Benefits of Red Wine: Janiye Iske Swasthvardhak Laabh

Page 1

Benefits of Red Wine- Iss Paye Padarth ke Anmol Laabh Benefits of Red Wine- Iss Paye Padarth ke Anmol Laabh Shayad aap nahi jante honge ki red woine ke bahut se swasth laabh hote hai. Agar nahi to aaiye aaj iss article mai hum aapko batate hai, Benefits of Red Wine. Agar aap wine ke shoukin hai to aapke liye ek khush khabri hai. Halhi mai huye kuch research mai yeh baat samne aai hai ki har din wine ki thodi–thodi matra pine se aapko bahut swasth laabh milte hai Ho sakta hai ki iss jankari ko padhne ke baad aap jayad wine pine lage ya fir khud ko wine pine ke liye aajad mahsus karne lage. Lekin yeh baat bilkul sach hai ki, isse aapko hajaro fayde prapt hote hai. Yeh baat hum nahi balki kai research aur Clinical Studies me kahi gai hai. Par iss baat ko note kar le ki hum yeh article pey padarth ko badhava dene ke liye nahi likh rahe hai. Balki wine ke baare mai jo logo ki galt dharnaye hai, use badalne ki koshish kar rahe hai aur iske swasth laabh ki jankari de rahe hai. Vese to wine bahut tarah ki hoti hai, lekin white wine ke mukable red wine swasthvadhak mani jati hai. Isme tannin ka high concentration hota hai, jo ki herbal tea mai bhi paya jata hai. Wine banane ke liye kai dino ki lagatar prakriya se gadha lala rang ka taral padarth banata hai. Aap ko iss baat ko jaan lena jaruri hai ki bahut jayad red wine pine se sharir par pratikul prabhav pad sakta hai. Isliye iss sharab samjh kar na piye balki isse dawa smajh kar iska sevan kare.

Benefits of Red Wine Ke Dwara Paiye Dedro Swasthvardhak Laabh


Javani Rahe Barkrar Health Benefits of Red Wine ki baat kare to iska sabse badha fayda hai ki, yeh ek anti aging ki tarah kaam karta hai. Roz wine pine se badhti huye umra par lagam lagti hai aur budapan nahi aata. Yeh isliye kyoki wine mai phytochemical jese resveratrol and flavonoids paye jate hai. Yeh dono prakartik ke sabse asardar tatva hai, jo sharir mai free radical se ladte hai aur sharir ko ageing se rokte hai. Iske alwa research ke mutabik isme cystin compound paya jata hai. Jo sharir ke immune system ko majbuti pradaan karta hai aur har rog se ladhne ki takat dete hai. Heart ko Majbuti Pradaan Kare Bahut si research mai sujhav mila hai ki 3o se upar ke logo ke liye red wine nakeval rakt chap ko control karta hai, balki blocked ko bhi dur kart ahai. Yeh rakt vahikao ko saaf karne aur sharir mai vasa jamne ki vajah se hone vale nuksaan ko khatam karne mai laabhdayak hota hai. Red wine angur se bana hota hai. Jisme ek taral padarth paya jata hai hai. Jo ki blood clot ko banane se rokta hai. Pachan Shakti ko Banaye Majbut Rozana lekin thodi wine lene se pachan shakti majbut hoti hai. Red wine, pet mai panp rahe kuch khatarnak tarah ke bacteria ko bhi dundh kar marta hai. Cancer se Bachata Hai Wine ke sevan se prosted cancer jesi khatarnak bimari bhi theek ho jata hai. Isme paya jane vale resveratrol, na keval java banye rakhte hai, balki yeh cancer ke cell ko grow hone se bhi rokta hai. Purush granthi ke tissue mai panpne vala yeh cancer older logo mai paye jate hai. Samanaye tor par pursh grathi akhrot jesi hoti hai, lekin cancer ki chapet mai aane ke baad iske aakar mai vradhi hone lagti hai aur peshab ka pravah rukne lagat hai. Alsar ka Khatar Kam Kare Georgetown University Medical center mai isthit “Red Wine Central� nai ek study ki gai jisme yeh result nikala hai ki red wine pine se alsar ki bimari ka badhna ruk jata hai. Isliye jo log alsar ki bimari se jujh rahe unhe iska sevan karan chahiye. Health Benefits of Red Wine: Iske Sevan Dwara Bachiye Khatarnak Bimariyo se


Weight loss Red wine mai aise tatav paye jate hai, Jisse iske sevan se apka weight lose hota hai. To bas agar aap apan vajan kam karan chahte hai, to aaj se hi iski nishchit matra ka sevan shuru kar de. Kyoki ye aapko swasth laabh ke saath aapke vajan ko bhi kam karta hai. To bol sakte hai ki yeh ek accha Benefits of Red Wine hai. Stroke ko Dur Kare Red wine stroke yani thakko ko jamne se rokta hai. Hal hi mai huye ek study mai ptaa chala hai ki red wine, dimag ko swasth banaye rakhane mai bahut aham bhumika nibhati hai. Red wine mai resveratrol naam ke yogik hote hai jo stroke ko badhne se rokte hai. Yeh yogigik janvaro ke dimag mai paya jata hai aur yeh hi karan hai ki unhe dimagi ki chhot kam lagti hai. Wine ke sevan se manushaye ke sharir mai bhi yeh yogigik pahuch jata hai. Ye yogig, dimag mai khun ke thakka ko jamne se rokta hai aur dimagi ki chhod ko jaldi se bhar deta hai. Red whine mai yeh yogigk paya jata hai. Study mai yeh baat bi nikal ke aai hai ki red wine pine se dimagi chhot sahi hone me 40% ka laabh milta hai. Halki doctor ne isse abhi taka apne treatment mai shamil nahi kiya hai. Lekin ha aagar aap chahe to researcher par bharosa karke iss par vishvaash kar sakte hai. Alzheimer Ka Dar Nahi Research mai yeh bhi ptaa chala hai ki, wine se bhulne ki bimari (Alzheimer) hone ka khatra kam ho jata hai aur agar koi alzheimer se pidit hai to uski bimari nahi badhti hai. Franz mai red wine ki khapat sabse jyada hoti hai aur vaha ke logo mai heart rog aur alzheimer sabse kam hota hai, jabki Franz mai fast food aur high calorie vale food hi khaye jate hai. Brain ki Koshika ko Majbhut Kare Rad wine mai aise tatva paye jate hai ko dimag ke cell ko nuksaan pahuchane vale karano ko rokte hai. Red wine mai antioxidant bhi bharpur matra mai paye jate hai, jisse mind active bana rahta hai. Iske sevan se dimag mai radical attack nahi hota hai. Yeh body mai estrogen ko utpann karta hai. Estrogen ek prakaar ka antioxidant hota hai, jo dimag ko swasth banata hai. Upar aapne jane Health Benefits of Red Wine. To bas aaj se iss ki nishchit matra ka sevan rozana karna shuru kar de aur hamesha swasth rahe.


Turn static files into dynamic content formats.

Create a flipbook
Issuu converts static files into: digital portfolios, online yearbooks, online catalogs, digital photo albums and more. Sign up and create your flipbook.