Bad Breath Home Remedies: Dur Kare Saanso Ki Durgandh Chehre ki muskurahat, acchi personality aapke look mai char chand laga deti hai. Lekin yeh sab hone ke bawjud bhi aapke andar ki ek choti si kami inn sabhi chizo par pani fer deti hai. Saanso se aane wali badbu ek aesi samasya hai jo kisi ko bhi sharmsar kar deti hai. Jin logo ko muh se durgandh aane ki samasya hoti hai, log unse baat karne ya unke aas-paas baithne se bhi katrate hai. Inse unke aatmavishvas ko kaafi thes pahuchti hai. Samajik sthalo par hansi ka patra banne se to accha hai ki iska jald se jald upchar kar liya jaye. Iss samsya ko Halitosis kaha jata hai. Yeh kai karano se hoti hai jaise raat ko sote samay brush naa karna, khaan pan mai parhej naa karna, kabj rehna aadi. Kai baar to aesa hota hai ki log apni iss samasya se bhi anjaan hote hai. Agar aapko jaana hai ki kya aapko bhi yeh samasya hai. To iske liye apne muh ke samne haath rakhe aur saanso ko chhode. Fir apne haatho ko sunghkar dekhe. Yadi aapke haatho se smell aa rahi ho to samajh jaiye ki aapko saanso se aane wali badbu ki samasya hai. Lekin aapko pareshan hone ki jarurat nahi hai. Yaha ham aapko bata rahe hai Bad Breath Home Remedies, jiski madad se aap tazi saanse paa sakti hai aur sharminda hone se bhi bach sakti hai.
Muh Ki Durgandh Dur Karne Ke Gharelu Upaye Faydemand Sonf(Fennel) Saans ki badbu ko rokne ke liye sonf ek prakratik upchar mana jata hai. Yeh muh ke andar lar ka strav karti hai. Khana khane ke bad yadi aap sonf khate hai to yeh khane mai moujud kan ko lar ke dwara andar kar deti hai aur sath hi muh ko acchi khushbu bhi deti hai. Badbu ki samasya se nijad pane ke liye rojana khane ke baad sonf khana chahiye. Subah-Raat Dono Time Brush Kare Saanso se aane wali badbu ko rokne ke liye muh ki safai rakhna bhi behad jaruri hai. Isliye aap rojana subah uthte hi aur raat ko sone se pehle brush kare. Muh ko saf karte waqt aksar log bahar ki taraf jyada dhyan dete hai aur andar ki taraf chod dete hai. Lekin aisa nahi karna chahiye apne daanto ko andar aur bahar dono taraf acchi tarah se saf kijiye. Aesa karne se muh mai bhojan ke kan nahi rehte aur kitanu nahi panapte. Khatte Phalo Ka Sevan Kare Kai logo ko khatee phal khana pasand nahi hota hai. lekin kya aap jante hai ki yeh khatte phal muh ki durgandh ko dur karne mai kafi madad karte hai. Muh ko khali rakhne aur lambe samay tak kuch na khane se bhi saanso mai badbu ki samasya utpanna ho sakti hai. Isliye rojana vitamin c se bharpur khatte phalo ka sevan kare. Dalchini (Cinnamon) Dalchini bhi ek labhdayak Bad Breath Remedie hai. Yeh hamare muh se bacteria ko khatam karne ka kaam katri hai. Dalchini ka upyog karne ke
liye iske patto ko ajwain aur barabar matra mai pani ko milakar ubal lete hai. Iss mishran se grara karne se muh ki durgandh dur ho jati hai. Tea Se Bhi Paye Fayda Rojana black tea ya fir green tea pine se bhi saans mai aane wali durgandh se chutkara paya ja sakta hai. Yeh tea saanso mai moujud Polyphenols se ladne ke liye ek anti oxidant ki bhumika nibhati hai. Jisse saanso mai aane wali durgandh dur ho jati hai. Neem ki Pattiyo ka Upyog Kare: Neem ki patti manav jeevan ke rog ko dur karne ke liye liye sabse acchi aushdhi sabit hui hai. Saans ki durgandh ko dur karne ke liye neem ki pattiyo ko dho kar sukha lijiye fir use ek bartan mai rakhkar jala dijiye. Iss tarah se bani rakh mai sendha namak ko milakar rojana 3 se 4 bar manjan kare. Iss tarah se bhi saans ki durgandh dur ho jati hai. Bad Breath Remedies: Yeh Upyae Bhi Apnaye Saans ki durgandh ko dur karne ke liye methi se bani chaye pine se bhi muh mai moujud bacteria ko dur kiya jata hai. Rojana khub matra mai pani piye. Durgandh dur karne ke liye ajwain bhi ek acchi aushdhi mani jati hai. Isme paya jane wala chlrophil muh ke bacteria ko marta hai. Rojana khane khane ke bad ilaychi ka sevan kare ya fir iski pattiyo ko bhi chabane se Pyria jaise rogo se chutkara paya ja sakta hai. Rojana acche se brush karne ke sath sath sahi se jeebh bhi saf kare. Aksar log brush to kar lete hai lekin jeebh saf nahi karte hai jisse jeebh mai gande bacteria jama hone lagte hai, jo ki saans mai badbu ka karan bante hai. Seb ke sirke ka prayog saans ki gandh ko dur karta hai. Iske liye ek glass pani mai 2 chammach sirke ko milaye aur garara kare.
Ilaychi aur pudina dalkar pan ko chabane se bhi saans ki durgandh dur ho jati hai. Trifla ki jad ki chhal ko bhi muh mai rakhkar chabane se muh ki durgandh dur ho jati hai. Masaledar bhojan ka sevan kam kare aur hari taji sabjiyo ka upyog kare. Ilaychi aur long ka tel banakar daanto mai lagane se muh ki durgandh dur ho jati hai.