Janiye Artery Cleansing Food aur Rahiye Swasth

Page 1

Artery Cleansing Food: Aahar Jo Dhamniyo Ko Rakhenge Saaf Ham sabhi jante hai ki sharir ko swasth rakhne ke liye swasthvardhak bhojan lena jaruri hai. Yadi aap sahi tarah ka bhojan lete hai to aapka sharir bimariyo se dur rehta hai. Sahi tarah ke bhojan lene se hamara vajan niyantrit rehta hai, chehre par ronak rehti hai, ham active mehsus karte hai, sath hi dhamniya bhi avrudhha nahi hoti hai. Ji haan darahsal lakho logo ki mrityu ka karan sirf unki dhamniyon ka avaruddha hona hota hai. Isliye dhamniyo ka khayal rakhna bhi behad hi upyogi hai. Hamari aayu badhne ke sath, sharir ke vibhinna hisso ki rakt vahikao mai, jisme ki coronary arteries bhi shamil hai, cholesterol jam jata hai. Aur rakt ke bahav mai dhire dhire baadha utpann kar deta hai. Iss rukawat ke kai karan hai jaise ki, kharab khan pan ya aniyamit jivan sheli aadi ho sakte hai. Dhamniyo mai rukawat se kaafi ghambhir parinaam ho sakte hai. Halanki kuch vishesh aahar khane se ve aapki dhamniyo ko saaf karte hai. Aur inhe badhit nahi hone dete. Iss article mai aapko kuch is tarah ke foods ke baare mai bataenge jo dhamniyo ko chok hone se bachaega aur usme rakt ka pravah sucharu roop se hoga. Iss prakriya ko kai log plack build up karna bhi kehte hai. To aaiye jante hai Artery Cleansing Food ke bare mai.


Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.