NA CHAL PAAYA LEKIN TERE PAAU(N) SE KARBALAA CHAL RAHI HAY

3


DEKHLU(N) ROZA-E SHABBIR DEKHLU(N) ROZA-E SHABBIR QAZAA SE PEHLE PAAU(N) BAKHSHISH KI SANAD ROZE JAZAA SE PEHLE ISS LIYE NAZ’A-KE LAMHAAT KA MUSHTAAK HU(N) MEI(N) HOGI MAWLAA SE MULAAQAT KHUDA SE PEHLE HAQ NE TAKHLIQ KIYA PANJETANE PAAK KA NOOR AAG SE PAANI SE MATTI SE HAWAA SE PEHLE NAAZIL ISI WAASTE TATHEER KI AAYAT NA HUWI KOI MISDAAK NA THA EHLE KISA SE PEHLE TUNE ME’RAJ ATAA KI HAY WAFAA KO GHAAZI NAAM ATAA HAY TERA LAFZE WAFAA SE PEHLE MACHLIYAA(N) JAYSE TARAPTI HAI(N) BINA PAANI KE HUM TARAP TE HAI(N) YU(N) AYAAME AZAA SE PEHLE KHUD KO KEHLAA TE THE JO LOG MUHIBAANE KHUDA KHULD ME JAA NASAKE EHLE AZAA SE PEHLE HAR MARAZ KE LIYE MAWJUD THA DUNIYA ME(N) ILAAJ KOI AKSIIR NATHA KHAAKE SHIFAA SE PEHLE PAAKE BAKSHISH KI SANAD BAAGHE JINAA(N) ME(N) POHNCHA HUR THA MUJRIM SHAHE WAALAA KI ATAA SE PEHLE NARGHA‘A TIIRGI-E-KUFR ME(N) THA DEEN-E KHUDA KARBALA TERI CHARAAGHO(N) KI ZIYAA SE PEHLE HUM USI SHAAH KI GALIYO(N) KE GHADAAGAR HAI(N) “SUHAIL” BHIK DETAA HAI(N) JO SAAIL KO SADAA SE PEHLE GHAZI TERI WAFAA PAR AAGAYA LAB PE MERE JAB KABHI NAAM-E ABBAS DER TAK HOTO PE KUSHBU-E-WAFAA ATI RAHI GHAZI TERI WAFAA PAR HUM NAAZ KAR RAHE HAI(N) BAAZU TERE FAZA ME(N) PARWAAZ KAR RAHE HAI(N) SHABBIR KI WILAA ME(N) HUM DEKE KHUN APNA PUKHTA TERA JAHAA(N) ME(N) ANDAAZ KAR RAHE HAI(N) DUM BHAR KIYA NAZAARA TERI BAHADURI KA CHARCHA TERA FALAK PAR SHAABBAZ KAR RAHE HAI(N) 4


HAATHO(N) ME(N) APNE GHAAZI TERA ALAM UTHA KAR LARNE KA ZAALIMO SE AGHAAZ KAR RAHE HAI(N) JO MAANTE NAHI(N) HAI(N) SUNLE(N) WO NAAM TERA UNCHI HUM AAJ APNI AAWAAZ KAR RAHE HAI(N) YEH KHUN KA BAHANA RORO KE GHAM MANANA WO CHAAHaTE HAI(N) JO KUCH HUMRAAZ KAR RAHE HAI(N) HAQQE IRFAAN JO PAAYA HAQQE IRFAAN JO PAAYA TO ALI YAAD AAYAA DIL ME(N) QURAAN SAMAAYA TO ALI YAAD AAYAA THE BAHAADUR TOH SABHI LARNA NAHI(N) JAANTE THE SHERE YAZDA(N) KO BAHAADUR WO NAHI(N) MAANTE THE UNKO MARHAB NE X2 DARAAYA TO ALI YAAD AAYAA YU(N) TO MAY RAT-TA RAHAA SAARE SAWAAL AUR JAWAAB PAR NAKIREIN NE TURBAT ME(N) MUJHE PEHLE HISAAB AAKE JIS WAQT X2 JAGAAYA TO ALI YAAD AYAA AADAM-O-NUH PAYAMBAR HO YA HAZRAT MUSSA YUNUS-O KHIZR HO ILYAAS YA HAZRAT ISSA WAQT IN PAR KOI X2 AAYA TO ALI YAAD AAYAA APNE GHARSE MEI(N) CHALAA KARKE IRAADA HAJJ KA THI YE NIYAT KE KARU(N)GA MEI(N) TAWAAFE KAABAA KAABAA JAB SAAMNE X2 AAYA TO ALI YAAD AAYAA THE KHALIFA TO SABHI DEEN NAHI(N) JAAN-TE THE HUKM KARTE THE MAGAR KYA HAY SHARIYAT YE NAHI(N) JAAN-TE THE JAB BHI SAAIL KOI X2 AYAA TO ALI YAAD AAYA ILAAHI MEI(N) TUJHSE DUA ILAAHI MEI(N) TUJHSE DUA MAANGTA HU(N) HU(N) BE AASRA AASRA MAANGTA HU(N) INAAYAT HO SHAANE KAREEMI KA SADQA KHUDA YA ATAA HO RAHIMI KA SADQA MEI(N) TERA BHIKHAARI HU(N) TU(N) MERA DAATA TUJISE JO HAY MAANGNA MAANGTA HU(N)

5


PARESHAANIYAA(N) DUUR MILLAT KI KARDE HAR EK MUSHKIL AASAAN UMMAT KI KARDE MUSALMAA(N) ZAMAANE ME(N) PHIR SURKH RU HO(N) YEHI TUJHSE BAS AY KHUDA MAANGTA HU(N) JO MUFLIS HAI(N) UNKO TU DAULAT ATAA KAR JO RANJUR HAI(N) UNKO RAAHAT ATAA KAR ASIRO(N)KO ZINDAA(N) SE AAZAAD KARDE MARIZO(N) KE HAQME SHIFAA MAANGTA HU(N) MUSALMAA(N) KO TAWFIQ-E HUSNO AMAL DE UJAALESE ISKE ANDHERE BADAL DE KE PHIR APNI GHAM PARDAA MANZIL KO PAALE MEI(N) ISKE SIWAA AUR KYA MAANGTA HU(N) YEH SHAAHO GHADAA SAB BHI TERE SAWAALI TERE DARSE JAATA NAHI(N) KOI KHAALI MUSALMAA(N) KA BIGRAA MUQADDAR BANAADE MEI(N) SAB KE LIYE YEH DUA MAANGTA HU(N) BIHAQQE ALI YO BIHAQQE PAYAMBAR HO MUJH PAR BHI CHASHME KARAM TERI DAAWAR MERI NAAW TUFAAN KE GHAM ME(N) PHASI HAY KHUDAAYA MEI(N) AB NAA KHUDA MAANGTA HU(N) TUJHE WAASTA PANJETANKA HUM DEKAR TERE DARPE AAYAA HU(N) JAAU(N)GA LEKAR MERI HASRATO(N) KA YEHI MUDDUA HAY ISSI MUDDUA KA SILA MAANGTA HU(N) GHULAAMO(N) KE MUHABBAT KA ITNA SILAADE HARAM ME(N) BULAALE MADINA DIKHAA DE MUHAMMAD KA AALE MUHAMMAD KA SADQAA DUA AAKHERI KIBRIYA MAANGTA HU(N) KAR DUUR HAR BALAAKO KAR DUUR HAR BALAAKO PAYAMBAR KA WAASTA YA RAB AMAA(N) HO DUNIYAAME HAYDAR KA WAASTA RAD HO BALAAYE(N) FATEMA AT-HAR KA WAASTA SHABBIR AUR HAZRATE SHABBAR KA WAASTA HO DAFF’A HAR MARAZ PA-E-SAJJAD BE DAWAA YA RAB IMAME BAAQARO JA’FAR KA WAASTA 6


BEHRE IMAAME MUSA-E-KADHIM BALAA HO DUUR YA RAB RAZAA-E-BEKASO MUZTAR KA WAASTA BEHRE TAQI WA BEHRE NAQI BEHRE ASKARI MAHDI-E-DEE(N) IMAAME DILAAWAR KA WAASTA KAR REHM APNE BANDO(N)PE YA ARHAMUL-IBAAD AKBAR KA WAASTA ALIASGHAR KA WAASTA PAANI KO JO TARASTA HUWA KHALQ SE GAYA USS TISHNALAB MUSAAFIRE KAWTHAR KA WAASTA UMMAT NE JISKO GHARSE BULAA KAR KIYA SHAHEED USS BEGUNAAH WA KUSHTA-E-KHANJAR KA WAASTA KAR HAAFIDHE HAQIQISE TU JALD YE DUA RAKH SABKO APNE HIFDH ME(N) HAYDAR KA WAASTA YAA RAB IMAME BAAQARO JA’FAR KA WAASTA KARAM MAANGTAA HU(N) KARAM MAANGTAA HU(N) DUA MAANGTA HU(N) ILAAHI MAY TUJHSE DUA MAANGTA HU(N) ATAA KAR TU SHAANE KAREEMI KA SADQA DILAADE ILAAHI RAHEEMI KA SADQA NA MAANGUNGA TUJHSE TO MAANGUNGA KISSE TERA HU(N) ME(N) TUJHSE DUA MAANGTA HU(N) ILAAHI TUJHE WAASTAA PANJETAN KA HO SHAADAB GUNCHA DILO(N)KE CHAMAN KA YE DAAMAN HAMAARE MURADO(N)SE BHARDE KARAM KI NAZAR SE DUA MAANGTA HU(N) JO MUFLIS HAI(N) UNKO TU DAWLAT ATAA KAR JO BIMAAR HAI(N) UNKO SEHAT ATAA KAR GHARIBO(N) PE TU REHM KAR YAA ILAAHI MARIZO(N) KI KHAATIR SHAFAA MAANGTA HU(N) ILAAHI HUM-E SHAAD-OMASROOR RAKHNA BALAAO(N) SE HUMKO SADAA DUUR RAKHNA PARESHAANIYAA(N) HUMKO GERI HUWI HAI(N) PARESHAANIYO(N) KI DUA MAANGTA HU(N)

7


HUWA HAY NA MAAYUS TERA SAWAALI NAHI(N) TERE DARSE PHIRAA KOI KHAALI NAHI(N) ILTEJAA EK MERE HI KHAATIR MEI(N) SABKE LIYE BHI DUA MAANGTA HU(N) BIHAQQE ALI WA BIHAAQE PAYAMBAR BIHAQQE BATUL AUR SHABBIR-O-SHABBAR QASAM CHAWDAA MAASUMO(N) KI HAY YA RAB MEI(N) TUJHSE DILI MUD’DUA MAANGTA HU(N) MAULA KAAZIM DUA MAULA KAAZIM DUA MERI SUNLO KAZMAIN HAMEI(N) JALD BULAAWO TUM HO BAABUL HAWAIJ AY MAULA IBNE MUSHKIL KHUSHA HO AY MAWLA KHAALI JOLI MERI BHARDO MAULA KAZMAIN HAMEI(N) JALD BULAAWO TUM HO HAAJAT RAWAA MERE MAULA DARPE LAAYA HU(N) FARIYAAD MAULA KUCH KARAM KI NAZAR HAMPE KARDO KAZMAIN HAMEI(N) JALD BULAAWO DARPE AAYE HAI(N) TERE SAWAALI KAISE DARSE TERE JAAYE(N) KHAALI KHAALI DARSE HAMEI(N)NA PHIRAAWO KAZMAIN HAMEI(N) JALD BULAAWO HU(N) PARESHAAN BAABUL HAWAAIJ MUSHKILO(N) ME(N) HU(N) BAABUL HAWAIJ AAKE TUM MUSHKILO(N) SE CHURAAWO KAZMAIN HAMEI(N) JALD BULAAWO DIL MERA GHAM ME(N) DUBAA HUWA HAY AUR MUQADDAR BHAWAR MEI(N) PHASAA HAY GHAM KO MERE KHUSHI ME(N) BADAL DO KAZMAIN HAMEI(N) JALD BULAAWO TERE DARKA SAWAALI HAY “JAFFER” KAR RAHAA HAY DUA DAR PE AAKAR APNA ZAWAAR JALD BANAAWO KAZMAIN HAMEI(N) JALD BULAAWO

8


MUKHTAARE KAAENAAT KI MUKHTAARE KAAENAAT KI DUKHTAR HAI(N) FATEMA JANNAT KE SHAAHZAADO(N) KI MAADAR HAI(N) FATEMA JINSE KHAFAA(N) HUWI TO KHUDAA BHI KHAFAA(N) HUWA WOH HUMME-ZAATE KHAALIQE HAQ PAR HAI(N) FATEMA LAAKHO(N) GUNEHGAARO(N) KO YE BAKHSHWAAEGI REHMAT KA LAAJAWAAB SAMANDAR HAI(N) FATEMA QUR’A(N) KI BOLTI HUWI TASWIR BANGAYI AAYAATE ZULJALAAL KI MAADAR HAI(N) FATEMA SAAYE ME(N) TUM BHI SHOKHSE AAJAAWO MOMINEEN PHAILAAYE KITNI DERSE CHAADAR HAI(N) FATEMA KOHE GHAMO ALAM KO UTHAANE KE WAASTE APNI JAGAA-PE FAATAHE KHAIBAR HAI(N) FATEMA MUSALMAANO NA TUM AB TAK MUSALMAANO NA TUM AB TAK ALI KA MARTABA JAANE TUMHAARI AQL PAR PARDE PARE HAI(N) KYU(N) KHUDA JAANE NA PEHCHAANO MUHAMMAD MUSTAFA KE WIRSADAARO(N) KO LUTERO GHAASIBO(N) KO REHZANANO(N) KO REHNUMA JAANE MERE AAMAAL NAAME KI TUJE KYU(N) FIKR HAY WAAEZ MERE AAMAAL JAANE AUR MERA MUSHKIL KHUSHA JAANE QADAM NAADE ALI PARH KAR BARHAAEE JAA RAHAA HU(N) MEI(N) NISHAA(N) MANZIL KA JAANE AUR ZAHRA KI DUA JAANE YEH KEHKAR MEI(N) SUKUN KI NIND SOJAAUNGA TURBAT MEI(N) NISHAA(N) MAATAM KE JAANE AUR KHAAKE KARBALAA JAANE MARIZE LAA DAWA AAJA ALAM KE SAAYE ME(N) AAJA MARAZ JAANE SHIFA JAANE PHARERE KI HAWAA JAANE

9


NABI ASSALAAM HAY ALLLAH KA PYAARA MUHAMMAD HAY NAAM SADAA DE RAHA HAY YE ADNA GHULAAM RASULOME AFZAL HAY SULTAANE DEE(N) IMAMO ME(N) AFZAL HAY SULTAANE DEE(N) KHUDASE KIYA AAPNE HAY KALAAM - NABI ASSALAAAM ZAMANE ME(N) KHAYRUL BASHAR BANKE AAYE JO PAIGHAAME HAQ THA WOH SABKO SUNAAYE FARISHTO(N) ME(N) BHI UNKA A’ALAA MAQAAM - NABI ASSALAAAM GHARIBO(N) KE HAAMI MADADGAR HAI(N) JO DUSHMAN HAY UNKE BHI GHAAMKHWAAR HAI(N) ADUKE DILO(N) ME(N) HAY YEH EHTERAAM - NABI ASSALAAAM NABI AAKHRI HAI(N) HAMARE HUZOOR AY AAMINA BIBI KE AA(N)KHO(N) KE NOOR LAQAB JINKA UMMI HAY SHAAHE ANAAM - NABI ASSALAAAM HAME TUM MADINA BULAALIJIO MARIZO(N) KO SEHAT ATAA KIJOYO YEHI AAKHRI ILTEJA SUBHO SHAAAM - NABI ASSALAAAM RAWZEPE BULAALO YA ZAINAB RAWZEPE BULAALO YA ZAINAB HUM AAS LAGAAKAR BAITHE HAI(N) AY MUSHKIL KUSHHAKI NOORE NAZAR HUM AAS LAGAAKAR BAITHE HAI(N) AY SHAAM KI SHEHZAADI ZAINAB WOH CHAANDSA RAWZA TERA BATA KYA QISMAT ME(N) ZIYAARAT HAY KE NAHI(N) HUM AAS LAGAAKAR BAITHE HAI(N) AY MUSHKIL KUSHAAKI NOORE NAZAR AY MURTUZA KI LAKHTE JIGAR BIBI FATEMA ZAHRA KI DILBAR HUM AAS LAGAAKAR BAITHE HAI(N) DARBAAR HAY YE ZAINAB KA JO MAANGONGE TUMHE MILENGA YAHAA(N) ZIYARAT KO BULAALO HUM SAB KO HUM AAS LAGAAKAR BAITHE HAI(N) AWWAL TO ZIYARAT-E HUSAIN KARLU(N) PHIR CHUMLU(N) AAKE TUMAARI ZARIH IN AANKHO(N) SE KARBALA KAB DEKHU(N) HUM AAS LAGAAKAR BAITHE HAI(N) FARIYAAD KO MERI SUNLO ZARAA AUR HAAJATE MERI TUM KARDO RAWA BULWAALO HUMKO JALDI SHAAM HUM AAS LAGAAKAR BAITHE HAI(N) BIBI NE AGAR CHAAHA ITNAA WO DEEN BHI BAHOT JALD AAYEGA RAWZEPE PAHONCH KAR HUM APNI QISMAT KO BADAL TE DEKHENGE 10


SAWERE SAWERE MUSALLEPE MAINE ALI KA QASIDA JUHI(N) GUN GUNAAYA SAWERE SAWERE KHUDA KI QASAM PHIR IBAADAT KA MUJHKO BARA LUTF AAYA SAWERE SAWERE JO SHEH KI MAWADDAT NE HUR KO JANJHORA AUR ISS NE BHI GHAFLAT KE BISTAR KO CHORA TO KHUD AAFTAABE SHAHAADAT NE USKAA MUQADDAR JAGAYA SAWERE SAWERE UBHARTE HI SURAJ NE HAMDE KHUDA KI ZIYARAT KI PHIR RAWZAEE MURTAZA KI PARINDONE APNI ZABAAN ME(N) ALI KA QASIDA SUNAYA SAWERE SAWERE UTHI JHUM KAR REHMMATO(N) KI GHATAAYE(N) CHALI MERE GARME JINAA(N) KI HAWAAYE(N) CHARAAGHE HADISE KISSA APNE GHARME(N) JO MAINE JALAAYA SAWERE SAWERE HAY ZAHRA KI MARZI MASHIYAT KHUDA KI LABO(N) SE HUWA THA ABHI HUKM JAARI LIBAASE JINAA(N) LEKE RIZWAANE JANNAT NE DAR KHAT KHATAAYA SAWERE SAWERE GUZAARI NAMAAZE MAWADDAT ME(N) JO SHAB ADAA FAJR ME(N) JAB KIYA SAJDA-E RAB LAGAAI THI LAAGHAT ANDHERE ANDHERE MUNAFAA KAMAAYAA SAWERE SAWERE RAHA MADHE MAWLA ME(N) MASRUF SHAB BHAR MAWADDAT KI MEHFIL SE LOTA JO ME(N) GHAR “SUHAIL” EK FARISHTA SHAFAAT KI MERI SANAD LEKE AAYAA SAWERE SAWERE NIKAL KAR ANDHERO(N) KE NARGHESE HUR JAB DARE SHEH PAR AAYAA SAWERE SAWERE TO ZAHRA KE BETE NE EK PAL ME(N) USKA MUQADDAR JAGAYA SAWERE SAWERE MALAAIK NE JIS WAQT MADHO SANAA KI FAZAAO(N) ME(N) GHUNJI SADAA YA ALI KI PARINDONE APNI BOLI ME NAARA ALI KA LAGAAYA SAWERE SAWERE

11


HAY MARZIYE HASNAIN MARZI KHUDAKI ABHI SAYADAAH KE LABO(N) PAR DUA THI LIBAASE JINAA(N) LEKE RIZWAANE JANNAT NE DAR KHAT KHATAA YA SAWERE SAWERE MEI(N) NAADE ALI PARH KE SOYA THA SHAB KO PASAND ISS QADAR AAYI YE BAAT RAB KO SUHAIL EK FARISH TE NE AAKAR YE MUJHKO QASIDA LIKHAAYA SAWERE SAWERE WO KASRAT SE WARZISH KA AADI THA MULLA AUR BACHPAN SE PAKKA NAMAAZI THA MULLA MAGAR JAB AZAA(N) ME(N) SUNA NAAME HAYDAR BARA TILMILAAYA SAWERE SAWERE TASBIHE FATEMA AS MUSHKIL KO TAAL DETI HAY TASBIHE FATEMA HAR MARZ KI DAWAA HAY TASBIHE FATEMA TAALIM DEKE BETI KO BOLE MERE NABI IN AAME RAB HAY LAADLI TASBIHE FATEMA HAY MISLE PHOOL MOMINO ALLAH KI NAMAAZ KHUSHBUU HAY HAR NAMAAZ KI TASBIHE FATEMA DIL KI MURAADE PURI HUWI MERI USS GHARI MAANGI DUA JO PARHKE TASBIHE FATEMA TASBIH KO LEKE HAATH ME(N) DIL MERA KEH UTHAA KITNA HASEEN TOHFA HAY TASBIHE FATEMA HAY KHAAS YE FAZILAT TASBIH KI MOMINO TAAWIZE PANJETAN HAY TASBIHE FATEMA ALFAAZ MUJHKO GHAIB SE “JAFFER” HUWE ATAA MAANGA JO RAB SE PARH KE TASBIHE FATEMA YA ALI LABPE MERE YA ALI LABPE MERE SUBHO MASAA REHTAA HAY JAAME KAUTHAR MERE HONTOSE LAGA REHTAA HAY JISKE CHERE PE KHUSHI NAAME ALI SE AAYE USKA CHEHRA DAME AAKHIR BHI KHILAA REHTA HAY 12


AY MUNAFIQ MEI(N) NUSAIRI KO BURAA KAISE KAHU(N) MERE DIL ME(N) BHI NUSAIRI KA KHUDA REHTA HAY YA ALI AAPKE AANE KI HAY KAABE KO KHUSHI ABHI DIWAAR KE HANSNEKI ADAA BAAQI HAY KARKE TAAZIM YEH SALMAAN KI MAYYAT NE KAHAA HAQQ E TAAZIME ALI BAADE FANAA BAAQI HAY DUSHMANI HAYDARE KARAAR SE KARNE WAALO SOCHLO ACHI TARHAA ROZE JAZAA BAAQI HAY PUCHNE WAALE SAWAAL LAAKH KE SUN GHAUR SE SUN ABHI DUNIYA ME(N) SALUNI KI SADAA BAAQI HAY BAA-EE BISMILLAH KE NUQTE KO ALAG KAR DIJE PHIR ZARA DEKHIYE QURAN ME(N) KYA BAAQI HAY YA RAB DUA KABUL HO ZAHRA KA WAASTA YA RAB DUA KABUL HO ZAHRA KA WAASTA MAA FATEMA KE DARDAYE PEHLU KA WAASTA UMMAT NE JISPE JALTE HUWE DAR KO GIRAYAA (HAAE DAR KO GIRAYAA) MAZLUMA THI JO BAADE NAABI USS KA WAASTA JO GODHIYAA(N) HAI(N) KHAALI AULAAD HO ATAA (AULAAD HO ATAA) MOHSIN KA WAASTA TUJHE ASGHAR KA WAASTA PARDE RAHE(N) SALAAMAT MAA(N) BEHNO(N) KE KHUDA (MAA(N) BEHNO(N) KE KHUDA) ZAHRA KA WAASTA TUJHE ZAINAB KA WAASTA MUSHKIL HUMAARI HOWE AASAAN YA KHUDA (AASAAN YA KHUDA) MAZLUMIYE ZAHRA KA DETA HU(N) WAASTA HO JANNATUL BAQI ME(N) SHABBIR KI AZAA (SHABBIR KI AZAA) SHABBIR KE JAWAAN KA AKBAR KA WAASTA JAFFER AKIL KO HO BAQI JAANE KA SHARAF YA RAB TERE MEHBOOB KA AHMED KA WAASTA

13



AAGHAAZ HO RAHA HAY AAGHAAZ HO RAHA HAY KARBAL KI KAHAANI KA SAILAAB NAHI(N) RUKTA ASHKO(N) KI RAVAANI KA GOONJI HAY DO AALAM ME(N) AAWAAZ SHAHAADAT KI MAATAM HAY BAPAA HARSU ZAHRA TERE JAANI KA JAB TAK KE RAHE PYAASE SHABBIR LABE DARIYA UTRA HUWA CHEHRA THA BEHTE HUWE PAANI KA JAB AKS SAKINA KA CHULLU ME(N) NAZAR AAYAA MU(N)H DEKHA NAHI(N) MURKAR ABBAS NE PAANI KA BITHLAAKE PAYAMBAR NE KAANDHOPE BATAAYA HAY YEH AAINA HAY DEKHO AAYAATE QURAANI KA SHAANO(N) KO KATAAYE JO CHALTAA HAY LABE DARIYA UTHTAA HUWA SURAJ THA HAYDAR KI NISHAANI KA RUDAADE SULAIMAN KYA LIKHU(N) GHAME SARVAR ME(N) DARIYA JO UMATA-THA HAY ALFAAZ O MA’ANI KA ANMOL KIS KADAR HAY ANMOL KIS QADAR HAY YE DAULAT NA PUCHIYE HUM SE GHAME HUSAIN KI AZMAT NA PUCHIYE FARSHE AZAA BICHAAWO TO AATI HAY SAYADDAAH AB MAJLISE HUSAIN KI HURMAT NA PUCHIYE MASHKE SAKINA AAYI HAY NEHRE FURAAT SE KYU(N) HAY KHAYAAME SHEH MAI(N) QAYAAMAT NA PUCHIYE ABBAS KI ZARIH PE MAANGO AGAR DUA YU(N) MEHRABAAN HOTI HAY QUDRAT NA PUCHIYE HALKA BANAAKE EHLE HARAM PIIT TE THE SAR AKBAR HUWE HAI(N) KIS TARAAH RUKHSAT NA PUCHIYE KHAT PARH KE APNI BETI KA SHABBIR RO PARE UFF SHAAHE-DEE(N) KA AALAME GHURBAT NA PUCHIYE GHARBAAR SHEHNE RAAHE KHUDAA ME(N) LUTA DIYA KYA CHIIZ HAY KAMAALE SHAHAADAT NA PUCHIYE

14


ASGHAR KO DAFN KAR DIYA SHABBIR NE MAGAR KYU(N) KAR BANAAI NANNISI TURBAT NA PUCHIYE “KHURSHID”HAY AMAANATE ZAHRA YE KUCH “GOHAR” ASHQE GHAME HUSAIN KI QIIMAT NA PUCHIYE BAANU KAHAA(N) TALAASH KARE BAANU KAHAA(N) TALAASH KARE APNE LAAL KO JUNGAL ME(N) MAAR DAALA HAY ZEHRA KI AAL KO ZAINAB KE SAATH ROTI HAY SAB MILKE BIBIYA(N) JAB DEKHTI THI ROZ WO WAQT-E ZAWAAL KO SHABBIR DIL KO THAAM KE GHASH KHAAKE GIR PADE DEKHA JO KHOO(N) ME(N) GARK NABI KE JAMAAL KO SHABBIR MERE PAAS HAY SADKE KO BAS YAHI JHULE SE LAAKE DE DIYA BANU NE LAAL KO SHABBIR LAA RAHE HAI(N) MAIDA(N) SE DEKHIYE APNE ZAEEF KAANDHO(N) PE ATHAARA SAAL KO BAZAARE SHAAM ME(N) WO ASEERO(N) KA KAAFELA AABID NA BHOOL PAAYE KABHI ISS KHAYAAL KO AISA TOH ZULM-O-JAUR KISI PAR HUA NAHI(N) BARBAAD JIS TARAH KIYA ZAHRA KI AAL KO LAILA DUA-EI(N) KARTI RAHI BAADE KARBALA YA RAB JUDA NA KARNA KISI MAA SE LAAL KO SHABBIR APNE ROZE PE BULWAYENGE ZAROOR “TAUQEER” TU NIKAAL DE DIL SE MALAAL KO JAATA HAY TUJHKO CCHHOD KAR NANA TERA HUSAIN JAATA HAY TUJHKO CHCHOD KAR NANA TERA HUSAIN KARBOBALA BASAANE KO NANA TERA HUSAIN JUNGAL BASAANE MEI(N) CHALAA HAMRAAH HAI(N) BIBIYAA(N) LEKAR CHALAA HAY KAFELA NANA TERA HUSAIN ZAINAB KE LAADLO(N) KI MAYYAT UTHAAU(N)-GA SADME(N) BARE SAHEGA NANA TERA HUSAIN 15


IBNE HASSAN KI LAASH KE TUKRE UTHAAU(N)-GA GATHRI ME(N) LAASHAA LAAYEGA NANA TERA HUSAIN ABBAS-SE BAAWAFAA KA BHI SADMA UTHAAU(N)-GA LAAYEGA DARYAA SE ALAM NANA TERA HUSAIN BARCHI BHI MEI(N) NIKAALUNGA AKBAR KE SINE SE DEGA YEH SAKHT IMTEHAA(N) NANA TERA HUSAIN DEEN KO BACHAANE KE LIYE GARBAAR DU(N)GA MEI(N) SAR APNA BHI KATWAAEGA NANA TERA HUSAIN SHABBIR RO-KE BOLE YEH QABRE RASUL PAR AAYA HAY KEHNE ALWIDA NANA TERA HUSAIN “JAFAR” BAYAA(N) KARU(N) MEI(N) KYA RUKHSAT HUSAIN KI SHABBIR RO-KE KEHTE-THE NANA TERA HUSAIN JUA LIMETOWEKA NA SAA JUA LIMETOWEKA NA SAA ZIME KWISHA MWANA WANGU ASGHARI HAKUREJEA GIZA LA USIKU NA JANGWA HILO NIKUPATE WAAPI WARIDI WA MOYO AKIELEZA MAMA KWA KILIYO MWANA WANGU ASGHARI HAKUREJEA MAAJI TULIPO SISI FUNGIWA NILISHINDWA HAATA KUKUPA MAZIWA SHIIDA YA KIU TULIZIDIWA MWANA WANGU ASGHARI HAKUREJEA JUA LA JANGWAANI LAAWAAKA SANAA TULIOMBA MAAJI KWAO SANAA KIU YA MWANANGU NI KALI SANAA MWANA WANGU ASGHARI HAKUREJEA KOO LAAKO LILIPO KAUKA KABISA BAABA HUSAIN PIA ALITUELEZA MAAJI KUNWA HAWATOMKATAZA MWANA WANGU ASGHARI HAKUREJEA

16


MTOTO YUMO MIKONONI MWA BABAA ALIWATAZAMA KWA MAHABA TEGEMEO LAAKE MAAJI KUPATA MWANA WANGU ASGHARI HAKUREJEA JIBU LA HARAAKAA LILITOKEZA MSHAALE UCHUNGU ULIMCHOMEZA SHINGO LA MWANANGU ALICHINJAA MWANA WANGU ASGHARI HAKUREJEA DAAMU LLIPOANZA KUTIRIRIKAA ARDHI NA AANGA ZILISIKITIKAA ILIMBIDI BAABAA USO KUPAKAA MWANA WANGU ASGHARI HAKUREJEA KHAAMOSHI HAY AAJ YE KAISI KHAAMOSHI HAY AAJ YE KAISI SHAAM KE ZINDAA(N) ME(N) RONE WAALI KYU(N) NAHI(N) ROTI SHAAM KE ZINDAA(N) ME(N) DUB GAYI HAI(N) KYU(N) WO SADAAE(N) BABA BABA KI KYA AB ZAKHMI KAANO(N) ME(N) TAKLIF NAHI(N) HOTI AISI KHAMOSHI TOH NAHI(N) THI SHAAM KE ZINDAA(N) ME(N) QAID KE ANDAR KISKI LAHAD SAJJAD BANAATE HAI(N) KHUN BHARE KURTE ME(N) KISE MITTI ME(N) SULAATE HAI(N) KISKI RUH-NE PAAYI RIHAAI SHAAM KE ZINDAA(N) ME(N) PAANI MAANGNE WAALI BACHI KYU(N) KAR HAY KHAAMOSH KYA ZAKHMI KAANO KI DUKHA(N)SE HOGAYI WO BEHOSH RAAH CHACHA KI KYU(N) NAHI(N) TAKTI SHAAM KE ZINDAA(N) ME(N) AKBAR-O-ASGHAR KO REH REH KAR KART I-THI JO YAAD QAID KI TAARIKI ME(N) USKI DUB GAYI FARIYAAD DUB GAYI KYA NABZ BHI USKI SHAAM KE ZINDAA(N) ME(N) BAANU KISKE GHAM ME(N) TADAPKAR GIRYAA KARTI HAI(N) ZAINABE MUZTAR PIT KE SINAA KISKO ROTI HAI(N) BARPA HAI YEH MAJLIS KAISI SHAAM KE ZINDAA(N) ME(N) BAAP KA SINAA DHUNDHNE WAALI KHAAK PE KYU(N) SOYI HAR SHAB WOH GIRYA KARTI THI AAJ NAHI(N) ROYI MAAR GAYI AMMU KI JUDAAI SHAAM KE ZINDAA(N) ME(N)

17


ROZ PHUPHI-SE ZID KARTI THI GHAR KO JAANE KI USKO SAZAA DETE THE ZAALIM ASHQ BAHAANE KI BANGAYI DEKHO TURBAT USKI SHAAM KE ZINDAA(N) ME(N) LIKH KAR HUM “RAIHAAN” YE NAUHAA DUKHTARE SARWAR KA SOCH RAHE HAI(N) ZAINAB KA KYA HAAL HUWAA HOGA BAALI SAKINA JIS DUM BICHHDI SHAAM KE ZINDAA(N) ME(N) LAASHE PE SAKINA YEHI LAASHE PE SAKINAYEHI KEHTI HUWI AAYI - HAI HAI MERE AMMU PAANI KE LIYE TUM-NE AZIYAT YEH UTHAAYI - HAI HAI MERE AMMU BAAZU BHI HUWE DONO JUDAA KATKE BADAN SE - TAN HO GAYA TUKRE YEH KAISI TERI SHAKL LAINO NE BANAAYI - HAI HAI MERE AMMU PAANI KE LIYE HAAY TUJHE JAAN SE MAARA - DARIYAKE KANAARE KUCH SAAQIYE KAWSAR SE UNHE SHARM NA AAYI - HAI HAI MERE AMMU GHAR JAANTI MEI(N) TUM KO WAHAA(N) QATL KARENGE - TO JAANE NA DETI SAQQAI MERI HAAY TUMHE RAAS NA AAYI - HAI HAI MERE AMMU AB KISSE KAHUNGI KE MEI(N) PYAASI HU(N) CHACHA JAAN - LADO MUJHE PAANI DIL SOUZ KOI DETA NAHI(N) AYSA DIKHAAYI - HAI HAI MERE AMMU AFSOS BANAAYA TUJHE TIRO(N) KA NISHAANA - AUR JAAN SE MAARA YEH CHAAND SI SURAT TERI LAHUME HAY DUBAAYI - HAI HAI MERE AMMU DARIYA SE NA LAANE DIYA EK PAANI KA QATRA - HAI HAAT KISINE MEI(N) PYAASI RAHI JAAN WAHAA(N) TUMNE GAWAAYI - HAI HAI MERE AMMU AB KAUN UTHAAEGA ALAM BAAP KA MERE - ISS DASHTE BALAAME NA ISKA ALAMDAAR HAY AB AUR NA BHA-EE - HAI HAI MERE AMMU BAAZU NAHI(N) TERE YEH KATE TEGHE SITAM SE - AY BAAZU-E-SHABBIR YEH DASTE YADULLAAH PE HAY ZARB LAGAAYI - HAI HAI MERE AMMU TUM MARGAYE MEI(N) REH GAYI ROTI HUWI PYAASI - PAANI KO TARASTI AUR APNI PYAAS AAPNE KAUTHAR PE BUJAAYI - HAI HAI MERE AMMU AY “HAIDARI”AB AAGE BAYAA(N) KYA KARU(N) USKA - BHAR JAATI HAY CHAATI JIS TARHASE YEH KEHTI THI SHABBIR KI JAAYI - HAI HAI MERE AMMU

18


NAWHA KARTI THI YEH ZAHRA NAWHA KARTI THI YEH ZAHRA MERE BABA BABA BAAD TERE TERI UMMAT NE SATAAYA BABA AAG LEKAR YEH MUSALMAA(N) MERE DARPAR AAYE AUR PEHLU-PE MERE DAR KO GIRAAYAA BABA GAYI DARBAAR ME(N) HAQ MAANG NE TERI BETI ZAALIMO(N) NE MERE HAQ KO BHI DABAAYA BABA DAAGH UMMAT SE TERI MUJHKO YE EK AUR MILA PAAYA MOHSIN KI SHAHAADAT KA BHI SADMAA BABA MUJHKO RONE NA DIYA BAAD TERE UMMAT NE TERI ZAHRA PE ZULAM YEH BHI THA DHAAYA BABA PEYRH KE SAAYE ME(N) MEI(N) BAYTH KE RO THI JAHAA(N) TERI UMMAT NE WOHI PEYRH KO KAATA BABA ROTA THA SAARA JAHAA(N) SUNKE YE NAWHA “JAAFER” HO GAYI DUKHIYO(N) KI MAARI TERI ZAHRA BABA JOH ZULAM MUJHPE HUWE PARTE JOH ROSHAN DIN PAR MISLE SHAB DIN BHI BADAL JAATA AY MERE BABA KAISA PURSA TERA UMMAT NE DIYA AY BABA GHAM ME(N) TERE TERI BETI HAY ZAIFA BABA

19



ABBAS KE PARCHAM KO HAWAA CHUM RAHI HAY ABBAS KE PARCHAM KO HAWA CHUM RAHI HAY LAGTA HAY KE ZEHRA KI DUA CHUM RAHI HAY AA DEKH SUKAINA TERE ABBAS KA LASHA DARYA KE KINARE PE QAZA CHUM RAHI HAY JO BHI JUKI JATI HAY QAZA CHUKE ALAM KO JAYSE KE YE ZAINAB KI RIDA CHUM RAHI HAY SAR APNA PATAK TA HAY KINARO(N) PE YE PAANI YE ARSH KO MATAM KI SADA CHUM RAHI HAY BEHTA HUWA PANI HAY KE ABBAS KE AA(N)SU MASHKIZE KO UMAT KI JAFA CHUM RAHI HAY SAR CHUM KE GHAZI KA KAHA IBNE ALI NE ABBAS QADAM TERE WAFA CHUM RAHI HAY “JAWAAD” YE NAUHA HAY SHAHAN SHAAHE WAFAA KA HAR LAFZ KO ASHKO(N) KI GATA CHUM RAHI HAY AMMA BAAR BAAR ZINDANE SHAAM ME JAHAA(N), BIBI KA HAY MAZAR RAATO KO DHIMI DHIMI SI AATI HAY EK PUKAR KANO SE MERE KHOON ABHI BHI TAPAKTA HAY, AMMA BAAR BAAR AMMA BAAR BAAR GALA MERA DOOKHTA HAY AMMA BAAR BAAR UTHTI HAI(N) JAB BHI AAP MERA SAA(N)S RUKTA HAY, AMMA BAAR BAAR HAA, AMMA BAAR BAAR. SOYI NAHI(N) HU(N) SHAAME GARIBA(N) KE BAAD MEI(N) AB KYA JIUNGI SHAAM KE ZINDAA(N) KE BAAD MEI(N) BE-AAS AB HOO(N) SHAAHE SHAHIDA(N) KE BAAD MEI(N) SAAYA AJAL KA AMMA MERE SAATH CHALTA HAY KAANO(N) KA KHOON AANKHO(N) KE AA(N)SU SE MIL GAYA HAR ZAKHM PHOOL BANKE BADAN PAR HAY KHIL GAYA BABA KO DHOOND LAU(N) KE SEENESE DIL GAYA BEJAAN MERE JISM ME(N) KYU(N) DIL DHARAKTA HAY

20


AY AMMA JAB SE BAABAA SE MEI(N) DOOR HO GAYI YE ZINDAGI MERE LIYE NAASUR HO GAYI PAR KYA KARU(N) NASEEB SE MAJBOOR HO GAYI HIJRE PADAR SE SEENE ME(N) EK DARD UTHTA HAY KAANTE PARE HAI(N) HALQ ME(N) AY AMMA PYAAS SE DARTI HU(N) JHOKA GUZRE HAWA KA JO PAAS SE NEEND URH GAYI HAY AANKHO(N) SE KHAWFO HIRAAS SE RONE PE MERE SHIMR LAYEE(N) KYU(N) JHIRAKTA HAY ASGHAR KE BAAD PAANI PIYU(N) MEI(N) NAHI(N) NAHI(N) AMMU KE BAAD ZINDA RAHU(N) MEI(N) NAHI(N) NAHI(N) FARIYAAD KUCH SHAKI SE KARU(N) MEI(N) NAHI(N) NAHI(N) PAANI ME(N) AB SE CHEHRAYE ASGHAR JHALAKTA HAY LAGTA HAY QAID-E-JAA(N) SE RIHAAYI QARIB HAY AY AMMA JANO TUM SE RIHAAYI QARIB HAY AB MOUT MUJHKO QABR KE LAAYI QARIB HAY DAAMAN TO JAL CHUKA HAY MERA DIL SULAGTA HAY KAWNAIN ME(N) YE KAISA HAY QAANUN POOCHIYE MARNE KE BAAD MUJHKO RIHAYI NAHI(N) MILE YE KAISI QAID HAY KE LAHAD BHI YAHI(N) BANE QAIDI KABHI TO QAID SE GHAR KO PALAT-TA HAY AMMA RIHAAI PAAKE WATAN TUM TO JAAOGI SUGHRA MERI BAHAN KO GALE SE LAGAAU(N)GI PUCHEGI JAB MUJHE TO USSE KYA BATAAU(N)GI REH REH KE EK SAWAL MERE DIL ME(N) UTHTA HAY AMMA FIZZA AMMA FIZZA BATA DE MUJKO PATH-THAR KYU(N) AARAHE HAI(N) KAYSA HAY YE CHARAGHAA(N) DIL DUBEY JAA RAHE HAI(N) KYA SHAAM AAGAYA HAY HONE LAGI AZAANE, KAYSE SARO(N)KO DHAAMPE BAAZU BANDHE HUWE HAI(N), KHU(N) RO RAHI HAI(N) AA(N)KHEI(N) AANKHO(N) KE KHU(N)SE RASTE KHU(N) ME(N) NAHA RAHE HAI(N) KYA SHAAM AAGAYA HAY SAJJAD KA KALEJA, SAD PAASH HO RAHA HAY EK EK ZAKHM INKA, IS GHAM ME(N) RO RAHA HAY ZAINAB KA NAAM LEKAR, A’ADAA BULA RAHE HAI(N) KYA SHAAM AAGAYA HAY

21


NAYZE PE JITNE SAR HAI(N), EK SAR HAY UNME AISA AANKHE(N) HAI(N) BANDH USKI, AUR KHAAK PAR HAY GIRTA ABBAS KA YE SAR HAY, TEWAR BATA RAHE HAI(N) KYA SHAAM AAGAYA HAY ITNA CHALE HAI(N) PAYDAL, KANTO(N) PE SAARE QAYDI THAK JATI CHALTE CHALTE, CHALTI AGAR ZAMIN BHI PAYRO(N) KE AABLE BHI, AA(N)SU BAHAA RAHE HAI(N) KYA SHAAM AAGAYA HAY HAI(N) LOG KISTARHA KE, HUMSE DUA KARAAYE AY QAYDIYO(N) DUA DO, YEH DIN NA HUM PE AAYE LEKAR DUAE HUMSE, DIL BHI DUKHAA RAHE HAI(N) KYA SHAAM AAGAYA HAY MAAO(N) KE GAUDIYO(N) SE, LIPTE HUWE HAI(N) BACH-CHE HAY HAAT RASSIYO(N) ME(N), MAAO(N) KE AISE JHAKRE BACH-CHEY JO GIR RAHEY HAI(N), WO MARTE JAARAHE HAI(N) KYA SHAAM AAGAYA HAY AAYA JO BAABE SAA’AT ROKE GAYE MUSAFIR KEHTA THA SHIMR INKO KARNA ABHI NA HAAZIR DARBAAR KO ABHI HUM DULHAN BANAA RAHE HAI(N) KYA SHAAM AAGAYA HAY "RAYHAAN" QAYDIYO(N) ME(N), BARPA THAA SHORE GIRYA PALKO(N) SE KAR RAHI THI, MAATAM JO BINTE ZAHRA SAJJAD NAWHA KHWAN HAI(N), NAWHA SUNA RAHE HAI(N) KYA SHAAM AAGAYA HAI ARZE KARBALA AY ARZE NAYNAWA ARZE KARBALA AY ARZE NAYNAWA PAANI ME(N) TERE KHUN SHAHIDO(N) KA MILGAYA TERE KINAARE SAAQIYE KAUTHAR KE LAAL THE AUR TIIN DIN KE PYAAS KE MAARE NIDHAAL THE DO GUNT PAANI TUJHSE NA PYAASO(N) KO MIL SAKA SAYRAAB TERI MOJO(N) SE KHALQAT KHUDA KI THI THI TASHNAKAAM AAL FAQAT MUSTAFA KI THI DEKHA BARE SUKUN SE TUNE YEH MAAJRAA ZAINAB KE NAWNIHAAL BHI KUMLAA KE REH GAYE DO KHILTE PHOOL PYAAS KE MURJAA KE REH GAYE BHA-EE KI YAADGHAAR WOH QAASIM SA LAADLAA 22


SHABBIR APNE SARKO BAREHNAA KIYE HUWE KHAIME KI SIMT JAATE THE LAASHAA LIYE HUWE MAQTAL WOH LUU SE GARM WOH TAPTI HUWI HAWAA AKBER KI LAASH DHUNDHTE PHIRTE-THE SHAAHE DEEN PAAMAAL KARKE JISKO CHIPAA YE THE EHLE KIIN SARWAR KA NUUR DIDA WA TASWIIRE MUSTAFA SAR SHAAH KA SHAKINE UTAARA NAMAAZ ME(N) RUUHE RASULE PAAK THI MUZTAR HIJAAZ ME(N) THA ZALZALAA ZAMI(N) ME(N) TO LARZEME ARSH THA KHAIME JHALE THE JAB SITAME BE PANAAH SE DO ASHQ MAANGTI KISI GIRYAA(N) NIGAAH SE PHIR TUJHSE SHIKWA HOTA NA EHSAA(N) KO KUCH GILA AY SHAAM KE LOGO AY SHAAM KE LOGO MEI(N) BINT-E-ALI HU(N) MEI(N) WAARIS-E-TATHEER HU(N) NAAMUS-E-NABI HU(N) BAAZAAR SE DARBAAR ME(N) LE AAYE HO MUJH KO CHAAHO TO JALA SAKTI HU(N) KHUTBO(N) SE MEI(N) TUM KO SAABIR KI BAHAN HU(N) JO MEI(N) KHAAMOSH KHARI HU(N) AFSOS KANIZI ME(N) USSE MAANG RAHE(N) HO TUM JIS KE GHULAMO(N) KI GHULAMI ME(N) RAHE HO YEH ZULM NA HOGA KABHI MEI(N) ZINDA ABHI HU(N) TUM APNE PAYAMBAR KO AGAR DEKHNA CHAAHO NEZE PE JO YE SAR HAY ISE GOUR SE DEKHO HUMSHAKAL-E PAYAMBAR HAI(N) YE MEI(N) ISS KI PHUPI HU(N) AUR ISSE KATHAN WAQT KYA HOGA MERE MA’ABUD FIZZA KE TARAFDAAR HAI(N) DARBAAR ME(N) MAUJUD MEI(N) PUSHT PE FIZZA KE KHARI DEKH RAHI HU(N) ZEHRA KO BHI DARBAAR ME(N) TUM NE THA BULAAYAA DARBAAR ME(N) MEI(N) BHI HU(N) MAGAR FARQ HAY ITNAA PARDE ME(N) THI WOH AUR MEI(N) BE PARDA KHARI HU(N) ZANJEERO(N) ME(N) JAKRA JO YE BIMAAR KHARAA HAY SAJDA ISE KAABE KI FASEELO NE KIYA HAY MANSAB ME(N) BARAA WOH HAY MEI(N) RISHTEY ME(N) BARI HU(N)

23


ZINDAA THA TOU DAR DAR KE HAMESHAA HI LARE HO AB SAR HAI TO HO(N)TO PE CHARI MAAR RAHE HO TUM KITNE BAHAADUR HO MEI(N) YEH DEKH RAHI HU(N) HONE LAGI DARBAAR ME(N) NASHTARKE AZANE(N) “RAYHAAN” IDHAR NAAM-E NABI GUNJA FIZAA(N) MEI(N) BIBI NE KAHAA FAKHR SE MEI(N) JEET GAYI HU(N) AZMATO(N) KI MAALIKA BAAZAAR ME(N) AZMATO(N) KI MALIKA BAAZAAR ME(N) HAAYE ZAINAB BERIDA BAAZAAR ME(N) SHAAM WAALO(N) NE SAJAAYA SHAAM KO DA’AWATE BHEJI HAJUME AAM KO LAAYE PHIR AALE ABAA BAAZAAR ME(N) EK KHUTBA AAP NE AYSA DIYA EK SAHAABI PIIT KAR KEHTA RAHAA AAGAYE KYA MURTAZA BAAZAAR ME(N) HAY KATHIN BAAZAAR WAALE MARHALE EK RASSI ME(N) BANDHE BAARA GALE KHUN AABID RO PARAA BAAZAAR ME(N) SHAAMIYO(N) MEI(N) WAARISE TATHIIR HU(N) AUR HAYAA-O-SHARM KI TAFSEER HU(N) BINTE ZAHRA NE KAHAA BAAZAAR ME(N) SANG BAARI YAK BAYAK HONE LAGI TO SAKINA SEHM KER RONE LAGI HASHR BARPAA HOGAYAA BAAZAAR ME(N) ZAKHMI CHEHRO(N) PE TAMAACHO(N) KE NISHAA(N) SHAAM WAALO(N) SE THA ZAINAB KA BAYAA(N) RO RAHI THI HAL ATAA BAAZAAR ME(N) SAR KE KHU(N) ME TAR HAY YEH JISKI JABI(N) DAR HAQIQAT SHAAMIYO ZAINAB NAHI(N) AARAHI HAI(N) FATEMA BAAZAAR ME(N) KAUN HAY JO KHOF SE SOYI NAHI(N) SHIMR SE SEHMI HAY YU(N) ROYI NAHI(N) JISKA BAANDHA HAY GALA BAAZAAR ME(N) 24


AY KHUDA USKO BAHOT TAWQEER DE DARDE AHLEBAYT KI JAAGIR DE JISNE YEH NAWHA SUNA BAAZAAR ME(N) BEKASO(N) KI YEH SADA BEKASO(N) KI YE SADA, AY JANABE SAYYADA HUM SHABIHE MUSTAFA, DILBARE SHAHE ZAMAA(N) NARGA-E FIZAO(N) ME(N), MERA AKBARE JAWAA(N) KAAMIYAAB KAR USSE, TU KHUDA-E LAA MAKAA(N) KAR RAHI HAY MAA DUA, AY JANABE SAYYADA HAATH PAR HUSAIN KE, DILBARE RUBAB HAY TASHNALAB KE DASHT ME(N), JO SAWAALE AAB HAY HURMALA KE TIR NE, KYU(N) DIYA JAWAB HAY BEZABA(N) HAY BEKHATA, AY JANABE SAYYADA JAA(N) NISSAR KAR CHUKE, RAN ME(N) DILBARE HASSAN MUSTAFA KE LAAL KE, TUKRE TUKRE HAY BADAN LA’EKE BAYAA(N) NAHI, HAALE SARWARE UMAM MAA KHARI HE GHAMZADA, AY JANABE SAYYADA DHAA RAHE HAI(N) ASHKIYA(N), HAR SITAM HUSAIN PAR HAR ZAMINE KARBALA, HAY LAHU ME(N) TARBATAR AAKE JALDI LIJIYE, APNE LAAL KI KHABAR TEGH SE ZAKHMI GALA, AY JANABE SAYYADA KARBALA KI KHAAK PAR, HAY NAWASA-E NABI GHAM SE AAP DEKHIYE , SHAAHE-DI(N) KI BEKASI GARDANE HUSSEIN PAR, SHIMR NE RAKHI CHHURI DEKHA KHUSHK HAY GALA, AY JANABE SAYYADA JAA RAHE HAI(N) QAID ME(N), BEKASO(N) KA KAARWAA(N) CCHHIN GAYI(N) HAI(N) CHAADARE(N), SAR KHULE HAI(N) BIBIYAA(N) PAASBAANE HAAL HAI(N), EK ZAEEFE NATAWA(N) MUZTARIB HAY KAFELA, AY JANABE SAYYADA GHAME HUSAIN ME(N) AA(N)SU GHAME HUSAIN ME(N) AA(N)SU BAHAANE AAYI HU(N) MEI(N) APNE BHA-EE KA CHEHLUM MANAANE AAYI HU(N) KISI NE QAID ME(N) RONE NAHI(N) DIYA MUJHKO TO AAJ FARSHE AZAA MEI(N) BICHAANE AAYI HU(N) 25


WO DASHT JISPE KE SHAABIR TERA KHUN BAHAA USSE MEI(N) ARSHE MUALLAH BANAANE AAYI HU(N) WO JISKI LAASH KO RAN ME(N) KAFAN BHI MIL NA SAKAA MEI(N) USS GHAREEB KI TURBAT BANANE AAYI HU(N) JO ZAKHM KHAAYE THE TUMNE WO ZAKHM GEHRE THE JO ZAKHM KHAAYE HAI(N) MAINE DIKHAANE AAYI HU(N) TUMHAARI YAAD ME(N) DIN RAAT JO TARAPTI-THI MEI(N) USS YATIM KA NAWHA SUNAANE AAYI HU(N) HUSAIN TERA LAHU RAAEGA(N) NAHI(N) HOGA YE WAADA MAINE KIYA THA NIBHAANE AAYI HU(N) WO EK SALAAM HO USS PAR JO ROKE KEHTI(N) THI(N) MEI(N) APNA HAALE MUSIBAT SUNAANE AAYI HU(N) HAY SHAAM KA BAAZAAR HAY SHAAM KA BAAZAAR ZAINAB HAY PARESHAA(N) KUFFAAR KA LASHKAR ZAINAB HAY PARESHAA(N) NAAMEHRAMO(N) KA MAJMA KUNBA HAY MOHAMMAD KA HAY CHAARO(N) TARAF PATHAR KUNBA HAY MOHAMMAD KA DARBAARE SITAMGHAR ZAINAB HAY PARESHAAN SAR NANGE NABI ZAADI CHAADAR KI SAWAALI HAY GHAAZI KI BAHAN LOGO CHAADAR KI SAWAALI HAY DARBAAR KA MANZAR ZAINAB HAY PARESHAAN NA UNT PE MEHMIL HAY AUR NA HAY KAJAAWAA PEHNE HAY TAUQ AABID ZAINAB HAY RASAN BASTAA RASTA BHI HAY DUSHWAAR ZAINAB HAY PARESHAAN SAJJAD KI AANKHO(N) ME(N) HAY SHAAM KA MANZAR KHOO(N) USKO RULAATAA HAY BAS SHAAM KA MANZAR HA(N)STE HAI(N) JAFAAKAAR ZAINAB HAY PARESHAAN DARBAAR ME(N) “JA’FFER” YEH ZAINAB KA THA NAWHA GHAAZI BHI NAHI(N) ZINDA KAISE KARU(N) PARDAA SAR PAR NAHI(N) CHAADAR ZAINAB HAY PARESHAAN

26


HAY WAKTE AZAA(N) HAY WAKTE AZAA(N) X 2 AA ALI AKBER AZAAN DE BOLE PISAR SE SIBTE PAYAMBAR AZAAN DE YEH AAKHERI AZAAN HAY SAJDA BHI AAKHERI ARSHE BARI(N) PE SUNTE HAI(N) AKBER AZAAN DE THANDAK MILE RASUL KE RAWZE SE MERE LAAL EK AAG SI HAY SINE KE ANDAR AZAAN DE NAAME KHUDA RASUL KA BAAQI RAHEGA DEEN ISS DEEN KI BAQAAKE MUQADDAR AZAAN DE KEHTI HAY YE MADINE SE AATI HUWI HAWAA SUGHRA BHI MUNTAZIR HAY BIRAADAR AZAAN DE FAWJE ADU KO HAQ-KI SADAAQAT DIKHAAENGE NAADE ALI KE ZOR PAR UTH KAR AZAAN DE JISKA GALA NABI KE LABO(N) KI HO JAA(N) NAMAAZ PHIR WO GALAA NA KYU(N) TAHE KHANJAR AZAAN DE CHALTE HAI(N) TEER JISME NAMAAZI HAY KHU(N) ME(N) TAR AY MERE LAAL SABR KE PAYKAR AZAAN DE “RAYHAAN” YE NAMAAZ-E AQIDAT KA WAQT HAY NAWHO(N) KO TU AZAAN BANAA KAR AZAAN DE JAANE WAALE KARBALA KE JAANE WAALE KARBALA KE KARBALA LE CHAL MUJHE ROZA-E SHABBIR PAR DUNGA DUA LE CHAL MUJHE HAY JAHAA(N) GANJE SHAHIDA(N) HAY JAHAA(N) NEHRE FURAAT JIS JAGAA SAYYAD MERA PYAASA RAHAA LE CHAL MUJHE JIS JAGAA JAAGI THI QISMAT HUR KI WO DEKHUNGA MEI(N) AANSUO(N) PAR KAISE HOTI HAY ATAA LE CHAL MUJHE ISS QADAR NADAAR HU(N) ZAATE SAFAR KUCH BHI NAHI(N) DOSH PAR APNI DIKHA KAR AY HAWAA LE CHAL MUJHE JIS JAGAA ABBAS KE BAAZU KALAM HOKAR GIRE USS JAGAA MEI(N) BHI KARU(N) MAATAM ZARAA LE CHAL MUJHE DIL ULAJ KAR AAGAYA BARCHI ME(N) AKBAR KA JAHAA(N) DIL WAHAA(N) MEI(N) BHI KARU(N) APNA FIDA LE CHAL MUJHE 27


JAL GAYE SHAAM-E-GHARIBA(N) ME(N) JAHAA(N) KHAYME TAMAAM JIS JAGAA NANNA SAA EK JHULA JALA LE CHAL MUHJE HAAYE WO MAQTAL JAHAA(N) BAALI SAKINA RAAT ME DHOOND-TI PHIRTI-THI SINA BAAP-KA LE CHAL MUJHE KHUDA KE NAAM PAR MAANGI KHUDA KE NAAM PAR MAANGI TO ZAINAB NE RIDA MAANGI SARE BAAZAAR BIBI NE JO MARNE KI DUA MAANGI CHUPA HAY TERA BAALO(N) SE MAGAR URYAAN TO SAR HAY MERI MAKHDUMA NE CHAADAR SABHI SE BAARHAA MANGI SABHI MASNAD NASHINNO(N)-SE YE HA(N)S KAR KEHTE THE ZAALIM ALI KI BETI NE HAMSE JO MANGI THI TO KYA MAANGI NADI CHAADAR KISI NE JAB SARE DARBAAR ZAINAB KO TO PUSHTE FIZZA SE BIBI NE CHUP NEKI JAGAAH MAANGI SHIMR SE PUCHA HAAKIM NE KAHAA(N) HAY DUKHTARE ZAHRA YE SUNKAR SAANI-E ZAHRA NE KHAALIK SE QAZAA MAANGI LIKHU(N) ZIKRE MASAIB MEI(N) SADAA AALE MUHAMMAD KA YEHI “IRSHAAD” RORO KAR QALAM NE BAS DUA MAANGI MERA SEHRE-A WAALA AKBAR MERA SEHRE-A WAALA AKBAR ZAKHM DIL KE DIKHAWU(N) MEI(N) KAISE TERA LAASHA UTHAWU(N) MEI(N) KAISE AKBAR MERA SEHRE-A WAALA AKBAR LASHE AKBAR PE SHAAH JAB POHNCHE DIL KO HAATHO(N) SE THAAM KAR BOLE, TERI FURQAT NE AY ALIAKBAR, AAG DIL ME(N) MERE LAGADI HAY, AAG DIL KI BHUJAWU(N) MEI(N) KAISE TERA LAASHA UTHAWU(N) MEI(N) KAISE AKBAR MERA SEHRE-A WAALA AKBAR

28


TU HAY KARYAL JAWAAN AY BETA, BAAP TERA ZAEEF HAY KITNA NOOR AANKHO(N) KA HOGAYA RUKHSAT MUJHKO AATA NAHI(N) NAZAR KHAYMA LEYKE KHAYMON MEI(N) JAAU(N) MEI(N) KAISE TERA LAASHA UTHAWU(N) MEI(N) KAISE AKBAR MERA SEHRE-A WAALA AKBAR JISNE ATTHAARA SAAL PAALA THA KAISE DEKHEGI WO TERAA LAASHA TERI SHAADI KA THA JISE ARMAAN KAISE JHELEGHI WO TERA SADMA TERI MAA KO BATAU(N) MEI(N) KAISE TERA LAASHA UTHAWU(N) MEI(N) KAISE AKBAR MERA SEHRE-A WAALA AKBAR DEKH AAYA HAY QAASIDE SUGHRA RAAH TAK TI HAY WO DUKHI BEHNA TUJHKO BEEMAR NE BULAAYA HAY WAADA SUGHRA KA KYU(N) BHULA DAALA GHAM YEH DIL SE LAGAWU(N) MEI(N) KAISE TERA LAASHA UTHAWU(N) MEI(N) KAISE AKBAR MERA SEHRE-A WAALA AKBAR BHAI BEHNO(N) KA HAY AJAB RISHTA JISKA SAANI KAHI(N) NAHI(N) MILTA ROKE SUGHRA NE YE LIKHA AKBAR EK DUKHYA KI LAAJ RAKHLENA MARGAYA TU(N) BATAWU(N) MEI(N) KAISE TERA LAASHA UTHAWU(N) MEI(N) KAISE AKBAR MERA SEHRE-A WAALA AKBAR LUTF JINE MEI(N) AB KAHAA(N) AKBAR DIL SE UTHTHI HAY YE FUGHA(N) AKBAR SUBHE ASHOOR DI THI JO TUNE KHU(N) RULAAYENGI WO AZAA(N) AKBAR TERI SURAT BHULAWU(N) MEI(N) KAISE TERA LAASHA UTHAWU(N) MEI(N) KAISE AKBAR MERA SEHRE-A WAALA AKBAR ZABT GHAM HAY MOHAL AY BETA DEKHU(N) KAISE YE ZAKHM SINE KA MEI(N) TO PARDES ME(N) AKELA HU(N) DEKH KAR ZAKHM KYA KARU(N) BATLA ISS PE MARHAM LAGAWU(N) MEI(N) KAISE TERA LAASHA UTHAWU(N) MEI(N) KAISE AKBAR MERA SEHRE-A WAALA AKBAR 29


FATIMA YE DUA HAY KHAALIQ SE WAQT AISA KISI PE NA AAYE JAISA “MAZHAR” NE LIKH DIYA MANZAR SHAAH KEHTE HAY(N) BAS YEHI ROKE ZAHKM DIL KE DIKHAWU(N) MEI(N) KAISE TERA LAASHA UTHAWU(N) MEI(N) KAISE AKBAR MERA SEHRE-A WAALA AKBAR MERI JAAN ALI IMAAN ALI MERI JAAN ALI IMAAN ALI YA MAWLA ALI YA MAWLA ALI NABIYONE PUKAARA MUSHKIL ME(N) HAR DARD KA HAY DARBAAN ALI HAA(N) MERI JAAN ALI PATHHAR PE ALAM GAARA JISNE JISKO HAY KHUDA KA SHER KAHAA DAAMAADE NABI HAI(N )MAWLA ALI JISE HAYDAR-O-SAFDAR LAKAB MILA HAY DUNIYA ME(N) ZISHAA(N) ALI YA MAWLA ALI YA MAWLA ALI HAA(N) MERI JAAN ALI MIMBAR PE BULAAKAR AHMAD NE MANKUNTO MAWLA JISKO KAHAA JISKA BHI HU(N) ME(N) AB MAWLA MERE BAAD HAI(N) USKA ALI MAWLA JISSE ALLAH SE TALWAAR MILI YA MAWLA ALI YA MAWLA ALI HAA(N) MERI JAAN ALI SOCHO TO ZARA AY MUSALMAANO ROZE ME(N) JIS PAR WAAR KIYA JO SHAWHAR FATEMA ZAHRA KA USS KO MASJID ME(N) QATAL KIYA HAA(N) AHMAD KA DILO JAAN ALI YA MAWLA ALI YA MAWLA ALI HAA(N) MERI JAAN ALI MEHMAAN BULAAKAR KUFE ME(N) IMAAME HASAN KO ZEHR DIYA JO GODE NABI ME(N) KHELAA THA US KO MASJID ME(N) ZIBH KIYA HAY ROTI RAHI ZAHRA KI KALI YA MAWLA ALI YA MAWLA ALI HAA(N) MERI JAAN ALI EK UJRA KAAFELA PYASO(N) KA JAB LEKAR ZAINAB SHAAM GAYI(N) MEI(N) PAAK ALI KI BETI HU(N) RORO KAR ZAINAB KEHTI RAHI(N) AB KOI NAHI(N) HAY CHAARA GHAR YA MAWLA ALI YA MAWLA ALI HAA(N) MAWLA ALI KYA SHAA(N) TUMHAARI MAWLA ALI ALLAH KE GHAR ME(N) AAYE ALI JO TERI MUHABBAT HAY DIL ME(N) USKO TO MILI BAS JANNAT HAY KAWTHAR KA SAAKI MAWLI ALI YA MAWLA ALI YA MAWLA ALI HAA(N) MERI JAAN ALI

30


PHONCHAADO NAJAF ME(N) HUM SABKO DEKHE(N) TERA RAWZA MAWLA ALI SAAIL TO KABHI PALTA HI NAHI(N) KHAALI TERE DARSE MAWLA ALI ZAWAAR BANAADO MAWLA ALI YA MAWLA ALI YA MAWLA ALI HAA(N) MERI JAAN ALI “MEHBOOB” NE LIKHA HAY NAWHA RORO KE SUNAATA HAY “MISAM” ZAINAB YEH DUA YEH KARTI HAY GHAR GHAR SHABBIR KA HO MAATAM HAR SHAKS PUKAAREGA EK DIN YA MAWLA ALI YA MAWLA ALI HAA(N) MERI JAAN ALI MUJHPE KYU(N) BAND KARTE HO PAANI MUJHPE KYU(N) BAND KARTE HO PAANI KYA MUHAMMAD KA PYAARA NAHI(N) HU(N) MERA NANA NABI MERI MAA SAYYADA MERA BABA ALI MERA BHAI HASAN HUM HI HAI(N) PANJATAN, MERI KYA HAY KHATA MUJHPE KYU(N) BAND KARTE HO PANI KYA MUHAMMAD KA PYARA NAHI(N) HU(N) KYA MEI(N) ZAHRA KA JAAYA NAHI(N) HU(N) KYA NABI KA NAWASA NAHI(N) HU(N) MERE NANA NE KALMA SIKHAAYA AUR QURAN TUMKO SUNAYA KYA ME(N) NAANA KA SAAYA NAHI(N) HU(N) KYA NABI KA NAWASA NAHI(N) HU(N) WOH MADINA JAHAA(N) MERA GHAR HAY AUR MASJID ME(N) USS GHAR KA GHAR HAY KYA MEI(N) USS GHAR MAY KHELA NAHI(N) HU(N) KYA NABI KA NAWASA NAHI(N) HU(N) CHAKKIYA PIS KAR MAA NE PAALA MUJHKO NAANA NE JHULA JHULAYA APNA BACHPAN MEIN BHULA NAHI(N) HU(N) KYA NABI KA NAWASA NAHI(N) HU(N) KAMLI WALE KE LAB CHUMTA THA KITNA PYARA MERA BACHPANA THA KYA MEI(N) UNKA DULHARA NAHI(N) HU(N) KYA NABI KA NAWASA NAHI(N) HU(N)

31


MEI(N) JO PAANI KABHI MAANGTA THA KYU(N) TARAPTI THI MAA AB MEI(N) SAMJHA PAAS ASGHAR KE JAATA NAHI(N) HU(N) KYA NABI KA NAWASA NAHI(N) HU(N) MEI(N) JO CHAAHU(N) BARAS JAAEI(N) BAADAL KHU(N) ME(N) DUBA NAZAR AAYE MAQTAL JANG KARNE MEI(N) AAYA NAHI(N) HU(N) KYA NABI KA NAWASA NAHI(N) HU(N) EK SADA THI YE "RAYHAAN-O-SARWAR" KEH RAHETHE HUSAIN IBNE HAIDAR KYA MEI(N) MEHMAN AAYA NAHI(N) HU(N) KYA NABI KA NAWASA NAHI(N) HU(N) PEHLU BHI SHIKASTAA HAY PEHLU BHI SHIKASTAA HAY, TURBAT BHI SHIKASTAA HAY KYA HAAL YE UMMAT NE, ZEHRA KA BANAAYA HAY KHATOON KOI GHAM SE YU(N) CHUR NAHI(N) DEKHI, AISI KOI DUNIYA ME(N), MASTOOR NAHI(N) DEKHI, ATHHAARA BARAS ME(N) HII, LAGTI JO ZAEEFA HAY DARBAAR ME(N) ZAALIM NE, KII AISI PAZEERAAI, KIS TARHA SE TU BIBI, PHIR LAUT KE GHAR AAYI, BAALO(N) KI SAFEDI NE, SAB HAAL SUNAAYA HAY TU ROTI RAHI GHAR ME(N), HAYDAR SE BHI CHHUP CHHUP KE, ISMAT KI TARHA DUKH BHI, PARDE ME(N) RAHE TERE, KUCH DARD TERE BIBI, BAS JAANTI FIZZA HAY DO AISE JANAAZE HAI(N), TAARIKH ME(N) JO UTTHE, BAS GHAR KE HII LOGO(N) NE, DONO KO DIYE KAANDHE, EK FATEMA ZAHRA HAY,EK BAALI SAKINA HAY MARHAM TERE ZAKHMO(N) KA, BIBI NA MILAA AB TAK, AULAADE UMAYYA KI, BAAQI HAY JAFAA AB TAK, RONE PE BHI PEHRA THA, TURBAT PE BHI PEHRA HAY MISMAAR TERA RAWZA, UMMAT NE KIYA JAB SE, BABA TERA REHTA HAY, TURBAT PE TERI TAB SE, KAB GHUMBAD-E-KHIZRA(N) ME(N), BABA TERA REHTA HAY

32


MEHDI SE KOI PUCHHE, KYA USS PE GUZARTI HAY, AWAAZ BAQAYYA SE, JAB RONE KI AATI HAY, AANKHO(N) SE LAHU ROKAR, WOH BHI YEHI KEHTA HAY TASWEER HAQIQAT KI, KHWAABO(N) KO BANAA DIJE, AI BIBI TAKALLUM KO, TA’ABIR DIKHAA DIJE, MATAM TERI TURBAT PE, HOTE HUWE DEKHA HAY PYAARE NABI KI PYAARE NABI KI PYAARI NAWAASI SHAAM KO QAIDI BAN KE CHALI HAY SABR KI MALIKA ZEHRA KI PYAARI SHAAM KO QAIDI BAN KE CHALI HAY DEKH RAHI HAY KOI TO AAYE, SHAANA PAKAR KAR KAASH BITHAAYE NA HAY SAWAARI NA HAY AMAARI, SHAAM KO QAIDI BAN KE CHALI HAY BHA-EE BHATEEJE BHAANJE BETE, SAATH WATAN SE AAYI THI LEKAR HAAYE MUQADDAR AAJ AKELI, SHAAM KO QAIDI BAN KE CHALI HAY BETO(N) KO SADQA BHAAI PE KARKE, JISNE KIYE THE SHUKR KE SAJDE CHHOR KE TANHA LAASH KO USKI, SHAAM KO QAIDI BAN KE CHALI HAY JISKI KANEEZE(N) NIKLE NA BAAHAR, BALWE ME(N) LAAYE USKO SITAMGAR HAAY YE GHURBAT BINTE ALI KI, SHAAM KO QAIDI BAN KE CHALI HAY KITNE HI QAIDI JISNEY CCHHUDAAYE, AAJ WOH BIBI SAR KO JHUKAAYE EK RIDA KI BAN KE SAWALI, SHAAM KO QAIDI BAN KE CHALI HE SOCHO WOH MANZAR "SARWAR-O-RAYHAAN", BHA-EE HO JISKA WAARISE QURAN KAISE WOH BIBI ASHQ BAHAATI, SHAAM KO QAIDI BAN KE CHALI HAY PYAASE PE AJAB PYAASE PE AJAB WAQT QAYAAMAT KA PARA HAY EK LAASH ABHI LAAYAA HAY EK LENE CHALA HAY YEH HUR KA HAY WOH BHA-EE KA YEH BETE KA LAASHAA ZEHRA KA PISAR GANJE SHAHIDA(N) ME(N) PARA HAY ZAINAB TERI CHAADAR KA KHUDA HAAFIZ-O-NAASIR LASHKAR NA ALAM AUR NA ALAMDAR BACHAA HAY YEH AAKHERI HADYAA THA HUSAIN IBNE ALI KA YEH BACH-CHAA ABHI TIR SE JO MAARAA GAYA HAY 33


MU(N)H DHAA(N)P LO AMMAA NA NAZAR AAYE NA NEZE NEZO(N) SE YEHI AUNO MUHAMMED KI SADAA HAY CHHUP CHHUP KE USSE ROYI THI EK RAAT KI BIYAHI WOH DULHA JO BE GORO KAFAN RAN ME(N) PARA HAY LAILA TERE AKBAR NE NAHI(N) KHAAYA HAY NEZA YEH NEZA DILE SIBTE PAYAMBAR ME(N) LAGA HAY MAA JULAA JULAATI HAI KHAYALO(N) ME(N) ABHI TAK AB JULNE WAALAA NAHI(N) BAAQI YE PATA HAY JIS KHAAK PE KHU(N) BEH GAYA ZEHRA KE JIGAR KAA WOH KHAAK FAQAT KHAAK NAHI(N) KHAAKE SHIFA HAY HAY MAJLISE SHABBIR ME(N) ABBAS KA MAATAM “RAYHAAN” YEH GHAAZI KI WAFAAO(N) KA SILA HAY SHAAH KI PYAARI SAKINA SHAAH KI PYAARI SAKINA, LAADLI ABBAS KI SIRATE ZAHRATHI JISME THI SAKINA WO KITAAB GOUD ME(N) LETE THE GHAAZI AUR KABHI UMME RABAAB SINA-E SHABBIR PAR JO PHOOL SI KHILTI RAHI ZAINAB-O-KULSUM KE JO SAAYEME PALTI RAHI NAA KISI GHAM KA TASAWWUR THA NA RANJO YAASKA PAAYA ISS BACH-CHI NE JULAA BAAZU EE ABAAS KA NAQSH THA USS NAAZNI(N) KE DIL PE MAA AUR BAAP KA YU(N) SAMAJ LO PEHN REHTI THI WO TAAWIZE WAFAA NAAZ UTHATI THI SAKINA KE SABHI SHEHZAADIYAA(N) KISSA-E KHAIBAR SUNAA KAR DETI THI MAA LORIYAA(N) ZAANU-E MAADAR PE TAKIYAAN THA KABHI TAQDEER PER CHAIN SE SOTI THI SHAB KO SINAE SHABBIR PAR DEKHTE HI DEKHTE WO DO BARAS KI HO GAYI BACHIYO(N) KE KHELNEKI UMR HOTI HAY YEHI KHELTI THI GHAR KE AANGAN ME(N) KABHI SUGHRA KE SAATH GUUM NE JAATI KABHI AKBAR KABHI BAABAA KE SAATH KHELTE DORAAN LAGTI THI SAKINA KO JO PYAAS DAURH KAR JAATI THI BAC-CHI USS GHADI AMMU KE PAAS HAA-EE KYA DIN THA KE PAANI MAANGA AUR PAANI MILAA AUR EK WO WAQT PYAASI THI SARE KARBOBALA

34


ALGARAZ BEHRE SAFAR JAB GAR SE NIKLE SHAAHE DEEN RAAH ME(N) KITNI AZIYAT SEH GAYI WO NAAZNEE(N) DASHT ME(N) PYAASI RAHI AUR BAAP KI FURQAT SAHI QAID HOKAR PHIR WO BACHI SHAAM KE ZINDA(N) GAYI UMR KE BAAQI WOH DIN THE WOH GUZAARE QAID ME(N) KAL TALAK AAABAD THA GHAR AB HAI(N) SAARE QAID ME(N) QAID KHAANE KE MASAAIB QALB PAR SEHTI RAHI(N) HAAYE BAABAA HAAYE BAABAA RAAT DIN KEHTI RAHI(N) MAAR DAALA QAIDKHAANE ME(N) USSE USTAAD NE QABR ME(N) USKO UTAARA SAYAADE SAJAAD NE ROZAA-E BAALI SAKINA PAR JAB “MAZHER AABEDI” JAAEGA” FARHAAN” LAB PER HO GA NAWHA BAS YAHI SHABBIR AGAR TERI AZADARI NA HOTI SHABBIR AGAR TERI, AZAADAARI NA HOTI MAZLOOM KI DUNIYA ME(N) (X2) TARAFADARI NA HOTI SHABBIR KA MAQSAD JO, SAMAJ LETA ZAMANAA QURA(N) KO SAMAJNE ME(N) (X2) YE DUSHWAARI NA HOTI KYA FAAYEDA ANKHO(N) KA, REHJATA ZARA SOCHO IN ANKHO(N) ME(N) MAWLA KI (X2) JO GHAMKHWARI NA HOTI SHABBIR KE ROZE PE, KUCH ROZ JO REHTE TUMKO KABHI JANNAT KI (X2) TALABGHAARI NA HOTI DO ROZ BHI JANNAT ME, REHNA HAME MUSHKIL THA ZEHRA TERE BACHO-CHO KI (X2) JO SARDARI NA HOTI GAAZI TERE JAISA JO, ALAMDAR NA HOTA DUNYA ME ALAM HOTE (X2) ALAMDARI NA HOTI SHARMINDA SAKINA SE, AGAR HOTA NA PAANI (X2) YE RASM SABILO(N) KI (X2) KABHI JARI NA HOTI NAMOOS-E-MUHAMMAD KO, JO PEHCHANTI DUNYA ZAINAB KE KHULE SAR PE (X2) YE SANGBAARI NA HOTI JANNAT ME(N) QADAM RAKHTE, NAHI(N) "SARWAR-O-RAYHAAN" JANNAT MEJO MAULA KI (X2) AZADARI NA HOTI

35


TEERO(N) KI ZAD ME(N) AAGAYA TEERO(N) KI ZAD ME(N) AGAYAA ZEHRA KA GHULBADAN SARMAAYA-E-RASOOL HAI, SHAHZAADAYE AMMAN POSHAAK JISKI KHULD SE LAAYE THE JIBRAEEL AB USKE HAI(N) BADAN PE ZAKHMO(N) KA PAIRAHAN BARSE HAI(N) TEER ITNE LAASHE HASAN PE JO ZANJEER HAY LAHU ME(N) MA’SOOM KA BADAN KOI MUSTAFA SE ISKO KAISE JUDAA KARE MUMKIN NAHI(N) HAY ISKE ZAKHMI HAI(N) PANJETAN EK TU HI TU HASAN KA NAUKAR NAHI(N) “AMI” HAR MARDE BAAWAFA KA SARDAAR HAI(N) HASSAN YA RAB KOI MAASUMA YA RAB KOI MAASUMA ZINDAA ME(N) NA TANHAA HO PAABAND NAHO AAHE(N), HAAYE PABAND NAHO AAHE(N) RONE PE NA PEHRA HO THI JIS KO NIND AATI SHABBIR KE SINE PAR ZINDAA(N) DARE ZINDAA(N) HAAYE ZINDAA(N) DARE ZINDAA(N) USKE LIYE QAZAA HO ZINDAANO SE AATI THI AWAAZ SISAKNE NE KI JAYSE KE SAKINA KO HAAYE JAYSE KE SAKINA KO HAR ZINDAAN RO RAHA HO TAKRAAYE NA WO KYU(N) KAR ZINDAAN KI DIWAARO(N) SE BHA-EE SE AUR PHUPHI SE HAAYE BHA-EE SE AUR PHUPHI SE JISKO JUDA KIYA HO ZINDAAN ME(N) AHMAD BHI YAAD AAYI SAKINA KI DIL RORO KEH RAHA HAY HAAYE DIL RORO KEH RAHA HAY AB NA UJAALA HO

36


YEH MAAHE MUHARRAM HAY YEH MAAHE MUHARRAM HAY YEH AYYAME AZAA HAY MAATAM YE MUHAMMAD KE NAWAASE KA BAPAA HAY ISS MAAH ME(N) LUTI GAYI ZEHRA KI KAMAAYI TALWAR MUHAMMAD KE NAWASE PE CHALAAYI ISS MAAH ME(N) JIBREEL SE NAUHA YE SUNA HAY MAATAM YE MUHAMMAD KE NAWAASE KA BAPAA HAY ISS MAAHE MUHARRAM ME(N) QAYAMAT YE DIKHAAYI ISS CHAAND NE SUGHRA KO KHABAR JAAKE SUNAAYI VEERAN MADINA HAY BASI KARBOBALA HAY MAATAM YE MUHAMMAD KE NAWAASE KA BAPAA HAY ISS MAAH ME(N) SAADAAT NE DIN KAISE GUZAARE MAASUM KO PANI NA MILA NEHR KANAARE KYA ZULM MUHAMMAD KE GHARANE NE SAHAA HAY MAATAM YE MUHAMMAD KE NAWAASE KA BAPAA HAY JAB CHAAND MUHARRAM KA NAZAR AATA HAY HUMKO SAJTA HAY AZAAKHANA TO YAAD ATAA HAY HUMKO ISS CHAAND ME(N) KHU(N) AALE MUHAMMAD KA BAHAA HAY MAATAM YE MUHAMMAD KE NAWAASE KA BAPAA HAY AASHUR KA DIN BHOOL NA PAAYEGA ZAMAANA LUTAA GAYAA USS ROZ MUHAMMAD KA GHARAANA USS ROZ SE DUNYA ME(N) BICHHI FARSHE AZA HAY MAATAM YE MUHAMMAD KE NAWAASE KA BAPAA HAY KYA HO(N)SLE MAAO(N) KE THE KYA SHER THE BACH-CHE WOH MAQSADE ZEHRA THI YE HAIDAR KE IRAADE IN MAAO(N) SE BACH-CHON SE BANI KHAKE SHIFA HAY MAATAM YE MUHAMMAD KE NAWAASE KA BAPAA HAY WOH AUNO MUHAMMAD ALI AKBAR ALIASGHAR WOH QASIME NAUSHAH WOH ABAS-E-DILAWAR MAQTAL INHI SHEHZADO(N) KE ZAKHMO(N) SE SAJA HAY MAATAM YE MUHAMMAD KE NAWAASE KA BAPAA HAY HO “SARWAR”-O-“RAYHAAN” “SHANAAWAR” KE “ALI JI” HAY NAUKRI VIRSE ME(N) HUSAIN IBNE ALI KI AWAAZO QALAM DONO(N) ISI DAR KI ATAA HAY MAATAM YE MUHAMMAD KE NAWAASE KA BAPAA HAY

37


DEDICATION This book has been dedicated in the loving memory of Marhum Ramzanali Alimohamed Meghji, Marhum Sultanali Kermali Jagani, Marhuma Zainab Bai Fazal Kermali and Qul Marhumeen. All users are requested to recite Sura-e-Fateha for the Isaale Thawaab of the above Marhumeen. - Iltemaase Dua.



Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.